aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "suuliyo.n"
suuliyo.n par hamaare labo.n se paretere ho.nTo.n kii laalii lapaktii rahiiterii zulfo.n kii mastii barastii rahiitere haatho.n kii chaa.ndii damaktii rahii
magar ko.ii to.De de rahaa hailaraztii mizhgaa.n ke nashtaro.n kodilo.n ke andar utaartaa haiko.ii siyaasat ke KHanjaro.n kokisii ke zahriile tez naaKHunuqaab ke panja-haa-e-KHuunii.nkii tarah aa.nkho.n pe aa rahe hai.ngulaab se tan misaal-e-bismilzamiin par tilmilaa rahe hai.njo pyaas paanii kii muntazir thiivo suuliyo.n par Ta.ngii hu.ii haivo bhuuk roTii jo maa.ngtii thiisaliib-e-zar par cha.Dhii hu.ii haiye zulm kaisaa, sitam ye kyaa haimai.n sochtaa huu.n ye kyaa junuu.n haijahaa.n me.n naan-e-javii.n kii qiimatkisii kii ismat, kisii kaa KHuu.n hai
mirii rago.n me.n KHunuk suu.iyaa.n pirotaa hu.aabarhana laasho.n ke ambaar par se hotaa hu.aahavaa kaa haath bahut sard, maut jaisaa sardvo jaa rahaa hai, vo darvaaze sar paTakne lagevo balb TuuT gayaa, saa.e saath chho.D ga.evo naachte hu.e bheje kisii raqiiq se tarvo re.ngte hu.e baazuu, vo chiiKHte hu.e sarvo ho.nT niim-taraashiida, daa.nt nikle hu.evo nisf dha.D chale aate hai.n raqs karte hu.evo jism sahme hu.e band martabaano.n me.njo baat kii to unhe.n tez-o-tursh zahr milaajo chup hu.e to unhe.n suuliyo.n pe Taa.ng diyaachhupii hai.n saik.Do.n bad-ruuhe.n in fazaa.o.n me.nvo ghuurtii hu.ii aa.nkhe.n kahii.n KHalaa.o.n me.nzamii.n ke maalik-e-deriina kii talaash me.n hai.njaraahato.n ke nishaa.n har KHamiida laash me.n hai.naur ik sadaa chalii aatii hai, har jaraahat seye saare zaKHm muqaddar hu.e hai.n maut ke baadsukuun-e-lafz-o-bayaan o sukuut-e-saut ke baad
mohabbat ko tum laakh phe.nk aa.o gahre ku.e.n me.nmagar ek aavaaz piichhaa karegiikabhii chaa.ndnii raat kaa giit ban karkabhii ghup a.ndhere kii paglii ha.nsii ban kepiichhaa karegiimagar ek aavaaz piichhaa karegiivo aavaaznaa-KHvaasta tiflak-e-be-pidarek dinsuuliyo.n ke sahaarebanii-nau-e-insaa.n kii haadii baniiphir KHudaa ban ga.iiko.ii maa.nka.ii saal pahlezamaane ke Dar sesar-e-rah-guzarapnaa laKHt-e-jigar chho.D aa.iivo naa-KHvaasta tiflak-e-be-pidarek dinsuuliyo.n ke sahaarebanii-nau-e-insaa.n kaa haadii banaaphir KHudaa ban gayaa
tum log yahaa.n baiThe hotum log yahaa.n is liye baiThe ho kijo tum me.n se yahaa.n nahii.n haiuse vahaa.n se uThaa diyaa gayaa haitum me.n se ko.ii portugal nahii.n gayaalekin tumhaare darmiyaan mez aur kursiyaa.n hai.njo duniyaa tum ko dikhaane ke liye kaafii haiis se ba.Dh kar bhii ko.ii dukh hogaajitnaa sochoge bhuulte jaa.ogemaslamausiiqii yaa aurte.n aur aab-o-havaa bachcheaKHbaar yaa Gizaa.o.n ke naamyahaa.n tak ki nii.nd aa jaatii haiyaa vo ek buu.Dhaa jis ke paa.nvmaidaano.n me.n chalte chalte KHatm hu.eus kii fasl us ke puraane chehre kogaalii de us par phe.nk dii ga.iinaariyal kaa banaa hu.aa huqqa bhii aur us me.n jo jalaa hu.aa paanii hotaa hai vo bhii tum logus kamre me.n aa ga.etumhaare saamne mez par ashtray me.n abhii abhii jabki mulk kii gha.Diyo.n me.n raat ke 9 baj rahe hai.nek cigarette kaa jaltaa hu.aa filter KHatm ho rahaa haimai.n tum sab ke baare me.n bahut kuchh kahnaa chaahtaa huu.n kuchh bahut zaruurii bhed hai.nlekin agar kah duu.n to bahut buraa hogaatumhaarii gardane.n mujhe insaanii shakl me.n dikhaa.ii nahii.n detii.nye gardane.n jism kaa filter hai.njism tafsiilaat me.n jal ga.e ab filter jal rahe hai.nye mai.n nahii.n bataa.uu.ngaa ki tumhe.n kis ne jalaa jalaa ke piyaamaz.hab ne is jism me.n tumhaare is kamre me.n jaise an-ginat kamre banaa.e aur har kamra aagjalaa.e rakhne kii tarkiib bataa.iimai.n tum me.n se ek thaa tumhaare darmiyaan musiibat me.n KHudaa kaa naam sunaa thaakaro.Do.n bhikaariyo.n ke dilo.n ko sameT kar roTii kaa ek suukhaa Tuk.Daa maa.ngne ke liye use pukaaraakitaabo.n me.n sachchaa.ii ke do lafz pa.Dhne ke liye miTTii ke tel kii Dheriyaa.n chaar-paa.iiyo.n par ulaT dii.nmerii Gariibii ke yaadgaar gud.De aur bistar jal ga.ezamiin par itne ka.nkar patthar ii.nTe.n bajrii aur baaluu ke zarre bhii nahii.n hogejitnii merii raTii hu.ii du.aa.e.nki aurato.n aur jaanvaro.n se chhuTkaaraa mil jaa.ebaat ye ki mai.n khul kar ronaa chaahtaa thaaitnaa ki tumhaarii aabaadiyo.n me.n baazaaro.n ke hujuum bhii nahii.n hoge aur la.Dko.n kii gaaliyaa.n jo na.nge paagalo.n ke piichhe dau.Dtii hai.nsuno mai.n use apne Dha.ng se chaahtaa thaaitnaa ki ek arab nekiyo.n se bhare hu.e aspataal bhii kaafii nahii.nare mai.n jo KHudaa maa.ngtaa huu.n vo tum dete nahii.naag jalaane kii tarkiib to mai.n nahii.n jaantaamai.n tum se kahtaa huu.n mujhe jalaa.o yaa merii nabaataat jalaa.o mai.n jaluu.ngaa aur jaluu.ngaakaam karuu.ngaa aur kaam karuu.ngaasuno kaam karne ke liye ek aisii zindagii chaahiye ki mai.n tum sab ko bilaa-vaj.h marne se rok sakuu.nzindagii kaa kaam kabhii ruktaa nahii.nhar-chand kiburii bhii.D ke zamaana me.n achchhii kitaabe.n likhne pa.Dhne ke mazbuut saamaan naayaab ho jaate hai.ndaulat ba.De style se ishtihaarii sukuun baa.nTtii haimicrophone yaa baap aur