aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "lut"
phuul shaaKHo.n pe khilne lage tum kahojaam rindo.n ko milne lage tum kahochaak siino.n ke silne lage tum kahois khule jhuuT ko zehn kii luuT komai.n nahii.n maantaa mai.n nahii.n jaantaa
ek tumhaaraa pyaar bachaa haivarna sab kuchh luT saa gayaa haiek musalsal raat ki jis me.naaj miraa dam ghuT saa gayaa hai
kab luuT-jhapaT se hastii kiidokaane.n KHaalii hotii hai.nyaa.n parbat-parbat hiire hai.nyaa.n saagar saagar motii hai.n
nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shuniidan daastaa.n meriiKHamoshii guftuguu hai be-zabaanii hai zabaa.n meriiye dastuur-e-zabaa.n-bandii hai kaisaa terii mahfil me.nyahaa.n to baat karne ko tarastii hai zabaa.n meriiuThaa.e kuchh varaq laale ne kuchh nargis ne kuchh gul nechaman me.n har taraf bikhrii hu.ii hai daastaa.n meriiu.Daa lii qumriyo.n ne tuutiyo.n ne andaliibo.n nechaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fuGaa.n meriiTapak ai sham.a aa.nsuu ban ke parvaane kii aa.nkho.n sesaraapaa dard huu.n hasrat bharii hai daastaa.n meriiilaahii phir maza kyaa hai yahaa.n duniyaa me.n rahne kaahayaat-e-jaavedaa.n merii na marg-e-naa-gahaa.n meriimiraa ronaa nahii.n ronaa hai ye saare gulistaa.n kaavo gul huu.n mai.n KHizaa.n har gul kii hai goyaa KHizaa.n meriidarii.n hasrat saraa umriist afsuun-e-jaras daaramz faiz-e-dil tapiidan-haa KHarosh-e-be-nafas daaramriyaaz-e-dahr me.n naa-aashnaa-e-bazm-e-ishrat huu.nKHushii rotii hai jis ko mai.n vo mahruum-e-masarrat huu.nmirii big.Dii hu.ii taqdiir ko rotii hai goyaa.iimai.n harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samaa.at huu.npareshaa.n huu.n mai.n musht-e-KHaak lekin kuchh nahii.n khultaasikandar huu.n ki aa.iina huu.n yaa gard-e-kuduurat huu.nye sab kuchh hai magar hastii mirii maqsad hai qudrat kaasaraapaa nuur ho jis kii haqiiqat mai.n vo zulmat huu.nKHaziina huu.n chhupaayaa mujh ko musht-e-KHaak-e-sahraa nekisii ko kyaa KHabar hai mai.n kahaa.n huu.n kis kii daulat huu.nnazar merii nahii.n mamnuun-e-sair-e-arsa-e-hastiimai.n vo chhoTii sii duniyaa huu.n ki aap apnii vilaayat huu.nna sahbaa huu.n na saaqii huu.n na mastii huu.n na paimaanamai.n is mai-KHaana-e-hastii me.n har shai kii haqiiqat huu.nmujhe raaz-e-do-aalam dil kaa aa.iina dikhaataa haivahii kahtaa huu.n jo kuchh saamne aa.nkho.n ke aataa haiataa aisaa bayaa.n mujh ko hu.aa ra.ngii.n-bayaano.n me.nki baam-e-arsh ke taa.ir hai.n mere ham-zabaano.n me.nasar ye bhii hai ik mere junuun-e-fitna-saamaa.n kaamiraa aa.iina-e-dil hai qazaa ke raaz-daano.n me.nrulaataa hai tiraa nazzaara ai hindostaa.n mujh koki ibrat-KHez hai teraa fasaana sab fasaano.n me.ndiyaa ronaa mujhe aisaa ki sab kuchh de diyaa goyaalikhaa kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-KHvaano.n me.nnishaan-e-barg-e-gul tak bhii na chho.D us baaG me.n gulchii.ntirii qismat se razm-aaraa.iyaa.n hai.n baaGbaano.n me.nchhupaa kar aastii.n me.n bijliyaa.n rakkhii hai.n garduu.n neanaadil baaG ke Gaafil na baiThe.n aashiyaano.n me.nsun ai Gaafil sadaa merii ye aisii chiiz hai jis kovaziifa jaan kar pa.Dhte hai.n taa.ir bostaano.n me.nvatan kii fikr kar naadaa.n musiibat aane vaalii haitirii barbaadiyo.n ke mashvare hai.n aasmaano.n me.nzaraa dekh us ko jo kuchh ho rahaa hai hone vaalaa haidharaa kyaa hai bhalaa ahd-e-kuhan kii daastaano.n me.nye KHaamoshii kahaa.n tak lazzat-e-fariyaad paidaa karzamii.n par tuu ho aur terii sadaa ho aasmaano.n me.nna samjhoge to miT jaa.oge ai hindostaa.n vaalotumhaarii daastaa.n tak bhii na hogii daastaano.n me.nyahii aa.iin-e-qudrat hai yahii usluub-e-fitrat haijo hai raah-e-amal me.n gaam-zan mahbuub-e-fitrat haihuvaidaa aaj apne zaKHm-e-pinhaa.n kar ke chho.Duu.ngaalahuu ro ro ke mahfil ko gulistaa.n kar ke chho.Duu.ngaajalaanaa hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhaa.n setirii taariik raato.n me.n charaaGaa.n kar ke chho.Duu.ngaamagar Guncho.n kii suurat huu.n dil-e-dard-aashnaa paidaachaman me.n musht-e-KHaak apnii pareshaa.n kar ke chho.Duu.ngaapironaa ek hii tasbiih me.n in bikhre daano.n kojo mushkil hai to is mushkil ko aasaa.n kar ke chho.Duu.ngaamujhe ai ham-nashii.n rahne de shaGl-e-siina-kaavii me.nki mai.n daaG-e-mohabbat ko numaayaa.n kar ke chho.Duu.ngaadikhaa duu.ngaa jahaa.n ko jo mirii aa.nkho.n ne dekhaa haitujhe bhii suurat-e-aa.iina hairaa.n kar ke chho.Duu.ngaajo