aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "siilan"
bas ek hii sur me.n, ek hii lai pe sub.h se dekhdekh kaise baras rahaa hai udaas paaniiphuvaar ke malmalii.n dupaTTe se u.D rahe hai.ntamaam mausam Tapak rahaa haipalak palak ris rahii hai ye kaa.enaat saariihar ek shai bhiig bhiig kar dekh kaisii bojhal sii ho ga.ii haidimaaG kii giilii giilii socho.n sebhiigii bhiigii udaas yaade.n Tapak rahii hai.nthake thake se badan me.n bas dhiire dhiiresaa.nso.n kaa garm lobaan jal rahaa hai
cigarette ke raqs karte dhu.e.n se mil kar,ajiib maahaul kar diyaa haiaur is pe ab ye gha.Dii kii Tik-Tik ne,dil udaasii se bhar diyaa haikisii zamaane me.n ham ne,'naasir', 'faraaz', 'mohsin', 'jamaal', 'sarvat' ke sher apnii chahaktii diivaar par likhe theab is me.n siilan kyuu.n aa ga.ii hai....?hamaaraa bistar ki jis me.n ko.ii shikan nahii.n hai, usii pe kab se,(vo daa.e.n jaanib, mai.n baa.e.n jaanib....)na jaane kab se daraaz hai.n ham....!!!mai.n us se shaayad KHafaa nahii.n huu.n,use bhii ko.ii gila nahii.n haimagar hamaarii KHamiida pushte.n jo pichhlii kitnii hii saa.ato.n sebas ek duuje ko tak rahii hai.n....vo thak ga.ii hai
is zindagii ke badlemujhe diivaar par phaile hu.esiilan-zada dhabbe me.n badal diyaa jaataayaapahaa.Do.n par Thahrii hu.ii barfjo kisii ne na dekhii hoyaaek taabuut jo kisii marne vaale seKHaalii karaa liyaa gayaa ho
kamre kii siilan se uktaa karkahii.n chalii ga.ii haimere hisse kii dhuupbandhan se Darne vaalii chi.Diyaau.D rahii hai khokhle aakaash me.n
pipe ke gahre lambe kash khii.nchtaavo apnii barahnagii ke ehsaas kodhuve.n kii shakl me.nKHalaa me.n tahliil hote dekh karmuskuraane kii koshish kartaa thaaus kii naaf ke aas-paaschipke hu.eshikasta a.ndhere ke chhoTe chhoTe Tuk.Deme.nDak kii aa.ankho.n me.nmare hu.e KHvaabo.n kii siilan me.nDuub rahe thevomujh ko''gautam'' ke naam se yaad kiyaa jaa.eaisaadiivaaro.n par re.ngtiichiyuu.nTiyo.n sebaar baar kah rahaa thaa
vahii siilan-zada uutaaq kaa goshajahaa.n mai.n ek shab us kolarazte sansanaate zahr vaalechobii tiiro.n kii ghanii baarish me.nbe-bas aur akelaa chho.D aayaa thaamujhe sab yaad hai qissabaras kar abr bilkul tham chukaa thaaaur KHalaa me.n chaa.ndyuu.n lagtaa thaa jaisetaKHt par nau-umr shahzaada ho ko.iiyuu.n havaa chehre ko mas kar ke guzartii thiiki jaise reshmii.n kap.Daa ho ko.iiapne ThanDe aur giile KHol ke andargalii so.ii hu.ii thiidam-ba-KHud saare makaa.naaise nazar aate thejaise narm aur baariik kaaGaz ke bane ho.nmom ke tarshe hu.e ho.nik ba.Dii tasviir me.njaise azal se iistaada ho.n!
