aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "chahal"
ham samundar se milne zaraa der se pahu.ncheraat samundar se ziyaadaa gahrii ho rahii thiiham na.nge paa.nv saahil ke saathbahut duur tak chaledino.n ke baa'd sarshaarii ne apnaa chehraa dikhaayaa thaaaur hamaarii bhuulii hu.ii dhun gungunaa.ii thiisamundar hamaarii KHaamoshii me.n Duubne hii vaalaa thaajab hamaaraa giit patvaar hu.aaajnabii qadmo.n ke nishaan chunte hu.eKHayaal aayaachahal-qadmii karte hu.e vo do saa.e kyaa hu.eye lahre.n jin ke paa.nv churaa laa.ii hai.ntabhii ham ne apne juuto.n me.n jhaa.nk kar dekhaasaahil abhii puurii tarah nahii.n phislaa thaaham ne sochaasamundar ko ab so jaanaa chaahiyeraat kii KHunkii hamaarii rago.n me.n utar chukii thiijab ham vaapsii ke liye mu.Desamundar ba.Dii garm-joshii ke saath hame.n ruKHsat karne aayaa
musaahib-e-shaah se kaho kifaqiih-e-aazam bhii aaj tasdiiq kar ga.e hai.nki fasl phir se gunaahgaaro.n kii pak ga.ii haihuzuur kii jumbish-e-nazar ketamaam jallaad muntazir hai.nki kaun sii had janaab jaarii kare.nto taamiil-e-bandagii hokahaa.n pe sar aur kahaa.n pe dastaar utaarnaa ahsan-ul-amal haikahaa.n pe haatho.n kahaa.n zabaano.n ko qat.a kiijiyekahaa.n pe darvaaza rizq kaa band karnaa hogaakahaa.n pe aasaa.isho.n kii bhuuko.n ko maar diijekahaa.n baTegii lu.aan kii chhuuTaur kahaa.n parrajm ke ahkaam jaarii ho.ngekahaa.n pe nau saala bachchiyaa.n chahal saala mardo.n ke saathsa.ngiin me.n pirone kaa hukm hogaakahaa.n pe iqbaalii mulzimo.n kokisii tarah shak kaa faa.eda ho
aiyyaargii se pahle apne ta.ii.n chhupaa karchaahaa ki mai.n bhii nikluu.n un me.n se chhuT-chhuTaa kardau.De ka.ii ye kah kar jaataa hai dam churaa karitne me.n gher mujh ko aur shor-o-Gul machaa karus dam kamar kamar tak ra.ng-o-gulaal aayaa
ye bhii raat guzar rahii hekamre kii bikhrii chiize.n sameTte hu.etumhaare jaane ke baadtumhaarii chahal-qadmiyaa.n ghuumtii rahtii hai.n dil ke aa.ngan me.nguu.njtii rahtii hai.n tumhaarii sargoshiyaa.n mere kaano.n me.nbistar kii silvaTe.n mu.nh chi.Dhaane lagtii hai.nis baar cigarette ke jale hu.e Tuk.Do.n par mahsuus kartii huu.ntumhaare ho.nTo.n kaa lamsidhar-udhar bikhre hu.e tumhaarii baato.n ke Dherchaa.e kii jhuuTii pyaaliyaa.nek ek ko uThaatii huu.n aur rakhtii jaatii huu.nyaado.n kii almaarii me.njis me.n pahle hii se maujuud hai.ntumhaarii muskuraahaTo.n kii gaThriyaa.nbalcony se jhaa.nktaa hu.aa chaa.ndmahaktii hu.ii raat kii raaniikitnaa kuchh sameTnaa baaqii he abhiimere maathe par tumhaare ho.nTo.n kaa lamstumhaare naam kaa vird kartii hu.ii dha.Daknethak kar chuur ho ga.ii huu.n KHud ko sameTte hu.eaur aasmaan par chamaktaa hu.aa aaKHirii sitaara bhiiis baar Duub jaanaa chaahtaa hai mere saathtumhaarii yaado ke be-karaa.n samundar me.n
sa.Dak jo aatii hai chhaavnii se chahal-pahal us pe KHuub hii hainikal ke gunjaan bastiyo.n se baraa-e-tafriih sab hai.n aa.e
vasii.a shahr me.n ik chiiKH kyaa sunaa.ii debaso.n ke shor me.n railo.n kii ga.Dga.DaahaT me.nchahal-pahal me.n bhi.Do.n jaisii bhanbhanaahat me.nkisii ko pak.Do sar-e-raah maar do chaahekisii afiifa kii ismat utaar do chaahe!vasii.a shahr me.n ik chiiKH kyaa sunaa.ii de!
