aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Udaasi baal Khole so rahi hai: Nasir kazmi

Nasir Kazmi's poetry has a strange charm to it. It spellbinds its readers and fills them with a deep sense of sorrow and solitude. Some of his most revered couplets are included in this collection. Read this selection and share it with your poetry-loving friends.

aaj dekhā hai tujh ko der ke ba.ad

aaj din guzar na jaa.e kahīñ

aaj dekha hai tujh ko der ke baad

aaj ka din guzar na jae kahin

Nasir Kazmi

ai dost ham ne tark-e-mohabbat ke bāvajūd

mahsūs hai terī zarūrat kabhī kabhī

ai dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawajud

mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabhi

Nasir Kazmi

aarzū hai ki yahāñ aa.e

aur phir umr bhar na jaa.e kahīñ

aarzu hai ki tu yahan aae

aur phir umr bhar na jae kahin

Nasir Kazmi

judā.iyoñ ke zaḳhm dard-e-zindagī ne bhar diye

tujhe bhī niiñd aa ga.ī mujhe bhī sabr aa gayā

judaiyon ke zaKHm dard-e-zindagi ne bhar diye

tujhe bhi nind aa gai mujhe bhi sabr aa gaya

Nasir Kazmi

mujhe ye Dar hai tirī aarzū na miT jaa.e

bahut dinoñ se tabī.at mirī udaas nahīñ

mujhe ye Dar hai teri aarzu na miT jae

bahut dinon se tabiat meri udas nahin

Nasir Kazmi

zarā baat sahī terā yaad aa jaanā

zarā baat bahut der tak rulātī thī

zara si baat sahi tera yaad aa jaana

zara si baat bahut der tak rulati thi

Nasir Kazmi

yaad hai ab tak tujh se bichhaḌne vo añdherī shaam mujhe

ḳhāmosh khaḌā thā lekin bāteñ kartā thā kājal

yaad hai ab tak tujh se bichhaDne ki wo andheri sham mujhe

tu KHamosh khaDa tha lekin baaten karta tha kajal

Nasir Kazmi

aaj to be-sabab udaas hai

ishq hotā to koī baat bhī thī

aaj to be-sabab udas hai ji

ishq hota to koi baat bhi thi

Nasir Kazmi

us ne manzil pe ke chhoḌ diyā

umr bhar jis rāstā dekhā

us ne manzil pe la ke chhoD diya

umr bhar jis ka rasta dekha

Nasir Kazmi

kuchh yādgār-e-shahr-e-sitamgar le chaleñ

aa.e haiñ is galī meñ to patthar le chaleñ

kuchh yaadgar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalen

aae hain is gali mein to patthar hi le chalen

Nasir Kazmi

is shahr-e-be-charāġh meñ jā.egī kahāñ

aa ai shab-e-firāq tujhe ghar le chaleñ

is shahr-e-be-charagh mein jaegi tu kahan

aa ai shab-e-firaq tujhe ghar hi le chalen

Nasir Kazmi

maiñ sote sote ka.ī baar chauñk chauñk paḌā

tamām raat tire pahluoñ se aañch aa.ī

main sote sote kai bar chaunk chaunk paDa

tamam raat tere pahluon se aanch aai

Nasir Kazmi

kal jo thā vo aaj nahīñ jo aaj hai kal miT jā.egā

rūkhī-sūkhī jo mil jaa.e shukr karo to behtar hai

kal jo tha wo aaj nahin jo aaj hai kal miT jaega

rukhi-sukhi jo mil jae shukr karo to behtar hai

Nasir Kazmi

yuuñ to har shaḳhs akelā hai bharī duniyā meñ

phir bhī har dal ke muqaddar meñ nahīñ tanhā.ī

yun to har shaKHs akela hai bhari duniya mein

phir bhi har dal ke muqaddar mein nahin tanhai

Nasir Kazmi

vo raat be-navā musāfir vo terā shā.ir vo terā 'nāsir'

tirī galī tak to ham ne dekhā thā phir na jaane kidhar gayā vo

wo raat ka be-nawa musafir wo tera shair wo tera 'nasir'

teri gali tak to hum ne dekha tha phir na jaane kidhar gaya wo

Nasir Kazmi

tire firāq rāteñ kabhī na bhūleñgī

maze mile unhīñ rātoñ meñ umr bhar ke mujhe

tere firaq ki raaten kabhi na bhulengi

maze mile unhin raaton mein umr bhar ke mujhe

Nasir Kazmi

aañch aatī hai tire jism uryānī se

pairahan hai ki sulagtī huī shab hai koī

aanch aati hai tere jism ki uryani se

pairahan hai ki sulagti hui shab hai koi

Nasir Kazmi

zindagī jin ke tasavvur se jilā paatī thī

haa.e kyā log the jo dām-e-ajal meñ aa.e

zindagi jin ke tasawwur se jila pati thi

hae kya log the jo dam-e-ajal mein aae

Nasir Kazmi

muddat se koī aayā na gayā sunsān paḌī hai ghar fazā

in ḳhālī kamroñ meñ 'nāsir' ab sham.a jalā.ūñ kis ke liye

muddat se koi aaya na gaya sunsan paDi hai ghar ki faza

in KHali kamron mein 'nasir' ab shama jalaun kis ke liye

Nasir Kazmi

saarā din tapte sūraj garmī meñ jalte rahe

ThanDī ThanDī havā phir chalī so raho so raho

sara din tapte suraj ki garmi mein jalte rahe

ThanDi ThanDi hawa phir chali so raho so raho

Nasir Kazmi

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now