aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "phate"
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
jo KHush hai.n vo KHushii me.n kaaTe hai.n raat saariijo Gam me.n hai.n unho.n par guzre hai raat bhaariisiino.n se lag rahii hai.n jo hai.n piyaa kii pyaariichhaatii phaTe hai un kii jo hai.n birah kii maariikyaa kyaa machii hai.n yaaro barsaat kii bahaare.n
ab sab manzarbadal chuke hai.nchhoTe chhoTe chauraaho.n sechau.De raste nikal chuke hai.nna.e na.e baazaarpuraane galii mohalle nigal chuke hai.nnazm se mujh takab koso.n lambii duurii haiin koso.n lambii duurii me.nkahii.n achaanakbam phaTte hai.nkokh me.n maa.o.n kesote bachche kaTte hai.nmaz.hab aur siyaasatdono.nna.e na.e naare raTte hai.nbahut se shahro.nbahut se mulko.n seab chal karnazm mire ghar jab aatii haiitnii ziyaada thak jaatii haimere likhne kii Table parKHaalii kaaGaz koKHaalii hii chho.D ke ruKHsat ho jaatii haiaur kisii footpath pe jaa karshahr ke sab se buu.Dhe shahrii kiipalko.n par!aa.nsuu ban kar so jaatii hai
nahii.n meraa aa.nchal melaa haiaur terii dastaar ke saare pech abhii tak tiikhe hai.nkisii havaa ne in ko ab tak chhuune kii jur.at nahii.n kii haiterii ujlii peshaanii parga.e dino.n kii ko.ii gha.Diipachhtaavaa ban ke nahii.n phuuTiiaur mere maathe kii siyaahiitujh se aa.nkh milaa kar baat nahii.n kar saktiiachchhe la.Dkemujhe na aise dekhapne saare jugnuu saare phuulsambhaal ke rakh lephaTe hu.e aa.nchal se phuul gir jaate hai.naur jugnuupahlaa mauqa.a paate hii u.D jaate hai.nchaahe o.Dhnii se baahar kii dhuup kitnii hii ka.Dii ho!
is kaarvaa.n me.n tifl bhii hai.n naujavaa.n bhii hai.nbuu.Dhe bhii hai.n mariiz bhii hai.n naa-tavaa.n bhii hai.nmaile phaTe libaas me.n kuchh deviyaa.n bhii hai.nsab zindagii se ta.ng bhii hai.n sargiraa.n bhii hai.nbe-zaar zindagii se hai.n piir o javaa.n sabhiialtaaf-e-shahryaar ke hai.n nauha-KHvaa.n sabhii
dekho Gariib kitnii zahmat uThaa rahaa haigaliyo.n me.n bhii.D vaalii rickshaw chalaa rahaa haimahruum hai agarche duniyaa kii ne.amato.n sehar bojh zindagii kaa ha.ns kar uThaa rahaa haibarsaat me.n bhii dekho phirtaa hu.aa sa.Dak parrickshaw bhii bhiigtaa hai KHud bhii nahaa rahaa haigarmii kii dhuup me.n bhii ruktaa nahii.n hai ghar me.npur-pech raasto.n ke phere lagaa rahaa haisardii se kaa.nptaa hai kap.De phaTe hu.e hai.nThanDii havaa se KHud ko kaise bachaa rahaa haimastii me.n dau.Dtaa hai rickshaw liye sa.Dak parnaGma ko.ii suriilaa ab gungunaa rahaa hairikshe ke pedalo.n par rakhe hai.n paa.nv dono.naa.nkhe.n hai.n raaste par ghanTii bajaa rahaa haimaa.n baap muntazir hai.n ghar par sabhii ke 'aadil'bachcho.n ko ab vo lene school jaa rahaa hai