mere paasko.ii baaG nahii.n hai dostkuchh adhuure KHvaab ek balconyaur do tiin gamle hai.njo mujhe duniyaa me.n daraKHto.n kebaaqii rahne kii vajuuhaat bataate hai.naur ja.ngalo.n ko jalaa diye jaane kii KHabre.n pahu.nchaate hai.nmerii bahan mere kamzor pairo.n me.nzaituun ke tel se jaan Daalne kii koshish kartii haimaa.n hotii to vo bhii yahii kartiikaash saarii duniyaa me.nzaituun ke tel ke ku.e.n ho.naur kamzor pairo.n me.n jaan pa.D jaa.eaur ham apne pyaaro.n ke saathmohabbat ke baaG me.n roz chahal-qadmii kar sake.nek daraKHt tumhaare naam kaa bhii hogaamere dosttaaki ham hamesha mohabbat aur shifaa-yaabii ke mo.ajaze me.nek duusre ke shariik rahe.n
ek umr-e-daraaz chehraPacemaker se dha.Daktaa hu.aa dilaa.nkh kii dhu.ndlaatii raushniizindagii kii chamakpuure kumbe kaa juGraafiyaapne ird-gird sameTezindagii kii shaam koyaado.n me.n lapeTeumr kii lakiiro.n me.ntajribe kii chamakkisii farishte kii tarahek buzurg kaa saayaghar me.n Tahaltaa haiapne dhiime qadmo.n sechahal-qadmii karte hu.esab kii KHabar rakhtaabas du.aa hai yahiiis du.aa ke haathsab ke sar par rahekaash har buzurg kaa maanhar ghar me.n rahe
mujh saa tanhaa nahii.n duniyaa me.n KHudaayaa ko.iimai.n na apnaa huu.n kisii kaa bhii na meraa ko.iikyaa milaa mujh ko chahal saala rifaaqat karkeab kisii par na kare aah bharosaa ko.iitaabish-e-hijr ne dil kii ye banaa dii suuratjaise ho dhuup me.n taptaa hu.aa sahraa ko.iiaatish-e-shauq kii uThtii hai.n kuchh aisii lahre.njis tarah aag kaa bha.Dkaa hu.aa dariyaa ko.iiek vo din thaa ki roto.n ko ha.nsaa detaa thaaab to rotaa huu.n jo dekhaa kahii.n ha.nstaa ko.iimai.n huu.n naira.ngii-e-aalam kii mujassam tasviirmujh se behtar nahii.n ibrat kaa tamaashaa ko.iimai.n vo qatra huu.n samundar se jo mahruum rahaamujh ko kyaa mauj me.n aayaa kare dariyaa ko.iibe-ruKHii aah ye kaisii hai ki is aalam me.nmile laakho.n na hu.aa ek bhii apnaa ko.ii
vo premchand-munshii-e-be-misl-o-be-badalthii jis ke dam se bazm-e-adab me.n chahal-pahalafsaane jis ke sham-e-hidaayat the bar-mahalnaa-vaqt aah ho gayaa vo luqma-e-ajalis soz-e-jaa.n-gusil se har ik dil kabaab haifart-e-tapish hai aatish-e-Gam be-hisaab haiilmii shaGaf se us ke nahii.n kaun baa-KHabarhar qalb par fasaane hu.e naqsh kal.hajarhai bahr-e-ilm terii ravaanii se sar-basardaamaan-o-jeb-e-urdu-o-hindii hai.n pur-guhartarz-e-bayaa.n har ek kaa tuu ne dikhaa diyaadhabba har ik kaa apne qalam se miTaa diyaabazm-e-adab ko KHvaab me.n bhii ye na thaa KHayaalunniis sau chhattiis kaa nahs hogaa us ko saalavval vafaat-e-barq