universitiyo.n me.n jab professor e.azaaz kii suuliyo.n par KHush-gavaar dikhaa.ii dete hai.ndavaa.e.n yaa maa.e.n bahne.ntab ba.Daa Galat a.ndheraa hotaa hai Galat beTe aur bhaa.iijinhe.n binaa-qiimat liye agar tum chhuu lo to kaaGaz tumhe.n paka.D le.ngekaaGaz tumhe.n maar Daale.ngeyahii kaaGaz jin se tumhaare liye dhoke aur mustaqbil banaate hai.nchalo is bhii.D se niklozindagii kaa kaam kabhii ruktaa nahii.npaas aa.omai.n tumhaarii jebo.n ke jhuuT se aaj tak Daraa nahii.n huu.nun me.n rakhe hu.e paise nikaal luu.ngaapaise mat chhupaa.o paas aa.oye mai.n jaantaa huu.n ki tumhaarii biiviyaa.n tumhaarii maut ke agnet hai.ntumhaare beTe aur bhaa.ii mujh se nafrat karte hai.nmai.n tumhaare gharo.n ke Dare hu.e band darvaazo.n par dastak detaa huu.n aur tum aur tumhaare logandar se chillaate hai.n ki tum nahii.n homai.n tumhe.n marne se kyuu.n rokuu.n har-chand ki rok saktaa huu.nmaut kisii ko maarne ke liye aasmaan se nahii.n utartiimaut is liye hai ki tum ne use aasmaan maan liyaazamiin tumhe.n jaagne ke liye dii ga.ii tum ne use maayuus kiyaamaut zamiin kii maayuusii par aaj tak KHush haiaur tumhaare KHvaabo.n me.n chalne kii aazaadii haitambaakuu afiim aur bha.ng ke paude aaj tak KHush hai.n ki vo tumhaarii marii hu.ii maa.o.n kii maamtaa hai.ntumhaarii bahut sii biimaariyaa.n tumhaare jism me.n ba.De aaraam se hai.naur davaa-KHaano.n me.n bahut sii davaa.e.n bhii ba.De aaraam se hai.nmai.n tumhe.n marne se kaise rokuu.nhaa.n tum mujhe jiine se rokte homai.n tum se kahtaa huu.n ki tumhaare chho.De hu.e maidaano.n kii havaa.o.n ke jho.nke jab tumhaarii khi.Dkiyo.n me.n aa rahe ho.n tokhi.Dkiyaa.n mat band karobaat ye hai ki tumhaaraa jam.a kiyaa hu.aa asaasa tumhaare jism ke ek ma.amuulii ro.e.n tak ko nahii.n chamkaa saktaatumhaare jam.a kiye hu.e Galat a.ndhero.n par jab suuraj chamaktaa haito tum us se uktaate hotum mujhe bolne se rokte homai.n kahtaa huu.n tumhaare ye makaan tumhaarii aane vaalii qabro.n se muKHtalif nahii.ntum bainal-aqvaamii bichchhuu.o.n se ziyaada chaalaak nahii.ntum duniyaa kii ba.Dii kitaabo.n se ziyaada gambhiir nahii.n hojab tak mai.n tum se apne safar kaa saaraa saamaan chhiin nahii.n luu.ngaa tum se iKHtilaaf karuu.ngaatumhe.n marne se rokuu.ngaa
yahii vo manzil-e-maqsuud hai ki jis ke liyeba.De hii azm se apne safar pe nikle theisii gha.Dii kii tamanna me.n jaane kitne logjo be-KHataa the magar suuliyo.n pe laTke the
ye zaalimo.n kaa mu.aashra haiyahaa.n pezaalimagar sa.Dak parkisii ko kuchle.nto log tasviir khii.nchte hai.nkahaa.n vo muTThii ko bhii.nchte hai.nye buz-dilo.n kaa mu.aashra haisamaaj sajde me.nzaalimo.n ke jhukaa hu.aa haina rii.Dh baaqiikisii ke tan me.nna aab aa.nkho.n me.n rah gayaa haiadaalate.nmasKHaro.n kii chaupaal ban ga.ii hai.nTa.ngaa haiinsaaf suuliyo.n parhai zulmmuskaa.e kursiyo.n parpa.Daa haimazluum sii.Dhiyo.n parshikannahii.n hai kisii ke mu.nh parye daad-KHoro.n kii ma.nDlii haiadab nahii.n haiye daad-KHorii bhiikyaa balaa haiki haq pesab kaa hiimu.nh silaa haiadiib ajgar hai.n jo adab me.nsadaa-e-haq ko nigal rahe hai.nusuul sab ne kuchal diye hai.nqalam to kau.Dii me.n bik ga.e hai.nzahr bujhii haisahaafiyo.n kii zabaa.n yahaa.n parlahuu lagaa hai Gariib logo.n kaa un ke mu.nh parjidhar hukuumat kaa ho ishaarato dum hilaate hai.n ye vahaa.n parko.ii bhii haq pe nahii.n yahaa.n parkisii ko parvaanahii.n kisaano.n kiiun kii jaano.n kiiko.ii phaa.nsii pe chaahe jhuuleyaa zahr pii lekise pa.Dii haiki peT jin ke bhare hu.e hai.nvo bistarao.n par pa.De hu.e hai.nugaa rahe hai.n jo KHuunde kar Gizaa zamii.n sevahii zamii.n me.n ga.De hu.e hai.nyahaa.n mu.nDero.n pegidh baiThe hai.n vaasnaa kenazar ga.Daa keyahaa.n pe ismatnahii.n salaamat hai ab kisii kiina bachchiyo.n kii na buu.Dhiyo.n kiiye bhe.Diyo.n kaa mu.aashra haito mere mazluum uTh kha.Daa hotuu apne zaKHmo.n me.ndhuul bhar leye sach hai is koqubuul kar letuu aise barbarsamaaj me.n sarjhukaa ke mat jiituu ghuu.nT apmaan ke nahii.n piiagar hai yalGaar is kaa hal tomahaaz par aarago.n se Dar ab nikaal de tuulahuu havaa me.n uchhaal de tuu
an-ginat sadiyo.n ke taariik bahiimaana tilismresham o atlas o kamKHaab me.n bunvaa.e hu.ejaa-ba-jaa bikte hu.e kuucha-o-baazaar me.n jismKHaak me.n luTh.De hu.e KHuun me.n nahlaa.e hu.e
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii haipar nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii haiqudsi-ul-asl hai rif.at pe nazar rakhtii haiKHaak se uThtii hai garduu.n pe guzar rakhtii haiishq thaa fitnagar o sarkash o chaalaak miraaaasmaa.n chiir gayaa naala-e-bebaak miraapiir-e-garduu.n ne kahaa sun ke kahii.n hai ko.iibole sayyaare sar-e-arsh-e-barii.n hai ko.iichaa.nd kahtaa thaa nahii.n ahl-e-zamii.n hai ko.iikahkashaa.n kahtii thii poshiida yahii.n hai ko.iikuchh jo samjhaa mire shikve ko to rizvaa.n samjhaamujh ko jannat se nikaalaa hu.aa insaa.n samjhaathii farishto.n ko bhii hairat ki ye aavaaz hai kyaaarsh vaalo.n pe bhii khultaa nahii.n ye raaz hai kyaataa-sar-e-arsh bhii insaa.n kii tag-o-taaz hai kyaaaa