aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "science"
aaTh hii billion umr zamii.n kii hogii shaayadaisaa hii andaaza hai kuchh science kaachaar eshaariya billion saalo.n kii umr to biit chukii haikitnii der lagaa dii tum ne aane me.naur ab mil karkis duniyaa kii duniyaa-daarii soch rahii hokis maz.hab aur zaat aur paat kii fikr lagii haiaa.o chale.n abtiin hii billion saal bache hai.n
us kii daanaa.ii kaa haasil naaKHuun-e-uqda-kushaataabnaaki-e-zamiir-o-ziirakii kaa aaftaabchaahne vaalo.n kaa us kii zikr hii kyaa kiijiyeus ke dushman bhii sirhaane rakhte hai.n us kii kitaabmaaddii taariiKH-e-aalam jis kii taaliif-e-aziimtaas kaipiTaal hai yaa ziist kaa lubb-e-lubaabpa.Dh ke jis ke ho ga.ii.n hushyaar aqvaam-e-Gulaamishtiraakii falsafa kaa khul gayaa har dil me.n baabkitne dozaKH us ke ik manshuur se jannat banekitne sahraa.o.n ko jis ne kar diyaa shahr-e-gulaabmarx ne science o insaa.n ko kiyaa hai ham-kanaarzehn ko baKHshaa shu.uur-e-zindagaanii kaa nisaabus kii biinish us kii vajdaanii-nigaah-e-haq-shanaaskar ga.ii jo chehra-e-iflaas-e-zar ko be-naqaab'Gasab-e-ujrat' ko diyaa 'sarmaayaa' kaa jis ne laqabbe-hisaab us kii basiirat us kii mantiq laa-javaabaaftaab taaza kii us ne bashaarat dii hame.nus kii har peshan-go.ii hai barafganda naqaabko.ii quvvat us kii sadd-e-raah ban saktii nahii.nvaqt kaa farmaan jab aataa hai ban kar inqilaabahl-e-daanish kaa rajaz aur siina-e-dahqaa.n kii Dhaallashkar mazduur ke hai.n ham-safiir o ham-rikaabkaaTtii hai sehr-e-sultaanii ko jab muusaa kii zarbsatvat-e-firaun ho jaatii hai az KHud Garq-e-aabaaj kii fir.auniyat bhii kuchh isii andaaz serafta rafta hotii jaa.egii shikaar-e-inqilaabla.D rahaa hai ja.ng aaKHir kiisa-e-sarmaaya-daarjauhrii hathiyaar se kartaa nahii.n jo ijtinaabapne mustaqbil se taaGuutii tamaddun ko hai yaasdiidanii hai dushman-e-insaaniyat kaa iztiraabhazrat-e-iqbaal kaa ibliis-e-kochak KHauf selarza-bar-andaam yuu.n shaitaa.n se kartaa hai KHitaabpanDit o mullaa o raahib be-zarar Thahre magarTuuTne vaalaa hai tujh par ik yahuudii kaa itaabvo kaliim-e-be-tajallii vo masiih-e-be-saliibniist paiGambar o lekin dar baGal daarad kitaab
jahaa.n me.n har taraf hai ilm hii kii garm-baazaariizamii.n se aasmaa.n tak bas isii kaa faiz hai jaariiyahii sar-chashma-e-aslii hai tahziib-o-tamaddun kaabaGair is ke bashar honaa bhii hai ik saKHt biimaariibanaataa hai yahii insaan ko kaamil-tariin insaa.nsikhaataa hai yahii aKHlaaq o iisaar o ravaa-daariiyahii qaumo.n ko pahu.nchaataa hai baam-e-auj-o-rif.at paryahii mulko.n ke andar phuu.nktaa hai ruuh-e-bedaariiisii ke naam kaa chaltaa hai sikka saare aalam me.nisii ke sar pe rahtaa hai hamesha taaj-e-sardaariiisii ke sab karishme ye nazar aate hai.n duniyaa me.nisii ke dam se raunaq aalam-e-imkaa.n kii hai saariiye laa-silkii, ye telephone ye raile.n, ye tayyaareye zer-e-aab o baalaa-e-falak insaa.n kii tarraariihuduud-e-istavaa qutbain se yuu.n ho ga.e mudGamki hai ab rub.a masko.n jaise ghar kii chaar-diivaariisamundar ho