aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "bhai.ns"
ai dil ai banda-e-vatan hoshiyaarKHvaab-e-Gaflat se ho zaraa bedaaro sharaab-e-KHudii ke matvaaleghar kii chaukhaT ke chuumne vaalenaam hai kyaa isii kaa hubb-e-vatanjis kii tujh ko lagii hu.ii hai lagankabhii bachcho.n kaa dhyaan aataa haikabhii yaaro.n kaa Gam sataataa haiyaad aataa hai apnaa shahr kabhiilau kabhii ahl-e-shahr kii hai lagiinaqsh hai.n dil pe kuucha-o-baazaarphirte aa.nkho.n me.n hai.n dar-o-diivaarkyaa vatan kyaa yahii mohabbat haiye bhii ulfat me.n ko.ii ulfat haiis me.n insaa.n se kam nahii.n hai.n darindis se KHaalii nahii.n chairnd o parindTuk.De hote hai.n sang Gurbat me.nsuukh jaate hai.n ruukh furqat me.njaa ke kaabul me.n aam kaa paudaakabhii parvaan cha.Dh nahii.n saktaaaa ke kaabul se yaa.n bihii-o-anaarho nahii.n sakte baarvar zinhaarmachhlii jab chhuuTtii hai paanii sehaath dhotii hai zindagaanii seaag se jab hu.aa samundar duurus ko jiine kaa phir nahii.n maqduurgho.De jab khet se bichha.Dte hai.njaan ke laale un ke pa.Dte hai.ngaa.e, bhai.ns uu.nT ho yaa bakriiapne apne Thikaane KHush hai.n sabhiikahiye hubb-e-vatan isii ko agarham se haivaa.n nahii.n hai.n kuchh kam-tarhai ko.ii apnii qaum kaa hamdardnau-e-insaa.n kaa samjhe.n jis ko fardjis pe itlaaq-e-aadmii ho sahiihjis ko haivaa.n pe de sake.n tarjiihqaum par ko.ii zad na dekh sakeqaum kaa haal-e-bad na dekh sakeqaum se jaan tak aziiz na hoqaum se ba.Dh ke ko.ii chiiz na hosamjhe un kii KHushii ko raahat-e-jaa.nvaa.n jo nau-roz ho to iid ho yaa.nra.nj ko un ke samjhe maaya-e-Gamvaa.n agar sog ho to yaa.n maatambhuul jaa.e sab apnii qadr-e-jaliildekh kar bhaa.iyo.n ko KHvaar-o-zaliiljab pa.De un pe gardish-e-aflaakapnii aasaa.isho.n pe Daal de KHaak
kis zabaa.n se kah rahe ho aaj tum saudaagarodahr me.n insaaniyat ke naam ko uu.nchaa karojis ko sab kahte hai.n hitler bhe.Diyaa hai bhe.Diyaabhe.Diye ko maar do golii pa.e-amn-o-baqaabaaG-e-insaanii me.n chalne hii pe hai baad-e-KHizaa.naadamiyyat le rahii hai hichkiyo.n par hichkiyaa.nhaath hai hitler kaa raKHsh-e-KHud-sarii kii baag parteG kaa paanii chhi.Dak do germany kii aag parsaKHt hairaa.n huu.n ki mahfil me.n tumhaarii aur ye zikrnau-e-insaanii ke mustaqbil kii ab karte ho fikrjab yahaa.n aa.e the tum saudaagarii ke vaastenau-e-insaanii ke mustaqbil se kiyaa vaaqif na thehindiyo.n ke jism me.n kyaa ruuh-e-aazaadii na thiisach bataa.o kyaa vo insaano.n kii aabaadii na thiiapne zulm-e-be-nihaayat kaa fasaana yaad haicompany kaa phir vo daur-e-mujrimaana yaad hailuuTte phirte the jab tum kaarvaa.n-dar-kaarvaa.nsar-barahna phir rahii thii daulat-e-hindostaa.ndast-kaaro.n ke a.nguuThe kaaTte phirte the tumsard laasho.n se ga.Dho.n ko paaTte phirte the tumsan.at-e-hindostaa.n par maut thii chhaa.ii hu.iimaut bhii kaisii tumhaare haat kii laa.ii hu.iiallaah allaah kis qadar insaaf ke taalib ho aajmiir-ja.afar kii qasam kyaa dushman-e-haq thaa 'siraaj'kyaa avadh kii begamo.n kaa bhii sataanaa yaad haiyaad hai jhaa.nsii kii raanii kaa zamaana yaad haihijrat-e-sultaan-e-dehlii kaa samaa.n bhii yaad haisher-dil 'Tiipuu' kii KHuunii.n daastaa.n bhii yaad haitiisare faaqe me.n ik girte hu.e ko thaamnekas ke tum laa.e the sar shaah-e-zafar ke saamneyaad to hogii vo maTiyaa-burj kii bhii daastaa.nab