aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "lajjit"
us KHaamosh qil.e kiisaKHt lohe sii diivaare.nhar taraf safed Gamgiin pardevo apnii aalii-shaan kursii par baiThiiko.ii hisaab jo.D rahii haius kaa phiikaa sapaaT bojhal chehrajaise bhiitar kaa ek ruupus ke uuprii ruup rang ko khaa chukaa hoachaanak darvaaze kii dastakdabii hu.ii siskiyo.n kaa shoruu.nche darvaaze ko kholte hiius kii bhaav-vihiin aa.nkho.n me.nsa.nvednaa.o.n kii halchal ho uThtii haisub.h kii os narm dhuup me.nnaazuk kopal saa ek bachchaapnii chiiKH ko gale me.n Thuus karus kii taraf qil.e kii tarafdau.Daa aa rahaa thaaabhii gale lagaa kar ro pa.Degaa jaisevo ek Tuk use dekhtii rahtii haimagar gale nahii.n lagaa paatii vous kaa hirdai kahtaa hai ki bhej de usevaapas us ke ghar jahaa.nus kaa intizaar ho rahaa hogaais tivr ichhaa ke saathbarso.n se nirlap rahii us kii aa.nkho.n me.ndabii hu.ii bhaavnaa.e.n gatii-maan ho kar bahne lagtii haihe iishvar vo aa.nkhe.n muu.nd letii haimez par rakhii hisaabo.n vaalii kitaab dikhaa.ii detii haiaur nau-pallavit paude kiinaazuk Daalii jaisii u.ngliyaa.n thaam karvo use qil.e ke bhiitar le aatii haitotii.ng darvaaza karkash aavaaz ke saathband ho jaataa haivo bilakhte hu.e bachche ko aaGosh me.n le letii haiKHaamosh kamre me.n us ma.asuum kiidha.Dakne saa.nse.n siskiyo.n kaa shortez ho uThtaa haivo kas ke us bachche koapne bhiitar sameT kar gahrii nii.nd sulaa detii haijab ko.ii shor baaqii nahii.n rahtaa tabus ke bhiitar kaa ruudan baahar aane ko ta.Daptaa haimagar us ke adh-mare man mastishkuse yaad dilaate hai kimaut maatam nahii.n manaa saktiikaash mujhe bhii haq hotaadarvaaze pe aa.e ko vaapas bhejne kaakaashbhaarii qadmo.n pe uTh kar vous kitaab me.n kuchh jo.D detii haidin kaa ujaalaa surya kaa tejlajjit ho kar sar jhukaa lete haihavaa bhii chhobhit ho kar niilii pa.D jaatii haisaarii sirishTii a.ndhkaar kii gart me.n Duubne lagtii hai
ai mirii ummiid merii jaa.n-navaazai mirii dil-soz merii kaarsaazmerii sipar aur mire dil kii panaahdard-o-musiibat me.n mirii takiya-gaahaish me.n aur ranj mai.n merii shafiiqkoh me.n aur dasht me.n merii rafiiqkaaTne vaalii Gam-e-ayyaam kiithaamne vaalii dil-e-naakaam kiidil pa pa.Daa aan ke jab ko.ii dukhtere dilaase se milaa ham ko sukhtuu ne na chho.Daa kabhii Gurbat me.n saathtuu ne uThaayaa na kabhii sar se haathjii ko ho kabhii agar usrat kaa ra.njkhol diye tuu nai qanaa.at ke ganjtujh se hai mohtaaj kaa dil be-hiraastujh se hai biimaar ko jiine kii aasKHaatir-e-ranjuur kaa darmaa.n hai tuuaashiq-e-mahjuur kaa iimaa.n hai tuunuuh kii kashtii kaa sahaaraa thii tuuchaah me.n yuusuf kii dil-aaraa thii tuuraam ke ham-raah cha.Dhii ran me.n tuupaa.nDav ke bhii saath phirii ban me.n tuutuu ne sadaa qais kaa bahlaayaa dilthaam liyaa jab kabhii ghabraayaa dilho gayaa farhaad kaa qissa tamaampar tire fiqro.n pe rahaa KHush mudaamtuu ne hii raa.njhe kii ye ba.ndhvaaii aashiir thii furqat me.n bhii goyaa ki paashotii hai tuu pusht pe himmat kii jabmushkile.n aasaa.n nazar aatii hai.n sabhaath me.n jab aa ke liyaa tuu ne haatsaat samundar se guzarnaa hai baatsaath milaa jis ko tiraa do qadamkahtaa hai vo ye hai arab aur ajamgho.De kii lii apne jahaa.n tuu ne baagsaamne hai tere gayaa aur praagazm ko jab detii hai tuu mel jastgumbad-e-garduu.n nazar aataa hai pasttuu ne