ga.e paayaab sahraa bin ga.e gulshankiyaa science ne bhii e.ataraaf-e-ijz-o-naachaariibuKHaar o barq kaa jarraar lashkar hai ab aamaadaugalvaa le zamiin o aasmaa.n kii daulate.n saariiGaraz chaaro.n taraf ab ilm hii kii baadshaahii haiki us ke baazuu.o.n me.n quvvat-e-dast-e-ilaahii hainigaah-e-Gaur se dekho agar haalaat-e-insaaniito ho saktaa hai hal ye uqda-e-mushkil ba-aasaaniivahii qaume.n taraqqii ke madaarij par hai.n faa.eq-tarki hai jin me.n tamaddun aur siyaasat kii faraavaaniiisii ke zo.am me.n hai germany charKH-e-tafaaKHur parisii ke zor par mirriiKH kaa ham-sar hai jaapaaniiisii kii quvvat-e-baazuu pe hai maGruur americaisii ke bil par la.Dkii ho rahii hai rustam-e-saaniiishaare par isii ke naql-o-harakat hai sab italy kiiisii ke taaba-e-farmaan hai.n ruusii o iiraaniiisii ke jumbish-e-abruu pe hai england kaa Garraisii ke hai.n sab aavurde francisi o albaaniiko.ii mulk ab nahii.n jin me.n ye jauhar ho na raKHshandana Gaafil is se chiinii hai.n na shaamii hai.n na afGaaniibaGair is ke jo rahnaa chaahte hai.n is zamaane me.nsamajh rakkhe.n fanaa un ke liye hai hukm-e-rabbaaniizamaana phe.nk degaa KHud unhe.n qa.ar-e-halaakat me.nvo apne haath se ho.nge KHud apnii qabr ke baaniizamaane me.n jise ho saahib-e-fat.h-o-zafar honaazaruurii hai use ilm-o-hunar se bahra-var honaataraqqii kii khulii hai.n shaahraahe.n dahr me.n har suunazar aataa hai tahziib-o-tamaddun se jahaa.n mamluuchale jaate hai.n u.Dte shahsavaaraan-e-falak-paimaaKHiraaj-e-tahniyat lete hu.e karte hu.e jaaduuguzarte jaa rahe hai.n duusro.n ko chho.Dte piichhekabhii hotaa hai sahraa mustaqar un kaa kabhii Taapukamar baa.ndhe hu.e din raat chalne par hai.n aamaadadimaaG afkaar se aur dil vufuur-e-shauq se maluulalag rah kar KHayaal-e-zahmat o ehsaas-e-raahat selage hai.n apnii apnii fikr me.n baa-KHaatir-e-yaksuumagar ham hai.n ki aslan his nahii.n ham ko ko.ii is kiihamaare paa-e-himmat in maraahil me.n hai.n be-qaabuujahaa.n pahlaa qadam rakkhaa thaa roz-e-avvalii.n ham nenahii.n sarke is apne aslii markaz se ba-qadr-e-muuye haalat hai ki ham par band hai har ek darvaazanazar aataa nahii.n hargiz ko.ii ummiid kaa pahluumagar vaa-hasrataa phir bhii ham apne zo.am-e-baatil me.nsamajhte hai.n zamaane bhar se aage KHud ko manzil me.nzaruurat hai ki ham me.n raushnii ho ilm kii paidaanazar aa.e hame.n bhii taaki asl-e-haalat-e-duniyaahame.n ma.aluum ho haalaat ab kyaa hai.n zamaane kehamaare saath kaa jo qaafila thaa vo kahaa.n pahu.nchaajo pastii me.n the ab vo jalva-gar hai.n baam-e-rif.at parjo baalak be-nishaa.n the aaj hai in kaa alam barpaahamaarii KHuubiyaa.n sab duusro.n ne chhiin lii.n ham sezamaane ne hame.n itnaa jhi.njho.Daa kar diyaa na.ngaaravaa-daarii, uKHuvvat, dostii, iisaar, hamdardiiKHayaal-e-mulk-o-millat dard-e-qaum, andesha-e-fardaaye sab jauhar hamaare the kabhii ai vaa.e-mahruumiibane hai.n KHuubii-e-qismat se jo ab Gair kaa hissaaagar ho jaa.e.n raaGib ab bhii ham ta.aliim kii jaanibto kar sakte hai.n ab bhii mulk me.n ham zindagii