aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for ".luck"
kabhii na khii.nchaa sharaarat se jis kaa aa.nchal bhiirachaa sakii mirii aa.ankho.n me.n jo na kaajal bhiivo maa.n jo mere liye titliyaa.n paka.D na sakiijo bhaagte hu.e baazuu mire jaka.D na sakiiba.Dhaayaa pyaar kabhii kar ke pyaar me.n na kamiijo mu.nh banaa ke kisii din na mujh se ruuTh sakiijo ye bhii kah na sakii jaa na boluu.ngii tujh sejo ek baar KHafaa bhii na ho sakii mujh sevo jis ko juuThaa lagaa mu.nh kabhii dikhaa na sakaakasaafato.n pe mirii jis ko pyaar aa na sakaajo miTTii khaane pe mujh ko kabhii na piiT sakiina haath thaam ke mujh ko kabhii ghasiiT sakiivo maa.n jo guftuguu kii rau me.n sun ke merii ba.Dkabhii jo pyaar se mujh ko na kah sakii ghaama.Dsharaarato.n se mirii jo kabhii ulajh na sakiihimaaqato.n kaa mirii falsafa samajh na sakiivo maa.n kabhii jise chau.nkaane ko mai.n luk na sakaamai.n raah chhe.nkne ko jis ke aage ruk na sakaajo apne haath se bahruup mere bhar na sakiijo apnii aa.ankho.n ko aa.iina meraa kar na sakiigale me.n Daalii na baaho.n kii phuul-maalaa bhiina dil me.n lauh-e-jabii.n se kiyaa ujaalaa bhiivo maa.n kabhii jo mujhe baddhiyaa.n pahnaa na sakiikabhii mujhe na.e kap.Do.n se jo sajaa na sakiivo maa.n na jis se la.Dakpan ke jhuuT bol sakaana jis ke dil ke daraa.n kunjiyo.n se khol sakaavo maa.n mai.n paise bhii jis ke kabhii churaa na sakaasazaa se bachne ko jhuuTii qasam bhii khaa na sakaa
bistar me.n leTe leTeus ne sochaa''mai.n moTaa hotaa jaataa huu.nkal mai.n apne niile suiT koalter karnedarzii ke haa.n de aa.uu.ngaanayaa suiT do-chaar mahiine baa'd sahii!darzii kii duukaan se lag karjo hotel haius hotel kiimachhlii testy hotii haikal khaa.uu.ngaalekin machhlii kii buu saaliihaatho.n me.n bas jaatii haikal saabun bhii laanaa haighar aateletaa aa.uu.ngaaab ke ''yardley'' laa.uu.ngaaoffice me.n kal kaam bahut haiboss agar naaraaz hu.aa todo din kii chhuTTii le luu.ngaaaur agar mood hu.aa tochhe ke show me.n''raam-aur-shyaam'' bhii dekh aa.uu.n gaapicture achchhii hai saaliinau se baaraclub ramiido din se luck achchhaa haikal bhii saaTh ruupe jiitaa thaaaaj bhii tiis ruupe jiitaa huu.naur ummiid haikal bhii jiit ke aa.uu.ngaabas ab nii.nd aa.e to achchhaakal bhiijiit kenii.nd aa.e toikkaa-dukkii nahla-dahlaii.nT kii begammachhlii kii buutaash ke pattejoker jokersuiT pahan karmoTaa-tag.Daa joker....itnaa bahut saa soch ke vosoyaa thaa magarphir na uThaa!!duusre din jabus kaa janaazadarzii kii duukaan ke paas se guzraa tohotel se machhlii kii buuduur duur tak aa.ii thii!!!
