aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "zehnii"
tumhe.n kal apne shariik-e-safar ko chun.naa haivo jis se tum ko mohabbat mile rifaaqat bhiihazaar ek ho.n do zehn muKHtalif ho.ngeye baat talKH hai lekin hai ain-fitrat bhiibahut hasiin hai zehnii mufaahamat lekinba.Dii aziim hai aadarsh kii hifaazat bhii
mai.n bikhraa hu.aa aadmii huu.nmirii zehnii biimaariyo.n kaa sabab ye zamii.n haimai.n us din se Dartaa huu.n jab barf saarii pighal karise Garq kar dena.e aasmaanii havaadissifar me.n badal de.nyaa aadmii apne a.amaal se KHudise ik kahaanii banaa dezamii.n shora pushto.n kii aamaaj-gah ban ga.ii hai
mujhe ma.aluum hai jaanaa.nmire marne pe tum aa.nsuu bahaa.ogemirii har baat tum ko yaad aa.egiiba-mushkil bhuul paa.ogezaraa sochoye narmii hamdamii me.n mujh ko mil jaa.e to achchhaa homujhe ma.aluum haimerii Galatiyo.n ko saraasar bhuul jaa.ogegile shikve kabhii mu.nh par na laa.ogezaraa sochotumhaarii be-niyaaziigar merii maujuudgii me.n mujh ko mil jaa.e to achchhaa homujhe ma.aluum hai ye bhiiki merii qabr partum phuul rakkhoge mohabbat semirii KHaatir vahii.n kuchh der rah kar Gam bhulaa.ogezaraa sochoye chaahat haath hii me.n mujh ko mil jaa.e to achchhaa homujhe aisaa bhii lagtaa haimirii aavaaz KHaamoshii me.n sun kar chau.nk jaa.ogemirii yaado.n ke a.ndhere me.n apnaa dil jalaao.gezaraa sochoyaqii.n is raushnii me.n mujh ko mil jaa.e to achchhaa homujhe ehsaas hotaa haiki meraa ranj kuchh arsa tumhe.n maGmuum rakkhegaatumhe.n zehnii sukuu.n se der tak mahruum rakkhegaamagar jaanaa.nye Gam aasuudgii me.n mujh ko mil jaa.e to achchhaa hojo mar kar tum se haasil hovo sab is zindagii me.n mujh ko mil jaa.e toachchhaa hozaraa socho
ham hai.n us aKHlaaq ke pairav, ham hai.n us tahziib ke logjis me.n iffat ik ''mafruuza'' ismat jis me.n '''zehnii rog''jazbo.n par pahre biThlaanaa kyaa ''saudaa-e-KHaam'' nahii.n?
hasab-nasab hai na taariiKH o jaa-e-paidaa.ishkahaa.n se aayaa thaa maz.hab na valdiyat ma.aluummaqaamii chhoTe se KHairaatii aspataal me.n vokahii.n se laayaa gayaa thaa vahaa.n ye hai marquummariiz raato.n ko chillaataa hai ''mire andarasiir zaKHmii parinda hai ik, nikaalo iseguluu-girafta hai ye habs-e-dam hai KHaa.if haisitam-rasiida hai mazluum hai bachaa lo ise''mariiz chiiKHtaa hai dard se karaahtaa haiye vietnam, kabhii dominican, kabhii kashmiirzar-e-kasiir, siyah qaume.n, KHaam madniyaatkasiif tel ke chashme, avaam, istehsaalzamii.n kii maut bahaa.im, fizaa.ii ja.ng, sitamijaara-daarii, subuk gaam, dilrubaa, atfaalsarod-o-naGma, adab, sher, amn, barbaadiijanaaza ishq kaa, daf kii sadaa.e.n, murda KHayaaltaraqqii, ilm ke gahvaare, ruuh kaa madfanKHudaa kaa qatl, ayaa.n zer-e-naaf zohra jamaaltamaam raat ye be-rabt baate.n kartaa haimariiz saKHt pareshaanii kaa sabab hai yahaa.nGaraz ki jo thaa shikaayat kaa ek daftar thaanatiija ye hai usii roz muntaqil karkeuse ik