aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "navishta"
tujh se mu.nh mo.D ke mu.nh apnaa dikhaa.e.nge kahaa.nghar jo chho.De.nge to phir chhaavnii chhaa.e.nge kahaa.nbazm-e-aGyaar me.n aaraam ye paa.e.nge kahaa.ntujh se ham ruuTh ke jaa.e.n bhii to jaa.e.nge kahaa.ntere haatho.n me.n hai qismat kaa navishta apnaakis qadar tujh se bhii mazbuut hai rishta apnaa
mujhe rasta nahii.n miltaamai.n jauha.D me.n khile phuulo.n ke haq me.n bol kardaldal kii tah me.n dha.ns gayaa huu.nme.n nahii.n kahtaa ki ye kis aasmaa.n kaa kaun saa sayyaara-e-bad haimagar ye tah zamii.n kii aaKHirii chhat haiyahaa.n din hii nikaltaa hai na shaam-e-umr Dhaltii haiparinda bhii nahii.n ko.ii ki jis ke paa.nv se ko.iinavishta baa.ndh kar bhejuu.n to samjhuu.n us se milne kaabahaana haath aayaa haisitaara bhii nahii.n ko.ii ki jis se guftuguu Thahrenavaah-e-jism me.n phailii KHizar-aasaar tanhaa.ii mirii saa.nse.n ba.Dhaatii haimujhe is daldalii goshe se jaane kaa ko.ii rasta nahii.n miltaasan ai merii KHizar-aasaar tanhaa.iimirii KHaatir bhii tho.Daa saa taraddud karmujhe bhii to 'sikandar' ke janaaze me.n pahu.nchnaa haimujhe bhii aab-e-haivaa.n se chhalaktii maut kaa nauha sunaanaa haimujhe bhii duur jaanaa haisan ai merii KHizar-aasaar tanhaa.iimujhe is tuKHm-e-imkaa.n ke dariiche se nikalne denumuu kii chaal chalne demujhe rasta nahii.n miltaa
zard balbo.n ke baazu.o.n me.n asiirsaKHt be-jaan lambii kaalii sa.Dakapnii be-nuur dhundlii aa.nkho.n sepa.Dh rahii hai navishta-e-taqdiir
kiil sii dahliiz me.n paivast ye kaisii chamak haidhuul ajraam-e-falak kiigutthiyaa.n mauhuum sii rishto.n kii ye kaisii hai.nsuljhaana nahii.n zinhaar varnahuu kaa aalam hai namuudaan kiisulajh jaane ke baadsabza-e-naurasta ke parde me.n saare uu.nch niichpaaTte rahne ke ai aanandbahte paaniyo.n kii aatmaakis ke hai.n ye ustuKHvaa.nmalbe me.n Dhalte ustuKHvaa.nKHaak-e-uftaada kii aglii aur pichhliihar parat kebe-zabaa.n ta.amiir-e-kaarmehrbaa.n saa ik tabassumaur shaa.ista ishaaraa ghar kii jaanibjaise ghar ke baam-o-dar par ho navishtahar savaal-e-naa-shakebaa kaa javaabphir udhar dekhaa to sab kuchhdasht-e-iKHfaa mai.n thaa adiimGaar kuTiyaa.e.n machaane.nghar gharau.ndesaare aasaar-o-mazaahirguu.nj me.n apnii samo karle u.Dii baa.ng chiil
ye ra.ng-o-buu ye nazaare ye bazm-aaraa.iiniyaaz-o-naaz-o-adaa husn ishq ra.anaa.iishabaab-e-nazm-o-Gazal dar pai-e-shakebaa.iimujhe ye saa.at-guzraa.n kahaa.n pe le aa.iiqaraar dekh liyaa iztiraar dekh liyaaGam-e-habiib Gam-e-rozgaar dekh liyaaudaas chehro.n pe u.Dtaa Gubaar dekh liyaanavaa-e-shauq ko be-iKHtiyaar dekh liyaaKHizaa.n-gaziida saa ra.ng-e-bahaar dekh liyaagumaa.n-dariida yaqiin taar taar dekh liyaatamaam ishva-e-husn-e-nigaar dekh liyaajunuu.n kaa sajda sar-e-kuu-e-yaar dekh liyaasavaad-e-aql-o-KHirad be-vaqaar dekh liyaarahaa na KHud kaa bhii phir e'tibaar dekh liyaakabhii jo dekhaa na thaa baar baar dekh liyaana ibtidaa kii KHabar hai na intihaa ma.aluumnavishta-e-pas-e-diivar kyaa hai kyaa ma.aluum