hai pardo.n me.n pinhaa.n chashm-e-biinaa dekh letii haizamaane kii tabii.at kaa taqaazaa dekh letii haikiyaa rif.at kii lazzat se na dil ko aashnaa tuu negizaarii umr pastii me.n misaal-e-naqsh-e-paa tuu nerahaa dil-basta-e-mahfil magar apnii nigaaho.n kokiyaa bairuun-e-mahfil se na hairat-aashnaa tuu nefidaa kartaa rahaa dil ko hasiino.n kii adaa.o.n parmagar dekhii na us aa.iine me.n apnii adaa tuu neta.assub chho.D naadaa.n dahr ke aa.iina-KHaane me.nye tasviire.n hai.n terii jin ko samjhaa hai buraa tuu nesaraapaa naala-e-bedaad-e-soz-e-zindagii ho jaasapand-aasaa girah me.n baa.ndh rakkhii hai sadaa tuu nesafaa-e-dil ko kyaa aaraa.ish-e-ra.ng-e-ta.alluq sekaf-e-aa.iina par baa.ndhii hai o naadaa.n hinaa tuu nezamii.n kyaa aasmaa.n bhii terii kaj-biinii pe rotaa haiGazab hai satr-e-qur.aa.n ko chaliipaa kar diyaa tuu nezabaa.n se gar kiyaa tauhiid kaa daavaa to kyaa haasilbanaayaa hai but-e-pindaar ko apnaa KHudaa tuu neku.e.n me.n tuu ne yuusuf ko jo dekhaa bhii to kyaa dekhaaare Gaafil jo mutlaq thaa muqayyad kar diyaa tuu nehavas baalaa-e-mimbar hai tujhe ra.ngii.n-bayaanii kiinasiihat bhii tirii suurat hai ik afsaana-KHvaanii kiidikhaa vo husn-e-aalam-soz apnii chashm-e-pur-nam kojo ta.Dpaataa hai parvaane ko rulvaataa hai shabnam kozaraa nazzaara hii ai bul-havas maqsad nahii.n us kaabanaayaa hai kisii ne kuchh samajh kar chashm-e-aadam koagar dekhaa bhii us ne saare aalam ko to kyaa dekhaanazar aa.ii na kuchh apnii haqiiqat jaam se jam koshajar hai firqa-aaraa.ii ta.assub hai samar us kaaye vo phal hai ki jannat se nikalvaataa hai aadam kona uTThaa jazba-e-KHurshiid se ik barg-e-gul tak bhiiye rif.at kii tamannaa hai ki le u.Dtii hai shabnam kophiraa karte nahii.n majruuh-e-ulfat fikr-e-darmaa.n me.nye zaKHmii aap kar lete hai.n paidaa apne marham komohabbat ke sharar se dil saraapaa nuur hotaa haizaraa se biij se paidaa riyaaz-e-tuur hotaa haidavaa har dukh kii hai majruuh-e-teG-e-aarzuu rahnaailaaj-e-zaKHm hai aazaad-e-ehsaan-e-rafuu rahnaasharaab-e-be-KHudii se taa-falak parvaaz hai meriishikast-e-ra.ng se siikhaa hai mai.n ne ban ke buu rahnaathame kyaa diida-e-giryaa.n vatan kii nauha-KHvaanii me.nibaadat chashm-e-shaa.ir kii hai har dam baa-vazuu rahnaabanaa.e.n kyaa samajh kar shaaKH-e-gul par aashiyaa.n apnaachaman me.n aah kyaa rahnaa jo ho be-aabruu rahnaajo tuu samjhe to aazaadii hai poshiida mohabbat me.nGulaamii hai asiir-e-imtiyaaz-e-maa-o-tuu rahnaaye istiGnaa hai paanii me.n niguu.n rakhtaa hai saaGar kotujhe bhii chaahiye misl-e-habaab-e-aabjuu rahnaana rah apno.n se be-parvaa isii me.n KHair hai teriiagar manzuur hai duniyaa me.n o begaana-KHuu rahnaasharaab-e-ruuh-parvar hai mohabbat nau-e-insaa.n kiisikhaayaa is ne mujh ko mast be-jaam-o-subuu rahnaamohabbat hii se paa.ii hai shifaa biimaar qaumo.n nekiyaa hai apne baKHt-e-KHufta ko bedaar qaumo.n nebayaabaan-e-mohabbat dasht-e-Gurbat bhii vatan bhii haiye viiraana qafas bhii aashiyaana bhii chaman bhii haimohabbat hii vo manzil hai ki manzil bhii hai sahraa bhiijaras bhii kaarvaa.n bhii raahbar bhii raahzan bhii haimaraz kahte hai.n sab is ko ye hai lekin maraz aisaachhupaa jis me.n ilaaj-e-gardish-e-charKH-e-kuhan bhii haijalaanaa dil kaa hai goyaa saraapaa nuur ho jaanaaye parvaana jo sozaa.n ho to sham-e-anjuman bhii haivahii ik husn hai lekin nazar aataa hai har shai me.nye shiirii.n bhii hai goyaa be-sutuu.n bhii kohkan bhii haiujaa.Daa hai tamiiz-e-millat-o-aa.ii.n ne qaumo.n komire ahl-e-vatan ke dil me.n kuchh fikr-e-vatan bhii haisukuut-aamoz tuul-e-daastaan-e-dard hai varnazabaa.n bhii hai hamaare mu.nh me.n aur taab-e-suKHan bhii hainamii-gardiid ko tah rishta-e-ma.anii rihaa kardamhikaayat buud be-paayaa.n ba-KHaamoshii adaa kardam
jo marhalo.n me.n saath the vo manzilo.n pe chhuT ga.ejo raat me.n luTe na the vo dopahar me.n luT ga.emagan thaa mai.n ki pyaar ke bahut se giit gaa.u.ngaazabaan gu.ng ho ga.ii, gale me.n giit ghuT ga.ekaTii hu.ii hai.n u.ngliyaa.n rubaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.njinhe.n sahar nigal ga.ii vo KHvaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.nkahaa.n ga.ii vo nii.nd kii sharaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.n