aur shifaa-KHaane ko ravaana kiyaasunaa gayaa hai vahaa.n nafsiyaat ke maahirtabiib haaziq o nabbaaz doctor kitnetalab kiye ga.e aur sab ne ittifaaq kiyaaye ko.ii zehnii maraz hai, mariiz ne shaayadkabhii parinda ko.ii paalaa hogaa lekin voadam-e-tavajjohii yaa ittifaaq se yuu.nhiibichaara mar gayaa us maut kaa asar hai yeajiib chiiz hai taht-e-shu.uur insaa.n kaaye aur kuchh nahii.n ehsaas-e-jurm hai jis nedil o dimaaG pe qabza kiyaa hai is darjamariiz qaatil o mujrim samajhtaa hai KHud ko!kisii kii raa.e thii pasmaa.nda qaum kaa ik fardmariiz hogaa isii vaaste siyah qaume.nGariib ke liye ik taboo ban ga.ii.n afsosko.ii ye kahtaa thaa ye asal me.n hai hubb-e-vatanmariiz chaahtaa thaa ham kafiil ho.n apnekisii bhii qaum ke aage na haath phailaa.e.nyahii.n pe tel ke chashme hai.n, vo kare.n daryaaft!gumaan kuchh ko thaa ye shaKHs ko.ii shaa.er haijo chaahtaa thaa jahaa.n-gardii me.n guzaare vaqthasiin aurte.n maa.il ho.n lutf-o-aish raheqalam ke zor se shohrat mile zamaane me.nzar-e-kasiir bhii haath aa.e is bahaane semagar Gariib kii sab koshishe.n ga.ii.n naakaamshikast-e-paiham o ehsaas-e-naa-rasaa.ii neye haal kar diyaa majruuh hoga.e a.asaabGaraz ki nukta-rassii me.n guzar gayaa sab vaqtvo chiiKHtaa hii rahaa dard kii davaa na miliinashist baa'd nashist aur mu.aa.ene shab o rozinhii.n me.n vaqt guzartaa gayaa shifaa na miliiphir ek shaam vahaa.n surma-dar-guluu aa.iijo us ke vaaste goyaa tabiib-e-haaziq thiikisii ne phir na sunii dard se bharii aavaazkaraahtaa thaa jo KHaamosh ho gayaa vo saaz
mai.n mash.huur ho gayaa huu.nachaanak itnaa ziyaadaki vo log mujhe buraa kahne lage hai.njo kabhii mujhe mile hii nahii.njo mujhe jaante hii nahii.nmaaheriin-e-nafsiyaat kahte hai.nGair-haqiiqii duniyaa me.n rahne vaalejazbaatii logKHud ko hero samajh karjaagtii aa.nkho.n ke KHvaabo.n me.napnii marzii ke vilen taKHliiq kar lete hai.nis Galat-fahmii kaa ta.alluqun ke shu.uur se nahii.n hotaaun ke a.amaal se nahii.n hotaaun ke shajre se nahii.n hotaaye ek zehnii aariza haiis liyemujhe kisii se shikaayat nahii.nmariizo.n se hamdardii haiaur tho.Dii sii KHushii bhiiki gaaliyo.n se kalii karne vaalekuchh logo.n komeraa naam le kartaskiin milne lagii haimeraa naamism-e-aazam ban gayaa hai
kaash urdu hii me.n ho saare dafaatir kaa hisaabkaash taqriire.n kare.n urdu me.n sab izzat-ma.aabkab talak rakhiyegaa a.ngrezii me.n ta.aliimii nisaabqaum ke bachcho.n ke haq me.n ye hai ik zehnii azaabkab talak ye kah ke qismat se rahe.n ham shikva-sanj''ra.nj kaa KHuugar hu.aa insaa.n to miT jaataa hai ra.nj''
mire ghar ke makiino, rishta-e-daaro, ai galii vaalomujhe yuu.n rassiyo.n se baa.ndh karzehnii mariizo.n ke shifaa-KHaane me.n mat bhejoki mai.n paagal nahii.n huu.n, chiiKHtaa, sar piiTtaa to huu.nmagar mai.n chiiKH kar us ko bulaataa huu.njo meraa aadhaa hissa haijo meraa duusraa mai.n hai