takte rahnaa haa.e vo pahro.n talak suu-e-qamarvo phaTe baadal me.n be-aavaaz-paa us kaa safarpuuchhnaa rah rah ke us ke koh-o-sahraa kii KHabaraur vo hairat daroG-e-maslahat-aamez paraa.nkh vaqf-e-diid thii lab maa.il-e-guftaar thaadil na thaa meraa saraapaa zauq-e-istifsaar thaa
gulnaar dekhtii hai ye mazduur aurte.nchehro.n pe KHaak dhuul ke po.nchhe hu.e nishaa.ntuu aur ra.ng-e-Gaaza-o-gulguuna-o-shahaabsochaa bhii kis ke KHuun kii bantii hai.n surKHiyaa.ngulnaar dekhtii hai ye mazduur aurte.nmaile phaTe libaas hai.n mahruum-e-shast-o-shuutuu aur itr o ambar o mushk o abiir o uudmazduur ke bhii KHuun kii aatii hai is me.n buugulnaar dekhtii hai ye mazduur aurte.ntan Dhaa.nkne ko Thiik se kap.Daa nahii.n hai paastuu aur hariir o atlas o kam-KHvaab o parniyaa.nchubhtaa nahii.n badan pe tire reshmii libaasgulnaar dekhtii hai ye mazduur aurte.nchaa.ndii kaa ko.ii ganjh na sone kaa ko.ii taartuu aur haikal-e-zar o aaveza-e-guharsiine pe ko.ii dam bhii dha.Daktaa hai teraa haargulnaar dekhtii hai ye mazduur aurte.nsadiyo.n se har nigaah hai faaqo.n kii rahguzartuu aur ziyaafato.n me.n ba-sad-naaz jalva-garkis ke lahuu se garm hai ye mez kii bahaargulnaar dekhtii hai ye mazduur aurte.ntaariik maqbaro.n se makaa.n in ke kam nahii.ntuu aur zeb-o-ziinat-e-alvaan-e-zar-nigaarkyaa tere qasr-e-naaz kii hiltii nahii.n zamii.ngulnaar dekhtii hai ye mazduur aurte.nmehnat hii un kaa saaz hai mehnat hii un kaa raagtuu aur shuGl-e-raamish-o-raqs-o-rabaab-o-ra.ngkyaa tere saaz me.n bhii dahaktii hai ko.ii aaggulnaar dekhtii hai.n ye mazduur aurte.nmehnat pe apne peT se majbuur aurte.n
raasta nahii.n miltaamunjamid a.ndheraa haiphir bhii baa-vaqaar insaa.nis yaqii.n pe zinda haibarf ke pighalne me.npau phaTe kaa vaqfa haius ke baa'd suuraj kokaun rok saktaa hai
ye maanaa raat aa.nkho.n me.n kaTiiek ek pal but saa ban kar jam gayaaik saa.ns to ik sadii ke baad phir se saa.ns lene kaa KHayaal aayaaye sab sach hai ki raat ik karb-e-be-paayaa.n thiilekin karb hii taKHliiq haiai pau phaTe ke dilrubaa lamho gavaahii do
eid bahut hii dhuum se aa.iibaazaaro.n me.n raunaq laa.iipahan ke achchhe achchhe kap.Debachche apne ghar se niklekap.De goTe aur phaTe kejhilmil karte jham jham karteeid milan ko pahu.nche ghar gharkitne KHush the baaham mil karphenii aur miThaa.ii khaa.iimiiThii miiThii eid manaa.iimile unhe.n eidii ke paisekhel khilaune KHuub KHariidejaa kar baaG me.n jhuulaa jhuuleduniyaa ke saare Gam bhuulesab ne dil se eid manaa.iimagar hame.n to zaraa na bhaa.iitum jo nahii.n thii.n paas hamaaredil bhar aayaa Gam ke maaremerii 'siimii.n' merii pyaariitum ko mubaarak eid tumhaariitum ne manaa.ii KHuub ye eidhame.n tumhaarii hu.ii na diidham to jab tum ko dekhe.ngeeid usii din kii samjhe.nge