paidaabahut kuchh vaqt ham ne kho diyaa hai lekin is par bhiiagar chaahe.n to kar de.n pesh-rau ko apne ham paspaanikammaa kar diyaa hai kaahilii ne go hame.n lekinrago.n me.n hai hamaarii KHuun abhii tak dau.Dtaa phirtaako.ii maKHfii haraarat gar hamaare dil ko garmaa dehamaare jism me.n phir zindagii kii ruuh dau.Daa devatan vaalo bahut Gaafil rahe ab hosh me.n aa.ouTho be-daar ho aql-o-KHirad ko kaam me.n laa.otumhaare qaum ke bachcho.n me.n hai ta.aliim kaa fuqdaa.nye gutthii saKHt pechiida hai is ko jald suljhaa.oyahii bachche bil-aaKHir tum sabho.n ke jaa-nashii.n ho.ngetum apne saamne jaisaa unhe.n chaaho banaa jaa.obahut hii ra.nj-dah ho jaa.egii us vaqt kii Gaflatkahii.n aisaa na ho mauqa.a nikal jaane pe pachhtaa.oye hai kaar-e-aham do chaar is ko kar nahii.n sakteKHudaa-raa tum bhii apne farz kaa ehsaas farmaa.oye bojh aisaa nahii.n jis ko uThaa le.n chaar chhe mil karsahaaraa do, sahaaraa duusro.n se is me.n dilvaa.ojo zii-ehsaas hai.n haasil karo tum KHidmate.n un kiijo zii-parvaa hai.n un ko jis tarah ho us taraf laa.oGaraz jaise bhii ho jis shakl se bhii ho ye laazim haitum apne qaum ke bachcho.n ko ab ta.aliim dilvaa.oagar tum musta.iddii ko banaa loge shi.aar apnaayaqii.n jaano ki mustaqbil hai behad shaandaar apnaaKHudaavandaa! du.aa.o.n me.n hamaarii ho asar paidaashab-e-Gaflat hamaarii phir kare nuur-e-sahar paidaahamaare saare KHvaabiida qavaa be-daar ho jaa.e.nsar-e-nau ho phir in me.n zindagii kii karr-o-farr paidaahame.n ehsaas ho ham kaun the aur aaj ham kyaa hai.nkare.n maahaul-e-mulkii ke liye gahrii nazar paidaamilaa rakkhaa hai apne jauhar-e-kaamil ko miTTii me.nham ab bhii KHaak se kar sakte hai.n la.al-o-guhar paidaaagar chaahe.n to ham mushkil vatan kii dam me.n hal kar de.nhazaaro.n suurate.n kar sakte hai.n ham kaargar paidaaba-zaahir go ham ik tuuda hai.n bilkul raakh kaa lekinagar chaahe.n to KHaakistar se kar de.n sau sharar paidaavatan kaa nakbat o aflaas kho de.n ham ishaare me.njahaa.n Thokar lagaa de.n ho vahii.n se kaan-e-zar paidaaham is manzil ke aaKHir par pahu.nch kar bil-yaqii.n dam le.nagar kuchh taaza-dam ho jaa.e.n apne ham-safar paidaajo koshish muttahid ho kar kahii.n ik baar ho jaa.eyaqii.n hai mulk kii qismat kaa be.Daa paar ho jaa.e
hu.ii jab se science zar kii mutii.ajo thaa alam kaa e'tibaar uTh gayaaaur is saa.np ko zindagii mil ga.iiise ham ne zahhaak ke bhaarii kaa.ndhe pe dekhaa thaa ik dinye hinduu nahii.n hai musalmaa.n nahii.nye dono.n kaa maGz aur KHuu.n chaaTtaa haibane jab ye hinduu musalmaan insaa.nusii din ye kam-baKHt mar jaa.egaa