kaa us ko hu.aa malaalphir chal diyaa jahaan se ye munshii-baa-kamaalnaqsh-e-qaraar sail-e-fanaa se miTaa hai aajaivaan-e-nazm-o-nasr me.n maatam bapaa hai aajtujh ko premchand ye shaayad nahii.n KHabarkitnaa vafaat kaa tirii duniyaa pe hai asar'suufii' jahaa.n me.n Dhuu.nDhtii hai us ko har nazarai maahtaab-e-ishq bataa tuu chhupaa kidharkyaa shauq saama.ii.n kaa faraamosh ho gayaaafsaana kahte kahte jo KHud haa.e so gayaa
machaa kohraam kyuu.n haighar badalne parabhii bhii halke kaaleshiishe vaaliiaa.nkh par ainak lagaa karhalqa-e-yaaraa.n me.n vo akasrchahal-qadmii ko aataa haisunaataa hai Gazal apniikabhii taaro.n kii jhurmuT me.nkabhii raste me.n shabnam kekabhii KHushbuu lapeTe jism pardil-kash fazaa.o.n me.nkabhii be-had chamaktii dhuup kepiipal kii chhaa.nv me.nzaraa saachashm-e-baatin komunavvar kar ke to dekholiye dariyaa ko haatho.n me.nbahut shaadaa.nbahut farhaa.nnazar aataa hai masnad parGazal kii vo
mujh saa tanhaa nahii.n duniyaa me.n KHudaayaa ko.iimai.n na apnaa huu.n kisii kaa bhii na meraa ko.iikyaa milaa mujh ko chahal-saala rifaaqat kar keab kisii par na kare aah bharosaa ko.iitaabish-e-hijr ne dil kii ye banaa dii suuratjaise ho dhuup me.n taptaa hu.aa sahraa ko.iiaatish-e-shauq kii uThii hai.n kuchh aisii lahre.njis tarah aag kaa bahtaa hu.aa dariyaa ko.iiek vo din thaa ki roto.n ko ha.nsaa detaa thaaab to rotaa huu.n jo dekhaa ko.ii ha.nstaa ko.iimai.n huu.n naira.ngii-e-aalam kii mujassam tasviirmujh se behtar nahii.n ibrat kaa tamaashaa ko.iimai.n vo qatra huu.n samundar se jo mahruum rahaamujh ko kyaa mauj me.n aayaa kare dariyaa ko.iibe-ruKHii aah ye kaisii hai ki is aalam me.nmile laakho.n na hu.aa ek bhii apnaa ko.ii
ek chahal-qadmii ke liye galii baniisamundar ke paas ye phuulo.n kii kalii baniime.n bhii bhuule se yahaa.n aa jaataa huu.nmerii umr chalne-phirne ghuumne kii nahii.n haiaurte.n bachche aur do ik buu.Dhe bhii aate hai.nmai.n yuu.nhii kachhve kii chaal kii tarahaahista aahista aayaa thaaik jhaa.Dii ke piichhe do saa.e ham-aaGosh theek ne baa-aavaaz-e-buland kahaa:kyaa tum ne is buu.Dhe ko dekhaa?ha.nsne kii aavaaz aa.iiye buu.Dhaa dhartii kaa bojh haimai.n ne sunaa magar chup-chaap chaltaa gayaaus ne shaayad sahii kahaa ye umr chalne-phirne kii nahii.n haimagar mai.n kyaa karuu.n doctor ne mujhe sau qadam chalne ko kahaa hai
sairaabii ke is rele ne luk-chhup kaisii raas rachaa.iihaatho.n baiTh vo barkhaa chehra phuul surekhaa khil uThaa haighup ra.ngo.n ke ghaaT utartii riichh kii ye adhlii sarsaa.iidil kii ujlii be sarv saamaanii is me.n kyaa kyaa ThaaT chhapaa haijiite jii is chahal pahal kii tah tak kab hotii hai rasaa.ii