gosht machhlii sabziyaa.n baniye kaa ration duudh ghiimujh ko khaatii hai.n ye chiize.n mai.n ne kab khaayaa inhe.nmeraa ghar rahtaa hai mujh me.n ghar me.n mai.n rahtaa nahii.nbiivii bachcho.n ke phaTe kap.Do.n me.n huu.naur na.e jo.Do.n kii KHushiyo.n me.n chhupaa jo karb hai vo bhii huu.n mai.nfees me.n school kii copy kitaabo.n me.n bhii mai.nmai.n hii huu.n chuulhe kii gasmai.n hii huu.n stove kaa gasmere juute jo.nk kii maanind mere paa.nv se lipTe hu.e hai.nchuuste hai.n meraa KHuunmeraa scooter mere kaa.ndho.n pe baiThaa haimai.n us ke tyro.n me.n lipTaa huu.n aur ghistaa huu.n
sa.Dak masaafat kii ujlato.n me.nghire hu.e sab musaafiro.n koba-Gaur fursat se dekhtii haikisii ke chehre pe surKH vahshat chamak rahii haikisii ke chehre se zard hairat chhalak rahii haikisii kii aa.nkhe.n harii-bharii hai.nkabiir had se ubhar rahaa haisaGiir qad se guzar rahaa haikisii kaa tyre kisii ke pahiye ko khaa rahaa haikisii kaa juutaa kisii kii chappal chabaa rahaa haikisii ke pairo.n me.n aa rahaa hai kisii kaa bachchakisii kaa bachcha kisii ke shaane pe jaa rahaa haiko.ii Thikaane pe ko.ii khaane pe jaa rahaa haihabiib dast-e-raqiib thaameGariib-KHaane pe jaa rahaa haiamiir pi.njra banaa rahaa haiGulaam kartab dikhaa rahaa haiaur apne beTe ke saath chhat paramiin kunDaa lagaa rahaa hainizaam Taa.nga chalaa rahaa haikisii kalaa.ii pe jagmagaatii hu.ii gha.Dii haimagar abhii vo rukii hu.ii haikisii ke chehre pe baara bajne me.n paa.nch second rah ga.e hai.nkisii kii haathii-numaa pradosa.Dak se aise guzar rahii haisivaa.e is ke kahii.n bhii jaise ko.ii nahii.n hokisii kii mo.nchhe.n jhukii hu.ii hai.nkisii kii baa.nchhe.n khilii hu.ii hai.nkisii kii taxi kisii kii foksii milii hu.ii hai.nkisii ke lab aur kisii kii aa.nkhe.n silii hu.ii hai.nkisii ke kap.De phaTe hu.e hai.nkisii kii pag.Dii chamak rahii haikisii kii ra.ngat kisii kii Topii u.Dii hu.ii haishariif nazre.n uThaa uThaa karkamaan jismo.n pe apnii vahshat ke tiir kab se chalaa rahaa hainaziir nazre.n churaa rahaa hainafiis apne cluff kii shikno.n ko ro rahaa haihakiim apne matab ke shiisho.n ko dho rahaa haikisii kii aa.nkho.n ke dhu.ndle shiisho.n me.n us ke maazii kii jhalkiyaa.n hai.nkisii kii aa.nkho.n me.n aane vaale hasiin lamho.n kii mastiyaa.n hai.nkisii kii aa.nkho.n me.n rat-jago.n kii kuchh arGavaanii sii Doriyaa.n hai.nkisii ke kaa.ndhe pe us ke KHvaabo.n kii boriyaa.n hai.nkabaa.D-KHaane pe baasii Tuk.Do.n kii or kitaabo.n kii boriyaa.n hai.nbuzurg bargad ke niiche buu.Dhaa kha.Daa hu.aa haiaur us ke haatho.n me.n tape lipTii hu.ii chha.Dii haipolice kii gaa.Dii pikiT lagaa karsa.Dak