ye da.avaa haijahaa.n me.n chand logo.n kaaki ham ne zindagii ko jiit rakkhaa haihamaare paas ya.anii atomii hathiyaar hai.n itnehamaaraa dost nanhaa alien bhii haikaro.Do.n saal kii taariiKH ko ab jaante hai.n hamki ham ne maut par ab fat.h paa lii haiplanet mars par paanii bhii Dhuu.nDaa haiye sab kahte hu.e aksarvo shaayad bhuul jaate hai.nabhii ik chiiz baaqii hai ki jo un-mapped hai ab takjise ham zehn kahte hai.nhamaare science-daano.n ne bhii maanaa haiki ab tak kuchh hii hissa zehn kaaham jaan paa.e hai.nbahut kuchh hai jise ab bhii hame.n D-code karnaa haimai.n aksar sochtaa huu.nsoch kar hairaan hotaa huu.nfaqat kuchh gram ke is zehn se ye saarii halchal haisitaare chaa.nd suuraj titliyaa.n jugnuu bharii raate.nye saara art aur us art par tanqiid jo kuchh haikitaabo.n se bharii har libraryaur insaano.n ke dil me.n ba.Dh rahii duuriikahii.n naaraazgii aa.nkho.n me.n bhar kar KHud me.n hii ghuTnaakahii.n par bhuuk biimaarii yaa politics kii powerye fb aur twitter par jo jaarii hai.n sabhii bahse.naur instagram par har pal kii tasviire.nye duniyaa-bhar kii filme.n aur festivalye mere saamne baiThe hu.e phuulo.n se naazuk logmire ho.nTho.n se ek ik nazm kaa yuu.n TuuTte rahnaafaqat kuchh gram ke is zehn se hii saarii halchal hainigaahe.n mo.D kar ye dekhnaa meraatumhaaraa muskuraanaa bhiifalak ko dekh kar yuu.n ruuTh jaanaa bhiiki apnii zindagii me.n raushnii ke naam parkuchh bhii nahii.n haiaur ye kyaa khel haijis me.n mahz maate.n hii maate.n hai.nmahz ghaate.n hii ghaate.n hai.nmagar ye dukh jo ham ko raat-din mahsuus hotaa haihamaare zehn se uThtaa dhu.aa.n hai basagar ham Gaur se dekhe.n to Dhero.n raaz khulte hai.nki mai.n tum se agar kahtaa huu.ntum se ishq kartaa huu.nto ye sun kar tumhaarii saa.ns kii lai tez chaltii haiyahii anfaas kaa pardajo uThtaa haijo girtaa haiisii anfaas ke parde ke piichhe sehamaaraa zehn sab kuchh dekhtaa haisochtaa hai baat kartaa haisadii se band darvaazo.n ke piichhe seko.ii aavaaz aatii haihame.n lagtaa hai ye sab kuchh hamii.n to kar rahe hai.npar haqiiqat aur hii kuchh haihame.n ma.aluum karnaa haiki jalte zehn ke jangal kaa raaja kaun hai aaKHirhame.n ma.aluum karnaa haihamaare zehn me.n chhup kar ishaare kaun kartaa haiye kis ke hukm par ham roz marte aur jiite hai.nye kis ke vaaste ham zindagii kaa zahr piite hai.n
yaa KHudaa hind par karam farmaais kii takliif kal-adam farmaahai.n pareshaa.n bahut havaas is kenahii.n hamdard ko.ii paas is kefaqr-o-faaqa se paa.emaal hai abqarz me.n is kaa baal baal hai abna hii san.at na ab tijaarat haisaarii aasuudgii vo Gaarat haiilm-o-fan se hai is kaa ghar KHaaliiaql o idraak se hai sar KHaaliiachchhe atvaar miT ga.e is kenek kirdaar miT ga.e is keKHulq hai ab na mehr-o-ulfat haiaatishii hai na ab uKHuvvat haira.ng bilkul hai mulk kaa badlaasaaraa paanii hai chaah kaa gadlaahar taraf jahl hai la.Daa.ii haidushman aapas me.n bhaa.ii bhaa.ii haina mohabbat hai ab na hamdardiina dilerii na ab javaa.n-mardiina ravaa-daarii o sharaafat haina ab amn-o-amaan o raahat haihar taraf hai fasaad ha.ngaamako.ii rustam hai aur ko.ii gaamaaab kahaa.n sulh-o-KHair kii baate.njab hai.n kaano.n me.n Gair kii baate.njohn-bill kii hai.n saazishe.n jaariimulk par hai.n navaazishe.n jaariiek se hai kabhii shanaasaa.iiduusre ke liye kabhii saa.iikabhii in ko la.Daa diyaa sab sekabhii un ko bhi.Daa diyaa sab sekabhii in ko police o thaana haiaur kabhii un ko jail-KHaana haiyahii manzar yahaa.n