tumhaaraa zehnii tavaazun biga.D chukaa hai?tum u.ngliyo.n ke bajaa.ekeyboard chabaane vaalii la.Dkii se mohabbat karte hojo khaa.nstii hai tous ke halaq se girne lagte hai.nsidraura ke pichke hu.e letters
ye jo baune KHudaa bane hai.n ajiib shai se jo lag rahe hai.nhai.n dar-haqiiqat ye aadmii hii bas un kii KHaslat judaa hai tho.Diianaa jo un kii kuchal chukii hai zamiir un kaa jo mar gayaa haiye sach hai zehnii Gulaam hai.n ab KHabaasato.n ke imaam hai.n yehamesha jhuk kar mile danii se sanaa me.n ratab-ul-lisaan ho kargunah ko un ke savaab jaanaa fareb ko laa-javaab kah karunhii ko aaqaa unhii ko maalik unhii ko apnaa KHudaa bhii maanaaunhii ke haatho.n jism-o-jaa.n ko KHudii ko iimaa.n ko bech Daalaaba-naam-e-ilm-o-adab jo paayaaabdullaah-ibn-e-ubay kii daulat abuu-jahl kii vo KHaasiyat haijo chaahe.n un ko kuchh aur kah le.n jo chaahe.n insaa.n phir bhii samjhe.nmagar ye sach hai la.iin hai.n yekam-zarf aur haqiir hai.n yeye daanaa.o.n ke haq ko yaksar Gabii ko mohmal ko bechte hai.nye qaum-o-millat kaa naam le kar usuul-o-maz.hab kii baat kah karnasle.n kitnii tabaah kar ke khetiyaa.n apnii sii.nchte hai.naur habaab dil me.n baiThaamai.n dekhtaa huu.n ye sochtaa huu.nhai kaun mujrim in me.n aaKHirjo aaqaa maalik banaa hu.aa thaayaa vo jo baunaa KHudaa banaa haiyaa phir vo daanaa shikast khaa karidhar udhar jo bhaTak rahe hai.nyaa vo Gabii jo haq churaa karKHudaa ke KHitte me.n aa base hai.nyaa mai.nki tanhaa muhiit-e-dil me.nmahz tamaashaa-bii.n banaa huu.n
jab bhii juute KHariidoto ye dhyaan rakhnaabahut narm ho.nsaKHt cham.Daa na hoaur bhaarii na ho.nain mumkin hai ik din tumhe.n apne logo.n ke siine pe chalnaa pa.Deun kii ruuhe.n kuchalnaa pa.De.n un ko takliif utnii na ho un me.n nafrat ke tuufaan palne lage.nzahr mu.nh se ugalne lage.njuute kaale na ho.nvarna un kii siyaahii dil-o-jaa.n pe jam jaa.egii aur baatin me.n kuchh KHair hogiito mar jaa.egiiun kii e.Dii me.n narmii ho utniiagar paa.nv dhartii pe maaro to un kii dhamak se go zehnii KHaliyo.n ko nuqsaan na ho aur haDDiyaa.n na hotasme vaale bhii juute na ho.nun se saazish ke phande na ban.ne lago aur phaa.nsii kii KHaatir kahii.napne mohsin na chun.ne lagojab bhii juute KHariido
mak.Dii ke jaale kaalii satre.n aur logek hii ghar me.n rahte hai.nlekin anjaan rahte hai.nek duusre ke naamo.n seis liye bahaal nahii.n ho paateun ke sifaaratii ta.alluqaatrakhii rah jaatii hai.n kono.n khudro.n me.nzehnii ham-aaha.ngii kii saarii file.naur logrubber-band kii tarah un parcha.Dh jaate hai.n