na ye fanaa hai na ye baqaa haimiyaan buud-o-adam ye kaisaa taviil vaqfa haijo navishta hamaarii qismat kaa ban gayaa haikanaar-e-dariyaa kabhii ye bastii thiilekin ab nestii-o-hastii ke darmiyaan ik maqaam-e-barzaKH haiaisaa barzaKH ki jis me.n sadiyo.n se kaaKH-o-kuu baam-o-dar musalsalshikastagii KHastagii KHaraabii me.n KHiira-sar hai.n
zamaana kitnaa badal gayaa haimaqaam rishto.n kaa miT rahaa haikahii.n mohabbat kaa ruup dhaarekahii.n sulagte ye nafrato.n sekahii.n pe aa.nkho.n me.n ret ban karchubhan kii suurat rulaa rahe hai.nkahii.n ye barqii payaam ban karhazaar miilo.n pe chhaa.ii duurii ke baadalo.n ko haTaa rahe hai.ndilo.n kii dha.Dkan ba.Dhaa rahe hai.nrivaayato.n ko badal rahe hai.nvafaa ke dhaage jafaa se har dam ulajh rahe hai.nudaas lamhe KHushii-o-hairat kii saarii gha.Diyaa.ndilo.n se baahar nikal ke diivaar kaa navishtamohabbat azalii aziim rishtajo laakho.n pardo.n me.n jagmagaataa thaaab status pe ishtihaa kii KHabar kii suurat badal rahaa haiko.ii bhii jazba ko.ii bhii rishtana mustaqil hai na mo'atabar haipalak jhapakne me.n badle manzarki jaise ko.ii jahaan-zaadii ta'alluq apnaa badal rahii hona.ii ko.ii chaal chal rahii hojunuu.n kii aglii jo manzile.n hai.nvahaa.n pe tasviire.n aavezaa.n hai.ndabii dabii muskuraahaTe.n hai.nghuTii ghuTii sansanaahaTe.n hai.njunuun ehsaas aur mohabbatvaqaar apnaa miTaa rahii hai.nbataa rahii hai.nzamaana kitnaa badal gayaa hai
sar-zamiin-e-tamannaa kii miTTii salaaKHe.n ugaane lagii haigiraftaar hone kaa mausamsar-e-qarya-e-aarzuuaaftaab-e-halaakat kii suurat chamakne lagaa haishu.aa.o.n ke nokiile panjo.n ne jismo.n ko zaKHmii kiyaa haibha.nvar dar bha.nvar raushnii ke samundartuufaan qaidii hu.eye bastii gunaaho.n se ma.amuur aafat-rasiido.n kii bastii hainau-zaa.ida aarzuu intihaa.o.n ke imkaa.n sameTezamiiro.n me.n luth.Dii jaraa.em-zada KHvaahisho.n komiTaa.e to kaiserago.n ke dariicho.n se lipTii fasiilo.n ko rezo.n kii suurathavaa me.n uchhaale to kaiseki us kaa navishta faqat az-sar-e-nau giraftaar honaane daa.ero.n ke tasallut me.n jiinaasiyaahii ke baatin me.n maujuud Gaaro.n me.n rahnaahalaakat kii sar-chashma-gaaho.n seaazaad rahne kii azmat se vaaqif havaa.ohamaarii fasiilo.n kii jaanib bhii aa.ohame.n ye bataa.ogiraftaar honaa hamaaraa navishta nahii.n thaairaado.n me.n maujuud tauq-o-salaasilhavasnaak dahshattamannaa kii miTTii me.n faulaad hote rahe hai.nKHud apnii tavaanaa haqiiqatgiraftaar karne se qaasir rahe mai.n
ham ne mahbuub ke aivaan me.n jaa kar dekhaachiin me.n misr me.n iiraan me.n jaa kar dekhaaruus me.n shaam me.n sudan me.n jaa kar dekhaaaur phir KHaana-e-sultaan me.n jaa kar dekhaanosh-o-KHurdan hai navishta tire diivaane kaa
hamaarii aa.nkh me.n nokiile kaa.nTeaur badan me.nzahr ke neze taraazuu ho chuke thejab siyah shab negulaabii sub.h ke Garqaab hone kii KHabar parham se faurii tabsira maa.ngaa