is mulaaqaat kaa is baar ko.ii vahm nahii.njis se ik aur mulaaqaat kii suurat nikleab na haijaan o junuu.n kaa na hikaayaat kaa vaqtab na tajdiid-e-vafaa kaa na shikaayaat kaa vaqtluT ga.ii shahr-e-havaadis me.n mataa-e-alfaazab jo kahnaa hai to kaise ko.ii nauha kahiyeaaj tak tum se rag-e-jaa.n ke ka.ii rishte thekal se jo hogaa use kaun saa rishta kahiye
aur kuchh der me.n luT jaa.egaa har baam pe chaa.ndaks kho jaa.e.nge aa.iine taras jaa.e.ngearsh ke diida-e-namnaak se baarii-baariisab sitaare sar-e-KHaashaak baras jaa.e.ngeaas ke maare thake haare shabistaano.n me.napnii tanhaa.ii sameTegaa, bichhaa.egaa ko.iibevafaa.ii kii gha.Dii, tark-e-madaaraat kaa vaqtis gha.Dii apne sivaa yaad na aa.egaa ko.iitark-e-duniyaa kaa samaa.n KHatm-e-mulaaqaat kaa vaqtis gha.Dii ai dil-e-aavaara kahaa.n jaa.ogeis gha.Dii ko.ii kasii kaa bhii nahii.n rahne doko.ii is vaqt mile gaa hii nahii.n rahne doaur mile gaa bhii is taur ki pachhtaa.ogeis gha.Dii ai dil-e-aavaara kahaa.n jaa.oge
1duur jaa kar qariib ho jitneham se kab tum qariib the itneab na aa.oge tum na jaa.ogevasl-e-hijraa.n baham hu.e kitne2chaa.nd nikle kisii jaanib tirii zebaa.ii kaara.ng badle kisii suurat shab-e-tanhaa.ii kaadaulat-e-lab se phir ai KHusrav-e-shiirii.n-dahanaa.naaj arzaa.n ho ko.ii harf shanaasaa.ii kaagarmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanaa.ntazkira chhe.De tirii pairahan-aaraa.ii kaasehn-e-gulshan me.n kabhii ai shah-e-shamshaad-qadaa.nphir nazar aa.e saliiqa tirii ra.anaa.ii kaaek baar aur masiihaa-e-dil-e-dil-zadagaa.nko.ii va.ada ko.ii iqraar masiihaa.ii kaasaaz-o-saamaan baham pahu.nchaa hai rusvaa.ii kaa3kab tak dil kii KHair manaa.e.n kab tak rah dikhlaa.ogekab tak chain kii mohlat doge kab tak yaad na aa.ogebiitaa diid ummiid kaa mausam KHaak u.Dtii hai aa.nkho.n me.nkab bhejoge dard kaa baadal kab barkhaa barsaa.ogeahd-e-vafaa yaa tark-e-mohabbat jo chaaho so aap karoapne bas kii baat hii kyaa hai ham se kyaa manvaa.ogekis ne vasl kaa suuraj dekhaa kis par hijr kii raat Dhaliigesu.o.n vaale kaun the kyaa the un ko kyaa jatlaa.oge'faiz' dilo.n ke bhaag me.n hai ghar bharnaa bhii luT jaanaa bhiitum is husn ke lutf-o-karam par kitne din itraa.oge
kaise ik fard ke ho.nTo.n kii zaraa sii jumbishsard kar saktii thii be-laus vafaa.o.n ke charaaGluuT saktii thii damakte hu.e haatho.n kaa suhaagto.D saktii thii mai-e-ishq se labrez ayaaG
ye kitaabe.n bhii miraa saath nahii.n detii.n aaj'keats' kii nazm 'arastuu' ke hakiimaana qaulsa.ng-marmar kii imaarat kii tarah saakit hai.ntuu hii kuchh baat kar ai mere dha.Dakte hu.e diltuu hii ik meraa sahaaraa hai miraa muunis haituu hii is sard a.ndhere me.n charaaGaa.n kar delaxmii-devii to mirii baat nahii.n sun saktii.nmujh ko ma.aluum hai kyaa biit chukii hai tujh parmere chehre ke sulagte hu.e zaKHmo.n ko bhii dekhmerii aa.nkho.n pe mirii fikr pe paabandii haimai.n use chaahuu.n bhii to yaad nahii.n kar saktaatuu use kho ke machal saktaa hai ro saktaa haiaur mai.n luT ke bhii fariyaad nahii.n kar saktaa
vo ek tarz-e-suKHan kii KHushbuuvo ek mahkaa hu.aa takallumlabo.n se jaise gulo.n kii baarishki jaise jharnaa saa gir rahaa hoki jaise KHushbuu bikhar rahii hoki jaise resham ulajh rahaa hoajab balaaGat thii guftuguu me.nravaa.n thaa dariyaa fasaahato.n kaavo ek maktab thaa aagahii kaavo ilm-o-daanish kaa mai-kada thaavo qalb aur zehn kaa tasaadumjo guftuguu me.n ravaa.n-davaa.n thaavo us ke alfaaz kii ravaaniivo us kaa ruk ruk ke baat karnaavo sho.ala-e-lafz aur ma.aaniikahii.n lapaknaa kahii.n ThaharnaaThahar ke phir vo kalaam karnaabahut se jazbo.n kii parda-daariibahut se jazbo.n ko aam karnaajo mai.n ne puuchhaaguzishta shab ke mushaa.ere me.n bahut se shaidaa.ii muntazir themujhe bhii ye hii pata chalaa thaa ki aap tashriif laa rahe hai.nmagar hu.aa kyaazaraa tavaqquf ke baa'd bole nahii.n gayaa mai.nna jaa sakaa mai.nsuno hu.aa kyaamai.n KHud ko maa.il hii kar na paayaaye merii haalat merii tabii.atphir us pe merii ye bad-mizaajii-o-bad-havaasiiye vahshat-e-dilmiyaa.n haqiiqat hai ye bhii sun lo ki ab hamaare mushaa.ere bhiinahii.n hai.n un vahshato.n ke haamiljo merii taqdiir ban chukii hai.njo merii tasviir ban chukii hai.njo merii taqsiir ban chukii hai.nphir ik tavaqqufki jis tavaqquf kii kaifiyat par garaa.n samaa.at guzar rahii thiius ek saa.at kaa haath thaame ye ik vazaahat guzar rahii thiiadab-farosho.n ne jaahilo.n ne mushaa.ere ko bhii ik tamaasha banaa diyaa haiGazal kii taqdiis luuT lii hai adab ko mujraa banaa diyaa haisuKHan-varo.n ne bhii jaane kyaa kyaa