diyaa aa ke ubhaaraa jahaa.nsamjhe ki muTThii me.n hai saaraa jahaa.nzarre ko KHurshiid me.n de khapaabande ko allaah se de tuu milaadono.n jahaa.n kii hai ba.ndhii tujh se la.Ddiin kii tuu asl hai duniyaa kii ja.Dnekiyo.n kii tujh se hai qaa.em asaastuu na ho to jaa.e.n na nekii ke paasdiin kii tujh bin kahii.n pursish na hotuu na ho to haq kii parastish na hoKHushk thaa bin tere daraKHt-e-amaltuu ne lagaa.e hai.n ye sab phuul phaldil ko lubhaatii hai kabhii ban ke huurgaah dikhaatii hai sharaab-e-tahuurnaam hai sidra kabhii tuubaa tiraaroz niraalaa hai tamaashaa tiraakausar o tasniim hai yaa salsabiiljalve hai.n sab tere ye be-qaal-o-qiilruup hai.n har panth me.n tere alaghai kahii.n firdaus kahii.n hai sovargchhuuT ga.e saare qariib aur ba.iidek na chhuuTii to na chhuuTii umiidtere hii dam se kaTe jo din the saKHttere hii sadqe se milaa taaj-o-taKHtKHaakiyo.n kii tujh se hai himmat bulandtuu na ho to kaam ho.n duniyaa ke bandtujh se hii aabaad hai kaun-o-makaa.ntuu na ho to hai bhii barham jahaa.nko.ii pa.Dtaa phirtaa hai bahr-e-ma.aashhai ko.ii iksiir ko kartaa talaashik tamannaa me.n hai aulaad kiiek ko dil-daar kii hai lau lagiiek ko hai dhan jo kuchh haath aa.edhuum se aulaad kii shaadii rachaa.eek ko kuchh aaj agar mil gayaakal kii hai ye fikr ki khaa.e.nge kyaaqaum kii bahbuud kaa bhuukaa hai ekjin me.n ho un ke liye anjaam-e-nekek ko hai tishnagii-e-qurb-e-haqjis ne kiyaa dil se jigar tak hai shaqjo hai Garaz us kii na.ii justujuulaakh agar dil hai.n to laakh aarzuutujh se hai.n dil sab ke magar baaG baaGgul ko.ii hone nahii.n paataa charaaGsab ye samajhte hai.n ki paa.ii muraadkahtii hai jab tuu ki ab aa.ii muraadva.ada tiraa raast ho yaa ho daroGtuu ne diye hai.n use kyaa kyaa faroGva.ade vafaa kartii hai go chand tuurakhtii hai har ek ko KHursand tuubhaatii hai sab ko tirii lait-o-la.altuu ne kahaa.n siikhii hai ye aaj kaltalKH ko tuu chaahe to shiirii.n karebazm-e-azaa ko tarab-aagii.n kareaane na de ranj ko muflis ke paasrakhe Ganii us ko rahe jis ke paasyaas kaa paatii hai jo tuu kuchh lagaavsaik.Do.n kartii hai utaar aur cha.Dhaa.oaane nahii.n detii dilo.n par hiraasTuuTne detii nahii.n taalib kii aasjin ko mayassar na ho kamlii phaTiiKHush hai.n tavaqqo.a pe vo zar-baft kiichaTnii se roTii kaa hai jin kii banaavbaiThe pakaate hai.n KHayaalii polaavpaa.nv me.n juutii nahii.n par hai ye zauqgho.Daa jo sabza ho to niilaa ho tauqfaiz ke khole hai.n jahaa.n tuu ne baabdekhte hai.n jho.npa.De mahlo.n ke KHvaabtere karishme hai.n Gazab dil-farebdil me.n nahii.n chho.Dte sabr-o-shakebtujh se muhavvis ne jo shuuraa liyaaphuu.nk diyaa kaan me.n kyaa jaane kyaadil se bhulaayaa zan o farzand kolag gayaa ghun naKHl-e-baroma.nd kokhaane se piine se hu.aa sard jiiaisii kuchh iksiir kii hai lau lagiidiin kii hai fikr na duniyaa se kaamdhun hai yahii raat din aur sub.h shaamdho.nknii hai baiTh ke jab dho.nknaashah ko samajhtaa hai ik adnaa gadaapaise ko jab taav pe detaa hai taavpuuchhtaa yaaro.n se hai sone kaa bhaavkahtaa hai jab ha.nste hai.n sab dekh karrah ga.ii ik aa.nch kii baaqii kasarhai isii dhu.nd me.n vo aasuuda-haaltuu ne diyaa aql pe parda saa Daaltol kar gar dekhiye us kii KHushiiko.ii KHushii is ko na pahu.nche kabhiiphirte hai.n mohtaaj ka.ii tiira-baKHtjan ke pairo.n me.n thaa kabhii taaj-o-taKHtaaj