ga.ii KHaak kii chuTkii ko bhii parvaaz hai kyaaGaafil aadaab se sukkaan-e-zamii.n kaise hai.nshoKH o gustaaKH ye pastii ke makii.n kaise hai.nis qadar shoKH ki allaah se bhii barham haithaa jo masjuud-e-malaa.ik ye vahii aadam haiaalim-e-kaif hai daanaa-e-rumuuz-e-kam haihaa.n magar ijz ke asraar se naa-mahram hainaaz hai taaqat-e-guftaar pe insaano.n kobaat karne kaa saliiqa nahii.n naa-daano.n koaa.ii aavaaz Gam-a.ngez hai afsaana tiraaashk-e-betaab se labrez hai paimaana tiraaaasmaa.n-giir hu.aa naara-e-mastaana tiraakis qadar shoKH-zabaa.n hai dil-e-diivaana tiraashukr shikve ko kiyaa husn-e-adaa se tuu neham-suKHan kar diyaa bando.n ko KHudaa se tuu neham to maa.il-ba-karam hai.n ko.ii saa.il hii nahii.nraah dikhlaa.e.n kise rah-rav-e-manzil hii nahii.ntarbiyat aam to hai jauhar-e-qaabil hii nahii.njis se ta.amiir ho aadam kii ye vo gil hii nahii.nko.ii qaabil ho to ham shaan-e-ka.ii dete hai.nDhuu.nDne vaalo.n ko duniyaa bhii na.ii dete hai.nhaath be-zor hai.n ilhaad se dil KHuugar hai.nummatii baa.is-e-rusvaa.i-e-paiGambar hai.nbut-shikan uTh ga.e baaqii jo rahe but-gar hai.nthaa braahiim pidar aur pisar aazar hai.nbaada-aashaam na.e baada nayaa KHum bhii na.eharam-e-kaaba nayaa but bhii na.e tum bhii na.evo bhii din the ki yahii maaya-e-raanaa.ii thaanaazish-e-mausam-e-gul laala-e-sahraa.ii thaajo musalmaan thaa allaah kaa saudaa.ii thaakabhii mahbuub tumhaaraa yahii harjaa.ii thaakisii yakjaa.ii se ab ahd-e-Gulaamii kar lomillat-e-ahmad-e-mursil ko maqaamii kar lokis qadar tum pe giraa.n sub.h kii bedaarii haiham se kab pyaar hai haa.n nii.nd tumhe.n pyaarii haitab-e-aazaad pe qaid-e-ramazaa.n bhaarii haitumhii.n kah do yahii aa.iin-e-vafaadaarii haiqaum maz.hab se hai maz.hab jo nahii.n tum bhii nahii.njazb-e-baaham jo nahii.n mahfil-e-anjum bhii nahii.njin ko aataa nahii.n duniyaa me.n ko.ii fan tum honahii.n jis qaum ko parvaa-e-nasheman tum hobijliyaa.n jis me.n ho.n aasuuda vo KHirman tum hobech khaate hai.n jo aslaaf ke madfan tum hoho niko naam jo qabro.n kii tijaarat kar kekyaa na bechoge jo mil jaa.e.n sanam patthar kesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa kis nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa kis nemere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa kis nemere qur.aan ko siino.n se lagaayaa kis nethe to aabaa vo tumhaare hii magar tum kyaa hohaath par haath dhare muntazir-e-fardaa hokyaa kahaa bahr-e-musalmaa.n hai faqat vaada-e-huurshikva bejaa bhii kare ko.ii to laazim hai shu.uuradl hai faatir-e-hastii kaa azal se dastuurmuslim aa.ii.n hu.aa kaafir to mile huur o qusuurtum me.n huuro.n kaa ko.ii chaahne vaalaa hii nahii.njalva-e-tuur to maujuud hai muusaa hii nahii.nmanfa.at ek hai is qaum kaa nuqsaan bhii ekek hii sab kaa nabii diin bhii iimaan bhii ekharam-e-paak bhii allaah bhii qur.aan bhii ekkuchh ba.Dii baat thii hote jo musalmaan bhii ekfirqa-bandii hai kahii.n aur kahii.n zaate.n hai.nkyaa zamaane me.n panapne kii yahii baate.n hai.nkaun hai taarik-e-aa.iin-e-rasuul-e-muKHtaarmaslahat vaqt kii hai kis ke amal kaa me.aarkis kii aa.nkho.n me.n samaayaa hai shi.aar-e-aGyaarho ga.ii kis kii nigah tarz-e-salaf se be-zaarqalb me.n soz nahii.n ruuh me.n ehsaas nahii.nkuchh bhii paiGaam-e-mohammad kaa tumhe.n paas nahii.njaa ke hote hai.n masaajid me.n saf-aaraa to Gariibzahmat-e-roza jo karte hai.n gavaaraa to Gariibnaam letaa hai agar ko.ii hamaaraa to Gariibparda rakhtaa hai agar ko.ii tumhaaraa to Gariibumaraa nashsha-e-daulat me.n hai.n Gaafil ham sezinda hai millat-e-baizaa Gorabaa ke dam sevaa.iz-e-qaum kii vo puKHta-KHayaalii na rahiibarq-e-tab.ii na rahii shola-maqaalii na rahiirah ga.ii rasm-e-azaa.n ruuh-e-bilaalii na rahiifalsafa rah gayaa talqiin-e-Gazaalii na rahiimasjide.n marsiyaa.n-KHvaa.n hai.n ki namaazii na raheyaanii vo sahib-e-ausaaf-e-hijaazii na raheshor hai ho ga.e duniyaa se musalmaa.n naabuudham ye kahte hai.n ki the bhii kahii.n muslim maujuudvaz.a me.n tum ho nasaaraa to tamaddun me.n hunuudye musalmaa.n hai.n jinhe.n dekh ke sharmaa.e.n yahuudyuu.n to sayyad bhii ho mirzaa bhii ho afGaan bhii hotum sabhii kuchh ho bataa.o to musalmaan bhii hodam-e-taqriir thii muslim kii sadaaqat bebaakadl us kaa thaa qavii laus-e-maraa.aat se paakshajar-e-fitrat-e-muslim thaa hayaa se namnaakthaa shujaa.at me.n vo ik hasti-e-fauq-ul-idraakKHud-gudaazii nam-e-kaifiyat-e-sahbaa-yash buudKHaalii-az-KHesh shudan suurat-e-miinaa-yash buudhar musalmaa.n rag-e-baatil ke liye nashtar thaaus ke aa.iina-e-hastii me.n amal jauhar thaajo bharosaa thaa use quvvat-e-baazuu par thaahai tumhe.n maut kaa Dar us ko KHudaa kaa Dar thaabaap kaa ilm na beTe ko agar azbar hophir pisar qaabil-e-miiraas-e-pidar kyuu.nkar hohar ko.ii mast-e-mai-e-zauq-e-tan-aasaanii haitum musalmaa.n ho ye andaaz-e-musalmaanii haihaidarii faqr hai ne daulat-e-usmaanii haitum ko aslaaf se kyaa nisbat-e-ruuhaanii haivo zamaane me.n mu.azziz the musalmaa.n ho karaur tum KHvaar hu.e taarik-e-qur.aa.n ho kartum ho aapas me.n Gazabnaak vo aapas