aaya KHat teraa umiido.n kaa farishta ban karyaa ki aaya mirii qismat kaa navishta ban karsaamne aaya hai jo ahd-e-guzishta ban kar
nayaa nizaam nayaa intizaam aa.egaanayaa tariiqa nayaa insiraam aa.egaasa.nbhal sa.nbhal ke raho Gaflato.n se ho bedaarjo aa rahaa hai vo ik izhdihaam aa.egaavahii nahii.n hai jo dikhtaa hai tum ko aa.nkho.n sehazaar pardo.n me.n ik iltizaam aa.egaasunaa hai murG-e-chaman kah rahaa thaa ye ro kechaman me.n naqlii ko.ii mushk-faam aa.egaasabhii hii ho.nge be-parda na ko.ii satr raheyahaa.n pe parda-shikan tezgaam aa.egaahar ek chiiz majaazii kitaab zar sarvathamaare daur kaa bas iKHtitaam aa.egaajo vaz' ho.nge tariiqe na.e na.e aqdaarrivaaj-o-rasm pe sab inhidaam aa.egaana vo tariiq-e-ta’allum na ho.ngii daanish-gaahyahaa.n pe daur-e-majaaz-o-mashaam aa.egaazavaal-e-mardumii ab hai navishta-e-diivaarqadam qadam pe vo ab mustadaam aa.egaaagar jo chaaho to kah lo ki 'ahd-e-dajjaaliisukuu.n ke parde me.n sad ehtimaam aa.egaahamaaraa daur hai ik daur-e-haa.ilii yaaroyahii.n se ibtidaa-o-iKHtitaam aa.egaashuruur-o-nekii ke advaar aate rahte hai.nruKHo.n pe ashk kabhii ibtisaam aa.egaa
jab tak nishaan puKHta nahii.n ho jaataaaa.nsuu nahii.n kahlaataaaa.nsuu sayyaal suurat nahii.njaamidaana vasf kaa bhii haamil haiqiimat-e-arz-e-hunar kii KHaatiristaqaamat, puKHtagii aur giraftagii-e-fikr laazim haivaqt hathelii par Thahrii shabnam ko aa.iina kyaa dikhlaataashabnam KHud muttasif hai aa.iine kiinavishta hai vaqt kii
hangaama-e-roz-o-shab se haT karkuchh der ko zaat se nikal karehsaas mile jo maavaraa.iibe-saaKHta dil ye chaahtaa haivo haath jo likh rahaa hai sab kuchhtaqdiir kaa khol kar navishtajab apne hii dhyaan me.n magan hochupke se uThaa ke e.Diyo.n kohaule se varaq ulaT ke dekhuu.nis vaqt me.n jo hai aane vaalaajaa.n-levaa masaafato.n ke rasto.npar kaun kahaa.n talak chalaa haiaur KHaak ke is badan pe kitnaadukh dard kii KHema bastiyo.n kaaye bojh ko.ii uThaa sakaa haiaa.nkho.n me.n jale diyo.n kii lau nebujhne me.n liyaa hai vaqt kitnaakab tak bharam aa.nsu.o.n kaa rakhaaKHvaabo.n kii hatheliyo.n ne kab takafsuu.n ke charaaG thaam rakkhemai-KHaana-e-sarKHushii ne kab takmastii ke ayaaG thaam rakkheqadmo.n ne diyaa thaa kis qadar saathik dau.D ko haarne se pahleik paikar-e-dard se tarab kaamalbuus utaarne se pahlebe-saaKHta dil ye chaahtaa hai
sab raat mirii sapno.n me.n guzar jaatii hai aur mai.n sotaa huu.nphir sub.h kii devii aatii haiapne bistar se uThtaa huu.n mu.nh dhotaa huu.nlaayaa thaa kal jo double-roTiius me.n se aadhii khaa.ii thiibaaqii jo bachii vo meraa aaj kaa naashta hai