hai shaam-o-saharbas yahii ho rahaa hai aaTh paharjaantaa hai har ik ye sab baate.nphir bhii KHaalii nahii.n havaalaate.nvahii ja.ng-o-jadal vahii jhag.Devahii buGz-o-enaad ke rag.Deyaa KHudaa de hame.n vo aql-e-saliimki samajh ham sake.n har ik schemepa.D sake phir na ko.ii zad ham parkhul sake.n saare nek-o-bad ham parKHatm kar de.n ye tafraqa-saaziiaag me.n jho.nk de.n tabar-yaaziisab kare.n mil ke mulk kii KHidmatduur ho is kii usrat-o-nakbathikmat o fan vatan me.n phailaa.e.nshaahraahe.n masal kii khul jaa.e.nilm o science mulk me.n bhar de.nis zamii.n ko ham aasmaa.n kar de.nham pe khul jaa.e.n sab vo aql ke raazho is kaa europe ke turra-e-e.azaazsan.ato.n kii ho garm-baazaariigaa.nv gaa.nv me.n ho.n mile.n jaariirail, motor, jahaaz, tayyaareKHud ye tayaar ham kare.n saarekabhii sahraa ho mustaqar apnaaho kabhii Taapuu.o.n me.n ghar apnaamanchester pe KHaak Daale.ngeghar se jaapaan ko nikaale.n hamna rahe.n ham kisii ke bhii muhtaajmulk apnaa ho aur apnaa raajham me.n gar ittihaad ho jaa.emulk aabaad shaad ho jaa.e
zindagii aaj bhii ik mas.ala haina taKHayyulna haqiiqatna fareb-e-ra.ngii.ngiit qurbaan kiyeshola-e-dil nazrnaGma-e-KHvaab diyephir bhii ye mas.alagiit mausam kaahasii.n jism kaaKHvaabo.n kaa jisemai.n ne aur mere ham-asro.n ne gaayaa thaa usezindagii suntii nahii.nsun ke bhii ha.ns detii haiaagjazbaat kii aagdil-nashii.nshabnamii.nma.asuum KHayaalaat kii aagapne qasbe kii kisii dard bharii raat kii aagzindagii aaj bhii har aag pe ha.ns detii haikaun jaane ki mirii tarah ho marGuub isedard-e-dil nashsha-e-maizindagii aaj bhii ik mas.ala haiaur ise hal honaa haimai.n agar naza.a me.n huu.nhal to ise honaa haidil ye kahtaa hai ki le jaa.e jahaa.n raat chaloaur science ye kahtii hai, mire saath chalo
ai chachaa KHarruu shichof ai maamuu.n candy assalaamek hii KHat hai ye maamuu.n aur chachaa dono.n ke naamaap dono.n kaa adab karnaa hamaaraa farz haiphir bhii sun liije jo chhoTii sii hamaarii arz haiaap dono.n hai.n bahaadur suurmaa kyaa is me.n shakek baadal kii garaj hai ek sho.ale kii lapakaap dono.n ke bayaa.n sun sun ke Dar jaate hai.n hamdham se aa girte hai.n ham bachcho.n pe ye lafzo.n ke bamDar ke chhup jaate hai.n apnii maa.o.n ke aaGosh me.nkaash ham behosh ho kar phir na aa.e.n hosh me.naap dono.n la.D pa.De to jaane kyaa ho jaa.egaado minute me.n is jahaa.n kaa KHaatma ho jaa.egaaaag lag jaa.egii is duniyaa ko mar jaa.e.nge sabjo bayaa.n dete hai.n vo KHaamosh ho jaa.e.nge labdo minute zinda rahe.nge ham bhii marne ke liyekaun phir baaqii rahegaa raaj karne ke liyeaisaa lagtaa hai ki kuchh din aur jiinaa hai muhaalgar nahii.n apnaa to bachcho.n hii kaa kuchh kiije KHayaalik taraf nafrat kha.Dii hai duusrii jaanib Guruurqahr kii chakkii me.n pis jaa.e.n na bachche be-qusuurle chuke hai.n aap to jii bhar ke duniyaa ke mazeham ko in se duur rakhnaa chaahte hai.n kis liyegar ijaazat ho to ham bachche bhii duniyaa dekh le.nchaar din ham bhii ye bhaaluu kaa tamaashaa dekh le.nkuchh bhii to school aur ghar