hamaare hisse me.n rakh diyaa haisitam to ye hai ki chiiKH ko bhii suKHan ke zumre me.n rakh diyaa haiilaahii taubasamaa.ato.n me.n KHaraashe.n aane lagii hai.n ab aur shigaaf zehno.n me.n pa.D ga.e hai.nmiyaa.n hamaare qadam to kab ke zamii.n me.n KHiffat se ga.D ga.e hai.nKHamoshiyo.n ke dabiiz kohre se chand lamho.n kaa phir guzarnaavo jaise KHud ko udaasiyo.n ke samundaro.n me.n talaash karnaavo jaise phir surma.ii ufuq par sitaare alfaaz ke ubharnaaye zindagii se jo be-niyaazii hai kis liye haiye roz-o-shab kii jo bad-havaasii hai kis liye haibas itnaa samjhoki KHud ko barbaad kar chukaa huu.nsuKHan to aabaad KHair kyaa homagar jahaa.n dil dha.Dak rahe ho.n vo shahr aabaad kar chukaa huu.nbachaa hii kyaa haithaa jis ke aane kaa KHauf mujh ko vo ek saa.at guzar chukii haivo ek saf.ha ki jis pe likkhaa thaa zindagii ko vo kho chukaa haikitaab-e-hastii bikhar chukii haipa.Dhaa thaa mai.n ne bhii zindagii komagar tasalsul nahii.n thaa us me.nidhar-udhar se yahaa.n vahaa.n se ajab kahaanii ga.Dhii ga.ii thiisamajh me.n aa.ii na is liye bhii ke darmiyaa.n se pa.Dhii ga.ii thiisamajhtaa kaisena falsafii mai.n na ko.ii aalimuquubato.n ke safar pe niklaa mai.n ik sitaara huu.n aagahii kaaajal ke haatho.n me.n haath Daale ik isti.aara huu.n zindagii kaaitaab naazil hu.aa hai jis par mai.n vo hii ma.atuub aadmii huu.nsitamgaro.n ko talab hai jis kii mai.n vo hii matluub aadmii huu.nkabhii mohabbat ne ye kahaa thaa mai.n ek mahbuub aadmii huu.nmagar vo zarb-e-jafaa pa.Dii hai ki ek mazruub aadmii huu.nmai.n ek bekal saa aadmii huu.n bahut hii bojhal saa aadmii huu.nsamajh rahii hai ye duniyaa mujh ko mai.n ek paagal saa aadmii huu.nmagar ye paagal ye niim-vahshii KHirad ke maaro.n se muKHtalif haijo kahnaa chaahaa thaa kah na paayaakahaa gayaa jo use ye duniyaa samajh na paa.iina baat ab tak kahii ga.ii haina baat ab tak sunii ga.ii haisharaab-o-sh.er-o-shu.uur kaa jo ik ta'alluq hai us ke baare me.n raa.e kyaa haisunaa hai ham ne ki aap par bhii bahut se fatve lage hai.n lekinsharaab-noshii haraam hai toye mas.ala bhii ba.Daa ajab haimai.n ek mai-kash huu.n ye to sach haimagar ye mai-kash kabhii kisii ke lahuu se sairaab kab hu.aa haihamesha aa.nsuu piye hai.n us ne hamesha apnaa lahuu piyaa haiye bahs chho.Do haraam kyaa hai halaal kyaa hai azaab kyaa hai savaab kyaa haisharaab kyaa haiaziyyato.n se najaat hai ye hayaat hai yesharaab-o-shab aur shaa.irii ne ba.Daa sahaaraa diyaa hai mujh kosambhaal rakkhaa sharaab ne aur rahii hai mohsin ye raat meriiisii ne mujh ko diye dilaase sunii hai is ne hii baat meriihamesha mere hii saath jaagii hamesha mere hii saath so.iimai.n KHush hu.aa to ye muskuraa.ii mai.n ro diyaa to ye saath ro.iiye sher-go.ii hai KHud-kalaamii kaa ik zariiyaisii zariiye isii vasiile se mai.n ne KHud se vo baate.n kii hai.njo duusro.n se mai.n kah na paayaaharaam kyaa hai halaal kyaa hai ye sab tamaashe hai.n muftiyo.n keye saare fitne hai.n maulvii keharaam kar dii thii KHud-kushii bhii ki apnii marzii se mar na paa.eye mai-kashii bhii haraam Thahrii ki ham ko apnaa lahuu bhii piine kaa haq nahii.n haiki apnii marzii se ham ko jiine kaa haq nahii.n haikise bataa.e.nzamiir-o-zarf-e-bashar pe mauquuf hai.n masaa.ilsamundaro.n me.n u.nDel jitnii sharaab chaahena harf paanii pe aa.egaa aur na us kii taqdiis KHatm hogiito mai-kashii ko haraam kahne se pahle dekhoki piine vaale kaa zarf kyaa hai hai.n kis ke haatho.n me.n jaam-o-miinaaye nukta-sanjii ye nukta-daanii jo maulvii kii samajh me.n aatii to baat bantiina diin-o-maz.hab ko jis ne samjhaa na jis ne samjhaa hai zindagii kotahuuraa piine kii baat kar ke haraam kahtaa hai mai-kashii kojo diin-o-maz.hab kaa zikr aayaa to mai.n ne puuchhaaki is havaale se raa.e kyaa haiye KHud-parastii KHudaa-parastii ke darmiyaa.n kaa jo faasla haijo ik KHalaa hai ye kyaa balaa haiye diin-o-maz.hab faqat kitaabe.nba-juz kitaabo.n ke aur kyaa haikitaabe.n aisii jinhe.n samajhne kii koshishe.n kam hai.n aur ziyaada pa.Dhaa gayaa haikitaabe.n aisii ki aam insaa.n ko in ke pa.Dhne kaa haq hai lekininhe.n samajhne kaa haq na hargiz diyaa gayaa haiki in kitaabo.n pe diin-o-maz.hab ke Thekedaar ijaara-daaro.n kii dastaras haiisii liye to ye diin-o-maz.hab fasaad-o-fitna bane hu.e hai.nye diin-o-maz.habjo ilm-o-hikmat ke saath ho to sukuun hogaajo dastaras me.n ho jaahilo.n kii junuun hogaaye ishq kyaa hai ye husn