me.n rahiimtum KHataa-kaar o KHataa-bii.n vo KHataa-posh o kariimchaahte sab hai.n ki ho.n auj-e-surayyaa pe muqiimpahle vaisaa ko.ii paidaa to kare qalb-e-saliimtaKHt-e-faGfuur bhii un kaa thaa sariir-e-ka.e bhiiyuu.n hii baate.n hai.n ki tum me.n vo hamiyat hai bhiiKHud-kushii sheva tumhaaraa vo Gayuur o KHuddaartum uKHuvvat se gurezaa.n vo uKHuvvat pe nisaartum ho guftaar saraapaa vo saraapaa kirdaartum taraste ho kalii ko vo gulistaa.n ba-kanaarab talak yaad hai qaumo.n ko hikaayat un kiinaqsh hai safha-e-hastii pe sadaaqat un kiimisl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhii hu.ebut-e-hindii kii mohabbat me.n birhman bhii hu.eshauq-e-parvaaz me.n mahjuur-e-nasheman bhii hu.ebe-amal the hii javaa.n diin se bad-zan bhii hu.ein ko tahziib ne har band se aazaad kiyaalaa ke ka.abe se sanam-KHaane me.n aabaad kiyaaqais zahmat-kash-e-tanhaa.i-e-sahraa na raheshahr kii khaa.e havaa baadiya-paimaa na rahevo to diivaana hai bastii me.n rahe yaa na raheye zaruurii hai hijaab-e-ruKH-e-lailaa na rahegila-e-zaur na ho shikva-e-bedaad na hoishq aazaad hai kyuu.n husn bhii aazaad na hoahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-KHirman haiaiman is se ko.ii sahraa na ko.ii gulshan haiis na.ii aag kaa aqvaam-e-kuhan ii.ndhan haimillat-e-KHatm-e-rusul shola-ba-pairaahan haiaaj bhii ho jo braahiim kaa iimaa.n paidaaaag kar saktii hai andaaz-e-gulistaa.n paidaadekh kar ra.ng-e-chaman ho na pareshaa.n maaliiKaukab-e-Guncha se shaaKHe.n hai.n chamakne vaaliiKHas o KHaashaak se hotaa hai gulistaa.n KHaaliiGul-bar-andaaz hai KHuun-e-shohdaa kii laaliira.ng garduu.n kaa zaraa dekh to unnaabii haiye nikalte hu.e suuraj kii ufuq-taabii haiummate.n gulshan-e-hastii me.n samar-chiida bhii hai.naur mahruum-e-samar bhii hai.n KHizaa.n-diida bhii hai.nsaik.Do.n naKHl hai.n kaahiida bhii baaliida bhii hai.nsaik.Do.n batn-e-chaman me.n abhii poshiida bhii hai.nnaKHl-e-islaam namuuna hai birau-mandii kaaphal hai ye saik.Do.n sadiyo.n kii chaman-bandii kaapaak hai gard-e-vatan se sar-e-daamaa.n teraatuu vo yuusuf hai ki har misr hai kan.aa.n teraaqaafila ho na sakegaa kabhii viiraa.n teraaGair yak-baa.ng-e-daraa kuchh nahii.n saamaa.n teraanaKHl-e-shama astii o dar shola do-resha-e-tuuaaqibat-soz bavad saaya-e-andesha-e-tuutuu na miT jaa.egaa iiraan ke miT jaane senashsha-e-mai ko ta'alluq nahii.n paimaane sehai ayaa.n yurish-e-taataar ke afsaane sepaasbaa.n mil ga.e ka.abe ko sanam-KHaane sekashti-e-haq kaa zamaane me.n sahaaraa tuu haiasr-e-nau-raat hai dhundlaa saa sitaaraa tuu haihai jo ha.ngaama bapaa yurish-e-bulGaarii kaaGaafilo.n ke liye paiGaam hai bedaarii kaatuu samajhtaa hai ye saamaa.n hai dil-aazaarii kaaimtihaa.n hai tire iisaar kaa KHuddaarii kaakyuu.n hiraasaa.n hai sahiil-e-faras-e-aadaa senuur-e-haq bujh na sakegaa nafas-e-aadaa sechashm-e-aqvaam se maKHfii hai haqiiqat teriihai abhii mahfil-e-hastii ko zaruurat teriizinda rakhtii hai zamaane ko haraarat teriikaukab-e-qismat-e-imkaa.n hai KHilaafat teriivaqt-e-fursat hai kahaa.n kaam abhii baaqii hainuur-e-tauhiid kaa itmaam abhii baaqii haimisl-e-buu qaid hai Gunche me.n pareshaa.n ho jaaraKHt-bar-dosh havaa-e-chamanistaa.n ho jaahai tunak-maaya tuu zarre se bayaabaa.n ho jaanaGma-e-mauj hai ha.ngaama-e-tuufaa.n ho jaaquvvat-e-ishq se har past ko baalaa kar dedahr me.n ism-e-mohammad se ujaalaa kar deho na ye phuul to bulbul kaa tarannum bhii na hochaman-e-dahr me.n kaliyo.n kaa tabassum bhii na hoye na saaqii ho to phir mai bhii na ho KHum bhii na hobazm-e-tauhiid bhii duniyaa me.n na ho tum bhii na hoKHema-e-aflaak kaa istaada isii naam se hainabz-e-hastii tapish-aamaada isii naam se haidasht me.n daaman-e-kohsaar me.n maidaan me.n haibahr me.n mauj kii aaGosh me.n tuufaan me.n haichiin ke shahr maraaqash ke bayaabaan me.n haiaur poshiida musalmaan ke iimaan me.n haichashm-e-aqvaam ye nazzaara abad tak dekherif.at-e-shaan-e-rafaanaa-lakaa-zikrak dekhemardum-e-chashm-e-zamii.n yaanii vo kaalii duniyaavo tumhaare shohdaa paalne vaalii duniyaagarmii-e-mehr kii parvarda hilaalii duniyaaishq vaale jise kahte hai.n bilaalii duniyaatapish-andoz hai is naam se paare kii tarahGota-zan nuur me.n hai aa.nkh ke taare kii tarahaql hai terii sipar ishq hai shamshiir tiriimire darvesh KHilaafat hai jahaa.ngiir tiriimaa-sivaa-allaah ke liye aag hai takbiir tiriituu musalmaa.n ho to taqdiir hai tadbiir tiriikii mohammad se vafaa tuu ne to ham tere hai.nye jahaa.n chiiz hai kyaa lauh-o-qalam tere hai.n
tum ne luuTaa hai sadiyo.n hamaaraa sukuu.nab na ham par chalegaa tumhaaraa fusuu.nchaaraagar dardmando.n ke bante ho kyuu.ntum nahii.n chaaraagar ko.ii maane magarmai.n nahii.n maantaa mai.n nahii.n jaantaa