ke sivaa dekhaa nahii.naap kahiye aap ne duniyaa me.n kyaa dekhaa nahii.nja.ng mat kiije na duniyaa kii imaarat Dhaa.iyesochiye kuchh Gaur kiije dekhiye baaz aa.iyeaap ne duniyaa sajaa.ii thii miTaane ke liyeaql kii sham.e.n jalaa.ii thii.n bujhaane ke liyeilm-o-hikmat science ne kii thii taraqqii ke liyeaql kii sham.e.n jalaa.ii thii.n bujhaane ke liyeilm-o-hikmat science ne kii thii taraqqii kis liyeniist-o-naabuud aaj ham kar de.n use kyaa is liyeham ne maanaa aap kaa aapas me.n hai kuchh iKHtilaafik jagah ham baiTh kar kar le.n na kyuu.n dil apne saafapnii is duniyaa kii haalat is qadar jab zaar haiis ko dekhe.n chaa.nd me.n jaanaa abhii be-kaar haiduur kiije dil se nafrat aur gale mil liijiyezindagii kii justujuu me.n KHud-kushii mat kiijiyeja.ng karnii hai to kiije ho magar aisii vo ja.ngaasmaa.n bhii ja.ng aisii dekh kar ho jaa.e da.ng
har ik science kaa chhiikaa ga.Dant haiba.Daa dushman mire jii kaa ga.Dant haitap-e-diq kaa nayaa Tiikaa ga.Dant hainamak bilkul nahii.n phiikaa ga.Dant haiba.Dhaa jaataa hai har step pe tensionattention ai dil-e-naadaa.n attention
science me.n hirfat me.n haasil hu.ii yaksuu.iiis daur me.n bhaarat ne har fan me.n jilaa paa.iiab dil me.n umange.n hai.n nazro.n me.n masarrat haihar samt hai zebaa.ii har samt hai ra.anaa.ii
tahsiin ke taalib nahii.n ausaaf-e-KHudaa-daadaafaaq hilaa detii hai haq-kesh kii fariyaadaabaad kahaa.n halqa-e-sherii kii fazaa me.nbut-KHaana-e-maanii ki sanam-e-KHaana-e-bahzaadmiT jaa.egaa aivaan-e-tafaaKHur kaa takallufyak shola-e-javvaala hai aah-e-dil-e-naashaadzarGaam hai rubaah ke zarriin qafas me.naazaad hai.n paaband giraftaar hai.n aazaadGaazii ne kahaa luuT lo but-KHaana-e-daulatsuufii ne kahaa chho.D do ishrat gah-e-shaddaadtezaab-e-siyaasat me.n KHudii jis kii hu.ii Garqvo kaaGzii lo.bat bane kyaa paikar-e-faulaadhaajaat ke but-KHaana-e-tazviir hazaaro.nbando.n ne tire naam pe kar Daale hai.n iijaadluT jaataa hai har gaam pe ismat kaa KHazaanadilkash bahut hai maanaa ki har raqs-e-parii-zaadjamhuur kii tahziib se iKHlaas hai ma.aduumimroz na.ii nasl ko allaah nahii.n yaadjamhuur kii barakat se hu.e aadmii na.ngescience ne sau fitna-e-mahshar kiye iijaad
hazrat-e-insaa.n kii KHaatir hii banii hai kahkashaa.nbachcho laakho.n saal pahle se sajii hai kahkashaa.nkahkashaa.e.n kitnii hai.n likhne se aajiz hai qalamkahkashaa.o.n kii kabhii gintii nahii.n kar sakte hamkahkashaa.o.n me.n nazar aa.e sitaaro.n kaa hujuumsuurajo.n kii kahkashaa.o.n me.n machii rahtii hai dhuumkahkashaa.e.n do ba.Dii hai.n kar lo bachcho in ko yaadduudhiyaa paTTii ba.Dii hai andromeda ke baadduudhiyaa paTTii me.n ek million sitaare paa.ogeandromeda me.n bhii laakho.n nazaare paa.ogekahkashaa.n ke faasle lambe bahut hai.n jaan lonaapte hai.n in ko nuurii saal me.n bachcho sunophailtii hai.n kahkashaa.e.n rafta rafta har tarafhai na.ii science me.n 'haafiz' inhe.n haasil sharaf