bhii jis kii KHaak se uThtaa hai rah rah kar dhu.aa.ntum ne qaisar-e-baaG ko dekhaa to hogaa baarhaaaaj bhii aatii hai jis se haa.e 'aKHtar' kii sadaasach kaho kyaa haafize me.n hai vo zulm-e-be-panaahaaj tak ragoon me.n ik qabr hai jis kii gavaahzehn me.n hogaa ye taaza hindiyo.n kaa daaG bhiiyaad to hogaa tumhe.n jallianwala-bagh bhiipuuchh lo is se tumhaaraa naam kyuu.n taabinda hai'dyer'-e-gurg-e-dahan-aaluud ab bhii zinda haivo 'bhagat-singh' ab bhii jis ke Gam me.n dil naashaad haius kii gardan me.n jo Daalaa thaa vo phandaa yaad haiahl-e-aazaadii rahaa karte the kis hanjaar sepuuchh lo ye qaid-KHaano.n ke dar-o-diivaar seab bhii hai mahfuuz jis par tantana sarkaar kaaaaj bhii guu.njii hu.ii hai jin me.n ko.Do.n kii sadaaaaj kashtii amn ke amvaaj par khete ho kyuu.nsaKHt hairaa.n huu.n ki ab tum dars-e-haq dete ho kyuu.nahl-e-quvvat daam-e-haq me.n to kabhii aate nahii.n''bankii'' aKHlaaq ko KHatre me.n bhii laate nahii.nlekin aaj aKHlaaq kii talqiin farmaate ho tumho na ho apne me.n ab quvvat nahii.n paate ho tumahl-e-haq raushan-nazar hai.n ahl-e-baatin kor hai.nye to hai.n aqvaal un qaumo.n ke jo kamzor hai.naaj shaayad manzil-e-quvvat me.n tum rahte nahii.njis kii laaThii us kii bhai.ns ab kis liye kahte nahii.nkyaa kahaa insaaf hai insaa.n kaa farz-e-avvalii.nkyaa fasaad-o-zulm kaa ab tum me.n kas baaqii nahii.nder se baiThe ho naKHl-e-raastii kii chhaa.nv me.nkyaa KHudaa-naa-karda kuchh moch aa ga.ii hai paa.nv me.nguu.nj Taapo.n kii na aabaadii na viiraane me.n haiKHair to hai asp-e-taazii kyaa shifaa-KHaane me.n haiaaj kal to har nazar me.n rahm kaa andaaz haikuchh tabii.at kyaa nasiib-e-dushmanaa.n naa-saaz haisaa.ns kyaa ukh.Dii ki haq ke naam par marne lagenau-e-insaa.n kii havaa-KHvaahii kaa dam bharne lagezulm bhuule raagnii insaaf kii gaane lagelag ga.ii hai aag kyaa ghar me.n ki chillaane lagemujrmo.n ke vaaste zebaa nahii.n ye shor-o-shainkal 'yaziid' o 'shimr' the aur aaj bante ho 'husain'KHair ai saudaagaro ab hai to bas is baat me.nvaqt ke farmaan ke aage jhukaa do gardane.nik kahaanii vaqt likkhegaa na.e mazmuun kiijis kii surKHii ko zaruurat hai tumhaare KHuun kiivaqt kaa farmaan apnaa ruKH badal saktaa nahii.nmaut Tal saktii hai ab farmaan Tal saktaa nahii.n
kaano.n kii ik nagrii dekhii jis me.n saare kaane dekheek taraf se ahmaq saare ek taraf se siyaane thekaano.n kii is nagrii ke sab riit rivaaj alaahada therog alaahada bastii me.n the aur ilaaj alaahada thedo do kaane mil kar puuraa sapnaa dekhaa karte thega.ngaa ke sa.ngam se kaane jamunaa dekhaa karte thechaa.ndnii raat me.n chhatrii le kar baahar jaayaa karte theos gire to kahte hai.n vaa.n sar phaT jaayaa karte thedariyaa pul par chaltaa thaa paanii me.n raile.n chaltii thii.nla.nguuro.n kii dum par a.nguuro.n kii bele.n paktii thii.nchhuut kii ik biimaarii phailii ek dafa un kaano.n me.nbhuuk ke kii.De sunte hai.n nikle gandum ke daano.n me.nroz ka.ii kaane bechaare marte the biimaarii me.nkahte hai.n raajaa sotaa thaa sone kii almaarii me.nghanTii baa.ndh ke chuuhe jab billii se dau.D lagaate thepeT pe dono.n haath bajaa kar sab qavvaalii gaate thetab kaanii bhai.ns ne phuul phulaa kar chhe.Daa biin kaa baajaaaur kaalaa chashma pahan ke singhaasan par aayaa raajaadukh se chashme kii dono.n hii aa.nKHe.n paanii paanii thii.ndekhaa us kaane raajaa kii dono.n aa.nKHe.n kaanii thii.njhuuTaa hai jo andho.n me.n kaanaa raajaa hai kahtaa haijaa kar dekho kaanii nagrii andhaa raajaa rahtaa hai
