aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "gajar"
o des se aane vaalaa bataakyaa ab bhii vahaa.n ke panghaT parpanhaariyaa.n paanii bhartii hai.na.ng.Daa.ii kaa naqsha ban ban karsab maathe pe gaagar dhartii hai.naur apne gharo.n ko jaate hu.eha.nstii hu.ii चुहलें kartii hai.no des se aane vaale bataa
Thahar ga.ii aasmaa.n kii nadiyaavo jaa lagii hai ufaq kinaareudaas ra.ngo.n kii chaa.nd nayyaautar ga.e saahil-e-zamii.n parsabhii khavayyaatamaam taareukha.D ga.ii saa.ns pattiyo.n kiichalii ga.ii.n uu.ngh me.n havaa.e.ngajar bajaa hukm-e-KHaamushii kaato chup me.n gum ho ga.ii.n sadaa.e.nsahar kii gorii kii chhaatiyo.n seDhalak ga.ii tiirgii kii chaadaraur is bajaa.ebikhar ga.e us ke tan-badan parniraas tanhaa.iyo.n ke saa.eaur us ko kuchh bhii KHabar nahii.n haikisii ko kuchh bhii KHabar nahii.n haikisii ko kuchh bhii KHabar nahii.n haiki din Dhale shahr se nikal karkidhar ko jaane kaa ruKH kiyaa thaana ko.ii jaada, na ko.ii manzilkisii musaafir koab dimaaG-e-safar nahii.n haiye vaqt zanjiir-e-roz-o-shab kiikahii.n se ToTii hu.ii ka.Dii haiye maatam-e-vaqt kii gha.Dii hai
vo jis ke raste pe baal kholenagar kii sab la.Dkiyaa.n kha.Dii hai.nvo mar chukaa haivo mar chukaa haiki jis kii KHaatir nagar kii nau umr la.Dkiyo.n nebadan kii KHush-ra.ng ziinato.n kochhupaa ke rakkhaajinho.n ne betaab hiddato.n kobadan kii phaT pa.Dtii shiddato.n kosambhaale rakkhaajinho.n ne aa.nkho.n ke nam ko sharm-o-hayaa ke aa.nchal kii oT Dhaa.npaavo mar chukaa haivo jis ke raste pe baal kholenagar kii sab la.Dkiyaa.n kha.Dii hai.nnagar kii sab la.Dkiyaa.n pukaare.nbadal ke vo bhes baadalo.n kaahamaare taaza ku.nvaare jismo.n kii so.ndhii miTTii se aa ke lipTehamaaraa KHuun buu.nd buu.ndguu.ndheham is ke saa.e se haamila huu.nnagar kii sab la.Dkiyaa.n pukaare.nkabhii vo guu.nje gajar kii suurathamaare sunsaan gumbado.n me.nkabhii vo bha.Dke alaav ban karhamaare taa yak taaqcho.n me.nkabhii vo jismo.n kii ba.nsiyo.n me.nshigaaf Daalelaziiz dardiilaa giit ban karlabo.n se niklekabhii vo chamke sitaara ban karhamaarii kokho.n me.n phuul mahke.nhamaarii kokho.n me.n phal janam lenagar kii sab la.Dkiyaa.n pukaare.nnagar kii sab la.Dkiyaa.n pukaare.nhamaarii KHvaahish vo duudh ban karhamaarii zarKHez chhaatiyo.n kii namii me.n utrehamaarii KHvaahish hamaare bachcheusii ke haatho.n me.n aa.nkh kholii.nham us ke saa.e se haamila ho.nnagar kii sab la.Dkiyaa.n pukaare.nkabhii vo pichhle pahar dariicho.n pe khulte mahtaab se ye kahtii.nkahaa.n hai vo shahsavaar jis koba-vaqt ruKHsat gale me.n ham nesafed phuulo.n ke haar Daalevo phuul kab surKH phuul ban karhamaarii viiraan KHvaab-gaaho.n kii sej ho.ngesinduur kab kab mai.n mai.n gaaye phuul kab surKH phuul ho.ngekabhii vo tanhaa baraamde ke sutuun se lipTiilachaktii belo.n ke zard patto.n se puuchhtii.n yebahaar kii rut kahaa.n kha.Dii haiye phuul ab kis se khile.ngebahaar kii rut abhii kahaa.n haihar ik musaafir ko roktii.n vobataa.o vo shahsavaar ab kabnagar ko lauTegaa puuchhtii.n voku.nvaare lamho.n kaa bhed ku.nvaaraku.nvaare giito.n kii lai ku.nvaariiku.nvaare jismo.n kii kachchii kaliyo.n kaa nam ku.nvaaranagar kii