Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Allama Iqbal's Photo'

Allama Iqbal

1877 - 1938 | Lahore, Pakistan

One of the greatest Urdu Poets. National poet of Pakistan who penned 'Saare jahaan se achha hindostaan hamara' and 'Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri'

One of the greatest Urdu Poets. National poet of Pakistan who penned 'Saare jahaan se achha hindostaan hamara' and 'Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri'

Sher of Allama Iqbal

234.5K
Favorite

SORT BY

hayā nahīñ hai zamāne aañkh meñ baaqī

ḳhudā kare ki javānī tirī rahe be-dāġh

haya nahin hai zamane ki aankh mein baqi

KHuda kare ki jawani teri rahe be-dagh

nahīñ terā nasheman qasr-e-sultānī ke gumbad par

shāhīñ hai baserā kar pahāḌoñ chaTānoñ meñ

nahin tera nasheman qasr-e-sultani ke gumbad par

tu shahin hai basera kar pahaDon ki chaTanon mein

amal se zindagī bantī hai jannat bhī jahannam bhī

ye ḳhākī apnī fitrat meñ na nuurī hai na naarī hai

amal se zindagi banti hai jannat bhi jahannam bhi

ye KHaki apni fitrat mein na nuri hai na nari hai

milegā manzil-e-maqsūd usī ko surāġh

añdherī shab meñ hai chīte aañkh jis charāġh

milega manzil-e-maqsud ka usi ko suragh

andheri shab mein hai chite ki aankh jis ka charagh

kabhī ham se kabhī ġhairoñ se shanāsā.ī hai

baat kahne nahīñ bhī to harjā.ī hai

kabhi hum se kabhi ghairon se shanasai hai

baat kahne ki nahin tu bhi to harjai hai

haañ dikhā de ai tasavvur phir vo sub.h o shaam

dauḌ pīchhe taraf ai gardish-e-ayyām

han dikha de ai tasawwur phir wo subh o sham tu

dauD pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyam tu

bātil se dabne vaale ai āsmāñ nahīñ ham

sau baar kar chukā hai imtihāñ hamārā

baatil se dabne wale ai aasman nahin hum

sau bar kar chuka hai tu imtihan hamara

dil se jo baat nikaltī hai asar rakhtī hai

par nahīñ tāqat-e-parvāz magar rakhtī hai

dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai

par nahin taqat-e-parwaz magar rakhti hai

jannat zindagī hai jis fazā meñ jiinā

merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai

jannat ki zindagi hai jis ki faza mein jina

mera watan wahi hai mera watan wahi hai

jis khet se dahqāñ ko mayassar nahīñ rozī

us khet ke har ḳhosha-e-gandum ko jalā do

jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi

us khet ke har KHosha-e-gandum ko jala do

tamannā dard-e-dil ho to kar ḳhidmat faqīroñ

nahīñ miltā ye gauhar bādshāhoñ ke ḳhazīnoñ meñ

serve mendicants if you desire empathy to gain

treasuries of emperors do not this wealth contain

tamanna dard-e-dil ki ho to kar KHidmat faqiron ki

nahin milta ye gauhar baadshahon ke KHazinon mein

serve mendicants if you desire empathy to gain

treasuries of emperors do not this wealth contain

na samjhoge to miT jāoge ai hindostāñ vaalo

tumhārī dāstāñ tak bhī na hogī dāstānoñ meñ

na samjhoge to miT jaoge ai hindostan walo

tumhaari dastan tak bhi na hogi dastanon mein

aañkh jo kuchh dekhtī hai lab pe aa saktā nahīñ

mahv-e-hairat huuñ ki duniyā kyā se kyā ho jā.egī

aankh jo kuchh dekhti hai lab pe aa sakta nahin

mahw-e-hairat hun ki duniya kya se kya ho jaegi

uqābī ruuh jab bedār hotī hai javānoñ meñ

nazar aatī hai un ko apnī manzil āsmānoñ meñ

uqabi ruh jab bedar hoti hai jawanon mein