dekho pardo.n ko achchhii tarah khii.nch duuraur sab khi.Dkiyaa.n band kar doaur us band kamre se baahar niklous me.n bosiida sofo.n pe ik moTaa kap.Daa cha.Dhaa kartum ne un ko is andaaz se rakh diyaa haiki ab daa.e.n kone me.nukh.Dii safedii pe siilan ke dhabbekam-o-besh nazro.n se poshiida hai.naur baa.e.n tarafTuuTe Dibbo.npuraane KHato.nza.ng-aaluud TuuTii paleTo.naur bosiida pinjro.n ke ik Dher kotum ne ik lambii chau.Dii sii chaadar seachchhii tarah Dhak diyaa haiaur ab baaqii kamraba.Daa saaf-suthraa nazar aa rahaa haidekho TuuTii hu.ii carnas ko bhiiik shoKH kap.De se Dhak karus par vo zar-sham.e.n jalaa doki jin kii sisaktii hu.ii raushnii me.ntumhaare KHad-o-KHaal ma.aluum hote hai.n mauzuu.naur kone me.n rakhe hu.echhoTe recordplayer par havaa disk rakh doki jis me.n puraanii sii ek lai me.nbas chand lafzo.n kii takraar hai
ser-eleven ke smugglershiiro.n kii smuggling par baate.n kar rahe hai.nshumaalii bulgaria ke ilaaqo.n seumda qism kaa tambaakuu aane vaalaa hailight-tower kii sii.Dhiyo.n ke niichejeans kii nekar me.n kokiin kii thailiyaa.n chhupaa karmaiDonaa vaapas jaa chukii haibuu.Dhaa lenos baiThaa haifog light kii piilii raushnii me.nlamha daa.Dhii khuja rahaa haisaahil kii hathelii parret kii u.ngliyo.n me.n lipTiibarahna saa.nso.n kii uljhan parraat kaa KHuun saraktaa hainiDhaal jismo.n kii ruumaaniyat me.nlams kaa siilan-zada shor girtaa haisamundar barf kii jhiil me.ntabdiil ho saktaa haicigarette jalaane kaa aalaagiilaa pa.D gayaa haibithoslighter milegaaoh shukriya
kisii daraaz me.n pa.Dii ho.ngiimerii aa.nkho.n se lipTii roGnii putliyaa.njin pe bohtaan haihabs-rasiida kamre kii siskiyaa.n kaaT khaane kaatanomand KHaatuun kii tarsiib-zada raano.n ke beachtasaadum ke halqe me.n pa.Daazard siilan ke KHol me.n raKHne buntaashahr-e-ma.aduum kaa laasha nochte KHudaa ko ghuurtaa hu.aa mai.nKHudaa jo surKH doshiiza ke badan par kunda bosa-gaaho.n ke maanind muqaddassiyaah-mast mallaah kii aurat mere siine pe sar rakhte hu.e chi.nghaa.Dtii haivo jahaaz ke mastuul se kuud kar maraa thaaja.ng ke dino.n me.n purtagaalii hasiina se mulaaqaatvo yaqiinan mujhe mubtalaa kar saktii thiimagarham jaziiro.n se KHaalii haath lauTne vaale qasam khaate hai.nhamaare paas mashkiizo.n me.n saste gu.D kii sharaab haiaur kuchh dost jo vaafar miqdaar me.n tambaakuu ugaa rahe hai.nsartaanii rutuubato.n me.n luTh.Dehamaare TaKHne baaruud se zaKHmii hai.nham apne baazu.o.n se jha.Dte hu.e baal tumhe.n dikhaa sakte hai.nnam-KHurda banduuqo.n aur naakaara jeepo.n ke alaavahamaare qabze me.n chand la.Dkiyaa.n aur rasad-KHaane hai.ndhajjiyaa.n aur chiith.De sameTne ko nahiif u.ngliyaa.n ziyaada nahii.n hai.nnichlii daraaz se merii bohtaan zada aa.nkhe.n nikaal laa.omere bachchekaash tumhe.n javaanii me.n maut aa jaatii