saare jahaa.n se achchhaa hindostaa.n hamaaraaham bulbule.n hai.n is kii ye gulsitaa.n hamaaraaGurbat me.n ho.n agar ham rahtaa hai dil vatan me.nsamjho vahii.n hame.n bhii dil ho jahaa.n hamaaraaparbat vo sab se uu.nchaa ham-saaya aasmaa.n kaavo santarii hamaaraa vo paasbaa.n hamaaraagodii me.n kheltii hai.n is kii hazaaro.n nadiyaa.ngulshan hai jin ke dam se rashk-e-jinaa.n hamaaraaai aab-ruud-e-ga.ngaa vo din hai yaad tujh koutraa tire kinaare jab kaarvaa.n hamaaraamaz.hab nahii.n sikhaataa aapas me.n bair rakhnaahindii hai.n ham vatan hai hindostaa.n hamaaraayuunaan o misr o ruumaa sab miT ga.e jahaa.n seab tak magar hai baaqii naam-o-nishaa.n hamaaraakuchh baat hai ki hastii miTtii nahii.n hamaariisadiyo.n rahaa hai dushman daur-e-zamaa.n hamaaraa'iqbaal' ko.ii mahram apnaa nahii.n jahaa.n me.nmaaluum kyaa kisii ko dard-e-nihaa.n hamaaraa
1vo sub.h kabhii to aa.egiiin kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.nchal Dhalkegaajab dukh ke baadal pighle.nge jab sukh kaa saagar chhalkegaajab ambar jhuum ke naachegaa jab dhartii naGme gaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiijis sub.h kii KHaatir jug jug se ham sab mar mar kar jiite hai.njis sub.h ke amrit kii dhun me.n ham zahr ke pyaale piite hai.nin bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam farmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimaanaa ki abhii tere mere armaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.nmiTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.ninsaano.n kii izzat jab jhuuTe sikko.n me.n na taulii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiidaulat ke liye jab aurat kii ismat ko na bechaa jaa.egaachaahat ko na kuchlaa jaa.egaa Gairat ko na bechaa jaa.egaaapne kaale kartuuto.n par jab ye duniyaa sharmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiibiite.nge kabhii to din aaKHir ye bhuuk ke aur bekaarii keTuuTe.nge kabhii to but aaKHir daulat kii ijaara-daarii kejab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimajbuur bu.Dhaapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na phaa.nkegaama.asuum la.Dakpan jab gandii galiyo.n me.n bhiik na maa.ngegaahaq maa.ngne vaalo.n ko jis din suulii na dikhaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiifaaqo.n kii chitaa.o.n par jis din insaa.n na jalaa.e jaa.e.ngesiino.n ke dahakte dozaKH me.n armaa.n na jalaa.e jaa.e.ngeye narak se bhii gandii duniyaa jab sovarg banaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egii2vo sub.h hamii.n se aa.egiijab dhartii karvaT badlegii jab qaid se qaidii chhuuTe.ngejab paap gharau.nde phuuTe.nge jab zulm ke bandhan TuuTe.ngeus sub.h ko ham hii laa.e.nge vo sub.h hamii.n se aa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egiimanhuus samaajii Dhaa.ncho.n me.n jab zulm na paale jaa.e.ngejab haath na kaaTe jaa.e.nge jab sar na uchhaale jaa.e.ngejailo.n ke binaa jab duniyaa kii sarkaar chalaa.ii jaa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egiisansaar ke saare mehnat-kash kheto.n se milo.n se nikle.ngebe-ghar be-dar be-bas insaa.n taariik bilo.n se nikle.ngeduniyaa amn aur KHush-haalii ke phuulo.n se sajaa.ii jaa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egii
saa.ns lenaa bhii kaisii aadat haijiye jaanaa bhii kyaa rivaayat haiko.ii aahaT nahii.n badan me.n kahii.nko.ii saaya nahii.n hai aa.ankho.n me.npaa.nv behis hai.n chalte jaate hai.nik safar hai jo bahtaa rahtaa haikitne barso.n se kitnii sadiyo.n sejiye jaate hai.n jiye jaate hai.n
daliil-e-sub.h-e-raushan hai sitaaro.n kii tunuk-taabiiufuq se aaftaab ubhraa gayaa daur-e-giraa.n-KHvaabiiuruuq-murda-e-mashriq me.n KHuun-e-zindagii dau.Daasamajh sakte nahii.n is raaz ko siinaa o faaraabiimusalmaa.n ko musalmaa.n kar diyaa tuufaan-e-maGrib netalaatum-haa-e-dariyaa hii se hai gauhar kii sairaabiiataa momin ko phir dargaah-e-haq se hone vaalaa haishikoh-e-turkamaanii zehn hindii nutq aaraabiiasar kuchh KHvaab kaa Guncho.n me.n baaqii hai tuu ai bulbulnavaa-raa talKH-tarmii zan chuu zauq-e-naGma kam-yaabiita.Dap sehn-e-chaman me.n aashiyaa.n me.n shaaKH-saaro.n me.njudaa paare se ho saktii nahii.n taqdiir-e-siimaabiivo chashm-e-paak hai.n kyuu.n ziinat-e-bar-gustavaa.n dekhenazar aatii hai jis ko mard-e-Gaazii kii jigar-taabiizamiir-e-laala me.n raushan charaaG-e-aarzuu kar dechaman ke zarre zarre ko shahiid-e-justujuu kar desarishk-e-chashm-e-muslim me.n hai naisaa.n kaa asar paidaaKHaliilullaah ke dariyaa me.n ho.nge phir guhar paidaakitaab-e-millat-e-baizaa kii phir shiiraaza-bandii haiye shaaKH-e-haashmii karne ko hai phir barg-o-bar paidaarabuud aa.n turk shiiraazii dil-e-tabrez-o-kaabul raasabaa kartii hai buu-e-gul se apnaa ham-safar paidaaagar usmaaniyo.n par koh-e-Gam TuuTaa to kyaa Gam haiki KHuun-e-sad-hazaar-anjum se hotii hai sahar paidaajahaa.nbaanii se hai dushvaar-tar kaar-e-jahaa.n-biiniijigar KHuu.n ho to chashm-e-dil me.n hotii hai nazar paidaahazaaro.n saal nargis apnii be-nuurii pe rotii haiba.Dii mushkil se hotaa hai chaman me.n diida-var paidaanavaa-pairaa ho ai bulbul ki ho tere tarannum sekabuutar ke tan-e-naazuk me.n shaahii.n kaa jigar paidaatire siine me.n hai poshiida raaz-e-zindagii kah demusalmaa.n se hadiis-e-soz-o-saaz-e-zindagii kah deKHudaa-e-lam-yazal kaa dast-e-qudrat tuu zabaa.n tuu haiyaqii.n paidaa kar ai Gaafil ki maGluub-e-gumaa.n