Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Best Shayari for Jaan

ajab terī hai ai mahbūb sūrat

nazar se gir ga.e sab ḳhūbsūrat

ajab teri hai ai mahbub surat

nazar se gir gae sab KHubsurat

Haidar Ali Aatish

mujh ko ma.alūm hai mahbūb-parastī azaab

der se chāñd nikalnā bhī ġhalat lagtā hai

mujh ko malum hai mahbub-parasti ka azab

der se chand nikalna bhi ghalat lagta hai

Ahmad Kamal Parwazi

kyā sitam hai ki vo zālim bhī hai mahbūb bhī hai

yaad karte na bane aur bhulā.e na bane

kya sitam hai ki wo zalim bhi hai mahbub bhi hai

yaad karte na bane aur bhulae na bane

Kaleem Aajiz

martā hai jo mahbūb Thokar pe 'nazīr' aah

phir us ko kabhī aur koī lat nahīñ lagtī

marta hai jo mahbub ki Thokar pe 'nazir' aah

phir us ko kabhi aur koi lat nahin lagti

Nazeer Akbarabadi

gulāboñ ke nasheman se mire mahbūb ke sar tak

safar lambā thā ḳhushbū magar aa ga.ī ghar tak

gulabon ke nasheman se mere mahbub ke sar tak

safar lamba tha KHushbu ka magar aa hi gai ghar tak

Ghulam Mohammad Qasir

hamāre dil hālat gesū-e-mahbūb jaane hai

pareshāñ pareshānī pareshāñ ḳhuub jaane hai

hamare dil ki haalat gesu-e-mahbub jaane hai

pareshan ki pareshani pareshan KHub jaane hai

Unknown

koī samjhā.iyo yaaro mirā mahbūb jaatā hai

mirā maqsūd jaatā hai mirā matlūb jaatā hai

koi samjhaiyo yaro mera mahbub jata hai

mera maqsud jata hai mera matlub jata hai

Bayan Ahsanullah Khan

vo phuul hai jo hai mahbūb

patte patte Daalī Daalī

tu hi wo phul hai jo hai mahbub

patte patte ka Dali Dali ka

Nadir Shahjahanpuri

kitne mahbūb gharoñ se ga.e kis ko ma.alūm

vāpas aa.e haiñ jo apnoñ meñ ḳhabar sūrat

kitne mahbub gharon se gae kis ko malum

wapas aae hain jo apnon mein KHabar ki surat

Akhtar lakhnvi

kisī mahbūb-e-gandum-gūñ ulfat meñ guzarte haiñ

dam apnā jism se ḳhuld se aadam nikaltā hai

kisi mahbub-e-gandum-gun ki ulfat mein guzarte hain

dam apna jism se ya KHuld se aadam nikalta hai

Zeba

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now