Best Shayari on Politics
tū idhar udhar kī na baat kar ye batā ki qāfile kyuuñ luTe
tirī rahbarī kā savāl hai hameñ rāhzan se ġharaz nahīñ
tu idhar udhar ki na baat kar ye bata ki qafile kyun luTe
teri rahbari ka sawal hai hamein rahzan se gharaz nahin
-
Tags : Famous shayariand 1 more
un kā jo farz hai vo ahl-e-siyāsat jāneñ
merā paiġhām mohabbat hai jahāñ tak pahuñche
un ka jo farz hai wo ahl-e-siyasat jaanen
mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche
-
Tags : Famous shayariand 3 more
mere siine meñ nahīñ to tere siine meñ sahī
ho kahīñ bhī aag lekin aag jalnī chāhiye
mere sine mein nahin to tere sine mein sahi
ho kahin bhi aag lekin aag jalni chahiye
tum se pahle vo jo ik shaḳhs yahāñ taḳht-nashīñ thā
us ko bhī apne ḳhudā hone pe itnā hī yaqīñ thā
tum se pahle wo jo ek shaKHs yahan taKHt-nashin tha
us ko bhi apne KHuda hone pe itna hi yaqin tha
-
Tag : Parliament
kaTte bhī chalo baḌhte bhī chalo baazū bhī bahut haiñ sar bhī bahut
chalte bhī chalo ki ab Dere manzil hī pe Daale jā.eñge
kaTte bhi chalo baDhte bhi chalo bazu bhi bahut hain sar bhi bahut
chalte bhi chalo ki ab Dere manzil hi pe Dale jaenge
maujoñ kī siyāsat se māyūs na ho 'fānī'
girdāb kī har tah meñ sāhil nazar aatā hai
maujon ki siyasat se mayus na ho 'fani'
girdab ki har tah mein sahil nazar aata hai
kabhī jamhūriyat yahāñ aa.e
yahī 'jālib' hamārī hasrat hai
kabhi jamhuriyat yahan aae
yahi 'jalib' hamari hasrat hai
-
Tag : Democracy
aur sab bhuul ga.e harf-e-sadāqat likhnā
rah gayā kaam hamārā hī baġhāvat likhnā
aur sab bhul gae harf-e-sadaqat likhna
rah gaya kaam hamara hi baghawat likhna
kal siyāsat meñ bhī mohabbat thī
ab mohabbat meñ bhī siyāsat hai
kal siyasat mein bhi mohabbat thi
ab mohabbat mein bhi siyasat hai
siyāsat ke chehre pe raunaq nahīñ
ye aurat hamesha kī bīmār hai
siyasat ke chehre pe raunaq nahin
ye aurat hamesha ki bimar hai