Dal jhiil me.n ho pahle sii phir se chahal-pahalphir chashm-e-shaahii kii chalo barakat kare.n talaash
sard havaa darvaaze par dastak detii haiaur chaap kahii.n duurdil ke andar ubharne lagtii haidhund me.n Duube shahr kiiviiraan sa.Dko.n paryaado.n ke hayuulemire saath chahal-qadmii karte hai.nTuut jaane vaaleraabto.n aur suukhe gilaaso.nme.n ko.ii dukh to mushtarak rahaa hogaajo palko.n aur ho.nTo.n ke biich jhuultaa rahtaa hai
suuraj Duubaa hu.aa a.ndheraachi.Diyaa.n lene lagii.n baseraadin kaa Gaa.eb hu.aa ujaalaataariikii ne parda Daalaajalne lage diye ghar ghar me.ngirjaa masjid aur mandar me.npuujaa me.n hai dhyaan me.n ko.iikhaane ke saamaan me.n ko.iicharKH-e-barii.n par chamke taarebe-roGan hai.n raushan saarehalkaa halkaa nuur hai in kaabastii se ghar duur hai in kaabachche nii.nd me.n Gaafil ho ga.elorii sunte sunte so ga.ejangal se ghar gvaale aa.ereva.D apnaa sa.nbhaale aa.ejaa pahu.nche mazduur gharo.n me.nKHush KHush hai.n biivii bachcho.n me.ndin bhar kab aaraam liyaa haiKHuun pasiina ek kiyaa haishaam ne dii hai kaam se fursatdam lene kii milii hai mohlatab so.e.nge lambii taanemehnat lagegii KHuub Thikaanemanzil par rahrav jaa pahu.nchehaare thake nii.nd ke maatekisht-o-chaman sunsaan pa.De hai.nKHaalii ab maidaan pa.De hai.npahlaa saa Gul shor kahaa.n haidau.D dhuup kaa zor kahaa.n haimaa.il-e-raahat hu.aa zamaanaKHatm hu.aa din kaa afsaanachahal-pahal do-chaar gha.Dii haisab ke sirhaane nii.nd kha.Dii hai
dhartii naache taklii ban karsuuraj apnii jagah pe baiThaavaayuu-manDal ke resham segaalo.n jaise narm mulaa.imbaalo.n se baariikrang-birange dhaage kaatephir dhaago.n ko piro piro karsuuraj buntaa jaa.e chaadarrang-birangii chaadar
mujh se pahlii sii mohabbat mirii mahbuub na maa.ngmai.n ne samjhaa thaa ki tuu hai to daraKHshaa.n hai hayaatteraa Gam hai to Gam-e-dahr kaa jhag.Daa kyaa haiterii suurat se hai aalam me.n bahaaro.n ko sabaatterii aa.nkho.n ke sivaa duniyaa me.n rakkhaa kyaa haituu jo mil jaa.e to taqdiir niguu.n ho jaa.eyuu.n na thaa mai.n ne faqat chaahaa thaa yuu.n ho jaa.eaur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaaraahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
mujh se pahle tujhe jis shaKHs ne chaahaa us neshaayad ab bhii tiraa Gam dil se lagaa rakkhaa hoek be-naam sii ummiid pe ab bhii shaayadapne KHvaabo.n ke jaziiro.n ko sajaa rakkhaa ho
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books