ham ne apne saath kii aaKHirii shabbuu.Dhe pe.D kii jhiinii chhatrii ke niichechaa.nd kii bhiigii bhiigii kirno.n ke saath bitaa.ii thiimai.n ne apne ashko.n kaa ruKH mo.D diyaa thaatum ne palko.n se do motii mere ka.ndhe par Taa.nk diye theaur maathe par kabhii na miTne vaaliimohr lagaa.ii thii ek giile bose kiiaglii shabus pe.D ke niiche mai.n tanhaa thaachhuuT gayaa thaa tum se jo ruumaal vahaa.n par le aayaa thaabarso.n baa'd isii shab kaajaanii-pahchaanii KHushbuu vaalii bhiigaa-pannazmo.n kii ek bhuulii hu.ii sii copy me.nsiilan ban kar ubhraa hai
aap ke kamre kii sabz diivaar parsub.h jo ye siilan dikhaa.ii detii haimaazii ke riste zaKHmo.n kii hogiijin ke paivand khul jaate hai.n raat me.nyaa do saayo.n ke aa.nsuu ho.ngejo raat me.n ubhar aate hai.nparchhaa.iyo.n ko rote dekhaa hai kabhiiye aa.nsuu ye riste zaKHmdiivaar ko khokhlaa na kar de.ninhe.n rok lo
havaa laal ii.nTo.n kii galiyo.n se guzartiisiilan-zada koThariyo.n me.n bachche jantii haighuTii ghuTii saa.nse.n letii hu.iijab baahar nikaltii haito ThanD se kub.Dii ho chukii hotii haisiidhaa chalne kii KHvaahish me.nuu.nche niiche rasto.n pargho.Do.n ke sumo.n talekiicha.D me.n lat-pat sar paTaKHtiiuThne kii koshish kartii haiaur re.ngte re.ngte kisii havelii me.n jaa ghustii haijahaa.n raat kaa sannaaTaa bain kar rahaa hotaa haiqadmo.n kii maanuus sii chaapo.n sehavelii ke sannaaTo.n me.nguu.nj kii daraa.De.n pa.Dne lagtii hai.nhavaa kise Dhuu.nDhtii haivo jaantii hai ki pasaaro.n me.n ajdaad ke fan kaa lohaasanduuqo.n me.n bharaa pa.Daa haipurkho.n ke afkaarshelfo.n par qariine se saje hai.nek ba.De kamre me.n gol mez parkroshiye se kaa.Dhe hu.e ruumaal me.nus ne apnii aa.nkhe.n bhii kaa.Dh dii hai.nvo rotii hu.iiruumaal me.n kaa.Dhii hu.ii aa.nkho.n ko chuumtii haiaur havelii ke dar-o-diivaar se lipTii hu.iiaaKHirii nishaanii talaash kar rahii hotii haiki sannaaTaa chiiKH uThtaa hai
band ke us taraf KHud ugii jhaa.Diyo.n me.n lagii ras-bharii beriyaa.n KHuub tayyaar hai.npar mire vaaste in ko daaman me.n bhar lenaa mumkin nahii.nai KHudaa jugnuu.o.n qumqumo.n aur sitaaro.n kii paakiiza taabindagiivo jagah so rahii hai jahaa.n par chanaaro.n ke uu.nche daraKHto.n se nithrii hu.ii jaa.n-fazaa chaa.ndniiKHushbuu.e.n KHema-zan hai.n jahaa.n raat dinmerii un sarhado.n tak rasaa.ii nahii.naur pachchhim kii chanchal suriilii havaa mere aa.ngan se ho kar guzartii nahii.nmai.n ki baarish ke qatro.n se nithre hu.e sabz patto.n ke boso.n se mahruum huu.nin kivaa.Do.n kii parlii taraf der se band phaaTak pe Thahre hu.e ajnabiiaas aur be-kaliiharf aur an-kahiikuchh nahii.nmai.n ne kuchh bhii to dekhaa nahii.nmere kamre kii siilan ghuTan aur KHasta divaaro.n ke pyaare KHudaaaur kuchh na sahiito mujhe ik gunah kii ijaazat mile
maa.e.nmahbuubaa.e.naur kuchhyarGamaaliishahr kii gunjaan aabaadii me.n vaaqe'ik haveliiyaa kisii siilan bhare kamre me.nThasik zindagii