pahle aisaa hotaa thaabhaa.nt bhaa.nt ke bandarshahr kii fasiilo.n parmahfile.n jamaate theghar me.n kuud aate thehaath me.n se bachcho.n keroTii noch jaate theab to vo madaarii bhiiKHaalii haath aataa haibhiik maa.ng kar ghar gharghar ko lauT jaataa haiab gharo.n me.n chi.Diyo.n kaashor kyuu.n nahii.n hotaaraat ko ko.ii ulluupe.D par nahii.n rotaape.D par nahii.n rotaala.Dte la.Dte chi.Diyaa.n kyuu.nfarsh par nahii.n girtii.nbilliyaa.n chhato.n par kyuu.nghuumtii nahii.n phirtii.nab na ko.ii bulbul haiaur na ko.ii mainaa haiab na ko.ii tiitar haiaur na ko.ii totaa haikis se puuchhne jaa.e.nmor kaisaa hotaa haiToliyaa.n kabuutar kiikho ga.ii.n fazaa.o.n me.ntitliyo.n ke ra.ngii.n parbah ga.e havaa.o.n me.nmu.nh-a.ndhere ab murGaabaa.ng kyuu.n nahii.n detaaghar me.n ko.ii bakrii kaanaam kyuu.n nahii.n letaakyaa hu.e daraKHto.n pargho.nsle parindo.n keko.ii bhii nahii.n kahtaaqisse ab darindo.n kenanhe nanhe chuuzo.n parchiil kaa jhapaTnaa abdekhne kahaa.n jaa.e.nraaste me.n saa.nDo.n kaapahro.n la.Dte rahnaa abdekhne kahaa.n jaa.e.nchhipkilii kii jiitii dumab thiraktii kyaa paa.e.nra.ng badalte girgiT komaarte kahaa.n jaa.e.ngaa.e bhai.ns kaa reva.Dab idhar nahii.n aataauu.nT Te.Dhaa-me.Dhaa saaab nazar nahii.n aataaab na gho.De haathii hai.naur na vo baraatii hai.nab galii me.n kutto.n kaabhau.nknaa nahii.n hotaaraat chhat pe sote hai.nbhuut dekh kar ko.iichau.nknaa nahii.n hotaaab jidhar bhii jaate hai.naadmii ko paate hai.n
ek thaa raaja mehdii alii KHaa.n ek thii us kii raaniiraanii kii ik maa.n thii ya.anii bachcha log kii naaniikarnaa KHudaa kaa aisaa hu.aa ik roz ko.ii ham-saayaraaja ke darbaar me.n ik chhoTii sii chuhiyaa laayaadekhaa jab us chuhiyaa ko hairaan hu.e darbaariipiitii thii vo coca-cola khaatii thii tarkaariia.ngrezii me.n baate.n kar ke filmii gaane gaatiirang bira.nge Dance dikhaa kar sab kaa jii bahlaatiiparde se ye manzar dekhaa jab raanii kii maa.n nesochaa ham-saa.e se le le chuhiyaa kisii bahaanebu.Dhiyaa ne sar piiTaa apnaa KHuub kiyaa vaavailaao.Dh liyaa phir vo dopaTTa rang thaa jis kaa mailaakahne lagii chillaa chillaa kar raaja terii duhaa.iiye hai meraa chor ki is ne merii bhai.ns churaa.iichhiin lo is se bhai.nse.n merii aur mu.nh par maaro chaa.nTaadekho dekho suukh ke merii bhai.nse.n hu.ii hai kaa.nTaaraaja meh.ndii alii KHaa.n jo the raajaa.o.n ke raajakaam na kuchh bhii karte aaTho.n-pahar bajaate baajaagaraj ke bole o marduud bataa kyuu.n bhai.ns churaa.iiham ne to us bhai.ns ke aage barso.n biin bajaa.iiraaja kii ye baat sunii to kahne lagaa ham-saayaajiye vo saas ki chuhiyaa ko bhii jis ne bhai.ns banaayaaraaj hai teraa is nagrii me.n KHuub sazaa de mujh koaql ba.Dii yaa bhai.ns bas itnii baat bataa de mujh ko