kyaa haiye zindagii kaa javaaz kyaa haiye tum ho jii jii ke mar rahe ho ye mai.n huu.n mar mar ke jii rahaa huu.nye raaz kyaa haihai kyaa haqiiqat majaaz kyaa haisivaa.e KHvaabo.n ke kuchh nahii.n haiba-juz saraabo.n ke kuchh nahii.n haiye ik safar hai tabaahiyo.n kaa udaasiyo.n kii ye rahguzar haina is ko duniyaa kaa ilm ko.ii na is ko apnii ko.ii KHabar haikabhii kahii.n par nazar na aa.e kabhii har ik shai me.n jalva-gar haikabhii ziyaa.n hai kabhii zarar haina KHauf is ko na kuchh KHatar haikabhii KHudaa hai kabhii bashar haihu.aa haqiiqat se aashnaa to ye suu-e-daar-o-rasan gayaa haikabhii ha.nsaa hai ye zer-e-KHanjar kabhii ye suulii pe ha.ns diyaa haikabhii ye gulnaar ho gayaa hai sinaa.n pe guftaar ho gayaa haikabhii hu.aa hai ye Garq-e-dariyaakabhii ye taqdiir-e-dasht-o-sahraaraqam hu.aa hai ye aa.nso.o.n me.nkabhii lahuu ne hai is ko likkhaahikaayat-e-dil hikaayat-e-jaa.n hikaayat-e-zindagii yahii haiagar saliiqe se likkhii jaa.e ibaarat-e-zindagii yahii haiye husn hai us dhanak kii suuratki jis ke ra.ngo.n kaa falsafa hii kabhii kisii par nahii.n khulaa haiye falsafa jo fareb-e-paiham kaa silsila haiki is ke ra.ngo.n me.n ik ishaara hai be-ruKHii kaaik isti.aara hai zindagii kaakabhii alaamat hai shoKHiyo.n kiikabhii kinaaya hai saadgii kaabadalte mausam kii kaifiyat ke hai.n rang pinhaa.n isii dhanak me.nkashish sharaarat-o-jaazbiyyat ke shoKH ra.ngo.n ne is dhanak ko ajiib paikar ataa kiyaa hai ik aisaa manzar ataa kiyaa haiki jis ke sehr-o-asar me.n aa karlahuu bahut aa.nkhe.n ro chukii hai.n bahut to biinaa.ii kho chukii hai.nbasaarte.n kyaa basiirate.n bhii to aql-o-daanaa.ii kho chukii hai.nna jaane kitne hii rang maKHfii hai.n is dhanak me.nbas ek ra.ng-e-vafaa nahii.n hai.nis ek ra.ngat kii aarzuu ne lahuu rulaayaa hai aadmii koyahii bataayaa hai aagahii koye ik chhalaavaa hai zindagii kaahasiin dhoka hai zindagii kaamagar muqaddar hai aadmii kaafareb-e-gandum samajh me.n aayaa to mai.n ne jaanaaye ishq kyaa hai ye husn kyaa haiye ek laGzish hai jis ke dam se hayaat-e-nau kaa bharam khulaa hai
ai dil-e-be-KHabarjo havaa jaa chukii ab nahii.n aa.egiijo shajar TuuT jaataa hai phaltaa nahii.nvaapsii mausamo.n kaa muqaddar to haijo samaa.n biit jaa.e palaTtaa nahii.njaane vaale nahii.n lauTte umr bharab kise Dhuu.nDhtaa hai sar-e-rahguzarai dil-e-kam-nazar ai mire be-KHabar ai mire ham-safarvo to KHushbuu thaa agle nagar jaa chukaachaa.ndnii thaa hu.aa sarf-e-ra.ng-e-qamarKHvaab thaa aa.nkh khulte hii ojhal hu.aape.D thaa rut badalte hu.aa be-samarai dil-e-be-asar ai mire chaara-garye hai kis ko KHabar!kab havaa-e-safar kaa ishaara mile!kab khule.n saahilo.n par safiino.n ke parkaun jaane kahaa.n manzil-e-mauj hai!kis jaziire pe hai shaah-zaadii kaa ghar ai mire chaara-garai dil-e-be-KHabar kam-nazar mo'tabartuu ki muddat se hai zer-e-baar-e-safarbe-qaraar-e-safarrail kii be-hunar pTriyo.n kii tarahaas ke be-samar mausamo.n kii tarahbe-jahat manzilo.n kii masaafat me.n hairasta bhuule hu.e rahravo.n kii tarahchob-e-naar-e-safare'tibaar-e-nazar kis gumaa.n par kare.nai dil-e-be-basarye to saahil pe bhii dekhtii hai bha.nvarret me.n kisht kartii hai aab-e-baqaakholtii hai havaa.o.n me.n baab-e-asartujh ko rakhtii hai ye zebdaar-e-safar be-qaraar-e-safarai dil-e-be-hunargarm saa.nso.n kii vo KHushbu.e.n bhuul jaavo chahaktii hu.ii dha.Dkane.n bhuul jaabhuul jaa narm ho.nTo.n kii shaadaabiyaa.nharf-e-iqraar kii lazzate.n bhuul jaabhuul jaa vo havaa bhuul jaa vo nagarkaun jaane kahaa.n raushnii kho ga.iiluT gayaa hai kahaa.n kaarvaan-e-saharab kahaa.n gesu.o.n ke vo saa.e kahaa.nus kii aahaT se chamke hu.e baam-o-dar ai dil-e-be-basarra.ng-e-aasuudgii ke tamaashe kahaa.njhuTpuTaa hai yahaa.n rahguzar rahguzarvo to KHushbuu thaa agle nagar jaa chukaaab kise Dhuu.nDhtaa hai are be-KHabarjaane vaale nahii.n lauTte umr bharai dil-e-kam-nazar ai mire chaara-gar ai mire ham-safar
ye kaun saKHii hai.njin ke lahuu kiiashrafiyaa.n chhan-chhan, chhan-chhan,dhartii ke paiham pyaasekashkol me.n Dhaltii jaatii hai.nkashkol ko bhartii hai.nye kaun javaa.n hai.n arz-e-ajamye lakh-luTjin ke jismo.n kiibharpuur javaanii kaa kundanyuu.n KHaak me.n reza reza haiyuu.n kuucha kuucha bikhraa haiai arz-e-ajam, ai arz-e-ajam!kyuu.n noch ke ha.ns ha.ns phe.nk diyeun aa.nkho.n ne apne niilamun ho.nTo.n ne apne marjaa.nun haatho.n kii ''be-kal chaa.ndiikis kaam aa.ii kis haath lagii''
