SEARCH RESULTS
Showing search results for "navishta"
Ghazal MATCHES FOR "navishta"
Ghazal
yaqii.n to ye hai vo KHat kaa javaab likkhe.nge
magar navishta-e-qismat kisii ko kyaa ma.aluum
Dagh Dehlvi
Ghazal
dukh navishta hai to aa.ndhii ko likhaa aahista
ai KHudaa ab ke chale zard havaa aahista aahista
Parveen Shakir
Ghazal
log kahte hai.n muqaddar kaa navishta jis ko
ham nahii.n maante har chand magar hotaa hai
Saifuddin Saif
Ghazal
shaayad KHudaa-na-KHaasta aa.nkhe.n daGaa kare.n
achchhaa nahii.n navishta-e-taqdiir dekhnaa
Yagana Changezi
Ghazal
takiye me.n kyaa rakhaa hai KHat-e-Gair kii tarah
dekhuu.n to mai.n navishta-e-qismat miraa na ho
Bedam Shah Warsi
Ghazal
pa.Dhnaa hai to navishta-e-bainassutuur pa.Dh
tahriir-e-be-huruuf ke ma.anii pe dhyaan de
Himayat Ali Shayar
Ghazal
diyaa navishta na us but ko dil ke tuude me.n
KHudaa ke ghar kaa bhalaa mai.n qabaala kyaa kartaa
Haidar Ali Aatish
Ghazal
KHat aayaa vaa.n se aisaa jis se apnaa
navishta KHuub samjhe ham pa.Dhaa kar
Jurat Qalandar Bakhsh
Ghazal
na hogaa farq nuqte kaa milaa kar dekh le ko.ii
mire aamaal-naame se navishta merii qismat kaa
Imdad Ali Bahr
Ghazal
sar-e-navishta-e-taqdiir KHvaab kii suurat
likhe hai.n ret pe kuchh harf-e-raa.egaan se log
Shahid Kamal
Ghazal
miTtaa nahii.n navishta-e-qismat kisii tarah
jauhar kabhii na KHanjar-e-burraa.n se duur ho.n
Haidar Ali Aatish
Ghazal
fard-e-amal navishta-e-taqdiir pa.Dh chukaa
KHaamosh sar jhukaa.e KHud apne huzuur huu.n
Ishrat Qadri
Ghazal
hamaaraa sher samajhne kii kuchh to koshish kar
ye kyaa navishta-e-diivaar me.n nahii.n aataa
Raoof Khair
Ghazal
pas-e-navishta-e-taqdiir maajraa kyaa thaa
bujhaa.e kis ne sitaare javaab tak na mile
Aila Tahir
Ghazal
kabhii tabaah hu.e mashvara na milne se
kabhii navishta-e-diivaar ne halaak kiyaa
Basir Sultan Kazmi
Ghazal
apnii qismat kaa navishta jo dikhaayaa ham ne
hashr ke roz Galat naama-e-a.amaal hu.aa