ek la.Dkii baghaartii hai daaldaal kartii hai arz yuu.n ahvaalek din thaa harii-bharii thii mai.nsaarii aafaat se barii thii mai.nthaa haraa khet meraa gahvaaravo vatan thaa mujhe bahut pyaaraapaanii pii pii ke thii mai.n lahraatiidhuup letii kabhii havaa khaatiime.nh barastaa thaa jho.nke aate thegodiyo.n me.n mujhe khilaate theyahii suuraj zamii.n the maa.n baavaamujh se karte the nek bartaavaajab kiyaa mujh ko paal-pos ba.Daaaah zaalim kisaan aan pa.Daaga.ii taqdiir yak-ba-yak jo palaTkhet kaa khet kar diyaa talpaTKHuub luuTaa dha.Dii dha.Dii kar kemujh ko gauno.n me.n le ga.e bhar keho ga.ii dam ke dam me.n barbaadiichhin ga.ii haa.e merii aazaadii!kyaa bataa.uu.n kahaa.n kahaa.n khii.nchaadaal-manDii me.n mujh ko jaa bechaaek zaalim se vaa.n pa.Daa paalaajis ne chakkii me.n mujh ko dal Daalaahu.aa taqdiir kaa likhaa puuraadono.n paaTo.n ne kar diyaa chuuraana sunii merii aah aur zaariiKHuub baniye ne kii KHariidaariichhaanaa chhalnii me.n chhaaj me.n phaTkaaqaid-KHaana miraa banaa maTkaaphir muqaddar mujhe yahaa.n laayaatum ne to aur bhii Gazab Dhaayaakhaal khii.nchii alag kiye chhilkezaKHm kyuu.n-kar hare na ho.n dil keDaalii.n marche.n namak lagaayaa KHuubrakh ke chuulhe pe jii jalaayaa KHuubus pe kaf-giir ke bhii Thoke hai.naur naaKHun ke bhii kachoke hai.nmere galne kii le rahii ho KHabardaa.nt hai aap kaa mire uupargarm ghii kar ke mujh ko daaG diyaahaa.e tum ne bhii kuchh na rahm kiyaahaath dho kar pa.Dii ho piichhe tumjaan par aa banii havaas hai.n gumachchhii bii-bii tumhii.n karo insaafzulm hai yaa nahii.n qusuur-mu.aafkahaa la.Dkii ne merii pyaarii daalmujh ko ma.aluum hai tiraa sab haaltuu agar khet se nahii.n aatiiKHaak me.n mil ke KHaak ho jaatiiyaa ko.ii gaa.e bhai.ns char letiipeT me.n apne tujh ko bhar letiimai.n to rutba tiraa ba.Dhaatii huu.nab chapaatii se tujh ko khaatii huu.nna sataanaa na jii jalaanaa thaayuu.n tujhe aadmii banaanaa thaaaglii biitii kaa tuu na kar kuchh Gammehrbaanii thii sab, na thaa ye sitam
june kii garmii ka.Daktii dhuup luu chaltii hu.iihar gha.Dii mazduur ke sar se qazaa Taltii hu.iisar pe gaare kii ka.Dhaa.ii aur diivaar-e-bulandhaa.nptaa vo cha.Dh rahaa hai le ke himmat kii kamandpaa.D par pahu.nchaa to ik gaalii sunii me.amaar sejii me.n aayaa sar ko Takraa de usii diivaar sehaa.e us mazluum kii majbuuriyaa.n naa-chaariyaa.njaan kaa aazaar hai.n iflaas kii biimaariyaa.ndil me.n kahtaa hai ki ye me.amaar bhii mazduur haiphir yahii jaan-e-hazii.n kyuu.n is qadar maqhuur haius kii ujrat mujh se dugunii hai magar kam hai shu.uurtamkanat kis baat par kis chiiz par itnaa Guruurmai.n agar naadaar huu.n ye bhii nahii.n sarmaaya-daarbhuut vo hai kis ba.Daa.ii kaa jo us par hai savaarii.nT gaaraa mai.n na duu.n us ko to ye kis kaam kaaasl me.n me.amaar mai.n huu.n ye faqat hai naam kaamerii himmat kah rahii.n hai.n kaaKH-e-diivaan-e-bulandaah is par bhii mai.n duniyaa me.n huu.n itnaa mustamandlag gayaa phir kaam me.n ye soch kar vo bad-nasiibai KHudaa duniyaa me.n itnaa bhii na ho ko.ii Gariibdin Dhalaa jis vaqt maalik bhii makaa.n kaa aa gayaaik sukuut-e-marg saa diivaar-o-dar par chhaa gayaakaa.nptaa rahtaa hai har mazduur jis ke naam sesab usii dhun me.n the vo KHush ho hamaare kaam seus kii peshaanii pe lekin bal zaraa aane lagephan uThaa kar tamkanat ke saa.np lahraane lagesab se pahle us ne gaalii dii usii me.amaar koapnii milkiyyat jo samjhaa thaa har ik diivaar kojosh-e-naKHvat se kahaa us ne ki ai paajii la.ii.nkal jahaa.n tak thii ga.ii diivaar ab bhii hai vahii.nkyaa kiyaa hai tuu ne din-bhar me.n zaraa mujh ko bataayuu.n takabbur me.n vo aa kar jaa.eza lene lagaadil me.n vo mazduur phir kahne lagaa uf re Gazabjo bhii is duniyaa me.n hai.n fir.aun hai.n vo sab ke sabjis kaa jis par bas chale paamaal kartaa hai useKHud agar KHush-haal hai bad-haal kartaa hai usekyaa kahuu.n sarmaaya-daaro.n ke sitam kii daastaa.ndiida-e-mazduur hai mazduur se bhii KHuu.nfishaa.njis kii laaThii us kii bhai.ns is misl ko saadiq samajhye samajh kar is KHudaa-e-paak ko raaziq samajh