tuu haipare hai charKH-e-niilii-faam se manzil musalmaa.n kiisitaare jis kii gard-e-raah ho.n vo kaarvaa.n to haimakaa.n faanii makii.n faanii azal teraa abad teraaKHudaa kaa aaKHirii paiGaam hai tuu jaavedaa.n tuu haiHinaa-band-e-uruus-e-laala hai KHuun-e-jigar teraatirii nisbat baraahiimii hai memaar-e-jahaa.n tuu haitirii fitrat amii.n hai mumkinaat-e-zindagaanii kiijahaa.n ke jauhar-e-muzmar kaa goyaa imtihaa.n to haijahaan-e-aab-o-gil se aalam-e-jaaved kii KHaatirnubuvvat saath jis ko le ga.ii vo armuGaa.n tuu haiye nukta sarguzisht-e-millat-e-baizaa se hai paidaaki aqvaam-e-zamiin-e-asia kaa paasbaa.n tuu haisabaq phir pa.Dh sadaaqat kaa adaalat kaa shujaa.at kaaliyaa jaa.egaa tujh se kaam duniyaa kii imaamat kaayahii maqsuud-e-fitrat hai yahii ramz-e-musalmaaniiuKHuvvat kii jahaa.ngiirii mohabbat kii faraavaaniibutaan-e-ra.ng-o-KHuu.n ko to.D kar millat me.n gum ho jaana tuuraanii rahe baaqii na iiraanii na afGaaniimiyaan-e-shaaKH-saaraa.n sohbat-e-murG-e-chaman kab taktire baazuu me.n hai parvaaz-e-shaahiin-e-qahastaaniigumaa.n-aabaad hastii me.n yaqii.n mard-e-musalmaa.n kaabayaabaa.n kii shab-e-taariik me.n qindiil-e-rohbaaniimiTaayaa qaisar o kisraa ke istibdaad ko jis nevo kyaa thaa zor-e-haidar faqr-e-buu-zar sidq-e-salmaaniihu.e ahraar-e-millat jaada-paimaa kis tajammul setamaashaa.ii shigaaf-e-dar se hai.n sadiyo.n ke zindaaniisabaat-e-zindagii iimaan-e-mohkam se hai duniyaa me.nki almaanii se bhii paa.enda-tar niklaa hai tuuraaniijab is a.ngaara-e-KHaakii me.n hotaa hai yaqii.n paidaato kar letaa hai ye baal-o-par-e-ruuh-ul-amii.n paidaaGulaamii me.n na kaam aatii hai.n shamshiire.n na tadbiire.njo ho zauq-e-yaqii.n paidaa to kaT jaatii hai.n zanjiire.nko.ii andaaza kar saktaa hai us ke zor-e-baazuu kaanigaah-e-mard-e-momin se badal jaatii hai.n taqdiire.nvilaayat paadshaahii ilm-e-ashiyaa kii jahaa.ngiiriiye sab kyaa hai.n faqat ik nukta-e-iimaa.n kii tafsiire.nbaraahiimii nazar paidaa magar mushkil se hotii haihavas chhup chhup ke siino.n me.n banaa letii hai tasviire.ntamiiz-e-bandaa-o-aaqaa fasaad-e-aadmiyat haihazar ai chiira-dastaa.n saKHt hai.n fitrat kii ta.aziire.nhaqiiqat ek hai har shai kii KHaakii ho ki nuurii holahuu KHurshiid kaa Tapke agar zarre kaa dil chiire.nyaqii.n mohkam amal paiham mohabbat faatah-e-aalamjihaad-e-zindagaanii me.n hai.n ye mardo.n kii shamshiire.nche baayad mard raa tab-e-buland mashrab-e-naabedil-e-garme nigaah-e-paak-biine jaan-e-betaabeuqaabii shaan se jhapTe the jo be-baal-o-par niklesitaare shaam ke KHuun-e-shafaq me.n Duub kar niklehu.e madfuun-e-dariyaa zer-e-dariyaa tairne vaaletamaa.nche mauj ke khaate the jo ban kar guhar nikleGubaar-e-rahguzar hai.n kiimiyaa par naaz thaa jin kojabiine.n KHaak par rakhte the jo iksiir-gar niklehamaaraa narm-rau qaasid payaam-e-zindagii laayaaKHabar detii thii.n jin ko bijliyaa.n vo be-KHabar nikleharam rusvaa hu.aa piir-e-haram kii kam-nigaahii sejavaanaan-e-tataarii kis qadar saahab-nazar niklezamii.n se nuuryaan-e-aasmaa.n-parvaaz kahte theye KHaakii zinda-tar paa.enda-tar taabinda-tar niklejahaa.n me.n ahl-e-iimaa.n suurat-e-KHurshiid jiite hai.nidhar Duube udhar nikle udhar Duube idhar nikleyaqii.n afraad kaa sarmaaya-e-taamiir-e-millat haiyahii quvvat hai jo suurat-gar-e-taqdiir-e-millat haituu raaz-e-kun-fakaa.n hai apnii aa.nkho.n par ayaa.n ho jaaKHudii kaa raaz-daa.n ho jaa KHudaa kaa tarjumaa.n ho jaahavas ne kar diyaa hai Tuk.De Tuk.De nau-e-insaa.n kouKHuvvat kaa bayaa.n ho jaa mohabbat kii zabaa.n ho jaaye hindii vo KHuraasaanii ye afGaanii vo tuuraaniituu ai sharminda-e-saahil uchhal kar be-karaa.n ho jaaGubaar-aaluuda-e-ra.ng-o-nasab hai.n baal-o-par teretuu ai murG-e-haram u.Dne se pahle par-fishaa.n ho jaaKHudii me.n Duub jaa Gaafil ye sirr-e-zindagaanii hainikal kar halqa-e-shaam-o-sahar se jaavedaa.n ho jaamasaaf-e-zindagii me.n siirat-e-faulaad paidaa karshabistaan-e-mohabbat me.n hariir o parniyaa.n ho jaaguzar jaa ban ke sail-e-tund-rau koh o bayaabaa.n segulistaa.n raah me.n aa.e to juu-e-naGma-KHvaa.n ho jaatire ilm o mohabbat kii nahii.n hai intihaa ko.iinahii.n hai tujh se ba.Dh kar saaz-e-fitrat me.n navaa ko.iiabhii tak aadmii said-e-zabuun-e-shahryaarii haiqayaamat hai ki insaa.n nau-e-insaa.n kaa shikaarii hainazar ko KHiira kartii hai chamak tahziib-e-haazir kiiye sannaa.ii magar jhuuTe niguu.n kii reza-kaarii haivo hikmat naaz thaa jis par KHirad-mandaan-e-maGrib kohavas ke panja-e-KHuunii.n me.n teG-e-kaar-zaarii haitadabbur kii fusuu.n-kaarii se mohkam ho nahii.n saktaajahaa.n me.n jis tamaddun kii binaa sarmaaya-daarii haiamal se zindagii bantii hai jannat bhii jahannam bhiiye KHaakii apnii fitrat me.n na nuurii hai na naarii haiKHarosh-aamoz bulbul ho girah Gunche kii vaa kar deki tuu is gulsitaa.n ke vaaste baad-e-bahaarii haiphir uTThii asia ke dil se chi.ngaarii mohabbat kiizamii.n jaulaa.n-gah-e-atlas qabaayaan-e-tataarii haibayaa paidaa KHariidaa raast jaan-e-naa-tavaan-e-raapas az muddat guzaar uftaad barmaa kaarvaane raabayaa saaqii