self made logo.n kaa alamiyaraushnii mizaajo.n kaa kyaa ajab muqaddar haizindagii ke raste me.n bichhne vaale kaa.nTo.n koraah se haTaane me.nek ek tinke se aashiyaa.n banaane me.nKHushbu.e.n paka.Dne me.n gulistaa.n sajaane me.numr kaaT dete hai.numr kaaT dete hai.naur apne hisse ke phuul baa.nT dete hai.nkaisii kaisii KHvaahish ko qatl karte jaate hai.ndarguzar ke gulshan me.n abr ban ke rahte hai.nsabr ke samundar me.n kashtiyaa.n chalaate hai.nye nahii.n ki un ko is roz-o-shab kii kaahish kaakuchh sila nahii.n miltaamarne vaalii aaso.n kaa KHuu.n-bahaa nahii.n miltaazindagii ke daaman me.n jis qadar bhii KHushiyaa.n hai.nsab hii haath aatii hai.nsab hii mil bhii jaatii hai.nvaqt par nahii.n miltii.n vaqt par nahii.n aatii.nyaanii un ko mehnat kaa ajr mil to jaataa hailekin is tarah jaiseqarz kii raqam ko.ii qist qist ho jaa.easl jo ibaarat ho pas navisht ho jaa.efasl-e-gul ke aaKHir me.n phuul un ke khulte hai.nun ke sahn me.n suuraj der me.n nikalte hai.n
jaago sone vaalo jaagovaqt ke khone vaalo jaagobaaG me.n chi.Diyaa.n bol rahii hai.nkaliyaa.n aa.nhke.n khol rahii hai.nphuul KHushii se jhuum rahe hai.npatto.n kaa mu.nh chuum rahe hai.njaag uThe dariyaa aur nahre.njaag uThii.n mauje.n aur lahre.nnaav chalaane vaale jaagepaar lagaane vaale jaagesaarii duniyaa jaag rahii haikaam kii jaanib bhaag rahii hailikhne pa.Dhne vaalo jaagophuulne ba.Dhne vaalo jaagomu.nh dho-dhaa kar naashta khaa.obasta le kar madrase jaa.osub.h kaa sonaa KHuub nahii.n haiachchhaa ye usluub nahii.n haijaago sone vaalo jaagovaqt ke khone vaalo jaago
ek nazm kahii.n se bhii shuruu.a ho saktii haijuuto.n kii jo.Dii seyaa qabr se jo baarish me.n baiTh ga.iiyaa us phuul se jo qabr kii paa.iinii par khilaahar ek ko kahii.n na kahii.n panaah mil ga.iichii.ntiyo.n ko jaa-e-namaaz ke niicheaur la.Dkiyo.n ko mirii aavaaz me.nmurda bail kii khopa.Dii me.n gilahrii ne ghar banaa liyaa hainazm kaa bhii ek ghar hogaakisii jilaa-vatan kaa dil yaa intizaar kartii hu.ii aa.nkhe.nek pahiya hai jo banaane vaale se adhuuraa rah gayaa haiise ek nazm mukammal kar saktii haiek guu.njtaa hu.aa aasmaan nazm ke liye kaafii hotaa hailekin ye ek naashta-daan me.n baa-aasaanii samaa saktii haiphuul aa.nsuu aur ghanTiyaa.n is me.n piro.ii jaa saktii hai.nise andhere me.n gaayaa jaa saktaa haityauhaaro.n kii dhuup me.n sukhaayaa jaa saktaa haitum ise dekh saktii hoKHaalii bartano.n KHaalii qabzo.n aur KHaalii gahvaaro.n me.ntum ise sun saktii hohaath-gaa.Diyo.n aur janaazo.n ke saath chalte hu.etum ise chuum saktii hobandar-gaaho.n kii bhii.D me.ntum ise guu.ndh saktii hopatthar kii maa.nd me.ntum ise ugaa saktii hopodiine kii kiyaariyo.n me.nek nazmkisii bhii raat se taariik nahii.n kii jaa saktiikisii talvaar se kaaTii nahii.n jaa saktiikisii diivaar me.n qaid nahii.n kii jaa saktiiek nazmkahii.n bhii saath chho.D saktii haibaadal kii tarahhavaa kii tarahraaste kii tarahbaap ke haath kii tarah