ai mire dil tujhe us tarah dh.Daknaa hogaaye sipaahii ye mire desh ke KHuddaar javaa.njin ke haatho.n me.n hai.n aazaadi-e-insaa.n ke nishaa.nmujh ko mahsuus ho mai.n bhii huu.n unhii.n me.n shaamilai mire dil tujhe is tarah dh.Daknaa hogaailm-o-science ke aflaak ke raushan mahtaabjin kii aa.nkho.n me.n palaa karte hai.n taKHliiq ke KHvaabmujh ko mahsuus ho mai.n bhii huu.n unhii.n me.n shaamilai mire dil tujhe is tarah dh.Daknaa hogaaye mire desh ke mazduur ye dahqaa.n ye avaamjin ke haatho.n me.n hai ta.amiir-o-taraqqii kii lagaammujh ko mahsuus ho mai.n bhii huu.n unhii.n me.n shaamilmai.n tahii-dast huu.n kyaa pesh-e-vatan nazr karuu.njaan-o-dil fikr-o-nazar azmat-e-fan nazr karuu.n
ye duniyaaphuul patthar aag miTTiiret ke tuudo.n kaa maskan haipahaa.Do.n kii chaTaano.n aur Dhalaano.ntez-rau dariyaa.o.n aur chashmo.n kaa manzar haiye duniyaananhe-munne chaa.nd taaro.n kaa hai gahvaarajo mustaqbil kii nuuraanii fazaa.o.n kii amaanat hai.nye duniyaailm-o-fan science aur tahziib kiiazmat kaa maz.har haiye duniyaa KHuubsuurat haibahut hii KHuubsuurat haimagar taKHriib kaa ik zarra atomhusn ko is kefaqat ik lamha bhar me.n hii miTaa sakne ke qaabil haiye duniyaa kaisii bad-qismatki is kaa dushman-e-jaa.n vojise KHud is ke beTo.n ne banaayaa haiye duniyaakaash is taKHriib ke imkaan ko yaksar miTaa saktiiye duniyaakaash bas ta.amiir hii kaa ruup ban saktiiye duniyaakaash phuulo.n kaa hasii.n manzar hii kahlaatiiye duniyaakaash bachcho.n kii ha.nsii ma.asuumiyat aur phuul se chehrehamesha ke liye mahfuuz rakh saktiiye duniyaa kaash vo hotiijise KHaaliq ne KHud apne hii haatho.n se banaayaa thaafaqat ta.amiir kii KHaatirfaqat ta.amiir kii KHaatir
ye log halqa-e-daam-e-KHayaal kahte hai.nfaroG-e-ilm ko science kii taraqqii koye kam-nigaah mudaavaa-e-dard-e-insaaniisamajh rahe hai.n praachiin sanskirtii kosadaa.e.n dete hai.n sadiyo.n kii tiira-baKHtii ko
kahaanii sunaa.o kahaanii sunaa.okahaanii na.ii yaa puraanii sunaa.okahaanii puraanii vo raajaa.o.n vaaliivahii shaan-o-shaukat shahanshaaho.n vaaliivo haathii vo gho.De vo mahle do-mahletasavvur se jin kii zaraa dil to bahlevo zarriin gha.Diyaa.n vo cham-cham zamaanethaa sone kii chi.Diyaa ye bhaarat hamaaraabulandii pe thaa is kii qismat kaa taaraaye sab kuchh hame.n aaj naanii sunaa.okahaanii sunaa.o kahaanii sunaa.okahaanii na.ii yaa puraanii sunaa.osunaa.o ki jab thaa KHizaa.o.n kaa mausamjab apne vatan hii me.n majbuur the hamGulaamii kaa thaa daur hindostaa.n me.ndahakte alaav the jannat-nishaa.n me.nhukuumat thii Gairo.n kii mahkuum ham thezamii.n tang thii aasmaanii sitam thechalii phir jo badlaa.o kii tez aa.ndhiiuThaa ek nehru uThaa ek gaa.ndhiimilii un ko jo kaamraanii sunaa.okahaanii sunaa.o kahaanii sunaa.okahaanii na.ii yaa puraanii sunaa.okahaanii anokhii kahaanii niraaliikahaanii na.e atomii daur vaaliisitaaro.n kaa insaa.n kaa tasKHiir karnaaKHalaa.o.n ko dhartii kii jaagiir karnaasunaa.o taraqqii ne kyaa kyaa dikhaayaabataa.o jo qadmo.n tale chaa.nd aayaakarishme jo science ke jalva-gar hai.nhamaare tumhaare jo zer-e-asar hai.nhaqiiqat ye sab mu.nh-zabaanii sunaa.okahaanii sunaa.o kahaanii sunaa.okahaanii na.ii yaa puraanii sunaa.o