navaa-e-murG-zaar az shaaKH-saar aamadbahaar aamad nigaar aamad nigaar aamad qaraar aamadkashiid abr-e-bahaarii KHema andar vaadii o sahraasadaa-e-aabshaaraa.n az faraaz-e-koh-saar aamadsarat gardam toham qaanuun peshii.n saaz dah saaqiiki KHail-e-naGma-pardaazaa.n qataar andar qataar aamadkanaar az zaahidaa.n bar-giir o bebaakaana saaGar-kashpas az muddat azii.n shaaKH-e-kuhan baa.ng-e-hazaar aamadba-mushtaaqaa.n hadiis-e-KHvaajaa-e-badro hunain aavartasarruf-haa-e-pinhaanash ba-chashm-e-aashkaar aamaddigar shaaKH-e-KHaliil az KHuun-e-maa namnaak mii gardadba-baazaar-e-mohabbat naqd-e-maa kaamil ayyaar aamadsar-e-KHaak-e-shahiire barg-haa-e-laala mii paashamki KHuunash baa-nihaal-e-millat-e-maa saazgaar aamadbayaa taa-gul baa-afmaishaaniim o mai dar saaGar andaazemfalak raa saqf ba-shagaafem o tarh-e-diigar andaazem
kitnii sadiyo.n se ye vahshat kaa chalan jaarii haikitnii sadiyo.n se hai qaa.em ye gunaaho.n kaa rivaaj
tuu kisii aur hii duniyaa me.n milii thii mujh setuu kisii aur hii manzar kii mahak laa.ii thiiDar rahaa thaa ki kahii.n zaKHm na bhar jaa.e.n mireaur tuu muTThiyaa.n bhar bhar ke namak laa.ii thiiaur hii tarh kii aa.nkhe.n thii.n tire chehre partuu kisii aur sitaare se chamak laa.ii thiiterii aavaaz hii sab kuchh thii mujhe monis-e-jaa.nkyaa karuu.n mai.n ki tuu bolii hii bahut kam mujh seterii chup se hii ye mahsuus kiyaa thaa mai.n nejiit jaa.egaa kisii roz tiraa Gam mujh seshahr aavaaze.n lagaataa thaa magar tuu chup thiiye ta'alluq mujhe khaataa thaa magar tuu chup thiivahii anjaam thaa jo 'ishq kaa aaGaaz se haitujh ko paayaa bhii nahii.n thaa ki tujhe khonaa thaachalii aatii hai yahii rasm ka.ii sadiyo.n seyahii hotaa hai yahii hogaa yahii honaa thaa
(undulus ke maidaan-e-ja.ng me.n)ye Gaazii ye tere pur-asraar bandejinhe.n tuu ne baKHshaa hai zauq-e-KHudaa.iido-niim un kii Thokar se sahraa o dariyaasimaT kar pahaa.D un kii haibat se raa.iido-aalam se kartii hai begaana dil koajab chiiz hai lazzat-e-aashnaa.iishahaadat hai matluub-o-maqsuud-e-mominna maal-e-Ganiimat na kishvar-kushaa.iiKHayaabaa.n me.n hai muntazir laala kab seqabaa chaahiye us ko KHuun-e-arab sekiyaa tuu ne sahraa-nashiino.n ko yaktaaKHabar me.n nazar me.n azaan-e-sahar me.ntalab jis kii sadiyo.n se thii zindagii kovo soz us ne paayaa unhii.n ke jigar me.nkushaad-e-dar-e-dil samajhte hai.n us kohalaakat nahii.n maut un kii nazar me.ndil-e-mard-e-momin me.n phir zinda kar devo bijlii ki thii naara-e-laa-tazar me.nazaa.em ko siino.n me.n bedaar kar denigaah-e-musalmaa.n ko talvaar kar de
vo naanii kii baato.n me.n pariyo.n kaa Dheraavo chehre kii jhuriyo.n me.n sadiyo.n kaa pheraabhulaa.e nahii.n bhuul saktaa hai ko.iivo chhoTii sii raate.n vo lambii kahaaniivo kaaGaz kii kashtii vo baarish kaa paanii
silsila-e-roz-o-shab naqsh-gar-e-haadsaatsilsila-e-roz-o-shab asl-e-hayaat-o-mamaatsilsila-e-roz-o-shab taar-e-hariir-e-do-ra.ngjis se banaatii hai zaat apnii qabaa-e-sifaatsilsila-e-roz-o-shab saaz-e-azal kii fuGaa.njis se dikhaatii hai zaat zer-o-bam-e-mumkinaattujh ko parakhtaa hai ye mujh ko parakhtaa hai yesilsila-e-roz-o-shab sairafi-e-kaa.enaattuu ho agar kam ayaar mai.n huu.n agar kam ayaarmaut hai terii baraat maut hai merii baraattere shab-o-roz kii aur haqiiqat hai kyaaek zamaane kii rau jis me.n na din hai na raataani-o-faanii tamaam mojaza-haa-e-hunarkaar-e-jahaa.n be-sabaat kaar-e-jahaa.n be-sabaatavval o aaKHir fanaa baatin o zaahir fanaanaqsh-e-kuhan ho ki nau manzil-e-aaKHir fanaahai magar is naqsh me.n ra.ng-e-sabaat-e-davaamjis ko kiyaa ho kisii mard-e-KHudaa ne tamaammard-e-KHudaa kaa amal ishq se saahab faroGishq hai asl-e-hayaat maut hai us par haraamtund o subuk-sair hai garche zamaane kii rauishq KHud ik sail hai sail ko letaa hai thaamishq kii taqviim me.n asr-e-ravaa.n ke sivaaaur zamaane bhii hai.n jin kaa nahii.n ko.ii naamishq dam-e-jibra.iil ishq dil-e-mustafaaishq KHudaa kaa rasuul ishq KHudaa kaa kalaamishq kii mastii se hai paikar-e-gil taabnaakishq hai sahbaa-e-KHaam ishq hai kaas-ul-karaamishq faqiih-e-haram ishq amiir-e-junuuudishq hai ibnus-sabiil is ke hazaaro.n maqaamishq ke mizraab se naGma-e-taar-e-hayaatishq se nuur-e-hayaat ishq se naar-e-hayaatai haram-e-qurtuba ishq se teraa vajuudishq saraapaa davaam jis me.n nahii.n raft o buudra.ng ho yaa KHisht o sang cha.ng ho yaa harf o sautmojaza-e-fan kii hai KHuun-e-jigar se numuudqatra-e-KHuun-e-jigar sil ko banaataa hai dilKHuun-e-jigar se sadaa soz o suruur o suruudterii fazaa dil-faroz merii navaa siina-soztujh se dilo.n kaa huzuur mujh se dilo.n kii kushuudarsh-e-mo.allaa se kam siina-e-aadam nahii.ngarche kaf-e-KHaak kii had hai sip.har-e-kabuudpaikar-e-nuurii ko hai sajda mayassar to kyaaus ko mayassar nahii.n soz-o-gudaaz-e-sajuudkaafir-e-hindi huu.n mai.n dekh miraa zauq o shauqdil me.n salaat o duruud lab pe salaat o duruudshauq mirii lai me.n hai shauq mirii nai me.n hainaGma-e-allaah-huu mere rag-o-pai me.n haiteraa jalaal o jamaal mard-e-KHudaa kii daliilvo bhii jaliil o jamiil tuu bhii jaliil