Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Heart Touching Shayari

vo afsāna jise anjām tak laanā na ho mumkin

use ik ḳhūb-sūrat moḌ de kar chhoḌnā achchhā

wo afsana jise anjam tak lana na ho mumkin

use ek KHub-surat moD de kar chhoDna achchha

Sahir Ludhianvi

shaam ke saa.e meñ jaise peḌ saayā mile

mere miTne tamāshā dekhne chiiz thī

sham ke sae mein jaise peD ka saya mile

mere miTne ka tamasha dekhne ki chiz thi

Liyaqat Ali Aasim

ik shaam ke saa.e tale baiThe rahe vo der tak

āñkhoñ se bāteñ bahut muñh se kahā kuchh bhī nahīñ

ek sham ke sae tale baiThe rahe wo der tak

aankhon se ki baaten bahut munh se kaha kuchh bhi nahin

Bashir Badr

anjān tum bane rahe ye aur baat hai

aisā to kyā hai tum ko hamārī ḳhabar na ho

anjaan tum bane rahe ye aur baat hai

aisa to kya hai tum ko hamari KHabar na ho

Unknown

abhī to achchhī lagegī kuchh din judā.ī rut

abhī hamāre liye ye sab kuchh nayā nayā hai

abhi to achchhi lagegi kuchh din judai ki rut

abhi hamare liye ye sab kuchh naya naya hai

Shariq Kaifi

ab mirā dard mirī jaan huā jaatā hai

ai mire chāragaro ab mujhe achchhā na karo

ab mera dard meri jaan hua jata hai

ai mere chaaragaro ab mujhe achchha na karo

Shahzad Ahmad

ai jaltī ruto gavāh rahnā

ham nañge paañv chal rahe haiñ

ai jalti ruto gawah rahna

hum nange panw chal rahe hain

Akhtar Hoshiyarpuri

sipāh-e-shām ke neze pe āftāb sar

kis ehtimām se parvar-digār-e-shab niklā

sipah-e-sham ke neze pe aaftab ka sar

kis ehtimam se parwar-digar-e-shab nikla

Iftikhar Arif

bhiik de kar na jaane kyā leñge

ik bhikāran Darī Darī soche

bhik de kar na jaane kya lenge

ek bhikaran Dari Dari soche

Prem Bhandari

chalo 'āsī' abhī vāpas chaleñ ghar

abhī to shaam hotī rahī hai

chalo 'asi' abhi wapas chalen ghar

abhi to sham hoti ja rahi hai

Iqbal Aasi
Speak Now