ek jism-e-naa-tavaa.n itnii dabaao.n kaa hujuumik charaaG-e-sub.h aur itnii havaa.o.n kaa hujuummanzile.n gum aur itne rahnumaa.o.n kaa hujuume'tiqaad-e-KHaam aur itne KHudaa.o.n kaa hujuumkashmakash me.n apne hii ma.abad se katraataa hu.aaaadmii phirtaa thaa dar dar Thokare.n khaataa hu.aahaq ko hotii thii har ik maidaa.n me.n baatil se shikastsar-niguu.n sar-dar-garebaa.n sar-basar the zerdastfan thaa ik matlab-baraarii log the matlab-parastis-qadar big.Daa hu.aa thaa zindagii kaa bandobasthaamii-e-jaur-o-sitam har tarah maalaa-maal thaajis kii laaThii thii usii kii bhai.ns thii ye haal thaakyaa KHudaa kaa KHauf kaisaa jazba-e-hubb-e-vatanbarsar-e-paikaar the aapas me.n shaiKH-o-barahmanbaaGbaa.n jo the vo KHud the mahv-e-taKHriib-e-chamanal-Garaz big.Dii hu.ii thii anjuman kii anjumanmaz.hab-e-insaaniyat kaa paasbaa.n ko.ii na thaakaarvaa.n laakho.n the miir-e-kaarvaa.n ko.ii na thaaruuh-e-insaa.n ne KHudaa ke saamne fariyaad kiijo zamii.n par ho rahaa thaa sab bayaa.n ruudaad kiiaur kahaa had ho chukii hai kufr kii ilhaad kiiek duniyaa muntazir hai aap ke irshaad kiitab ye farmaayaa KHudaa ne sab ko samjhaa.uu.ngaa mai.naadmii kaa ruup dhaaran kar ke KHud aa.uu.ngaa mai.nis tarah aaKHir hu.aa duniyaa me.n naanak kaa zuhuurfarsh-e-tilwanDii pe utraa arsh se rabb-e-GafuuruTh gayaa zulmaat kaa Deraa ba.Dhaa har samt nuurmamba.a-e-anvaar se phailii.n shu.aa.e.n duur duurmehr-e-taabaa.n ne do-aalam me.n ujaalaa kar diyaaaadmii ne aadmii kaa bol-baalaa kar diyaa
abstract art kii dekhii thii numaa.ish mai.n nekii thii az-raah-e-muravvat bhii sataa.ish mai.n neaaj tak dono.n gunaaho.n kii sazaa paataa huu.nlog kahte hai.n ki kyaa dekhaa to sharmaataa huu.nsirf kah saktaa huu.n itnaa hii vo tasviire.n thii.nyaar kii zulf ko suljhaane kii tadbiire.n thii.nek tasviir ko dekhaa jo kamaal-e-fan thiibhai.ns ke jism par ik uu.nT kii sii gardan thiiTaa.ng khii.nchii thii ki misvaak jise kahte hai.nnaak vo naak KHatarnaak jise kahte hai.nnaqsh-e-mahbuub musavvir ne sajaa rakkhaa thaamujh se puuchho to tipaa.ii pe gha.Daa rakkhaa thaabolii tasviir jo mai.n ne use ulTaa palTaamai.n vo jaama huu.n ki jis kaa nahii.n siidhaa ulTaaus ko naqqaad to ik chashma-e-haivaa.n samjhaamai.n use hazrat-e-majnuu.n kaa garebaa.n samjhaaek tasviir ko dekhaa ki ye kyaa rakkhaa haivaraq-e-saaf pe ra.ngo.n ko giraa rakkhaa haiaa.Dii-tirchhii sii lakiire.n thii.n vahaa.n jalva-figanjaise TuuTe hu.e aa.iine pe suuraj kii kiranthaa kiub-izm mai.n kaaGaz pe jo ik rashk-e-qamarmujh ko ii.nTe.n nazar aatii thii.n ise husn-e-basharbolaa naqqaad nazar aate yahii kuchh ham tum!KHuld me.n hazrat-e-aadam jo na khaate gandumabstract art ke malbe se ye daulat nikliijis ko samjhaa thaa anannaas vo aurat nikliiabstract art kii is chiiz pe dekhii hai asaas''tan kii uryaanii se behtar nahii.n duniyaa me.n libaas''is numaa.ish me.n jo atfaal chale aate theDar ke maa.o.n ke kalejo.n se lipaT jaate the
