Best Siyasat Shayari
un kā jo farz hai vo ahl-e-siyāsat jāneñ
merā paiġhām mohabbat hai jahāñ tak pahuñche
un ka jo farz hai wo ahl-e-siyasat jaanen
mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche
-
Tags : Famous shayariand 3 more
ishq meñ bhī siyāsateñ niklīñ
qurbatoñ meñ bhī fāsla niklā
ishq mein bhi siyasaten niklin
qurbaton mein bhi fasla nikla
maslahat-āmez hote haiñ siyāsat ke qadam
tū na samjhegā siyāsat tū abhī nādān hai
maslahat-amez hote hain siyasat ke qadam
tu na samjhega siyasat tu abhi nadan hai
in se ummīd na rakh haiñ ye siyāsat vaale
ye kisī se bhī mohabbat nahīñ karne vaale
in se ummid na rakh hain ye siyasat wale
ye kisi se bhi mohabbat nahin karne wale
-
Tag : Politics
dil hī to hai siyāsat-e-darbāñ se Dar gayā
maiñ aur jā.ūñ dar se tire bin sadā kiye
dil hi to hai siyasat-e-darban se Dar gaya
main aur jaun dar se tere bin sada kiye
kal siyāsat meñ bhī mohabbat thī
ab mohabbat meñ bhī siyāsat hai
kal siyasat mein bhi mohabbat thi
ab mohabbat mein bhi siyasat hai
ye kaisī siyāsat hai mire mulk pe haavī
insān ko insāñ se judā dekh rahā huuñ
ye kaisi siyasat hai mere mulk pe hawi
insan ko insan se juda dekh raha hun
siyāsat ke chehre pe raunaq nahīñ
ye aurat hamesha kī bīmār hai
siyasat ke chehre pe raunaq nahin
ye aurat hamesha ki bimar hai
maiñ pairvi-e-ahl-e-siyāsat nahīñ kartā
ik rāsta in sab se judā chāhiye mujh ko
main pairwi-e-ahl-e-siyasat nahin karta
ek rasta in sab se juda chahiye mujh ko