pe tirchhii kha.Dii hu.ii haiaur ek mazduur apnaa daaman uThaa.e be-bas kha.Daa hu.aa haiaur ik sipaahii ki us ke nefe me.n u.ngliyo.n ko ghumaa rahaa haivahii.n pe shaahid siyaah chashma lagaa ke KHud ko chhupaa rahaa hainews channel kii chhoTii gaa.Dii ba.Dii KHabar kii talaash me.n haido sabzii vaale bhii apnii pherii lagaa rahe hai.nto phuul vaale ke sar pe phuulo.n kii Tokarii haikisii kii aa.nkho.n me.n naukrii haikisii kii aa.nkho.n me.n chhokrii haivaqaar sar ko jhukaa rahaa haifaraaz khaa.ii me.n jaa rahaa haito giilii cigarette ke kash lagaa karnavaab rickshaw chalaa rahaa haisaliim kannii ghumaa rahaa haivakiil vardii me.n jaa rahaa haizamiir baGle.n bajaa rahaa haiaur ek vaa.iz bataa rahaa haiKHudaa ko naaraaz karne vaale jahannamii hai.nKHudaa ko raazii karo KHudaaraaKHudaa ko raazii karo KHudaaraaaur us ke aage nasiir akmal kamaal shaadaab Gulaam saarenazar jhukaa.e kha.De hu.e hai.nki chashm-e-biinaa agar kahii.n haito samjho paataal tak ga.Dhii haikisii ko a-c KHariidnaa haikisii ko pii sii KHariidnaa haikisii kii bas aur kisii kii bii-sii nikal rahii haiaqiila KHaala ke dono.n haatho.n me.n aaTh thaile laTak rahe hai.naur aate jaate sabhii musaafirunhe.n musalsal khaTak rahe hai.nziyaa a.ndhere me.n jaa rahaa haigulaab kachraa jalaa rahaa haiaziim makkhii a.Daa rahaa haikaliim guTkaa chabaa rahaa haito ghanTa-package pe jaane kab sefahiim gappe.n la.Daa rahaa haisabaq musaavaat kaa sikhaanevaziir gaa.Dii me.n jaa rahaa haisanaa nidaa ko na.e latiife sunaa rahii haihinaa hathelii ko takte takte puraane raste se aa rahii haiaur apnii bhaavaj kaa haath thaamezubaida check-up ko jaa rahii haivo apnii nazre.n kabhii idhar ko kabhii adhar ko gumaa rahii haimagar ko.ii shai use musalsal bulaa rahii rahii haiajiib ujlat ajiib vahshat ajiib Gaflat kaa maajraa haikahuu.n mai.n kis se mire KHudaayaa ye kaisii KHilqat kaa maajraa haiki apnii mastii me.n mast ho karye sab musaafir guzar rahena.e musaafir ubhar rahe hai.nsa.Dak jahaa.n thii vahii.n kha.Dii haimagar haqiiqat bahut ba.Dii haisa.Dak pe billii marii pa.Dii hai
desh hai apnaa maante ho naadukh jitne hai.n jaante ho naape.D hai ek par Daale.n bahut hai.nDaalo.n par Tahniyaa.n bahut hai.npatte hai.n rozaana ugtepiile lekin girte rahtetum ho maalii nazar kahaa.n haichaman kii socho dhyaan kahaa.n hai