bhai.ns ke kaan se kaalaa kavvaa juu.e.n chugtaa jaataa haibolii bhai.ns ki ''ai kavve kyuu.n mere kaan tuu khaataa hai''
kyaa is nizaam ko jagiir-daar badlegaa?jomere vote se muntaKHab hotaa haiaurmere KHvaabo.n par tex lagaataa haikyaais nizaam ko sarmaaya-daar badlegaa?jomujh se baara ghanTe kii begaar letaa haimagaraaTh ghanTe kii ujrat dene par bhii tayyaar nahii.n!kyaa daanish-var is nizaam ko badal saktaa hai?magar vo toek plot yaa Gair-mulkii daure ke evazhukmaraano.n ke liye luGat me.n se sataa.ishii alfaazjam.a kartaa rahtaa hai!taajir is nizaam ko kaise badlegaa?vo to bajaT kii tamaam muraa.aat sameT karsaarii mah.ngaa.iimere khaate me.n darj kar detaa haisiyasat-daan is nizaam kaa muhaafiz kyuu.n na ho!ki us kii barkat sevo sarkaarii school aur dispensary me.n apnii bhai.ns baa.ndh saktaa haiaursaaya dene vaale Gair-sarkaarii daraKHt ke niicheclass lene vaale ziddii teacher koapnii pajero se baa.ndh kar ghasiiTe jaane kii dhamkii detaa haimai.n nesahaafii se is nizaam ko badalne kii darKHvaast kiimagar vothaana muharrir ke paas baiTh kar chaa.e piine aur KHabre.n likhne me.n magan thaaye sab jaante hu.emai.n agle paa.nch saal ke liyeapnaa chehraa apne halqe ke paTvaarii ko de duu.ngaajo useaks-e-shajra me.n lapeT kar rakh legaaaurvote kii parchii par meraa a.nguuThaa KHud hii lagaa legaa
kyaa KHudaa tujh ko bhuul jaa.uu.n mai.nkis liye tere gun gaa.uu.n mai.nmujh ko insaa.n banaa diyaa tuu nesiidhaa rasta bataa diyaa tuu nephir samajh dii ki nek kaam karuu.nkitnaa uu.nchaa uThaa diyaa tuu nekyaa ye ehsaan bhuul jaa.uu.n mai.nkis liye tere gun na gaa.uu.n mai.nchaa.nd suuraj jo jagmagaate hai.ngarmii aur raushnii bahaate hai.nzindagii kaa yahii sahaaraa hai.nkhetiyaa.n bhii yahii pakaate hai.nye na chamke.n to kuchh na khaa.uu.n mai.nkis liye tere gun na gaa.uu.n mai.nye ghaTaa.e.n ye ThanDii ThanDii havaaye samundar pahaa.D ye dariyaaye ghane aur ye lahlahaate khettuu ne mere liye kiye paidaaden ko terii kyaa ginaa.uu.n mai.nkis liye tere gun na gaa.uu.n mai.ngaay yaa bhai.ns bail yaa bakriiuu.nT gho.De pahaa.D se haathiiduudh ghii de.n mujhe savaarii de.njote.n bo.e.n yahii merii khetiikyaa diyaa tuu ne kyaa bataa.uu.n mai.nkis liye teraa gun na gaa.uu.n mai.ntuu ne maataa pitaa kaa pyaar diyaaphir mujhe ilm se sa.nvaar diyaaba.Dh ke in sab se tandurustii diijo diyaa tuu ne be-shumaar diyaachaahiye sar tujhe jhukaa.uu.n mai.nkis liye tere gun na gaa.uu.n mai.n
ik jangal me.n hu.e ikaTThesaare jaanvaro.n ke bachchebhe.D ne apnaa lallaa bhejaagaay ne bhii bachh.Daa bhejaakutte kaa pillaa bhii aayaaulluu kaa paTThaa bhii aayaabakrii ne bhii memne bhejeaur billii ne bilauTe bhejemurGii ke chuuze bhii aa.ebataKH ke bachche bhii aa.egho.De kaa chaalaak bachheraabhai.ns ke ka.De ke saath aayaabaaz kabuutar kavvaa chi.Diyaahaathii uu.nT uqaab aur shikraabandar sher hiran aur kachhvaatiitar mor baTer aur bagulaatotaa mainaa faaKHta sab neapne apne bachche bhejekahii.n thii.n chii.n chii.n kahii.n chyaa.uu.nkahii.n thii me.n me.n kahii.n myaa.unsab ne mil kar shor machaayaaik KHiKHyaayaa ik mimyaayaako.ii chiiKHaa ko.ii bhau.nkaaulluu bhii sote me.n chau.nkaaKHuub ye jalsa chamkaa ya.aniibaat na samjhaa ko.ii kisii kii
