aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
dil ke phaphūle jal uThe siine ke daaġh se
is ghar ko aag lag ga.ī ghar ke charāġh se
this hearts blisters are inflamed by its own desire
by its own lamp,alas, this house is set afire
dil ke phaphule jal uThe sine ke dagh se
is ghar ko aag lag gai ghar ke charagh se
kuchh na pūchho 'firāq' ahd-e-shabāb
raat hai niind hai kahānī hai
kuchh na puchho 'firaq' ahd-e-shabab
raat hai nind hai kahani hai
chale to paañv ke nīche kuchal ga.ī koī shai
nashe kī jhoñk meñ dekhā nahīñ ki duniyā hai
chale to panw ke niche kuchal gai koi shai
nashe ki jhonk mein dekha nahin ki duniya hai
ġharaz ki kaaT diye zindagī ke din ai dost
vo terī yaad meñ hoñ yā tujhe bhulāne meñ
gharaz ki kaT diye zindagi ke din ai dost
wo teri yaad mein hon ya tujhe bhulane mein
ek muddat se tirī yaad bhī aa.ī na hameñ
aur ham bhuul ga.e hoñ tujhe aisā bhī nahīñ
ek muddat se teri yaad bhi aai na hamein
aur hum bhul gae hon tujhe aisa bhi nahin
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books