kyuu.n ziyaa.n-kaar banuu.n suud-faraamosh rahuu.nfikr-e-fardaa na karuu.n mahv-e-Gam-e-dosh rahuu.nnaale bulbul ke sunuu.n aur hama-tan gosh rahuu.nham-navaa mai.n bhii ko.ii gul huu.n ki KHaamosh rahuu.njur.at-aamoz mirii taab-e-suKHan hai mujh koshikva allaah se KHaakam-ba-dahan hai mujh kohai bajaa sheva-e-tasliim me.n mash.huur hai.n hamqissa-e-dard sunaate hai.n ki majbuur hai.n hamsaaz KHaamosh hai.n fariyaad se maamuur hai.n hamnaala aataa hai agar lab pe to ma.azuur hai.n hamai KHudaa shikva-e-arbaab-e-vafaa bhii sun leKHuugar-e-hamd se tho.Daa saa gila bhii sun lethii to maujuud azal se hii tirii zaat-e-qadiimphuul thaa zeb-e-chaman par na pareshaa.n thii shamiimshart insaaf hai ai saahib-e-altaaf-e-amiimbuu-e-gul phailtii kis tarah jo hotii na nasiimham ko jam.iiyat-e-KHaatir ye pareshaanii thiivarna ummat tire mahbuub kii diivaanii thiiham se pahle thaa ajab tere jahaa.n kaa manzarkahii.n masjuud the patthar kahii.n ma.abuud shajarKHuugar-e-paikar-e-mahsuus thii insaa.n kii nazarmaantaa phir ko.ii an-dekhe KHudaa ko kyuu.nkartujh ko ma.aluum hai letaa thaa ko.ii naam tiraaquvvat-e-baazu-e-muslim ne kiyaa kaam tiraabas rahe the yahii.n saljuuq bhii tuuraanii bhiiahl-e-chii.n chiin me.n iiraan me.n saasaanii bhiiisii maamuure me.n aabaad the yuunaanii bhiiisii duniyaa me.n yahuudii bhii the nasraanii bhiipar tire naam pe talvaar uThaa.ii kis nebaat jo big.Dii hu.ii thii vo banaa.ii kis nethe hamii.n ek tire maarka-aaraa.o.n me.nKHushkiyo.n me.n kabhii la.Dte kabhii dariyaa.o.n me.ndii.n azaane.n kabhii europe ke kaliisaa.o.n me.nkabhii africa ke tapte hu.e sahraa.o.n me.nshaan aa.nkho.n me.n na jachtii thii jahaa.n-daaro.n kiikalma pa.Dhte the hamii.n chhaa.nv me.n talvaaro.n kiiham jo jiite the to jango.n kii musiibat ke liyeaur marte the tire naam kii azmat ke liyethii na kuchh teGzanii apnii hukuumat ke liyesar-ba-kaf phirte the kyaa dahr me.n daulat ke liyeqaum apnii jo zar-o-maal-e-jahaa.n par martiibut-faroshii ke evaz but-shikanii kyuu.n kartiiTal na sakte the agar jang me.n a.D jaate thepaa.nv shero.n ke bhii maidaa.n se ukha.D jaate thetujh se sarkash hu.aa ko.ii to biga.D jaate theteG kyaa chiiz hai ham top se la.D jaate thenaqsh-e-tauhiid kaa har dil pe biThaayaa ham nezer-e-KHanjar bhii ye paiGaam sunaayaa ham netuu hii kah de ki ukhaa.Daa dar-e-KHaibar kis neshahr qaisar kaa jo thaa us ko kiyaa sar kis neto.De maKHluuq KHudaa-vando.n ke paikar kis nekaaT kar rakh diye kuffaar ke lashkar kis nekis ne ThanDaa kiyaa aatish-kada-e-iiraa.n kokis ne phir zinda kiyaa tazkira-e-yazdaa.n kokaun sii qaum faqat terii talabgaar hu.iiaur tere liye zahmat-kash-e-paikaar hu.iikis kii shamshiir jahaa.ngiir jahaa.n-daar hu.iikis kii takbiir se duniyaa tirii bedaar hu.iikis kii haibat se sanam sahme hu.e rahte themu.nh ke bal gir ke huu-allahu-ahad kahte theaa gayaa ain la.Daa.ii me.n agar vaqt-e-namaazqibla-ruu ho ke zamii.n-bos hu.ii qaum-e-hijaazek hii saf me.n kha.De ho ga.e mahmuud o ayaazna ko.ii banda rahaa aur na ko.ii banda-navaazbanda o saahab o mohtaaj o Ganii ek hu.eterii sarkaar me.n pahu.nche to sabhii ek hu.emahfil-e-kaun-o-makaa.n me.n sahar o shaam phiremai-e-tauhiid ko le kar sifat-e-jaam phirekoh me.n dasht me.n le kar tiraa paiGaam phireaur ma.aluum hai tujh ko kabhii naakaam phiredasht to dasht hai.n dariyaa bhii na chho.De ham nebahr-e-zulmaat me.n dau.Daa diye gho.De ham nesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa ham nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa ham netere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa ham netere qur.aan ko siino.n se lagaayaa ham nephir bhii ham se ye gila hai ki vafaadaar nahii.nham vafaadaar nahii.n tuu bhii to dildaar nahii.nummate.n aur bhii hai.n un me.n gunahgaar bhii hai.nijz vaale bhii hai.n mast-e-mai-e-pindaar bhii hai.nun me.n kaahil bhii hai.n Gaafil bhii hai.n hushyaar bhii hai.nsaik.Do.n hai.n ki tire naam se be-zaar bhii hai.nrahmate.n hai.n tirii aGyaar ke kaashaano.n parbarq girtii hai to bechaare musalmaano.n parbut sanam-KHaano.n me.n kahte hai.n musalmaan ga.ehai KHushii un ko ki ka.abe ke nigahbaan ga.emanzil-e-dahr se uu.nTo.n ke hudii-KHvaan ga.eapnii baGlo.n me.n dabaa.e hu.e qur.aan ga.eKHanda-zan kufr hai ehsaas tujhe hai ki nahii.napnii tauhiid kaa kuchh paas tujhe hai ki nahii.nye shikaayat nahii.n hai.n un ke KHazaane maamuurnahii.n mahfil me.n jinhe.n baat bhii karne kaa shu.uurqahr to ye hai ki kaafir ko mile.n huur o qusuuraur bechaare musalmaa.n ko faqat vaada-e-huurab vo altaaf nahii.n ham pe inaayaat nahii.nbaat ye kyaa hai ki pahlii sii mudaaraat nahii.nkyuu.n musalmaano.n me.n hai daulat-e-duniyaa naayaabterii qudrat to hai vo jis kii na had hai na hisaabtuu jo chaahe to uThe siina-e-sahraa se habaabrah-rav-e-dasht ho sailii-zada-e-mauj-e-saraabtaan-e-aGyaar hai rusvaa.ii hai naadaarii haikyaa tire naam pe marne kaa evaz KHvaarii haibanii aGyaar kii ab chaahne vaalii duniyaarah ga.ii apne liye ek KHayaalii duniyaaham to ruKHsat hu.e auro.n ne sa.nbhaalii duniyaaphir na kahnaa hu.ii tauhiid se KHaalii duniyaaham to jiite hai.n ki duniyaa me.n tiraa naam rahekahii.n mumkin hai ki saaqii na rahe jaam raheterii mahfil bhii ga.ii chaahne vaale bhii ga.eshab kii aahe.n bhii ga.ii.n sub.h ke naale bhii ga.edil tujhe de bhii ga.e apnaa sila le bhii ga.eaa ke baiThe bhii na the aur nikaale bhii ga.eaa.e ushshaaq ga.e vaada-e-fardaa le karab unhe.n Dhuu.nD charaaG-e-ruKH-e-zebaa le kardard-e-lailaa bhii vahii qais kaa pahluu bhii vahiinajd ke dasht o jabal me.n ram-e-aahuu bhii vahiiishq kaa dil bhii vahii husn kaa jaaduu bhii vahiiummat-e-ahmad-e-mursil bhii vahii tuu bhii vahiiphir ye aazurdagi-e-Gair sabab kyaa ma.aniiapne shaidaa.o.n pe ye chashm-e-Gazab kyaa ma.aniitujh ko chho.Daa ki rasuul-e-arabii ko chho.Daabut-garii pesha kiyaa but-shikanii ko chho.Daaishq ko ishq kii aashufta-sarii ko chho.Daarasm-e-salmaan o uvais-e-qaranii ko chho.Daaaag takbiir kii siino.n me.n dabii rakhte hai.nzindagii misl-e-bilaal-e-habashii rakhte hai.nishq kii KHair vo pahlii sii adaa bhii na sahiijaada-paimaali-e-tasliim-o-razaa bhii na sahiimuztarib dil sifat-e-qibla-numaa bhii na sahiiaur paabandi-e-aa.iin-e-vafaa bhii na sahiikabhii ham se kabhii Gairo.n se shanaasaa.ii haibaat kahne kii nahii.n tuu bhii to harjaa.ii haisar-e-faaraa.n pe kiyaa diin ko kaamil tuu neik ishaare me.n hazaaro.n ke liye dil tuu neaatish-andoz kiyaa ishq kaa haasil tuu nephuu.nk dii garmi-e-ruKHsaar se mahfil tuu neaaj kyuu.n siine hamaare