raat kii kaalii baarish nechehro.n kii vardiikiicha.D se bhar dii haimere siine ke pinjre me.nKHuun kaa gardish karne vaalaa laTTuunafrat ke paudo.n ke uuparghuum rahaa haitum ne aise kaa.nTemerii shiryaano.n me.n bo.e hai.naisii dopahro.n kii zardiimere gaalo.n pe liipii haiki mai.n bistar kii shikno.n me.napnii aa.nkhe.n bo kar rotaa huu.npahlii baar jab Gam kii putlii qaash kochehre se nochaa thaajab Gurbat ke auraaqhavaa me.n u.Dte thejab KHaalii me.ade kii tasviir banaa karus me.n chiize.n rakhtaa thaaphaTe hu.e kap.Do.n me.n jabtasviir chhupaa kar rakhtaa thaamerii shahvatku.nvaar pane kii dahliizo.n parapnaa KHutba likhtii thiibiis baras un galiyo.n kii diivaaro.n seTakraa Takraa karmere ka.ndhe ret ke pushte ban karDhete jaate hai.nmai.n jo terii raano.n ke jangal me.nkaale phuul ko to.Dne niklaa thaaab dekh rahaa huu.ndil kii korii miTTii me.ntere jism kii patlii shaaKHe.n ugii hu.ii thii.naur ik aavaara sannaaTaachhato.n par bhaarii qadmo.n seba.Dii aahistagii ke saath chaltaa haito vo chupke se mere paas aatii haiaur apne dhiime lahje me.nvo saarii daastaane.n kah sunaatii haijinhe.n sun kar mai.n dhiimii aa.nch parpahro.n sulagtaa huu.nkisii girje ke viiraa.n lawn me.njab januaryapne sunahrii gesu.o.n ko khol karko.ii puraanaa giit gaatii haito vo ik an-chhuu.ii nan kii tarahpatthar ke bencho.n parmire kaa.ndhe par sar rakhemire chehre pe apnii u.ngliyo.n me.nkabhii jab shaam rotii haisiyah kaafii ke pyaalo.n selapaktii bhaap me.nphir aa.ndhii kii aamad se aisii gard hu.iiaisaa habs mirii saa.nso.n me.n phailaatere jism kii kashtii me.nmai.n apne kap.De bhuul aayaapar tum ne aadhii raat ko aisii chuTkii liinii.nd kii DholakghuTno.n kii zarbo.n se chaknaachuur hu.iiab mu.nh se shiira bahtaa haiun zaKHmo.n kaajin ke Taa.nke andar hii andar TuuTe hai.nbijlii kii taaro.n ke uuparkavve qataar me.n baiThe hai.nbaarish ke paanii me.n jin keaskarii baazuu hilte hai.nraano.n kii ye niilii variide.njin me.n du.aa kaa naqshii kuuzaulaT gayaa haimai.n ne un galiyo.n me.napne marne kii afvaah sunii haiKHush-ilhaan mo.azzin kiiaavaaz se chi.Diyaa.n u.Dtii hai.nai rasto.n kii raadhaatere vasl kii KHaatirjism ke nijii hisse dho karlauT ke phir mai.n aayaa huu.n
ham pe.Do.n ke azaab sahe.nyaa dukho.n ke phaTe kap.De pahne.n
gha.Dii kii Tik-Tik bol rahii hai raat ke shaayad ek baje hai.nbaTla house kii ek galii me.n moTe kutte bhau.nk rahe hai.nek kha.nDar me.n tez raushnii chaaro.n jaanib phail rahii haibaGal me.n leTaa saathii meraa ab tak pub jii khel rahaa haimai.n bhii ab tak jaag rahaa huu.n aa.nkhe.n muu.nde soch rahaa huu.nniiche jaanaa kaisaa hogaa baahar kitnii sardii hogiiqutub sitaara kidhar ko hogaa raat kii raanii kaisii hogiisub.h kaa suuraj kahaa.n pe hogaa abhii KHudaa kyaa kartaa hogaasa.Dak kinaare sone vaale jo.De kaise sote ho.ngein ko machchhar kaaTte ho.ngenaum chomsky lawn me.n baiThe bachche aaKHir kaise ho.ngeun ko kutte chaaTte ho.ngekyaa in bhuuk-zada bachcho.n ke KHvaab me.n pariyaa.n aatii ho.ngiikaTe-phaTe haatho.n