tamaam nau-umr la.Dkiyo.n nekalii kalii ko sambhaale rakkhaaki vo agar aa.e os ban karto qatra qatra kalii me.n utrekalii ko kholemagar vo lafzo.n ke daa.ero.n ke safar se guzraapuraanii sunsaan sii.Dhiyo.n ke bha.nvar se niklaajo ghar se baahar hazaar anjaane raasto.n par bikhar gayaa thaaki bujhte suuraj kaa khoj paa.ehar ek saa.e kaa bhed kholejo apnii aa.nkho.n me.n KHvaahisho.n kaa alaav le kara.ndhere jangal me.n chal rahaa thaajo puuchhtaa thaagyaan kiyaa haijo puuchhtaa thaa najaat kis me.n haiasl kyaa haivo mar chukaa haivo jis ke raste pe baal kholenagar kii sab la.Dkiyaa.n kha.Dii hai.n
jaise ki 'naziir' un raato.n par qudrat bhii karam farmaatii thiibedaar KHudaa kar detaa thaa aa.nkho.n me.n agar nii.nd aatii thiimandir me.n gajar baj jaataa thaa masjid me.n azaa.n ho jaatii thiijab chaa.ndnii raato.n me.n ham tum ga.ngaa ke kinaare hote the
gaajar bolii b muulii sedekho mere Dha.ng niraalelaal gulaabii rang hai meraamiiThaa ik ik a.ng hai meraamujh se halva log banaa.e.nis me.n meva-jaat milaa.e.nKHuub maze le le kar khaa.e.nmujh se kitnaa pyaar jataa.e.ntuu to apnii aap sazaa haira.ng buraa be-kaar mazaa haitiikhii itnii mu.nh jal jaa.etujh ko kitne log na khaa.emuulii bolii taish me.n aa karjaltii hai tuu mujh se gaajarchaa.ndii jaisaa rang hai meraaujlaa ik ik a.ng hai meraamai.n huu.n har pakvaan kii saathiiya.anii dastar-KHvaan kii saathiikhaa.e.n mujh ko log gharo.n gharkyaa shabraatii kyaa murlii-dhartuu to hai har fitne kii ja.Dduur karuu.n mai.n peT kii ga.Dba.Dmai.n uu.nchii huu.n tuu hai niichiiya.anii mere pair kii juutiisun kar tuu tuu mai.n mai.n un kiisamjhaane ko laukii aa.iibolii laukii jhag.Daa kaisaainsaano.n kaa ye hai shevaapnaa to sansaar alag haiya.anii kaarobaar alag haiik duuje se jal jal marnaainsaano.n kii baate.n sab hai.nhinduu muslim sikh iisaa.iinaa-daano.n kii zaate.n sab hai.nlekin muulii gaajar laukiiaapas me.n hai.n apne saaresab achchhe hai.n sab kaar-aamadik bagiyaa ke sapne saarechho.Do jhag.Daa aur la.Daa.iiaapas kii ye maar kaTaa.iiab aapas me.n ja.ng na karnaaik duuje ko ta.ng na karnaa
vidaa-e-roz-e-raushan hai gajar shaam-e-Gariibaa.n kaacharaa-gaaho.n se palTe qaafile vo be-zabaano.n keqadam ghar kii taraf kis shauq se uThtaa hai dahqaa.n kaaye viiraana hai mai.n huu.n aur taa.ir aashiyaano.n ke
puraane boot hai.n tasme khule hai.nabhii miTTii ke chehre un-dhule hai.nsharaabe.n aur mashkiiza sahar kaaabhii hai jism paakiiza gajar kaasute chehre pe istehzaa kaa mausamlahuu nabzo.n se KHaalii kar gayaa haigale me.n mulk ke ta.aviiz Daalobidesii barchhiyo.n se Dar gayaa haiGazal daalaan me.n rakkhii hai mai.n nemahak hai sa.ngtare kii qaash jaisiiye kaisii mai hai jo chakkhii hai mai.n nemujhe ushshaaq ye kahte hai.n 'aamir'bahut tanhaa sisakte dahr me.n ho!ba.De shaa.er ho chhoTe shahr me.n hofareb-e-asr se mad.hosh kamraanigo.Dii titliyo.n se bhar gayaa haisamundar pi.nDliyo.n tak aate aatekisii patthar kii sil par mar gayaa haisalonii sardiyo.n se jhaa.nkte hai.nvo abruu kashtiyo.n ko haa.nkte hai.nsileTii baadalo.n kaa ye sahiifamirii muTThii me.n pa.Dhtaa hai vaziifamai.n rotaa huu.n to ro pa.Dte hai.n taa.irmire hujre me.n kam aate hai.n zaa.erye pore.n nuur-baafii kar rahii hai.nmohabbat ko Gilaafii kar rahii hai.ntafaaKHur me.n hai do ho.nTo.n kaa KHam bhiiabhii rakkhaa nahii.n mai.n ne qalam bhii