bhai.ns aa.ii le kar aslii ghiime.nDhe kii sii.ngo.n me.n gobhiitiin kabuutar laa.e chiTThiichhattaa laa.ii shahd kii makkhii
duur kahii.n dariyaa ke kinaarerahte the do dost pyaareek thaa kavvaa ek kabuutarkhaate piite the vo mil karik din un kii shaamat aa.iidono.n me.n hu.ii KHuub la.Daa.iipahle apne mu.nh ko kholaaphir Gusse se kabuutar bolaakavve hote hai.n kanjuuskaale bhadde aur manhuuskaa.n-kaa.n shor machaate hai.nsaaraa din sar khaate hai.nshor se mai.n to Dartaa huu.naur bas guu.n-guu.n kartaa huu.nmujh ko apne husn pe naazuu.nchii hai merii parvaazkaale ho kaluuTe hotum to bhai.ns ke kaTTe hobaat ye sun kar kavvaa bolaatuu ne merii zaat ko tolaale ab merii baarii haijaantii duniyaa saarii haituu buzdil hai aur Darpokbaat kahuu.ngaa mai.n do-Tuukjab ko.ii billii aatii haijaa.n terii tab jaatii haikaa.nptaa hai tharraataa haiDar kar hii mar jaataa hailogo.n kaa ye kahnaa haikavvaa bahut syaanaa haiitne me.n ik loma.D aayape.D ke niiche aa kar bolaala.Dte ho kuchh sharm karolahje apne narm karoallaah allaah kiyaa karous kaa naam hii liyaa karomai.n tum ko samjhaataa huu.nphir se dost banaataa huu.njaldii se tum niiche aa.oaa kar mujh se haath milaa.odono.n pe.D se niiche aa.ela.Dne se par baaz na aa.emaut thii un ke sar par aa.iiloma.D ne ik jast lagaa.iigardan se dono.n ko pak.Daaaur apne panjo.n me.n jak.Daadaavat us ne KHuub u.Daa.iiapne peT kii aag bujhaa.iibaarii baarii un ko khaayaadono.n ko ik sabaq sikhaayaala.Dnaa bachcho kaam buraa haila.Dne kaa anjaam buraa hai
ik chuhiyaa aur ik chi.Diyaa me.n bahut hii gahrii chhantii thiisaath saath mil kar thii rahtii.n KHuub hii un me.n bantii thiigaagar le kar ga.ii.n vo ik din nadii se paanii laanechi.Diyaa ne bharaa cho.nch se paanii lagii chuhiyaa Dubkii khaanedum ko paka.D kar cho.nch se chi.Diyaa paanii ke baahar laa.ii usedost kii jaan bachaa ke KHushii se maajraa sab batlaa.ii useaah sakhii tuu Duub chalii thii maujuud na gar mai.n hotii yahaa.nshukr hu.aa tirii dum lagii hatthe jis ko paka.D kar laa.ii yahaa.nehsaan se ho kar laa-parvaah chuhiyaa ne us ko diyaa bayaa.nun pe Gota thaa mai.n ne to lagaayaa Duub chalii thii bhalaa kahaa.nik roz jab kar ke sulh nahaane ko dono.n jaatii thii.nusii raah se bhai.ns bhii paanii piine ko jaatii thii.nchi.Diyaa u.Dtii jaatii thii aur chuhiyaa niiche chaltii thiiaisii jagah par pahuu.nchii chuhiyaa gobar bhai.ns jahaa.n kartii thiilat-pat gobar me.n dab ga.ii chuhiyaa niiche shor machaatii thiicho.nch se gauhar haTaa ke chi.Diyaa us ko baahar laatii thiigobar se chuhiyaa niklii tab chi.Diyaa ne gahrii saa.ns bhariihaa.e sakhii is baar to samjhaa mai.n ne bahan tuu marii mariiagar na hotii mai.n to tumhaarii jaan thii bachnaa naa-mumkintere liye thaa Dher se gobar ke to nikalnaa naa-mumkinehsaan se ho kar laa-parvaah chuhiyaa ne us ko diyaa bayaanu.nh ubTan thaa mai.n ne to lagaayaa marne lagii thii bhalaa kahaa.npaanii nahaa kar niklii chi.Diyaa pe.D pe jism sukhaane lagiicha.Dhne ko uupar daraKHt ke chuhiyaa bhii chhalaa.nge.n bharne lagii.nkiikar kaa thaa daraKHt jo ki kaa.nTo.n se thaa bharaa hu.aaik thaa kaa.nTaa siidh me.n naak kii chuhiyaa ke vaa.n kha.Daa hu.aauchhlii chuhiyaa baar baar kaa.nTe par jaakar aTak ga.iikiikar ke kaa.nTe ke sahaare jhaa.D se chuhiyaa laTak ga.iidekhaa chi.Diyaa ne ki chuhiyaa uljhii