zindagii sher kaa mauzuu.a to ho saktii haisher ke aur jo unvaa.n hai.n agar vo na rahe.nis pe kyaa bahs kare.nbahs phir bahs haiaurat pe ho lau.nDe pe ho yaa jins pe hobahs phir bahs haiaKHlaaq par maz.hab pe ho yaa falsafa-e-science pe hobahs phir bahs haizindagii aur ajal pe ho yaa KHud sher pe hobahs kis darja hai laa-yaanii shaibahs jo ho na sakii maa.n se ki vo maa.n hai miriiaur beTe se ki beTaa hai miraaaur nahii.n jaante ham dono.n bhiimai.n bhii beTaa bhii miraakis kii aulaad hai.n hambahs kis darja hai laa-yaanii shaipuuchho us ruuh se us jism se KHalvat me.n kabhiijo lafz sochtaa rahtaa hai yahiizindagii kis tarah kaaTii jaa.e
global village kii aazaad-market me.nhusuul-e-insaaf anqaa ho chukaa haiaazaadii-e-raa.e ke naam par pechiida afkaar pak rahe hai.nkahii.n pe science fat.h ke na.are lagaa rahii haikahii.n pe insaaniyat apnaa chehra chhupaa rahii haiajiib ja.ngii junuu.n kaa duniyaa ko saamnaa haifan-e-tash.hiir ne masnuu.aat-e-naaqis ko bhiikaamiliyyat kaa darja ataa kiyaa haiye daur-e-irtiqaa to harakat-e-ma.akuus ban chukaa hai
aisaa ek remote banaa.e.njis se ghar ghar sukh phailaa.e.nhai.n ye sundar KHvaab hamaarelaa.e.n zamii.n pe chaa.nd sitaarenal se nikle duudh kii dhaaraarangii.n titlii rath ho hamaaraakhele.n chaachaa gullii Da.nDaabha.ngDaa naache.n daadii daadaakhaa.e.n machhlii aam kaa halvajar me.n ho duniyaa kaa jalvame.nDak gaay megh malhaarjhe.ngur bolaa le ke giTaarkhulii fazaa aakaash ke niichekyaa hai fitrat raaz ye samjhejab chaahe.n ham baarish barsero.e.n na sailaab ke Dar sescience ke is daur me.n bachchojag ke niraale taur me.n bachchokaam le.n aisaa ham atom sepaa.e rihaa.ii duniyaa Gam se
kishvar-e-maGrib alam-bardaar-e-tahziib-e-jadiidaa dikhaa duu.n mai.n tujhe anvaar-e-tahziib-e-jadiidtuu samajhtaa hai jise apnii taraqqii kaa kamaalKHatm hotii hai yahii.n par aaKHirii hadd-e-zavaaltuu ne ai Gaafil samajh rakhaa hai jis ko baam-e-aujhai ye tuufaan-e-halaakat-aafrii.n kii ek maujtuu taraqqii kah rahaa hai jis ko duniyaa ke Gulaamhai ye terii pastii-e-aKHlaaq kaa ik aur naammai.n ne maanaa hai anaasir par hukuumat terii aajterii haibat le rahii hai baadshaaho.n se KHiraajraushnii science kii go tere aivaano.n me.n hainuur-e-iimaanii bhii lekin dil ke kaashaano.n me.n haiaql kii sham.o.n se go raushan hai.n faanuus-e-dimaaGdil kii zulmat me.n jalaayaa bhii kabhii tuu ne charaaGshaukat-e-kisraa o shaan-e-jam to darbaaro.n me.n haijins-e-naayaab-e-vafaa bhii tere baazaaro.n me.n haiaks-e-iisaar-o-sadaaqat bhii ruKH-e-raushan me.n haimehr-o-ulfat kaa bhii ko.ii phuul is gulshan me.n haisaaz-o-saamaan-e-tarab sab kuchh tirii mahfil me.n haidard-e-insaanii kaa bhii jalva kisii ke dil me.n haimaaddiyat ke nashe se mast hai teraa Guruurkyaa magar dil ko tire haasil hai ruuhaanii suruurye nahii.n to faKHr is tahziib par be-kaar hainang-e-insaa.n ye tamaddun maujib-e-sad-aar hai
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books