ke takiye ke niiche kuchh rakhtii ho.ngiikaisii baate.n karte ho jii kyaa pariyo.n kaa kaam yahii haimahal saraa.e chho.D ke ab vo sa.Dak kinaare aa.e.ngii kyaaraat ke shaayad De.Dh baje hai.n baTla house kaa chauk khulaa hairaat ko job se aane vaale raat me.n job ko jaane vaaleek haath me.n liye chaa.e cup ek haath me.n chhoTii cigarettesa.Dak paar kyo.n dekh rahe hai.nbiryaanii ko Dhuu.nDh rahe hai.nun ke piichhe sa.Dak kinaare qabristaan kaa gate khulaa haiandar kutte ghuum rahe hai.n shaayad khaanaa Dhuu.nDh rahe hai.nbaahar cigarette aur coffee hai andar kaafii taariikii haimai.n bhii andar jhaa.nk rahaa huu.n haule haule soch rahaa huu.nqabristaan ke andar me.n ye latrine kis ne banvaayaakyo.n banvaayaashaayad murde raat me.n uTh kar us ke andar jaate ho.ngehaajat puurii karte ho.ngeyaa phir cigarette piine vaale la.Dke andar jaate ho.ngeKHaakii vardii ghar vaalo.n se chhup kar cigarette piite ho.ngeek kinaare adab kii malika sab kuchh baiThii dekh rahii haiaag kaa dariyaa chaa.ndnii begam shiishe kaa ghar likhne vaaliiainii aapaa soch rahii haimeraa qaarii kyo.n aayaa haishaayad is ko gautam shankar tal.at ne uljhaayaa hogaayaa phir us ko KHayaabaa.n kii champaa ne paglaayaa hogaayaa phir is paagal la.Dke ne shu.uur kii rau ko chhe.Daa hogaayaa phir is ne aag kaa dariyaa aadhaa pa.Dh kar chho.Daa hogaafalsafyaana baate.n sun kar saare murde sochte ho.ngeko.ii apnii KHvaab-gaah ko chho.D ke aaKHir kyo.n aayaa haimai.n bhii baiThaa soch rahaa huu.nitnii raat ko kyo.n aayaa huu.n
adh-phaTe posTaro.n ke pairaahanaahanii bilDigo.n ke jismo.n parkitne dilkash dikhaa.ii dete hai.nbas kii behis nashisto.n par baiThiidin ke baazaar se KHariidii hu.iiaarzuu Gam umiid mahruumiinii.nd kii goliyaa.n gulaab ke phuulkele amruud santare chaavalpainT gu.Diyaa shamiiz chuuhe-daanek ik shai kaa kar rahii hai hisaabahd-e-haazir kii dil-rubaa maKHluuq!
haamila badliyo.n neapne kaTe-phaTe kinaaro.n me.nchaa.ndii kii jhaalare.n laTkaa rakhii thii.naur apnii dulaa.iyo.n ke baKHiyo.n me.nra.ngo.n kii bichkaariyaa.n chhupaa rakkhii thii.nufuq surKH thaajaise shahr ke shohdeDarpok dukaan-daaro.n parapnii dhaak jamaanena.ii kaTaa.iyaa.n kamaane par muqarrar huu.nsode kii botalo.n seek duusre par hamla-aavar huu.naur fuTpaatho.n parshiisho.n ke Tuk.Do.n seajnabii raahgiiro.n kena.nge pairo.n sesirf unnaab dastiyaab hozamiin gulnaar banebas isii tarah kaa rang aasmaan me.nkhilaa hu.aa milaaraat kii fasiil ke qariibshaam kaa muhaasara kiyepa.Daa hu.aa thaa mai.n
jab 'charlie' ke pairo.n me.nphaTe hu.e juute hu.aa karte theek aurat ne us kii mohabbatmustarad kar dii thii
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books