nazar aati hai un ko apni manzil aasmanon mein

hue madfūn-e-dariyā zer-e-dariyā tairne vaale

tamāñche mauj ke khāte the jo ban kar guhar nikle

hue madfun-e-dariya zer-e-dariya tairne wale

tamanche mauj ke khate the jo ban kar guhar nikle

turkoñ jis ne dāman hīroñ se bhar diyā thā

merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai

turkon ka jis ne daman hiron se bhar diya tha

mera watan wahi hai mera watan wahi hai

mujhe rokegā ai nāḳhudā kyā ġharq hone se

ki jin ko Dūbnā hai Duub jaate haiñ safīnoñ meñ

mujhe rokega tu ai naKHuda kya gharq hone se

ki jin ko Dubna hai Dub jate hain safinon mein

andāz-e-bayāñ garche bahut shoḳh nahīñ hai

shāyad ki utar jaa.e tire dil meñ mirī baat

andaz-e-bayan garche bahut shoKH nahin hai

shayad ki utar jae tere dil mein meri baat

vajūd-e-zan se hai tasvīr-e-kā.enāt meñ rañg

isī ke saaz se hai zindagī soz-e-darūñ

wajud-e-zan se hai taswir-e-kaenat mein rang

isi ke saz se hai zindagi ka soz-e-darun

kamāl-e-josh-e-junūñ meñ rahā maiñ garm-e-tavāf

ḳhudā shukr salāmat rahā haram ġhilāf

kamal-e-josh-e-junun mein raha main garm-e-tawaf

KHuda ka shukr salamat raha haram ka ghilaf

sulatānī-e-jamhūr aatā hai zamāna

jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aa.e miTā do

sulatani-e-jamhur ka aata hai zamana

jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aae miTa do

qādir o aadil hai magar tere jahāñ meñ

haiñ talḳh bahut banda-e-mazdūr ke auqāt

tu qadir o aadil hai magar tere jahan mein

hain talKH bahut banda-e-mazdur ke auqat

yuuñ to sayyad bhī ho mirzā bhī ho afġhān bhī ho

tum sabhī kuchh ho batāo to musalmān bhī ho

yun to sayyad bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho

tum sabhi kuchh ho batao to musalman bhi ho

tujhe kitāb se mumkin nahīñ farāġh ki

kitāb-ḳhvāñ hai magar sāhib-e-kitāb nahīñ

tujhe kitab se mumkin nahin faragh ki tu

kitab-KHwan hai magar sahib-e-kitab nahin

maiñ nā-ḳhush-o-be-zār huuñ marmar siloñ se

mere liye miTTī haram aur banā do

main na-KHush-o-be-zar hun marmar ki silon se

mere liye miTTi ka haram aur bana do

uTTho mirī duniyā ke ġharīboñ ko jagā do

kāḳh-e-umārā ke dar-o-dīvār hilā do

uTTho meri duniya ke gharibon ko jaga do

kaKH-e-umara ke dar-o-diwar hila do

masjid to banā shab bhar meñ īmāñ harārat vāloñ ne

man apnā purānā paapī hai barsoñ meñ namāzī ban na sakā

masjid to bana di shab bhar mein iman ki hararat walon ne

man apna purana papi hai barson mein namazi ban na saka

jinheñ maiñ DhūñDhtā thā āsmānoñ meñ zamīnoñ meñ

vo nikle mere zulmat-ḳhāna-e-dil ke makīnoñ meñ

jinhen main DhunDhta tha aasmanon mein zaminon mein

wo nikle mere zulmat-KHana-e-dil ke makinon mein

saare jahāñ se achchhā hindostāñ hamārā

ham bulbuleñ haiñ is ye gulsitāñ hamārā

sare jahan se achchha hindostan hamara

hum bulbulen hain is ki ye gulsitan hamara

haram-e-pāk bhī allāh bhī qur.ān bhī ek

kuchh baḌī baat thī hote jo musalmān bhī ek

haram-e-pak bhi allah bhi quran bhi ek

kuchh baDi baat thi hote jo musalman bhi ek

paas thā nākāmī-e-sayyād ai ham-safīr

varna maiñ aur uḌ ke aatā ek daane ke liye

pas tha nakaami-e-sayyaad ka ai ham-safir

warna main aur uD ke aata ek dane ke liye

rāz-e-hayāt pūchh le ḳhizr-e-ḳhajista gaam se

zinda har ek chiiz hai koshish-e-nā-tamām se

raaz-e-hayat puchh le KHizr-e-KHajista gam se