ujjal ujjal komal komal chamkiilaa chamkiilaa chaa.ndna.ii navelii dulhan jaisaa sharmiilaa sharmiilaa chaa.ndvo dekho vo muskaata bal khaataa le kar a.ng.Daa.iiik baadal kii oT se niklaa chanchal shoKH sajiilaa chaa.ndujlii ra.ngat goraa mukh.Daa us pe rupahlii hai poshaaktaaro.n ke jhurmuT me.n kaisaa lagtaa hai bha.Dkiila chaa.ndruup anuup kii naav pe baiThaa kirno.n kii patvaar liyeniil gagan me.n tair rahaa hai sundar chhail-chhabiilaa chaa.ndham bhii chor sipaahii luk-chhup aa.nkh michaulii khele.ngetaaro.n ke sang khel rahaa hai uu.nchaa niichaa Tiila chaa.ndammii meraa chaa.nd to dekho baaluu-shaahii jaisaa hainik.hat baajii kaa hai kaisaa ka.Dvaa aur kasiilaa chaa.ndkirno.n kii sii.Dhii ke sahaare chhat par to aa pahu.nchaa haiaa.ngan me.n paanii na giraa.o ho jaa.egaa giilaa chaa.ndchandaa maamuu.n chandaa maamuu.n kahte kahte mu.nh suukhephir bhii apne paas na aa.e ziddii aur haTiilaa chaa.ndmunnaa aaGuu.n aaGuu.n kar ke jab bhii apne paas bulaa.edham se aa.ngan me.n aa kuude 'aKHtar' ra.ng-ra.ngiilaa chaa.nd
puraanii bahut puraanii kaa.ii lagii diivaarlakhorii ii.nTo.n kiiitihaas ne apne lambe lambe haatho.n se jo.Do.n ko jis ke baa.ndhaa haiaur gulaabii bhuure sabz mile-jule dhabbo.n se jis par laakh kahaaniilikh Daalii haialbelii kirne.n roz sub.h chupke se us par cha.Dh jaatii hai.nidhar udhar phir jhaa.nktii hai.naur ek ek karke dabe paa.nvkono.n me.n is ke luk jaatii hai.ndau.D dau.D kar aa.nkh-michaulii kheltii hai.nlajjaa se chuur lataa nihu.Daa.e sar muskaatii haihalke se us ke daaman se do-chaar phuul Tapak jaate hai.nsahar uThtaa hai sabzaaasmaan ne aaj use phirrang lataafat KHushbuu kaa ye komal tohfabhe.nT kiyaa haiman us kaa ye daulatpaa kar bhii bhar aataa haiye aanand anant nahii.n haimagar yahii sparshhazaaro.n taaro.n me.n jiivan duniyaa keras bhartaa haiaur phir is se aise raag nikalte hai.njo kabhii nahii.n marteis diivaar ke saa.e me.nis upvan me.nsard kha.De hai.n bilkul siidhesaakit chupashok ba.Dii gambhiir soch me.n gumpuraane mandir jaiseka.nval kii kaliyaa.nharii harii saarii phailaa.etair rahii hai.naur favvaara halke halke yuu.n chaltaa haijaise sub.h ko baalakso.ii maa.n ke Dar sesisak sisak kar bilke
tho.Daa tho.Daa ye jo suhaagan rang ikaTThaa dil me.n hu.aa haijaane kitne bhed nicho.De nii.nd ga.nvaa.ii pyaas churaa.iikaun se chor haatho.n se luT kar aaj ye ghar aabaad kiyaa haibarso.n se so.ndhii miTTii ne kaisii hiika.D jot jagaa.iiKHushiyo.n kii bauchhaar jo palTii Gam kaa mukh.Daa dhul saa gayaa hai
phuul shaaKHo.n pe khilne lage tum kahojaam rindo.n ko milne lage tum kahochaak siino.n ke silne lage tum kahois khule jhuuT ko zehn kii luuT komai.n nahii.n maantaa mai.n nahii.n jaantaa
raaste me.n ruk ke dam le luu.n mirii aadat nahii.nlauT kar vaapas chalaa jaa.uu.n mirii fitrat nahii.naur ko.ii ham-navaa mil jaa.e ye qismat nahii.nai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n