o jamiilterii binaa paa.edaar tere sutuu.n be-shumaarshaam ke sahraa me.n ho jaise hujuum-e-nuKHiiltere dar-o-baam par vaadii-e-aiman kaa nuurteraa minaar-e-buland jalva-gah-e-jibra.iilmiT nahii.n saktaa kabhii mard-e-musalmaa.n ki haius kii azaano.n se faash sirr-e-kaliim-o-KHaliilus kii zamii.n be-huduud us kaa ufuq be-saGuurus ke samundar kii mauj dajla o danyuub o niilus ke zamaane ajiib us ke fasaane Gariibahd-e-kuhan ko diyaa us ne payaam-e-rahiilsaaqi-e-rabaab-e-zauq faaras-e-maidaan-e-shauqbaada hai us kaa rahiiq teG hai us kii asiilmard-e-sipaahii hai vo us kii zirah laa-ilaahsaaya-e-shamshiir me.n us kii panah laa-ilaahtujh se hu.aa aashkaar banda-e-momin kaa raazus ke dino.n kii tapish us kii shabo.n kaa gudaazus kaa maqaam-e-buland us kaa KHayaal-e-aziimus kaa suruur us kaa shauq us kaa niyaaz us kaa naazhaath hai allaah kaa banda-e-momin kaa haathGaalib o kaar-aafrii.n kaar-kushaa kaarsaazKHaakii o nuurii-nihaad banda-e-maulaa-sifaathar do-jahaa.n se Ganii us kaa dil-e-be-niyaazus kii umiide.n qaliil us ke maqaasid jaliilus kii adaa dil-fareb us kii nigah dil-navaazaaj bhii is des me.n aam hai chashm-e-Gazaalaur nigaaho.n ke tiir aaj bhii hai.n dil-nashii.nbuu-e-yaman aaj bhii us kii havaa.o.n me.n haira.ng-e-hijaaz aaj bhii us kii navaa.o.n me.n haidiida-e-anjum me.n hai terii zamii.n aasmaa.naah ki sadiyo.n se hai terii fazaa be-azaa.nkaun sii vaadii me.n hai kaun sii manzil me.n haiishq-e-balaa-KHez kaa qaafla-e-saKHt-jaa.ndekh chukaa almanii shorish-e-islaah-e-dii.njis ne na chho.De kahii.n naqsh-e-kuhan ke nishaa.nharf-e-Galat ban ga.ii ismat-e-piir-e-kunishtaur hu.ii fikr kii kashti-e-naazuk ravaa.nchashm-e-faraansiis bhii dekh chukii inqalaabjis se digar-guu.n hu.aa maGrabiyo.n kaa jahaa.nmillat-e-ruumii-nizhaad kohna-parastii se piirlazzat-e-tajdiida se vo bhii hu.ii phir javaa.nruuh-e-musalmaa.n me.n hai aaj vahii iztiraabraaz-e-KHudaa.ii hai ye kah nahii.n saktii zabaa.nnarm dam-e-guftuguu garm dam-e-justujuurazm ho yaa bazm ho paak-dil o paak-baaznuqta-e-parkaar-e-haq mard-e-KHudaa kaa yaqii.naur ye aalam tamaam vahm o tilism o majaazaql kii manzil hai vo ishq kaa haasil hai vohalqa-e-aafaaq me.n garmi-e-mahfil hai vokaaba-e-arbaab-e-fan satvat-e-diin-e-mubii.ntujh se haram martabat undulusiyo.n kii zamii.nhai tah-e-garduu.n agar husn me.n terii naziirqalb-e-musalmaa.n me.n hai aur nahii.n hai kahii.naah vo mardaan-e-haq vo arabii shahsavaarhaamil-e-KHalq-e-aziim saahab-e-sidq-o-yaqii.njin kii hukuumat se hai faash ye ramz-e-Gariibsaltanat-e-ahl-e-dil faqr hai shaahii nahii.njin kii nigaaho.n ne kii tarbiyat-e-sharq-o-Garbzulmat-e-europe me.n thii jin kii KHirad-raah-bii.njin ke lahuu ke tufail aaj bhii hai.n undulusiiKHush-dil o garam-iKHtilaat saada o raushan-jabii.ndekhiye is bahr kii tah se uchhaltaa hai kyaagumbad-e-niilofarii rang badaltaa hai kyaavaadi-e-koh-saar me.n Garq-e-shafaq hai sahaablaal-e-badaKHshaa.n ke Dher chho.D gayaa aaftaabsaada o pur-soz hai duKHtar-e-dahqaa.n kaa giitkashtii-e-dil ke liye sail hai ahd-e-shabaabaab-e-ravaan-e-kabiir tere kinaare ko.iidekh rahaa hai kisii aur zamaane kaa KHvaabaalam-e-nau hai abhii parda-e-taqdiir me.nmerii nigaaho.n me.n hai us kii sahar be-hijaabparda uThaa duu.n agar chehra-e-afkaar selaa na sakegaa fara.ng merii navaa.o.n kii taabjis me.n na ho inqalaab maut hai vo zindagiiruuh-e-umam kii hayaat kashmakash-e-inqilaabsuurat-e-shamshiir hai dast-e-qazaa me.n vo qaumkartii hai jo har zamaa.n apne amal kaa hisaabnaqsh hai.n sab naa-tamaam KHuun-e-jigar ke baGairnaGma hai saudaa-e-KHaam KHuun-e-jigar ke baGair
banda-e-mazduur ko jaa kar miraa paiGaam deKHizr kaa paiGaam kyaa hai ye payaam-e-kaa.enaatai ki tujh ko khaa gayaa sarmaaya-daar-e-hiila-garshaaKH-e-aahuu par rahii sadiyo.n talak terii baraatdast-e-daulat-aafrii.n ko muzd yuu.n miltii rahiiahl-e-sarvat jaise dete hai.n Gariibo.n ko zakaatsaahir-al-muut ne tujh ko diyaa barg-e-hashiishaur tuu ai be-KHabar samjhaa use shaaKH-e-nabaatnasl qaumiyat kaliisaa saltanat tahziib rangKHvaajgii ne KHuub chun chun ke banaa.e muskiraatkaT maraa naadaa.n KHayaalii devtaa.o.n ke liyesukr kii lazzat me.n tuu luTvaa gayaa naqd-e-hayaatmakr kii chaalo.n se baazii le gayaa sarmaaya-daarintihaa-e-saadgii se khaa gayaa mazduur maatuTh ki ab bazm-e-jahaa.n kaa aur hii andaaz haimashriq-o-maGrib me.n tere daur kaa aaGaaz haihimmat-e-aalii to dariyaa bhii nahii.n kartii qubuulGuncha saa.n Gaafil tire daaman me.n shabnam kab talaknaGma-e-bedaarii-e-jamhuur hai saamaan-e-'aishqissa-e-KHvaab-aavar askandar-o-jam kab talakaaftaab-e-taaza paidaa batn-e-giitii se hu.aaaasmaan Duube hu.e taaro.n kaa maatam kab talakto.D Daalii.n fitrat-e-insaa.n ne zanjiire.n tamaamduurii-e-jannat se rotii chashm-e-aadam kab talakbaaGbaan-e-chaara-farmaa se ye kahtii hai bahaarzaKHm-e-gul ke vaaste tadbiir-e-marham kab talakkirmak-e-naadaa.n tavaaf-e-sham.a se aazaad hoapnii fitrat ke tajallii-zaar me.n aabaad hoduniyaa-e-islaam
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books