lo gajar baj gayaasub.h hone ko haidin nikalte hii ab mai.n chalaa jaa.uu.ngaaajnabii shaah-raaho.n pe phirkaasa-e-chashm le le ke ek ek chehra takuu.ngaadaftaro.n kaar-KHaano.n me.n taaliim-gaaho.n me.n jaa karapnii qiimat lagaane kii koshish karuu.ngaamerii aaraam-e-jaa.nmujh ko ik baar phir dekh loaaj kii shaam lauTuu.ngaa jabbech kar apne shaffaaf dil kaa lahuuapnii jholii me.n chaa.ndii ke Tuk.De liyetum bhii mujh ko na pahchaan paa.ii.n to phirmai.n kahaa.n jaa.uu.ngaakis se jaa kar kahuu.ngaa ki mai.n kaun thaakis se jaa kar kahuu.ngaa ki mai.n kaun huu.n
ye duniyaa kitnii pyaarii haihar ik baat is kii nyaarii haiye duniyaa kitnii pyaarii haimakaa.n aabaad hai.n kaisemakii.n dil-shaad hai.n kaiseye duniyaa kitnii pyaarii haikabhii din hai nazaare hai.nkabhii hai raat taare hai.nye duniyaa kitnii pyaarii haichaman me.n paude hilte hai.ngale aapas me.n milte hai.nye duniyaa kitnii pyaarii haigajar dam gaatii hai.n chi.Diyaa.ndilo.n ko bhaatii hai.n chi.Diyaa.nye duniyaa kitnii pyaarii haikhile hai.n phuul gulshan me.nugii hai.n jhaa.Diyaa.n ban me.nye duniyaa kitnii pyaarii haihavaa ke jho.nke aate hai.nshaguufe muskuraate hai.nye duniyaa kitnii pyaarii haiparinde chahchahaate hai.nhamaaraa jii lubhaate hai.nye duniyaa kitnii pyaarii haighaTaa.e.n ghir ke aatii hai.nbahaare.n me.nh kii laatii hai.nye duniyaa kitnii pyaarii haisamundar hai.n ravaa.n dekhojahaaz aur kashtiyaa.n dekhoye duniyaa kitnii pyaarii haiye koso.n tak hare ja.ngaldaraKHto.n se bhare ja.ngalye duniyaa kitnii pyaarii haiye duniyaa kitnii pyaarii hai
agar tere me.ade me.n hai kuchh giraaniito lemuu kaa ras pii le adrak kaa paaniiagar daa.nt ke dard se tuu hai bekalto sarso.n kaa tel aur sendhaa namak malthakan se agar tere a.azaa hai.n Dhiileto tho.Daa saa tuu gungunaa duudh pii legale me.n KHaraabii hai nazle ke maareto namkiin paanii ke kar le Garaareagar KHuu.n hai kam aur balGam ziyaadato gaajar bhii khaa aur shaljam ziyaadajigar hii ke dam se hai insaan jiitaajigar kaa maraz hai to khaa le papiitaaagar zehn kamzor rahtaa hai aksarto khaa shahd ke saath baadaam ghis karagar tujh ko ehsaas hai zo.af-e-dil kaato har roz le aa.nvle kaa murabba
phailii hai fazaa.o.n me.n KHushii merii nazar kiiha.nstii nazar aatii hai.n fazaa.e.n mire ghar kiidil-shaad mire ahl-o-ayaal aaj bahut hai.nmasruuf hai.n vo bhii nahii.n masruuf faqat mai.nrakhii hai saliiqe se har ik kaam kii chiiz aajmehmaan mire ghar me.n hai.n kuchh mere aziiz aajshaadii kaa makaa.n ghar miraa ma.aluum na ho kyuu.nmajma.a ho jab itnaa to bhalaa dhuum na ho kyuu.nbhaa.ii bhii hai.n bahno.ii bhii bhaavaj bhii bahan bhiibaiThaa hai bhatiijaa bhii bhatiije kii dulhan bhiibachchii idhar ik baiTh ke taktii hai dulhan kokuchh tifl sataate hai.n udhar apnii bahan kobachcho.n pe jhalak KHaas hai tanviir-e-sahar kiiuTh baiThe hai.n sab sunte hii aavaaz gajar kiidilkash ye fazaa sub.h kii ye nuur kaa ta.Dkaabulbul kii tarah bol