agar mai.n samjhuu.nke ye jo mohre hai.nsirf lak.Dii ke hai.n khilauneto jiitnaa kyaa hai haarnaa kyaana ye zaruuriina vo aham haiagar KHushii hai na jiitne kiina haarne kaa hii ko.ii Gam haito khel kyaa haimai.n sochtaa huu.njo khelnaa haito apne dil me.n yaqiin kar luu.nye mohre sach-much ke baadshaah o vaziirsach-much ke hai.n payaadeaur in ke aage haidushmano.n kii vo faujrakhtii hai jo ki mujh ko tabaah karne kesaare mansuubesab iraademagar aisaa jo maan bhii luu.nto sochtaa huu.nye khel kab haiye ja.ng hai jis ko jiitnaa haiye ja.ng hai jis me.n sab hai jaa.ezko.ii ye kahtaa hai jaise mujh seye ja.ng bhii haiye khel bhii haiye ja.ng hai par khilaa.Diyo.n kiiye khel hai ja.ng kii tarah kaamai.n sochtaa huu.njo khel haiis me.n is tarah kaa usuul kyuu.n haiki ko.ii mohara rahe ki jaa.emagar jo hai baadshaahus par kabhii ko.ii aa.nch bhii na aa.evaziir hii ko hai bas ijaazatki jis taraf bhii vo chaahe jaa.e
bahut KHuub-suurat ho tum bahut KHuub-suurat ho tumkabhii mai.n jo kah duu.n mohabbat hai tum seto mujh ko KHudaa raa Galat mat samajhnaaki merii zaruurat ho tum bahut KHuub-suurat ho tumhai.n phuulo.n kii Daalii pe baa.nhe.n tumhaariihai.n KHaamosh jaaduu nigaahe.n tumhaariijo kaa.nTe huu.n sab apne daaman me.n rakh luu.nsajaa.uu.n mai.n kaliyo.n se raahe.n tumhaariinazar se zamaane kii KHud ko bachaanaakisii aur se dekho dil mat lagaanaaki merii amaanat ho tumbahut KHuub-suurat ho tumhai chehraa tumhaaraa ki din hai sunahraahai chehraa tumhaaraa ki din hai sunahraaaur is par ye kaalii ghaTaa.o.n kaa pahraagulaabo.n se naazuk mahaktaa badan haiye lab hai.n tumhaare ki khiltaa chaman haibikhero jo zulfe.n to sharmaa.e baadalfarishte bhii dekhe.n to ho jaa.e.n paagalvo paakiiza muurat ho tum bahut KHuub-suurat ho tumjo ban ke kalii muskuraatii hai aksarshab-e-hijr me.n jo rulaatii hai aksarjo lamho.n hii lamho.n me.n duniyaa badal dejo shaa.ir ko de jaa.e pahluu Gazal kechhupaanaa jo chaahe.n chhupaa.ii na jaa.ebhulaanaa jo chaahe.n bhulaa.ii na jaa.evo pahlii mohabbat ho tum bahut KHuub-suurat ho tum
to kyaa mujhe tum jalaa hii logii gale se apne lagaa hii logiijo phuul juu.De se gir pa.Daa hai ta.Dap ke us ko uThaa hii logiibha.Dakte sho.alo.n, ka.Daktii bijlii se meraa KHirman bachaa hii logiighanerii zulfo.n kii chhaa.nv me.n muskuraa ke mujh ko chhupaa hii logiiki aaj tak aazmaa rahii hoye KHvaab kaisaa dikhaa rahii honahii.n mohabbat kii ko.ii qiimat jo ko.ii qiimat adaa karogiivafaa kii fursat na degii duniyaa hazaar azm-e-vafaa karogiimujhe bahalne do ranj-o-Gam se sahaare kab tak diyaa karogiijunuu.n ko itnaa na gudgudaa.o, paka.D luu.n daaman to kyaa karogiiqariib ba.Dhtii hii aa rahii hoye KHvaab kaisaa dikhaa rahii ho
KHair mahruumiyo.n ke vo din to ga.eaaj mela lagaa hai usii shaan seaaj chaahuu.n to ik ik dukaa.n mol luu.naaj chaahuu.n to saaraa jahaa.n mol luu.nnaa-rasaa.ii kaa ab jii me.n dha.Dkaa kahaa.npar vo chhoTaa saa alha.D saa la.Dkaa kahaa.n
sochtaa huu.n ki tujhe mil ke mai.n jis soch me.n huu.npahle us soch kaa maqsuum samajh luu.n to kahuu.nmai.n tire shahr me.n anjaan huu.n pardesii huu.ntere altaaf kaa mafhuum samajh luu.n to kahuu.n
ek tumhaaraa pyaar bachaa haivarna sab kuchh luT saa gayaa haiek musalsal raat ki jis me.naaj miraa dam ghuT saa gayaa hai
kab luuT-jhapaT se hastii kiidokaane.n KHaalii hotii hai.nyaa.n parbat-parbat hiire hai.nyaa.n saagar saagar motii hai.n
nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shuniidan daastaa.n meriiKHamoshii guftuguu hai be-zabaanii hai zabaa.n meriiye dastuur-e-zabaa.n-bandii hai kaisaa terii mahfil me.nyahaa.n to baat karne ko tarastii hai zabaa.n meriiuThaa.e kuchh varaq laale ne kuchh nargis ne kuchh gul nechaman me.n har taraf bikhrii hu.ii hai daastaa.n meriiu.Daa lii qumriyo.n ne tuutiyo.n ne andaliibo.n nechaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fuGaa.n meriiTapak ai sham.a aa.nsuu ban ke parvaane kii aa.nkho.n sesaraapaa dard huu.n hasrat bharii hai daastaa.n meriiilaahii phir maza kyaa hai yahaa.n duniyaa me.n rahne kaahayaat-e-jaavedaa.n merii na marg-e-naa-gahaa.n meriimiraa ronaa nahii.n ronaa hai ye saare gulistaa.n kaavo gul huu.n mai.n KHizaa.n har gul kii hai goyaa KHizaa.n meriidarii.n hasrat saraa umriist afsuun-e-jaras daaramz faiz-e-dil tapiidan-haa KHarosh-e-be-nafas daaramriyaaz-e-dahr me.n naa-aashnaa-e-bazm-e-ishrat huu.nKHushii rotii hai jis ko mai.n vo mahruum-e-masarrat huu.nmirii big.Dii hu.ii taqdiir ko rotii hai goyaa.iimai.n harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samaa.at huu.npareshaa.n huu.n mai.n musht-e-KHaak lekin kuchh nahii.n khultaasikandar huu.n ki aa.iina huu.n yaa gard-e-kuduurat huu.nye sab kuchh hai magar hastii mirii maqsad hai qudrat kaasaraapaa nuur ho jis kii haqiiqat mai.n vo zulmat huu.nKHaziina huu.n chhupaayaa mujh ko musht-e-KHaak-e-sahraa nekisii ko kyaa KHabar hai mai.n kahaa.n huu.n kis kii daulat huu.nnazar merii nahii.n mamnuun-e-sair-e-arsa-e-hastiimai.n vo chhoTii sii duniyaa huu.n ki aap apnii vilaayat huu.nna sahbaa huu.n na saaqii huu.n na mastii huu.n na paimaanamai.n is mai-KHaana-e-hastii me.n har shai kii haqiiqat huu.nmujhe raaz-e-do-aalam dil kaa aa.iina dikhaataa haivahii kahtaa huu.n jo kuchh saamne aa.nkho.n ke aataa haiataa aisaa bayaa.n mujh ko hu.aa ra.ngii.n-bayaano.n me.nki baam-e-arsh ke taa.ir hai.n mere ham-zabaano.n me.nasar ye bhii hai ik mere junuun-e-fitna-saamaa.n kaamiraa aa.iina-e-dil hai qazaa ke raaz-daano.n me.nrulaataa hai tiraa nazzaara ai hindostaa.n mujh koki ibrat-KHez hai teraa fasaana sab fasaano.n me.ndiyaa ronaa mujhe aisaa ki sab kuchh de diyaa goyaalikhaa kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-KHvaano.n me.nnishaan-e-barg-e-gul tak bhii na chho.D us baaG me.n gulchii.ntirii qismat se razm-aaraa.iyaa.n hai.n baaGbaano.n me.nchhupaa kar aastii.n me.n bijliyaa.n rakkhii hai.n garduu.n neanaadil baaG ke Gaafil na baiThe.n aashiyaano.n me.nsun ai Gaafil sadaa merii ye aisii chiiz hai jis kovaziifa jaan kar pa.Dhte hai.n taa.ir bostaano.n me.nvatan kii fikr kar naadaa.n musiibat aane vaalii haitirii barbaadiyo.n ke mashvare hai.n aasmaano.n me.nzaraa dekh us ko jo kuchh ho rahaa hai hone vaalaa haidharaa kyaa hai bhalaa ahd-e-kuhan kii daastaano.n me.nye KHaamoshii kahaa.n tak lazzat-e-fariyaad paidaa karzamii.n par tuu ho aur terii sadaa ho aasmaano.n me.nna samjhoge to miT jaa.oge ai hindostaa.n vaalotumhaarii daastaa.n tak bhii na hogii daastaano.n me.nyahii aa.iin-e-qudrat hai yahii usluub-e-fitrat haijo hai raah-e-amal me.n gaam-zan mahbuub-e-fitrat haihuvaidaa aaj apne