magar ruko zaraa Thahro ye siskiyaa.n kaisiiKHushii ki rut me.n dukho.n kii ye badliyaa.n kaisiisuno ye Gaur se maa.e.n bilak rahii hai.n kahii.nye dekho bachcho.n kii aa.nkhe.n chhalak rahii hai.n kahii.nkisii ke eid ke jo.De me.n hai kafan aayaakahii.n pe zaKHmo.n se lipTaa hu.aa badan aayaako.ii to khilne se pahle kalii ko luuT gayaakahii.n daraKHt hii apnii zamii.n se TuuT gayaakis ne kar diye paamaal saaya-daar shajarja.De.n kahii.n pe kaTii.n aur kahii.n bache na samar
kaleja phu.nk rahaa hai aur zabaa.n kahne se aarii haibataa.uu.n kyaa tumhe.n kyaa chiiz ye sarmaaya-daarii haiye vo aa.ndhii hai jis kii rau me.n muflis kaa nasheman haiye vo bijlii hai jis kii zad me.n har dahqaa.n kaa KHirman haiye apne haath me.n tahziib kaa faanuus letii haimagar mazduur ke tan se lahuu tak chuus letii haiye insaanii balaa KHud KHuun-e-insaanii kii gaahak haivabaa se ba.Dh ke mohlik maut se ba.Dh kar bhayaanak haina dekhe hai.n bure is ne na parkhe hai.n bhale is neshikanjo.n me.n jaka.D kar ghuu.nT Daale hai.n gale is nebalaa-e-be-amaa.n hai taur hii is ke niraale hai.nki is ne Gaiz me.n uj.De hu.e ghar phuu.nk Daale hai.nqayaamat is ke Gamze jaan-levaa hai.n sitam is kehamesha siina-e-muflis pe pa.Dte hai.n qadam is kekahii.n ye KHuu.n se fard-e-maal-o-zar tahriir kartii haikahii.n ye haDDiyaa.n chun kar mahal ta.amiir kartii haiGariibo.n kaa muqaddas KHuun pii pii kar bahaktii haimahal me.n naachtii hai raqs-gaaho.n me.n thiraktii haiba-zaahir chand fir.auno.n kaa daaman bhar diyaa is nemagar gul-baaG-e-aalam ko jahannam kar diyaa is nedarinde sar jhukaa dete hai.n lohaa maan kar is kaanazar saffaak-tar is kii nafas makruuh-tar is kaajidhar chaltii hai barbaadii ke saamaa.n saath chalte hai.nnahuusat ham-safar hotii hai shaitaa.n saath chalte hai.nye akasr luuT kar ma.asuum insaano.n ko raaho.n me.nKHudaa ke zamzame gaatii hai chhup kar KHaanqaaho.n me.nye Daa.in hai bharii godo.n se bachche chhiin letii haiye Gairat chhiin letii hai hamiyyat chhiin letii haiye insaano.n se insaano.n kii fitrat chhiin letii haiye aashob-e-halaakat fitna-e-iskandar-o-daaraazamii.n ke devtaa.o.n kii kaniiz-e-anjuman-aaraahamesha KHuun pii kar haDDiyo.n ke rath me.n chaltii haizamaana chiiKH uThtaa hai ye jab pahluu badaltii haigarajtii guu.njtii ye aaj bhii maidaa.n me.n aatii haimagar bad-mast hai har har qadam par la.Dkha.Daatii haimubaarak dosto labrez hai ab is kaa paimaanauThaa.o aa.ndhiyaa.n kamzor hai buniyaad-e-kaashaana
hai duniyaa jis kaa naa.nv miyaa.n ye aur tarah kii bastii haijo ma.nhgo.n ko ye mah.ngii hai aur sasto.n ko ye sastii haiyaa.n har-dam jhag.De uThte hai.n har-aan adaalat bastii haigar mast kare to mastii hai aur past kare to pastii haikuchh der nahii.n andher nahii.n insaaf aur adl-parastii haiis haath karo us haath mile yaa.n saudaa dast-ba-dastii haijo aur kisii kaa maan rakhe to us ko bhii armaan milejo paan khilaa de paan mile jo roTii de to naan milenuqsaan kare nuqsaan mile ehsaan kare ehsaan milejo jaisaa jis ke saath kare phir vaisaa us ko aan milekuchh der nahii.n andher nahii.n insaaf aur adl-parastii haiis haath karo us haath mile yaa.n saudaa dast-ba-dastii haijo aur kisii kii jaa.n baKHshe to us kii bhii haq jaan rakhejo aur kisii kii aan rakhe to us kii bhii haq aan rakhejo yaa.n kaa rahne vaalaa hai ye dil me.n apne jaan rakheye turat-phirat kaa naqsha hai is naqshe ko pahchaan rakhekuchh der nahii.n andher nahii.n insaaf aur adl parastii haiis haath karo us haath mile yaa.n saudaa dast-ba-dastii haijo paar utaare auro.n ko us kii bhii paar utarnii haijo Garq kare phir us ko bhii Dubko.n Dubko.n karnii haishamshiir tabar banduuq sinaa.n aur nashtar tiir nahrnii haiyaa.n jaisii jaisii karnii hai phir vaisii vaisii bharnii haikuchh der nahii.n andher nahii.n insaaf aur adl-parastii haiis haath karo is haath mile yaa.n saudaa dast-ba-dastii haijo uupar uu.nchaa bol kare to us kaa bol bhii baalaa haiaur de paTke to us ko bhii ko.ii aur paTakne vaalaa haibe-zulm-o-KHataa jis zaalim ne mazluum zabah kar Daalaa haius zaalim ke bhii lohuu kaa phir bahtaa naddii-naalaa haikuchh der nahii.n andher nahii.n insaaf aur adl-parastii haiis haath karo us haath mile yaa.n saudaa dast-ba-dastii haijo misrii aur ke mu.nh me.n de phir vo bhii shakkar khaataa haijo aur ta.ii.n ab Takkar de phir vo bhii Takkar khaataa haijo aur ko Daale