dar diivaar aur dariicheek mu.aahida hai.nadam-e-mudaaKHalat kaa mashruut mu.aahidado mohazzab insaano.n ke darmiyaa.ndo mutamaddin KHaandaano.n ke darmiyaa.ndiivaartahziib kii tarjumaantamaddun kii pahchaanaur baqaa-e-baahamii kii aa.iina-daarhiila huquuq kii zamaanatbaqaa-e-tahiiyat kii alaamathait aur ahaatazehnii-o-jismaanii aasuudgiiaursukh-chain ke liye laazim haidaKHl dar ma.aquulaatGair-aKHlaaqii hii nahii.nGair-insaanii ravayya bhii haighar kaa haq hai ki voduusre ghar kii be-jaa mudaaKHalat se mahfuuz raheham diivaar tohamdard hotaa haiKHabar-giir hotaa haiKHabar-rasaa.n nahii.n ban saktaataKHayyul aasuudgiisukh ghaTaatiiaur dukh ba.Dhaatii haishakar-ganjii paidaa kartii haiaazurda-dilii kaa maujib bantii haifaasle diivaar kii puKHtagii se nahii.ndilo.n kii saKHtii se ba.Dhte hai.npuKHta diivaar to tamaddun kii baqaa haisuurii faasle be-ma.anii ho jaate hai.nagar qalb-o-nazar shaad ho.nhaq KHalvat KHaliij nahii.nfaraaKHii tarfain haiprivacy kaa haqtahziib-e-insaanii kii me.araaj hai
ye ma.azuur bekas Gabii zehnii bachchehai.n insaa.n nahii.n ko.ii maaTii ke putlezabaa.n se hai.n guu.nge samaa.at se aariibanaa.o na in ko sa.Dak ke bhikaariihai.n pur-pech-tar in kii hastii ke rasteki pur-soz jaise ho.n bansii ke naGmesaraape ko un ke na be-kaar kahnaaye hai.n zindagii kaa hasii.n ek gahnaakabhii ye ha.nsaa.e.n kabhii ruuTh jaa.e.ndilo.n se Gamo.n kii lakiire.n miTaa.e.nye naT-khaT haTiile bahut chulbule hai.nadaa.o.n me.n in kii ajab valvale hai.nkaTii u.ngliyaa.n hai.n musavvir bane.ngeapaahij sahii phir bhii taajir bane.ngemohabbat kaa siino.n me.n jazba jagaa.osamaajii fariize ko apne nibhaa.oye ik farz aisaa ki raahat hai is me.nchhupii ibn-e-aadam kii azmat hai is me.ninhe.n Gaur se tum gha.Dii bhar jo dekhomashiyyat hai qudrat kii kuchh is ko samjhosuluuk un se rakkho mohabbat vafaa kaasila paa.oge tum bhii be-shak jazaa kaainhe.n bhuul kar na kabhii duur rakhnaa'adiim' in sitaaro.n ko maamuur rakhnaa
mai.n mahsuus kar saktii huu.ntumhaare dard koapne jism me.n utarte hu.emagar yaqiin nahii.n kar paatiiki ye tumhaaraa hii dard haigha.Dii kii Tik-Tik ke saathmai.n sochtii rahtii huu.ntumhaare bistar ke gird chakkar lagaa karmai.n is dard ko apne uupar lene ke liyekyaa kyaa qurbaan kar saktii huu.njismaanii raahate.nsamaajii muraa.aatjazbaatii masarrate.nzehnii lataafate.nyaa puurii zindagii bhiijo bahut qiimtii haiaur mujhe bahut pyaarii
marhala gardish-e-haalaat ke roz-o-shab kaamarhala uljhe KHayaalaat ke roz-o-shab kaamarhala vaqt kii be-mehrii-o-bezaarii kaamarhala zehnii aziyyat kaa dil-aazaarii kaajiite jii kyaa mujhe har roz hii marnaa hogaazindagii itnaa bataa de tuu mujhe tere liyeaur yuu.n kitne maraahil se guzarnaa hogaa
aah afsosmai.n ne kiyaa kuchh nahii.n sahaa magar phir bhiimerii qismat haamila ho kar ekhaqiiqii KHushii ko janm na de sakiivo biga.Dtaa zehnii tavaazunschool ke bench par akele baiThne kaa dukhmurda-KHaane se apnii laash na milne kaa Gamhaa.e vo dosto.n ke badle ravayyevo chand ummiido.n ke janaaze jinhe.n mai.n neKHud se chhupaa kar hii KHud me.n dafn kar diyaavo KHvaabo.n ke TuuTe hu.e chand Tuk.Dejinhe.n mai.n ne kisii udaas naGme ke havaale kar diyaameraa har KHvaab signal pe soyaa rahaaaur log apnii gaa.Diyo.n se unhe.n kuchal