zaKHm-e-pinhaa.n kar ke chho.Duu.ngaalahuu ro ro ke mahfil ko gulistaa.n kar ke chho.Duu.ngaajalaanaa hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhaa.n setirii taariik raato.n me.n charaaGaa.n kar ke chho.Duu.ngaamagar Guncho.n kii suurat huu.n dil-e-dard-aashnaa paidaachaman me.n musht-e-KHaak apnii pareshaa.n kar ke chho.Duu.ngaapironaa ek hii tasbiih me.n in bikhre daano.n kojo mushkil hai to is mushkil ko aasaa.n kar ke chho.Duu.ngaamujhe ai ham-nashii.n rahne de shaGl-e-siina-kaavii me.nki mai.n daaG-e-mohabbat ko numaayaa.n kar ke chho.Duu.ngaadikhaa duu.ngaa jahaa.n ko jo mirii aa.nkho.n ne dekhaa haitujhe bhii suurat-e-aa.iina hairaa.n kar ke chho.Duu.ngaajo hai pardo.n me.n pinhaa.n chashm-e-biinaa dekh letii haizamaane kii tabii.at kaa taqaazaa dekh letii haikiyaa rif.at kii lazzat se na dil ko aashnaa tuu negizaarii umr pastii me.n misaal-e-naqsh-e-paa tuu nerahaa dil-basta-e-mahfil magar apnii nigaaho.n kokiyaa bairuun-e-mahfil se na hairat-aashnaa tuu nefidaa kartaa rahaa dil ko hasiino.n kii adaa.o.n parmagar dekhii na us aa.iine me.n apnii adaa tuu neta.assub chho.D naadaa.n dahr ke aa.iina-KHaane me.nye tasviire.n hai.n terii jin ko samjhaa hai buraa tuu nesaraapaa naala-e-bedaad-e-soz-e-zindagii ho jaasapand-aasaa girah me.n baa.ndh rakkhii hai sadaa tuu nesafaa-e-dil ko kyaa aaraa.ish-e-ra.ng-e-ta.alluq sekaf-e-aa.iina par baa.ndhii hai o naadaa.n hinaa tuu nezamii.n kyaa aasmaa.n bhii terii kaj-biinii pe rotaa haiGazab hai satr-e-qur.aa.n ko chaliipaa kar diyaa tuu nezabaa.n se gar kiyaa tauhiid kaa daavaa to kyaa haasilbanaayaa hai but-e-pindaar ko apnaa KHudaa tuu neku.e.n me.n tuu ne yuusuf ko jo dekhaa bhii to kyaa dekhaaare Gaafil jo mutlaq thaa muqayyad kar diyaa tuu nehavas baalaa-e-mimbar hai tujhe ra.ngii.n-bayaanii kiinasiihat bhii tirii suurat hai ik afsaana-KHvaanii kiidikhaa vo husn-e-aalam-soz apnii chashm-e-pur-nam kojo ta.Dpaataa hai parvaane ko rulvaataa hai shabnam kozaraa nazzaara hii ai bul-havas maqsad nahii.n us kaabanaayaa hai kisii ne kuchh samajh kar chashm-e-aadam koagar dekhaa bhii us ne saare aalam ko to kyaa dekhaanazar aa.ii na kuchh apnii haqiiqat jaam se jam koshajar hai firqa-aaraa.ii ta.assub hai samar us kaaye vo phal hai ki jannat se nikalvaataa hai aadam kona uTThaa jazba-e-KHurshiid se ik barg-e-gul tak bhiiye rif.at kii tamannaa hai ki le u.Dtii hai shabnam kophiraa karte nahii.n majruuh-e-ulfat fikr-e-darmaa.n me.nye zaKHmii aap kar lete hai.n paidaa apne marham komohabbat ke sharar se dil saraapaa nuur hotaa haizaraa se biij se paidaa riyaaz-e-tuur hotaa haidavaa har dukh kii hai majruuh-e-teG-e-aarzuu rahnaailaaj-e-zaKHm hai aazaad-e-ehsaan-e-rafuu rahnaasharaab-e-be-KHudii se taa-falak parvaaz hai meriishikast-e-ra.ng se siikhaa hai mai.n ne ban ke buu rahnaathame kyaa diida-e-giryaa.n vatan kii nauha-KHvaanii me.nibaadat chashm-e-shaa.ir kii hai har dam baa-vazuu rahnaabanaa.e.n kyaa samajh kar shaaKH-e-gul par aashiyaa.n apnaachaman me.n aah kyaa rahnaa jo ho be-aabruu rahnaajo tuu samjhe to aazaadii hai poshiida mohabbat me.nGulaamii hai asiir-e-imtiyaaz-e-maa-o-tuu rahnaaye istiGnaa hai paanii me.n niguu.n rakhtaa