chakkar me.n phir vo bhii chakkar khaataa haijo aur ko Thokar maar chale phir vo bhii Thokar khaataa haikuchh der nahii.n andher nahii.n insaaf aur adl-parastii haiis haath karo us haath mile yaa.n saudaa dast-ba-dastii haijo aur kisii ko naahaq me.n ko.ii jhuuTii baat lagaataa haiaur ko.ii Gariib aur bechaara haq naa-haq me.n luT jaataa haivo aap bhii luuTaa jaataa hai aur laaThii-paaThii khaataa haijo jaisaa jaisaa kartaa hai phir vaisaa vaisaa paataa haikuchh der nahii.n andher nahii.n insaaf aur adl-parastii haiis haath karo us haath mile yaa.n saudaa dast-ba-dastii haijo aur kii pag.Dii le bhaage us kaa bhii or uchakkaa haijo aur pe chaukii biThlaave us par bhii dho.ns-dha.Dakkaa haiyaa.n pushtii me.n to pushtii hai aur dhakke me.n yaa.n dhakkaa haikyaa zor maze kaa jamghaT hai kyaa zor ye bhii.D-bha.Dakkaa haikuchh der nahii.n andher nahii.n insaaf aur adl-parastii haiis haath karo us haath mile yaa.n saudaa dast-ba-dastii haihai khaTkaa us ke haath lagaa jo aur kisii ko de khaTkaaaur Gaib se jhaTkaa khaataa hai jo aur kisii ke de jhaTkaachiire ke biich me.n chiiraa hai aur paTke biich jo hai paTkaakyaa kahiye aur 'naziir' aage hai zor tamaashaa jhaT-paTkaakuchh der nahii.n andher nahii.n insaaf aur adl-parastii haiis haath karo us haath mile yaa.n saudaa dast-ba-dastii hai
jo na daaG chehra miTaa sake unhe.n to.Dnaa hii thaa aa.inajo KHazaana luuT sake nahii.n use rahzano.n ne luTaa diyaa
bol! arii o dhartii bol!raaj singhaasan Daa.nvaaDolbaadal bijlii rain a.ndhyaariidukh kii maarii parjaa saariibuu.Dhe bachche sab dukhiyaa hai.ndukhiyaa nar hai.n dukhiyaa naariibastii bastii luuT machii haisab baniye hai.n sab byopaariibol! arii o dhartii bol!raaj singhaasan Daa.nvaaDolkaljug me.n jag ke rakhvaalechaa.ndii vaale sone vaaledesii ho.n yaa pardesii ho.nniile piile gore kaalemakkhii bhi.nge bhin bhin karteDhuu.nDe hai.n mak.Dii ke jaalebol! arii o dhartii bol!raaj singhaasan Daa.nvaaDolkyaa afra.ngii kyaa taataariiaa.nkh bachii aur barchhii maariikab tak jantaa kii bechainiikab tak jantaa kii be-zaariikab tak sarmaaya ke dhandekab tak ye sarmaaya-daariibol! arii o dhartii bol!raaj singhaasan Daa.nvaaDolnaamii aur mash.huur nahii.n hamlekin kyaa mazduur nahii.n hamdhokaa aur mazduuro.n ko de.naise to majbuur nahii.n hammanzil apne paa.nv ke niichemanzil se ab duur nahii.n hambol! arii o dhartii bol!raaj singhaasan Daa.nvaaDolbol ki terii KHidmat kii haibol ki teraa kaam kiyaa haibol ki tere phal khaa.e hai.nbol ki teraa duudh piyaa haibol ki ham ne hashr uThaayaabol ki ham se hashr uThaa haibol ki ham se jaagii duniyaabol ki ham se jaagii dhartiibol! arii o dhartii bol!raaj singhaasan Daa.nvaaDol
aasmaa.n baadal kaa pahne KHirqa-e-deriina haikuchh mukaddar saa jabiin-e-maah kaa aa.iina haichaa.ndnii phiikii hai is nazzaara-e-KHaamosh me.nsub.h-e-saadiq so rahii hai raat kii aaGosh me.nkis qadar ashjaar kii hairat-fazaa hai KHaamushiibarbat-e-qudrat kii dhiimii sii navaa hai KHaamushiibaatin-e-har-zarra-e-aalim saraapaa dard haiaur KHaamoshii lab-e-hastii pe aah-e-sard haiaah jaulaa.n-gaah-e-aalam-giir yaanii vo hisaardosh par apne uThaa.e saik.Do.n sadiyo.n kaa baarzindagii se thaa kabhii ma.amuur ab sunsaan haiye KHamoshii us ke ha.ngaamo.n kaa goristaan haiapne sukkaan-e-kuhan kii KHaak kaa dil-daada haikoh ke sar par misaal-e-paasbaa.n istaada haiabr ke rauzan se vo baalaa-e-baam-e-aasmaa.nnaazir-e-aalam hai najm-e-sabz-faam-e-aasmaa.nKHaak-baazii vus.at-e-duniyaa kaa hai manzar usedaastaa.n naakaami-e-insaa.n kii hai azbar usehai azal se ye musaafir suu-e-manzil jaa rahaaaasmaa.n se inqilaabo.n kaa tamaashaa dekhtaago sukuu.n mumkin nahii.n aalam me.n aKHtar ke liyefaatiha-KHvaanii ko ye Thahraa hai dam bhar ke liyera.ng-o-aab-e-zinagii se gul-ba-daaman hai zamii.nsaik.Do.n KHuu.n-gashta tahziibo.n kaa madfan hai zamii.nKHvaab-gah shaaho.n kii hai ye manzil-e-hasrat-fazaadiida-e-ibrat KHiraaj-e-ashk-e-gul-guu.n kar adaahai to goristaa.n magar ye KHaak-e-garduu.n-paaya haiaah ik bargashta qismat qaum kaa sarmaaya haimaqbaro.n kii shaan hairat-aafrii.n hai is qadarjumbish-e-mizhgaa.n se hai chashm-e-tamaashaa ko hazarkaifiyat aisii hai naakaamii kii is tasviir me.njo utar saktii nahii.n aa.iina-e-tahriir me.nsote hai.n KHaamosh aabaadii ke ha.ngaamo.n se duurmuztarib rakhtii thii jin ko aarzuu-e-naa-subuurqabr kii zulmat me.n hai in aaftaabo.n