rahaa hai ko.ii la.Dkaabe-vaj.h ko.ii rone pe aamaada hu.aa haihairat se na.e gur ko ko.ii dekh rahaa haibaiThaa hai ye chup dau.D rahaa hai vo KHushii sekhaane ke liye zid ko.ii kartaa hai abhii sekarnaa hai jo saamaan-e-ziyaafat ko faraahamaa aa ke mire kaan me.n kuchh kahtii hai.n begamhonaa hai jo KHuubii se ziyaafat kaa sar-anjaamla.Dkii ke zariye se bhii pahu.nchaatii hai.n paiGaamaatii bhii hai.n jaatii bhii hai.n begam suu-e-matbaKHmaamaa.o.n me.n be-vaqt jahaa.n hotii hai chaKH chaKHraahat na mile kyuu.n unhe.n halkii tag-o-dau me.nsaa.e kii tarah saath hai la.Dkii bhii jilau me.nnannhii abhii uTThii nahii.n pahluu se phuphii keletii hai.n vo rah rah ke maze us kii ha.nsii kela.Dke mire KHush ho ke udhar dekh rahe hai.niKHlaas-o-mohabbat se muKHaatib huu.n jidhar mai.nmajma.a ye aziizo.n kaa mohabbat kii ye baate.nin pyaar kii baato.n me.n na choTe.n hai.n na ghaate.nanvaar tabassum ke takallum se hai.n paidaazau sub.h kii is manzar-e-dil-kash pe hai shaidaabaato.n kaa abhii thaa tarabii silsila jaariinargis ne kahaa aa ke hai tayyaar nahaarii
bhaa.iimujh se har dam la.Dtii hoek kii sau sau ja.Dtii hoapnii zaat ko bhuulii hotum to bilkul muulii hobahanmai.n ye baat nahii.n bhuuliihaazim hotii hai muuliibhaa.ii ho yaa dushman hotum thaalii ke be.ngan hobhaa.iibe.ngan achchhaa hai bahnaabe-gun is ko mat kahnaatum ho aafat chhoTii siitum ho bhinDii moTii siibahanbhinDii kii kyaa baat hai jiiuu.nchii is kii zaat hai jiitum sabzii ke KHaaluu hoik duble se aaluu hobhaa.iisab khaano.n kaa khaajaa haiaaluu sab kaa raajaa haimerii sister ho tum bhiimoTii gaajar ho tum bhiibahangaajar sehat detii haidil ko taaqat detii haimiiThaa halva gaajar kaatum ho ruup TamaaTar kaabhaa.iijo bhii TamaaTar khaataa haiapnii jaan banaataa haiis kaa ras jo piite hai.ntag.De ho kar jiite hai.nbahanKHatm karo khaTpaT saariiachchhii hai har tarkaariiband ye saaraa khel kare.naa.o ham tum shukr kare.n
ek the peTuu saahab jin kii chhe foot thii uu.nchaa.iibaiThe baiThe pahluu badle.n das roTii khaa jaa.e.nik din peTuu saahab ko is ghar se daavat aa.iidin chhupne se pahle peTuu us ghar par jaa dhamkedastar-KHvaan lagaa to baiThe kuchh tan ke kuchh jam kepahle roTii saalan saare ghar-bhar kaa khaa Daalaaphir ghar kii baaqii chiizo.n kaa niklaa KHuub diivaalabaarah laDDuu biis imirtii sola baaluu-shaahiichaudah kele darjan chiikuu halva ek ka.Daahiighabraa kar ghar ke maalik ne naukar ko dau.Daayaaek kilo baazaar se halva gaajar kaa ma.ngvaayaahalva khaa kar bole peTuu de mo.nchho.n par taavyaar zaraa andar se tho.Daa saa namkiin ma.ngaa.otho.Dii daal bachii thii pii lii phir loTaa bhar paaniighar kii haalat jaan chuke the so uThne kii Thaaniisaahab-e-KHaana bole baiTho baiTho kuchh farmaa.oghar me.n juute aur bache hai.n vo bhii khaate jaa.o
aa.o ghar me.n sabzii ugaa.ophir sab mil kar maze se khaa.opahle jhaT-paT kyaarii khodophir ye saarii sabzii bo dokadduu karailaa arvii aaluubaigan TinDaa aur shaftaaluumuulii gaajar shaljam toriilaal harii aur gorii goriidhaniya mirchii.n lahsan adrakhariyaalii hai aa.nkh kii ThanDakidhar bhii kyaarii khodo riinaais me.n baunaa hai podiinaajaa.o loTaa laa.o raaniikyaarii ko denaa hai paaniilaukii bo.ii khiiraa boyaamethii paalak bhinDii soyaadekho to kyaa KHuub maza haisaaraa aa.ngan haraa-bharaa haiis se sehat daulat barakatmah.ngaa.ii me.n hai ye rahmatjab bhii shaam ye sabzii khaa.opahle mohalle baTvaa.o