kar chal diyemai.n yuunaanii qadiim shahro.n ke uu.nche malbo.n pekaaGaz kii chi.Diyaa jaise u.D kar aise giraajaise mujh par sadiyo.n ke sadmo.n kaa bojh thaaabhii bhii tum puuchhte ho yaar hu.aa kyaa haimai.n ne kitne jhuuTe dilaaso.n ke peg banaa.eaur aise nosh kiye jaise kabhii kuchh hu.aa hii nahii.n thaaye sab haadsemere dil pe kisii rail-gaa.Dii kii tarah chalte raheaur us ke Tuk.De KHalaa.o.n me.n bikhar ga.evahii dil jis me.nummiide.n armaan chand KHvaab aur ek 'adad meraa pasandiida shaKHs bastaa thaamai.n apnii barbaadii pe royaa to mere aa.nsu.o.n semerii qismat me.n likhii saarii KHushiyaa.nkisii anjaan dariyaa me.n bah ga.ii.nmai.n apnii bebasii pe ha.nstaasignal pe apne KHvaabo.n ko gaaliyaa.n baktaa rahaaKHud-kushiyaa.n karne vaaleKHvaabo.n me.n mujhe sabr kaa dars dete raheaur mai.n apnii paamaalii pe udaasiikii kokh se nazme.n jantaa rahaaek ke baa'd ek haadisa merii zindagii ke canvas serang nahii.n muskuraahaTe.n chhiin le gayaamagar monis-e-jaa.n aise bhii kyaamere kandhe tere dilaase kii thapkii ke liye taraste raheaur tuu yuunaanii KHudaa.o.n kii maujuudgii pemashkuuk bahs me.n gum rahaamai.n ne kyaa kuchh nahii.n sahaa monis-e-jaa.nquetta-cafe kii chhat pe baiThehaadso.n kaa maaraa ek la.Dkaa ro ro ke apne dosto.n ko bataataa rahaaki haa.n mai.n ne ye sab sahaa haius kaa banjar chehra chiiKH chiiKH kar us kii bebasii bayaa.n kar rahaa thaaaur us kii dahliiz par ek nayaa haadisa us ke intizaar me.n thaa
in kitaabo.n ne ba.Daa zulm kiyaa hai mujh parin me.n ik ramz hai jis ramz kaa maaraa hu.aa zehnmuzhda-e-ishrat-e-anjaam nahii.n paa saktaazindagii me.n kabhii aaraam nahii.n paa saktaa
phuul shaaKHo.n pe khilne lage tum kahojaam rindo.n ko milne lage tum kahochaak siino.n ke silne lage tum kahois khule jhuuT ko zehn kii luuT komai.n nahii.n maantaa mai.n nahii.n jaantaa
tumhaarii qabr parmai.n faatiha pa.Dhne nahii.n aayaamujhe maaluum thaatum mar nahii.n saktetumhaarii maut kii sachchii KHabar jis ne u.Daa.ii thiivo jhuuTaa thaavo tum kab theko.ii suukhaa hu.aa patta havaa se mil ke TuuTaa thaamirii aa.nkhe.ntumhaare manzaro.n me.n qaid hai.n ab takmai.n jo bhii dekhtaa huu.nsochtaa huu.nvo vahii haijo tumhaarii nek-naamii aur bad-naamii kii duniyaa thiikahii.n kuchh bhii nahii.n badlaatumhaare haath merii u.ngliyo.n me.n saa.ns lete hai.nmai.n likhne ke liyejab bhii qalam kaaGaz uThaataa huu.ntumhe.n baiThaa hu.aa mai.n apnii hii kursii me.n paataa huu.nbadan me.n mere jitnaa bhii lahuu haivo tumhaariilaGzisho.n naakaamiyo.n ke saath bahtaa haimirii aavaaz me.n chhup kartumhaaraa zehn rahtaa haimirii biimaariyo.n me.n tummirii laachaariyo.n me.n tumtumhaarii qabr par jis ne tumhaaraa naam likhaa haivo jhuuTaa haitumhaarii qabr me.n mai.n dafn huu.ntum mujh me.n zinda hokabhii fursat mile to faatiha pa.Dhne chale aanaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books