zinda har ek chiz hai koshish-e-na-tamam se

nasha pilā ke girānā to sab ko aatā hai

mazā to tab hai ki girtoñ ko thaam le saaqī

nasha pila ke girana to sab ko aata hai

maza to tab hai ki girton ko tham le saqi

yaqīñ mohkam amal paiham mohabbat fātah-e-ālam

jihād-e-zindagānī meñ haiñ ye mardoñ shamshīreñ

yaqin mohkam amal paiham mohabbat fatah-e-alam

jihad-e-zindagani mein hain ye mardon ki shamshiren

hai raam ke vajūd pe hindostāñ ko naaz

ahl-e-nazar samajhte haiñ us ko imām-e-hind

hai ram ke wajud pe hindostan ko naz

ahl-e-nazar samajhte hain us ko imam-e-hind

'iqbāl' lakhna.ū se na dillī se hai ġharaz

ham to asiir haiñ ḳham-e-zulf-e-kamāl ke

'iqbaal' lakhnau se na dilli se hai gharaz

hum to asir hain KHam-e-zulf-e-kamal ke

aql ko tanqīd se fursat nahīñ

ishq par a.amāl buniyād rakh

aql ko tanqid se fursat nahin

ishq par aamal ki buniyaad rakh

zindagānī haqīqat kohkan ke dil se pūchh

jū-e-shīr o tesha o sañg-e-girāñ hai zindagī

zindagani ki haqiqat kohkan ke dil se puchh

ju-e-shir o tesha o sang-e-giran hai zindagi

chaman-zār-e-mohabbbat meñ ḳhamoshī maut hai bulbul

yahāñ zindagī pābandi-e-rasm-e-fuġhāñ tak hai

chaman-zar-e-mohabbbat mein KHamoshi maut hai bulbul

yahan ki zindagi pabandi-e-rasm-e-fughan tak hai

ġhulāmī meñ na kaam aatī haiñ shamshīreñ na tadbīreñ

jo ho zauq-e-yaqīñ paidā to kaT jaatī haiñ zanjīreñ

ghulami mein na kaam aati hain shamshiren na tadbiren

jo ho zauq-e-yaqin paida to kaT jati hain zanjiren

sau sau umīdeñ bañdhtī hai ik ik nigāh par

mujh ko na aise pyaar se dekhā kare koī

sau sau umiden bandhti hai ek ek nigah par

mujh ko na aise pyar se dekha kare koi

samundar se mile pyāse ko shabnam

baḳhīlī hai ye razzāqī nahīñ hai

samundar se mile pyase ko shabnam

baKHili hai ye razzaqi nahin hai

mahīne vasl ke ghaḌiyoñ sūrat uḌte jaate haiñ

magar ghaḌiyāñ judā.ī guzartī haiñ mahīnoñ meñ

mahine wasl ke ghaDiyon ki surat uDte jate hain

magar ghaDiyan judai ki guzarti hain mahinon mein

mohabbat ke liye dil DhūñDh koī TūTne vaalā

ye vo mai hai jise rakhte haiñ nāzuk ābgīnoñ meñ

mohabbat ke liye dil DhunDh koi TuTne wala

ye wo mai hai jise rakhte hain nazuk aabginon mein

mīr-e-arab ko aa.ī ThanDī havā jahāñ se

merā vatan vahī hai merā vatan vahī hai

mir-e-arab ko aai ThanDi hawa jahan se

mera watan wahi hai mera watan wahi hai

duniyā mahfiloñ se uktā gayā huuñ rab

kyā lutf anjuman jab dil bujh gayā ho

duniya ki mahfilon se ukta gaya hun ya rab

kya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho

maz.hab nahīñ sikhātā aapas meñ bair rakhnā

hindī haiñ ham vatan hai hindostāñ hamārā

mazhab nahin sikhata aapas mein bair rakhna

hindi hain hum watan hai hindostan hamara

aql ayyār hai sau bhes badal letī hai

ishq bechāra na zāhid hai na mullā na hakīm

aql ayyar hai sau bhes badal leti hai

ishq bechaara na zahid hai na mulla na hakim

hazāroñ saal nargis apnī be-nūrī pe rotī hai

baḌī mushkil se hotā hai chaman meñ dīda-var paidā

hazaron sal nargis apni be-nuri pe roti hai

baDi mushkil se hota hai chaman mein dida-war paida

motī samajh ke shān-e-karīmī ne chun liye

qatre jo the mire araq-e-infi.āl ke

moti samajh ke shan-e-karimi ne chun liye

qatre jo the mere araq-e-infial ke

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now