sukh-des ko chal haa.n der na karchal chhor chale.n ye phuuT-nagarrakh tez qadam bajtaa hai gajarhai kitnaa mubaarak apnaa safarjis des me.n aanii raaj nahii.nus des me.n chal sansaar kare.n
ai pyaarii pyaarii chi.Diyaasuurat mujhe dikhaa jaabholii sii terii suuratdil me.n basii hai muuratnannhii sii cho.nch teriikaisii bhalii hai lagtiiik raag tuu sunaa jaaai bholii-bhaalii chi.DiyaashaaKHo.n pe baiThii baiThiiaanand se chahaktiikis ko hai yaad kartiidam kis kaa tuu hai bhartiiduniyaa ke nek-o-bad sekiine se aur hasad setujh ko nahii.n KHabar kyaaai bholii-bhaalii chi.Diyaapatto.n pe chahchahaanaaaur dil ko yuu.n lubhaanaau.Dnaa ye Daalii Daaliikab lutf se hai KHaaliikyaa paak zindagii haikyaa shaa.ntii KHushii haibhaataa hai raag teraaai bholii-bhaalii chi.Diyaakyaa miiThii raagnii haikyaa shakl mohnii haiterii ye chuu.n chuu.n pyaariiaur phirnaa kyaarii kyaariiteraa phudaknaa har damaur bolnaa gajar damtujh se hai ghar suhaanaaai bholii-bhaalii chi.Diyaavo sub.h kaa jhamka.Daamil-jul ke aur vo gaanaavo shaam kaa baseraadil ko bhalaa hai lagtaachhat me.n vo gho.nsla haivo bhii bahut bhalaa haihar Dhang teraa pyaaraaai bholii-bhaalii chi.Diyaanaadaan bachche tuu kyaajaanegaa us kaa kahnaachi.Diyaa jo boltii haiaur motii roltii haimaKHluuq hai KHudaa kiihastii hai ye vafaa kiikartii hai zikr rab kaaye bholii-bhaalii chi.Diyaa
daadii chiiKH rahii hai.n kyaa kyaa saTar paTar ham khaate hai.nkaun inhe.n samjhaa.e biscuit jam butter ham khaate hai.nnaanii ko sadma hotaa hai kyo.n burger ham khaate hai.nkitnaa KHush ho jaatii hai.n vo jab gaajar ham khaate hai.n
mire saath aatii hai.n ThanDii havaa.e.nbadaltii hai.n aane se merii fazaa.e.nmai.n aatii huu.n barsaat ke baad tan karsulaatii huu.n logo.n ko kamre ke andarmai.n hamraah laatii huu.n gadde bichhaunepahnaatii huu.n har ek ko garm kap.Demazedaar meve khilaatii huu.n sab koba.Dii garm chaa.e pilaatii huu.n sab kokabhii pesh kartii huu.n gaajar kaa halvakabhii laa ke detii huu.n halva maliidamire daur me.n raat hotii hai lambiibharii hai bahut jis me.n hikmat KHudaa kiiye hikmat KHudaa kii sujhaa.o to jaanuu.nmiraa naam bachcho bataa.o to jaanuu.n
jab manaaro.n me.n ghanTii bajiivo achaanak mu.Dii kal yahaa.n ko.ii thaavo gajar dam uThiius ne a.ng.Daa.ii lii kal yahaa.n ko.ii thaasaa.np lahraatii sa.Dko.n pe chalte hu.e vo rukiikal yahaa.n ko.ii thaakal yahaa.n kaun thaaqais aasuuda-e-naqsh raqs-e-ravaa.nkaun suuraj ko a.ngaar-zaado.n ke ghar le gayaakal yahaa.n bin muraado.n kii baarish kaa pahlaa phuvaaraa pa.Daaqais aagaah-e-daad-o-rasadqais be-kiin-o-kadret aa.iina hai aur za.ngaar-e-aa.iina har aalam-e-chaub-o-abresham-o-KHaak-daa.n
kyaa KHabar tujh ko pyaar ho ki na hohuu.n tirii har KHushii ke saath magarterii fikr-o-adaa samajh na sakuu.nbar-mahal jaise baj sake na gajar
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books