sharer-aabaad nahii.nham vahii soKHta-saamaa.n hai.n tujhe yaad nahii.nvaadii-e-najd me.n vo shor-e-salaasil na rahaaqais diivaana-e-nazzaara-e-mahmil na rahaahausle vo na rahe ham na rahe dil na rahaaghar ye uj.Daa hai ki tuu raunaq-e-mahfil na rahaaai KHushaa aa.n roz ki aa.ii o ba-sad naaz aa.iibe-hijaabaana suu-e-mahfil-e-maa baaz aa.iibaada-kash Gair hai.n gulshan me.n lab-e-juu baiThesunte hai.n jaam-ba-kaf naGma-e-kuu-kuu baiThedaur ha.ngaama-e-gulzaar se yaksuu baiThetere diivaane bhii hai.n muntazir-e-huu baiTheapne parvaano.n ko phir zauq-e-KHud-afrozii debarq-e-deriina ko farmaan-e-jigar-sozii deqaum-e-aavaara inaa.n-taab hai phir suu-e-hijaazle u.Daa bulbul-e-be-par ko mazaaq-e-parvaazmuztarib-e-baaG ke har Gunche me.n hai buu-e-niyaaztuu zaraa chhe.D to de tishna-e-mizraab hai saaznaGme betaab hai.n taaro.n se nikalne ke liyetuur muztar hai usii aag me.n jalne ke liyemushkile.n ummat-e-marhuum kii aasaa.n kar demor-e-be-maaya ko ham-dosh-e-sulaimaa.n kar dejins-e-naayaab-e-mohabbat ko phir arzaa.n kar dehind ke dair-nashiino.n ko musalmaa.n kar dejuu-e-KHuu.n mii chakad az hasrat-e-dairiina-e-maamii tapad naala ba-nishtar kada-e-siina-e-maabuu-e-gul le ga.ii bairuun-e-chaman raaz-e-chamankyaa qayaamat hai ki KHud phuul hai.n Gammaaz-e-chamanahd-e-gul KHatm hu.aa TuuT gayaa saaz-e-chamanu.D ga.e Daaliyo.n se zamzama-pardaaz-e-chamanek bulbul hai ki mahv-e-tarannum ab takus ke siine me.n hai naGmo.n kaa talaatum ab takqumriyaa.n shaaKH-e-sanobar se gurezaa.n bhii hu.ii.npattiyaa.n phuul kii jha.D jha.D ke pareshaa.n bhii hu.ii.nvo puraanii raushe.n baaG kii viiraa.n bhii hu.ii.nDaaliyaa.n pairahan-e-barg se uryaa.n bhii hu.ii.nqaid-e-mausam se tabii.at rahii aazaad us kiikaash gulshan me.n samajhtaa ko.ii fariyaad us kiilutf marne me.n hai baaqii na maza jiine me.nkuchh maza hai to yahii KHuun-e-jigar piine me.nkitne betaab hai.n jauhar mire aa.iine me.nkis qadar jalve ta.Dapte hai.n mire siine me.nis gulistaa.n me.n magar dekhne vaale hii nahii.ndaaG jo siine me.n rakhte ho.n vo laale hii nahii.nchaak is bulbul-e-tanhaa kii navaa se dil ho.njaagne vaale isii baa.ng-e-daraa se dil ho.nya.anii phir zinda na.e ahd-e-vafaa se dil ho.nphir isii baada-e-dairiina ke pyaase dil ho.najamii KHum hai to kyaa mai to hijaazii hai miriinaGma hindii hai to kyaa lai to hijaazii hai mirii
tumhaarii arjumand ammii ko mai.n bhuulaa bahut din me.nmai.n un kii rang kii taskiin se nimTaa bahut din me.nvahii to hai.n jinho.n ne mujh ko paiham rang thukvaayaavo kis rag kaa lahuu hai jo miyaa.n mai.n ne nahii.n thuukaalahuu aur thuuknaa us kaa hai kaarobaar bhii meraayahii hai saakh bhii merii yahii me.aar bhii meraamai.n vo huu.n jis ne apne KHuun se mausam khilaa.e hai.nna-jaane vaqt ke kitne hii aalam aazmaa.e hai.nmai.n ik taariiKH huu.n aur merii jaane kitnii fasle.n hai.nmirii kitnii hii fare.n hai.n mirii kitnii hii asle.n hai.nhavaadis maajraa hii ham rahe hai.n ik zamaane seshadaa.ed saaneha hii ham rahe hai.n ik zamaane sehamesha se bapaa ik ja.ng hai ham us me.n qaa.em