phir na.e dushman secho.nch se koshish karke chhu.Daayaa KHaar ko us ke daaman seKHush ho ke rihaa.ii par us kii chi.Diyaa ne kahaa ai pyaarii sakhiiis baar to laale the jaan ke ye aa.ii musiibat thii kaisiiagar na hotii saath tere phir kaun bachaataa thaa tujh kolaTak laTak kar Tahnii par hii mar jaanaa hotaa tujh koehsaan se ho kar laa-parvaa chuhiyaa ne us ko diyaa bayaanu.nh naak chhidaane ga.ii thii un me.n marne lagii thii bhalaa kahaa.nnaa-shukrii chuhiyaa kii dekho be-Garzii chi.Diyaa kii dekhoehsaan ke badle ho mamnuun naa-shukro.n par ehsaan karo
chaak-e-taKHliiq par ek jaisii hii aadam kii shakle.n bane.nruuh kii aabiyaarii bhii yaksaa.n hu.iibe-karaa.n zindagii kii du.aa.e.n liye kitne shams-o-qamar roz ugne lagesabz chaaragarii ke sahiife dimaaGo.n kii banjar taho.n me.n farozaa.n hu.emausamo.n ke jaziire zamii.n ke badan se nikaale ga.eraushnii ke zaKHiire chhupaa.e ga.e aasmaa.n me.n kahii.nphir ta.affun-zada chand zehno.n me.n taKHriib kii ga.Dga.DaahaT hu.iibe-zamiiro.n ne rabb-e-musaavaat ke aa.ine reza-reza kiyesharq aur Garb me.n bhai.ns us kii hu.iijo ma.iishat kii laaThii chalaane me.n ayyaar haiphir bhii kuchh sar-phireqiir-guu.n ja.ngalo.n barf-zaaro.n kii jaanibmashaqqat bharii rasm-e-duniyaa nibhaane chale aa.e hai.n
baat hai kaafii puraanii ek chhoTe gaa.nv me.nek saahab loTte rahte the ThanDii chhaa.nv me.nkuchh mashaqqat aur mehnat se na un kaa kaam thaabechte the duudh un kaa shaiKH-chillii naam thaashaiKH-chillii be-vaquufii ke liye mash.huur thebhaa.ng ke nashshe me.n rahte the sadaa hii chuur seek din vo baalTii ik duudh kii sar par rakhejaa rahe the shahr ke raste pe kuchh kuchh sochteder hone kaa KHayaal aayaa to jaldii se ba.Dheaur phir kuchh soch kar khaTke ruke phir chal pa.Dedil me.n ye sochaa ki jo kuchh duudh ke paise mile.nin ko chaT karne ke badle kyo.n na anDe mol le.nbiis anDe to bilaa-shakk-o-shub.h mil jaa.e.ngeaur kuchh din baa'd bachche bhii nikal hii aa.e.ngeKHuub daana un ko duu.ngaa aur karuu.ngaa dekh-bhaalbante bante murGiyaa.n murGe lagegaa ek saalKHuub anDe ho.nge kuchh bechuu.ngaa kuchh khaa jaa.uu.ngaaek do moTe se murGe bhii safaa kar jaa.uu.ngaaaur phir un murGiyo.n ko uu.nche daamo.n bech karek gaa.e mol luu.ngaa moTii-taazii dekh kargaa.e se phir bhai.ns hogii bhai.ns se hogii dukaandhiire dhiire ek achchhaa saa banaa luu.ngaa makaankuchh dino.n me.n mai.n ba.Daa ik aadmii ban jaa.uu.ngaashaiKH-chillii kii bajaa.e shaiKH-jii kahlaa.uu.ngaasab mirii 'izzat kare.nge KHuub hogaa meraa naamye KHayaal aate hii gardan zor se un kii hiliibaalTii kaa duudh saaraa raaste me.n bah gayaashaiKH-chillii kaa havaa.ii mahl saaraa Dhah gayaa
Tuk hirs-o-havaa ko chho.D miyaa.n mat des bides phire maaraaqazzaaq ajal kaa luuTe hai din raat bajaa kar naqqaaraakyaa badhiyaa bhai.nsaa bail shutur kyaa gaune.n pallaa sar-bhaaraakyaa gehuu.n chaa.nval moTh maTar kyaa aag dhu.aa.n aur a.ngaaraasab ThaaTh pa.Daa rah jaavegaa jab laad chalegaa banjaaraa
o des se aane vaale bataakyaa gaa.nv pe ab bhii saavan me.nbarkhaa kii bahaare.n chhaatii hai.nma.asuum gharo.n se bhor-bhai.echakkii kii sadaa.e.n aatii hai.naur yaad me.n apne maike kiibichh.Dii hu.ii sakhiyaa.n gaatii hai.no des se aane vaale bataa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books