aah jab dil se nikaltii hai asar rakhtii haigulshan-e-ziist jalaane ko sharar rakhtii haitop talvaar na ye teG-o-tabar rakhtii haibint-e-havvaa kii tarah tiir-e-nazar rakhtii haiitnaa pur-soz hu.aa naala-e-saffaak miraakar gayaa dil pe asar shikva-e-bebaak miraaye kahaa sun ke sasur ne ki kahii.n hai ko.iisaas chupke se ye bolii.n ki yahii.n hai ko.iisaaliyaa.n kahne lagii.n qurb-o-qarii.n hai ko.iisaale ye bole ki marduud-o-la.ii.n hai ko.iikuchh jo samjhaa hai to ham-zulf ke behtar samjhaamujh ko begam kaa sataayaa hu.aa shauhar samjhaaapne haalaat pe tum Gaur zaraa kar lo agarjald khul jaa.egii phir saarii haqiiqat tum parmai.n ne ugne na diyaa zehn me.n nafrat kaa shajartum pe Daalii hai sadaa mai.n ne mohabbat kii nazarkah ke sartaaj tumhe.n sar pe biThaayaa mai.n netum to beTe the faqat baap banaayaa mai.n nemai.n ne sasuraal me.n har shaKHs kii izzat kii haisaas sasure nahii.n nando.n kii bhii KHidmat kii haijeTh devar se jeThaanii se mohabbat kii haimai.n ne din raat mashaqqat hii mashaqqat kii haiphir bhii ho.nTo.n pe ko.ii shikva gila kuchh bhii nahii.nmere din raat kii mehnat kaa sila kuchh bhii nahii.nsub.h-dam bachcho.n ko tayyaar karaatii huu.n mai.nnaashta sab ke liye roz banaatii huu.n mai.nbaasii tum khaate nahii.n taaza pakaatii huu.n mai.nchho.Dne bachcho.n ko school bhii jaatii huu.n mai.nmai.n ki insaan huu.n insaan nahii.n jin ko.iimerii taqdiir me.n chhuTTii kaa nahii.n din ko.iivo bhii din the ki dulhan ban ke mai.n jab aa.ii thiisaath me.n jiine kii marne kii qasam khaa.ii thiipyaar aa.ankho.n me.n thaa aavaaz me.n shahnaa.ii thiikabhii mahbuub tumhaarii yahii harjaa.ii thiiapne ghar ke liye ye hastii miTaa dii mai.n nezindagii raah-e-mohabbat me.n luTaa dii mai.n nekis qadar tum pe giraa.n ek faqat naarii haidaal roTii jise denaa bhii tumhe.n bhaarii haimujh se kab pyaar hai aulaad tumhe.n pyaarii haitum hii kah do yahii aa.iin-e-vafaadaarii haighar to biivii se hai biivii jo nahii.n ghar bhii nahii.nye double bed ye takiya nahii.n chaadar bhii nahii.nmai.n ne maanaa ki vo pahlii sii javaanii na rahiihar shab-e-vasl na.ii ko.ii kahaanii na rahiiqulzum-e-husn me.n pahlii sii ravaanii na rahiiab mai.n pahle kii tarah raat kii raanii na rahiiapnii aulaad kii KHaatir mai.n javaa.n huu.n ab bhiijis ke qadmo.n me.n hai jannat vahii maa.n huu.n ab bhiithe jo ajdaad tumhaare na thaa un kaa ye shi.aartum ho biivii se pareshaan vo biivii pe nisaartum kyaa karte ho har vaqt ye jo tum bezaartum ho guftaar ke Gaazii vo saraapaa kirdaarapne ajdaad kaa tum ko to ko.ii paas nahii.nham to behis hai.n magar tum bhii to hassaas nahii.nnahii.n jin mardo.n ko parvaa-e-nasheman tum hoachchhii lagtii hai jise roz hii uljhan tum hoban ga.e apnii grihastii ke jo dushman tum hoho ke Gairo.n pe fidaa biivii se bad-zan tum hophir se aabaad na.ii ko.ii bhii vaadii kar lokisii kalbisnii se ab duusrii shaadii kar lo
khilaa.Diyo.n ke KHud-navisht dastaKHat ke vaastekitaabche liye hu.ekha.Dii hai.n muntazir hasiin la.Dkiyaa.nDhalakte aa.nchalo.n se be-KHabar hasiin la.Dkiyaa.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books