kii chamakjin ke darvaazo.n pe rahtaa hai jabii.n-gustaar falakkyaa yahii hai in shahanshaaho.n kii azmat kaa ma.aaljin kii tadbiir-e-jahaa.nbaanii se Dartaa thaa zavaalrob-e-faGfuurii ho duniyaa me.n ki shaan-e-qaisariiTal nahii.n saktii Ganiim-e-maut kii yuurish kabhiibaadshaaho.n kii bhii kisht-e-umr kaa haasil hai gorjaada-e-azmat kii goyaa aaKHirii manzil hai gorshorish-e-bazm-e-tarab kyaa uud kii taqriir kyaadardmandaan-e-jahaa.n kaa naala-e-shab-giir kyaaarsa-e-paikaar me.n ha.ngaama-e-shamshiir kyaaKHuun ko garmaane vaalaa naara-e-takbiir kyaaab ko.ii aavaaz soto.n ko jagaa saktii nahii.nsiina-e-viiraa.n me.n jaan-e-rafta aa saktii nahii.nruuh-e-musht-e-KHaak me.n zahmat-kash-e-bedaad haikuucha gard-e-nai hu.aa jis dam nafas fariyaad haizindagii insaa.n kii hai maanind-e-murG-e-KHush-navaashaaKH par baiThaa ko.ii dam chahchahaayaa u.D gayaaaah kyaa aa.e riyaaz-e-dahr me.n ham kyaa ga.ezindagii kii shaaKH se phuuTe khile murjhaa ga.emaut har shaah o gadaa ke KHvaab kii taabiir haiis sitamgar kaa sitam insaaf kii tasviir haisilsila hastii kaa hai ik bahr-e-naa-paidaa-kanaaraur is dariyaa-e-be-paayaa.n kii mauje.n hai.n mazaarai havas KHuu.n ro ki hai ye zindagii be-e'tibaarye sharaare kaa tabassum ye KHas-e-aatish-savaarchaa.nd jo suurat-gar-e-hastii kaa ik ejaaz haipahne siimaabii qabaa mahv-e-KHiraam-e-naaz haicharKH-e-be-anjum kii dahshatnaak vus.at me.n magarbekasii is kii ko.ii dekhe zaraa vaqt-e-saharik zaraa saa abr kaa Tuk.Daa hai jo mahtaab thaaaaKHirii aa.nsuu Tapak jaane me.n ho jis kii fanaazindagii aqvaam kii bhii hai yuu.nhii be-e'tibaarra.ng-haa-e-rafta kii tasviir hai un kii bahaaris ziyaa.n-KHaane me.n ko.ii millat-e-garduu.n-vaqaarrah nahii.n saktii abad tak baar-e-dosh-e-rozgaaris qadar qaumo.n kii barbaadii se hai KHuugar jahaa.ndekhtaa be-e'tinaa.ii se hai ye manzar jahaa.nek suurat par nahii.n rahtaa kisii shai ko qaraarzauq-e-jiddat se hai tarkiib-e-mizaaj-e-rozgaarhai nagiin-e-dahr kii ziinat hamesha naam-e-naumaadar-e-giitii rahii aabastan-e-aqvaam-e-nauhai hazaaro.n qaafilo.n se aashnaa ye rahguzarchashm-e-koh-e-nuur ne dekhe hai.n kitne taajvarmisr o baabul miT ga.e baaqii nishaa.n tak bhii nahii.ndaftar-e-hastii me.n un kii daastaa.n tak bhii nahii.naa dabaayaa mehr-e-iiraa.n ko ajal kii shaam neazmat-e-yuunaan-o-ruumaa luuT lii ayyaam neaah muslim bhii zamaane se yuu.nhii ruKHsat hu.aaaasmaa.n se abr-e-aazaarii uThaa barsaa gayaahai rag-e-gul sub.h ke ashko.n se motii kii la.Diiko.ii suuraj kii kiran shabnam me.n hai uljhii hu.iisiina-e-dariyaa shu.aa.o.n ke liye gahvaara haikis qadar pyaaraa lab-e-juu mehr kaa nazzaara haimahv-e-ziinat hai sanobar juu.ebaar-e-aa.iina haiGuncha-e-gul ke liye baad-e-bahaar-e-aa.iina haina.ara-zan rahtii hai koyal baaG ke kaashaane me.nchashm-e-insaa.n se nihaa.n patto.n ke uzlat-KHaane me.naur bulbul mutrib-e-ra.ngii.n navaa-e-gulsitaa.njis ke dam se zinda hai goyaa havaa-e-gulsitaa.nishq ke ha.ngaamo.n kii u.Dtii hu.ii tasviir haiKHaama-e-qudrat kii kaisii shoKH ye tahriir haibaaG me.n KHaamosh jalse gulsitaa.n-zaado.n ke hai.nvaadi-e-kohsaar me.n na.are shabaa.n-zaado.n ke hai.nzindagii se ye puraanaa KHaak-daa.n ma.amuur haimaut me.n bhii zindagaanii kii ta.Dap mastuur haipattiyaa.n phuulo.n kii girtii hai.n KHizaa.n me.n is tarahdast-e-tifl-e-KHufta se ra.ngii.n khilaune jis tarahis nashaat-aabaad me.n go aish be-andaaza haiek Gam yaanii Gam-e-millat hamesha taaza haidil hamaare yaad-e-ahd-e-rafta se KHaalii nahii.napne shaaho.n ko ye ummat bhuulne vaalii nahii.nashk-baarii ke bahaane hai.n ye uj.De baam o dargirya-e-paiham se biinaa hai hamaarii chashm-e-tardahr ko dete hai.n motii diida-e-giryaa.n ke hamaaKHirii baadal hai.n ik guzre hu.e tuufaa.n ke hamhai.n abhii sad-haa guhar is abr kii aaGosh me.nbarq abhii baaqii hai is ke siina-e-KHaamosh me.nvaadi-e-gul KHaak-e-sahraa ko banaa saktaa hai yeKHvaab se ummiid-e-dahqaa.n ko jagaa saktaa hai yeho chukaa go qaum kii shaan-e-jalaalii kaa zuhuurhai magar baaqii abhii shaan-e-jamaalii kaa zuhuur
ishve hai.n ki ik fauj kha.Dii luuT rahii haichhal-bal hai ki chhaatii ko zamii.n kuuT rahii haia.ng.Daa.ii kaa KHam hai ki dhanak TuuT rahii haimukh.Daa hai ki parbat pe kiran phuuT rahii haiqaamat hai ki barnaa.ii-e-sarv-e-chamanii haikyaa gul-badanii gul-badanii gul-badanii hai
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books