Top 10 couplets of Baqaullah Baqa
Baqa Allah Baqa was the son of Hafiz Lutf-Allah Khan Khush Nawees Akberabadi. His real name was Sheikh Muhammad Baqaullah and Baqa was his pen name. His Persian teacher was Mirza Muhammad Fakhir Makeen and Hatim trained him in rekhta. Humor was apparent in his nature. He was an antagonist of Sauda in story telling and sometimes would criticize meer too.
ishq meñ bū hai kibriyā.ī kī
āshiqī jis ne kī ḳhudā.ī kī
ishq mein bu hai kibriyai ki
aashiqi jis ne ki KHudai ki
-
Tags : Ishqand 1 more
bulbul se kahā gul ne kar tark mulāqāteñ
ġhunche ne girah bāñdhīñ jo gul ne kahīñ bāteñ
bulbul se kaha gul ne kar tark mulaqaten
ghunche ne girah bandhin jo gul ne kahin baaten
ishq ne mansab likhe jis din mirī taqdīr meñ
daaġh kī naqadī milī sahrā milā jāgīr meñ
ishq ne mansab likhe jis din meri taqdir mein
dagh ki naqadi mili sahra mila jagir mein
ulfat meñ tirī ai but-e-be-mehr-o-mohabbat
aayā hameñ ik haath se taalī kā bajānā
ulfat mein teri ai but-e-be-mehr-o-mohabbat
aaya hamein ek hath se tali ka bajaana
ḳhvāhish-e-sūd thī saude meñ mohabbat ke vale
sar-ba-sar is meñ ziyāñ thā mujhe ma.alūm na thā
KHwahish-e-sud thi saude mein mohabbat ke wale
sar-ba-sar is mein ziyan tha mujhe malum na tha
is bazm meñ pūchhe na koī mujh se ki kyā huuñ
jo shīsha gire sañg pe maiñ us kī sadā huuñ
is bazm mein puchhe na koi mujh se ki kya hun
jo shisha gire sang pe main us ki sada hun
dekh ā.īna jo kahtā hai ki allāh-re maiñ
us kā maiñ dekhne vaalā huuñ 'baqā' vāh-re maiñ
dekh aaina jo kahta hai ki allah-re main
us ka main dekhne wala hun 'baqa' wah-re main
apnī marzī to ye hai banda-e-but ho rahiye
aage marzī hai ḳhudā kī so ḳhudā hī jaane
apni marzi to ye hai banda-e-but ho rahiye
aage marzi hai KHuda ki so KHuda hi jaane
-
Tag : But
sailāb se āñkhoñ ke rahte haiñ ḳharābe meñ
TukḌe jo mire dil ke baste haiñ do-ābe meñ
sailab se aankhon ke rahte hain KHarabe mein
TukDe jo mere dil ke baste hain do-abe mein
dekhā to ek sho.ale se ai shaiḳh-o-barhaman
raushan haiñ sham-e-dair o charāġh-e-haram baham
dekha to ek shoale se ai shaiKH-o-barhaman
raushan hain sham-e-dair o charagh-e-haram baham