hai.nhamaarii ja.ng KHair o shar ke bistar kii hai zaa.idaye charKH-e-jabr ke davvaar-e-mumkin kii hai girviidala.Daa.ii ke liye maidaan aur lashkar nahii.n laazimsinaan o gurz o shamshiir o tabar KHanjar nahii.n laazimbas ik ehsaas laazim hai ki ham bu.adain hai.n dono.nki nafi-e-ain-e-ain o sar-ba-sar ziddain hai.n dono.nluis-urbina ne merii ajab kuchh Gam-gusaarii kiiba-sad dil daanishii guzraan apnii mujh pe taarii kiibahut us ne pilaa.ii aur piine hii na dii mujh kopalak tak us ne marne ke liye jiine na dii mujh ko''mai.n tere ishq me.n ranjiida huu.n haa.n ab bhii kuchh kuchh huu.nmujhe terii KHayaanat ne Gazab majruuh kar Daalaamagar taish-e-shadiidaana ke baa'd aaKHir zamaane me.nrazaa kii jaavidaana jabr kii naubat bhii aa pahu.nchii''
mere maazii ko andhere me.n dabaa rahne domeraa maazii mirii zillat ke sivaa kuchh bhii nahii.nmerii ummiido.n kaa haasil mirii kaavish kaa silaek be-naam aziyyat ke sivaa kuchh bhii nahii.n
uTTho mirii duniyaa ke Gariibo.n ko jagaa dokaaKH-e-umraa ke dar o diivaar hilaa dogarmaa.o Gulaamo.n kaa lahuu soz-e-yaqii.n sekunjishk-e-faromaaya ko shaahii.n se la.Daa dosulataani-e-jamhuur kaa aataa hai zamaanajo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aa.e miTaa dojis khet se dahqaa.n ko mayassar nahii.n roziius khet ke har KHosha-e-gandum ko jalaa dokyuu.n KHaaliq o maKHluuq me.n haa.il rahe.n pardepiiraan-e-kaliisaa ko kaliisaa se uThaa dohaq raa ba-sajuude sanamaa.n raa ba-tavaafebehtar hai charaaG-e-haram-o-dair bujhaa domai.n naa-KHush o be-zaar huu.n marmar kii silo.n semere liye miTTii kaa haram aur banaa dotahziib-e-navii kaargah-e-shiishagaraa.n haiaadaab-e-junuu.n shaa.ir-e-mashriq ko sikhaa do
magar ye satre.n ba.Dii ajab hai.nkahii.n tavaazun biga.D gayaa haiyaa ko.ii siivan udha.D ga.ii hai:''faraar huu.n mai.n ka.ii dino.n sejo ghup-a.ndhere kii tiir jaisii sura.ng ik kaan seshuruu.a ho ke duusre kaan tak ga.ii hai,mai.n us nalii me.n chhupaa hu.aa huu.n,tum aa ke tinke se mujh ko baahar nikaal lenaa
self made logo.n kaa alamiyaraushnii mizaajo.n kaa kyaa ajab muqaddar haizindagii ke raste me.n bichhne vaale kaa.nTo.n koraah se haTaane me.nek ek tinke se aashiyaa.n banaane me.nKHushbu.e.n paka.Dne me.n gulistaa.n sajaane me.numr kaaT dete hai.numr kaaT dete hai.naur apne hisse ke phuul baa.nT dete hai.nkaisii kaisii KHvaahish ko qatl karte jaate hai.ndarguzar ke gulshan me.n abr ban ke rahte hai.nsabr ke samundar me.n kashtiyaa.n chalaate hai.nye nahii.n ki un ko is roz-o-shab kii kaahish kaakuchh sila nahii.n miltaamarne vaalii aaso.n kaa KHuu.n-bahaa nahii.n miltaazindagii ke daaman me.n jis qadar bhii KHushiyaa.n hai.nsab hii haath aatii hai.nsab hii mil bhii jaatii hai.nvaqt par nahii.n miltii.n vaqt par nahii.n aatii.nyaanii un ko mehnat kaa ajr mil to jaataa hailekin is tarah jaiseqarz kii raqam ko.ii qist qist ho jaa.easl jo ibaarat ho pas navisht ho jaa.efasl-e-gul ke aaKHir me.n phuul un ke khulte hai.nun ke sahn me.n suuraj der me.n nikalte hai.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books