hai saaGar kotujhe bhii chaahiye misl-e-habaab-e-aabjuu rahnaana rah apno.n se be-parvaa isii me.n KHair hai teriiagar manzuur hai duniyaa me.n o begaana-KHuu rahnaasharaab-e-ruuh-parvar hai mohabbat nau-e-insaa.n kiisikhaayaa is ne mujh ko mast be-jaam-o-subuu rahnaamohabbat hii se paa.ii hai shifaa biimaar qaumo.n nekiyaa hai apne baKHt-e-KHufta ko bedaar qaumo.n nebayaabaan-e-mohabbat dasht-e-Gurbat bhii vatan bhii haiye viiraana qafas bhii aashiyaana bhii chaman bhii haimohabbat hii vo manzil hai ki manzil bhii hai sahraa bhiijaras bhii kaarvaa.n bhii raahbar bhii raahzan bhii haimaraz kahte hai.n sab is ko ye hai lekin maraz aisaachhupaa jis me.n ilaaj-e-gardish-e-charKH-e-kuhan bhii haijalaanaa dil kaa hai goyaa saraapaa nuur ho jaanaaye parvaana jo sozaa.n ho to sham-e-anjuman bhii haivahii ik husn hai lekin nazar aataa hai har shai me.nye shiirii.n bhii hai goyaa be-sutuu.n bhii kohkan bhii haiujaa.Daa hai tamiiz-e-millat-o-aa.ii.n ne qaumo.n komire ahl-e-vatan ke dil me.n kuchh fikr-e-vatan bhii haisukuut-aamoz tuul-e-daastaan-e-dard hai varnazabaa.n bhii hai hamaare mu.nh me.n aur taab-e-suKHan bhii hainamii-gardiid ko tah rishta-e-ma.anii rihaa kardamhikaayat buud be-paayaa.n ba-KHaamoshii adaa kardam
jo marhalo.n me.n saath the vo manzilo.n pe chhuT ga.ejo raat me.n luTe na the vo dopahar me.n luT ga.emagan thaa mai.n ki pyaar ke bahut se giit gaa.u.ngaazabaan gu.ng ho ga.ii, gale me.n giit ghuT ga.ekaTii hu.ii hai.n u.ngliyaa.n rubaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.njinhe.n sahar nigal ga.ii vo KHvaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.nkahaa.n ga.ii vo nii.nd kii sharaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.n
kuchh aisaa lagtaa hai jis ne bhii Diary likhii haivo shahr aayaa hai gaa.nv me.n chho.D kar kisii kotalaash me.n kaam hii ke shaayad:''mai.n shahr kii is machine me.n fiT huu.n jaise Dhibrii,zaruurii hai ye zaraa saa purzaaham bhii hai kyuu.n ki roz ke roz tel de karise zaraa aur kas ke jaataa hai chief meraavo roz kastaa hai,roz ik pech aur cha.Dhtaa hai jab naso.n par,to jii me.n aataa hai zahr khaa luu.nyaa bhaag jaa.uu.n''
shahr ke gosho.n me.n hai.n bikhre hu.epaa-shikasta sar-buriida KHvaabjin se shahr vaale be-KHabar!ghuumtaa huu.n shahr ke gosho.n me.n roz o shabki un ko jam.a kar luu.ndil kii bhaTTii me.n tapaa.uu.njis se chhaT jaa.e puraanaa mailun ke dast-o-paa phir se ubhar aa.e.nchamak uTThe.n lab o ruKHsaar o gardanjaise nau-aaraasta duulho.n ke dil kii hasrate.nphir se in KHvaabo.n ko samt-e-rah mile!
tumhaarii sham-e-tamannaa bas ek raat bujhiicharaaG merii tavaqqo.a ke roz bujhte hai.nmai.n saa.ns luu.n bhii to kaise ki merii saa.nso.n me.ntumhaarii Duubtii saa.nso.n ke tiir chubhte hai.n
is mulaaqaat kaa is baar ko.ii vahm nahii.njis se ik aur mulaaqaat kii suurat nikleab na haijaan o junuu.n kaa na hikaayaat kaa vaqtab na tajdiid-e-vafaa kaa na shikaayaat kaa vaqtluT ga.ii shahr-e-havaadis me.n mataa-e-alfaazab jo kahnaa hai to kaise ko.ii nauha kahiyeaaj tak tum se rag-e-jaa.n ke ka.ii rishte thekal se jo hogaa use kaun saa rishta kahiye
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books