Jangal Shayari
qais jañgal meñ akelā hai mujhe jaane do
ḳhuub guzregī jo mil baiTheñge dīvāne do
qais jangal mein akela hai mujhe jaane do
KHub guzregi jo mil baiThenge diwane do
-
Tags : Famous shayariand 2 more
vo jañgaloñ meñ daraḳhtoñ pe kūdte phirnā
burā bahut thā magar aaj se to behtar thā
wo jangalon mein daraKHton pe kudte phirna
bura bahut tha magar aaj se to behtar tha
-
Tags : Insaanand 1 more
jañgaloñ ko kaaT kar kaisā ġhazab ham ne kiyā
shahr jaisā ek ādam-ḳhor paidā kar liyā
jangalon ko kaT kar kaisa ghazab hum ne kiya
shahr jaisa ek aadam-KHor paida kar liya
-
Tag : Environment
are kyuuñ Dar rahe ho jañgal se
ye koī aadmī kī bastī hai
are kyun Dar rahe ho jangal se
ye koi aadmi ki basti hai
aisā hañgāma na thā jañgal meñ
shahr meñ aa.e to Dar lagtā thā
aisa hangama na tha jangal mein
shahr mein aae to Dar lagta tha
-
Tag : Shahr
bastī meñ hai vo sannāTā jañgal maat lage
shaam Dhale bhī ghar pahuñchūñ to aadhī raat lage
basti mein hai wo sannaTa jangal mat lage
sham Dhale bhi ghar pahunchun to aadhi raat lage
hai shādāb nafrat kā jañgal bahut hī
mohabbat kā har peḌ sūkhā paḌā hai
hai shadab nafrat ka jangal bahut hi
mohabbat ka har peD sukha paDa hai
umr bhar jañgal meñ rah saktā huuñ maiñ
is meñ ghar jaisī fazā maujūd hai
umr bhar jangal mein rah sakta hun main
is mein ghar jaisi faza maujud hai
jañgaloñ meñ kahīñ kho jaanā hai
jānvar phir mujhe ho jaanā hai
jangalon mein kahin kho jaana hai
jaanwar phir mujhe ho jaana hai
kisī jañgal ke gul-būTe se jī merā bahal jaatā
tire hāthoñ se aajiz huuñ nahīñ to maiñ nikal jaatā
kisi jangal ke gul-buTe se ji mera bahal jata
tere hathon se aajiz hun nahin to main nikal jata