jo bartan hai.n to kal ghar karomaltii hai mushkil se inhe.n naan-e-jautaire sivaa KHaak nahii.n in ke paassaarii KHudaa.ii me.n hai le de ke aasphuule samaate nahii.n is aas parsaahib-e-aalam unhe.n kahiye agarkhaate hai.n is aas pa qasme.n ajiibjhuuTe ko ho taKHt na yaa-rab nasiibhotaa hai naumiidiyo.n kaa jab hujuumaatii hai hasrat kii ghaTaa jhuum jhuumlagtii hai himmat kii kamar TuuTnehausla kaa lagtaa hai jii chhuuTnehotii hai be-sabrii o taaqat me.n ja.ngarsa-e-aalam nazar aataa hai ta.ngjii me.n ye aataa hai ki sam khaa.iyephaa.D ke yaa kap.De nikal jaa.iyebaiThne lagtaa hai dil aave kii tarahyaas Daraatii hai chhalaave kii tarahhotaa hai shikva kabhii taqdiir kaau.Dtaa hai KHaaka kabhii tadbiir kaaThantii hai garduu.n se la.Daa.ii kabhiihotii hai qismat kii ha.nsaa.ii kabhiijaataa hai qaabuu se aaKHir dil nikalkartii hai in mushkilo.n ko tuu hii halkaan me.n pahu.nchii tirii aahaT jo hai.nraKHt-e-safar yaas nai baa.ndhaa vahii.nsaath ga.ii yaas ke pazhmurdagiiho ga.ii kaafuur sab afsurdagiitujh me.n chhupaa raahat-e-jaa.n kaa hai bhedchho.Diyo 'haalii' kaa na saath ai umiid
mirii kalaa merii shaa.irii mere fan kaa us ko salaam pahu.ncheki jis ne mashriq kii azmato.n ko ataa kiye zindagii ke paikarjo satvate.n KHvaab ho chukii thii.n jo rif.ate.n past ho chukii thii.nunhe.n jagaa kar unhe.n sajaa kar banaa diyaa aasmaa.n kaa ham-sarbhaTak rahii thii vatan kii hastii Gulaam ruuho.n ke kaarvaa.n me.nshu.uur-e-aazaadii us ko de kar banaa diyaa asr-e-nau kaa rahbarmirii navaa.o.n me.n shoKH tarz-e-suKHan kaa us ko salaam paho.ncheki jis ne mashriq kii sarzamii.n ko na.e jahaa.n kaa ufuq banaayaanizaam-e-tahsiil-e-ilm badlaa nayaa tasavvur adab ko baKHshaalalit-kalaa.o.n ko shaa.ntii ke hasiin unvaan se sajaayaashafaq kii meh.ndii dhanak ke ka.ngan churaa.e aur kahkashaa.n kii afshaa.nba.De jatan se hasiina-e-shaa.irii ko jis ne dulhan banaayaa'sarosh' mere shu.uur ke baa.nkpan kaa us ko salaam pahu.nchesharaab-e-mashriq ke jaam chhalkaa.e jis ne maGrib ke mai-kado.n me.nmusavvir-e-tal.at-e-nigaaraa.n muGannii-e-shaukat-e-bahaaraa.nhai.n maujzan kaa.enaat ke dil kii dha.Dkane.n jis ke chahchaho.n me.nsukuut-e-shab raqs-e-maah-o-anjum fazaa ke shaane sabaa kii zulfe.nnigaar-e-fitrat kii har adaa kaa jamaal hai jis ke zamzamo.n me.n
zindagii-bhar ke Galat a.amaal kii paadaash me.ndii ga.ii aaKHir use naar-e-jahannam kii sazaado farishte us ko chho.D aa.e jahannam-zaar me.nchaar-suu ik aag kaa tuufaan thaa jis me.n bapaanaazim-e-dozaKH ne agle roz jab dekhaa usede rahaa thaa vo maze se taav apnii muu.nchh kobe-niyaaz-e-aatish-e-sozaa.n thaa vo mard-e-ajiibus kii aa.nkho.n me.n na thaa ko.ii nishaan-e-iztiraabko.ii saayaa karb kaa chehre pe lahraataa na thaajaise bargad ke ghane saa.e me.n baiThaa ho ko.iiaisii hiddat me.n pasiina tak use aataa na thaanaazim-e-dozaKH ne hairat me.n kiyaa us se savaalbaat kyaa hai kuchh asar is aag kaa tujh par nahii.ndekh kar terii giraa.n-jaanii bahut hairaa.n huu.n mai.ntujh ko sho.alo.n kii haraarat kaa zaraa bhii Dar nahii.nha.ns ke vo bolaa ki saahab ye bhii ko.ii aag haimere jism-o-jaa.n ko is kii aa.nch kyaa pighlaa.egiizindagii-bhar mai.n hasad kii aag me.n jaltaa rahaamujh par ab naar-e-jahannam kyaa asar dikhlaa.egii
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books