aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ye vafā kī saḳht rāheñ ye tumhāre paañv nāzuk
na lo intiqām mujh se mire saath saath chal ke
your feet are tender, delicate, harsh are the paths of constancy
on me your vengeance do not wreak, by thus giving me company
ye wafa ki saKHt rahen ye tumhaare panw nazuk
na lo intiqam mujh se mere sath sath chal ke
jo ek pal ke liye ḳhud badal nahīñ sakte
ye kah rahe haiñ ki saarā jahāñ badal Daalo
jo ek pal ke liye KHud badal nahin sakte
ye kah rahe hain ki sara jahan badal Dalo
bhīgī miTTī kī mahak pyaas baḌhā detī hai
dard barsāt kī būñdoñ meñ basā kartā hai
bhigi miTTi ki mahak pyas baDha deti hai
dard barsat ki bundon mein basa karta hai
mil ga.ī mujh ko to duniyā se najāt
qatl kar ke aap ko kyā mil gayā
mil gai mujh ko to duniya se najat
qatl kar ke aap ko kya mil gaya
mirī ḳhāmoshiyoñ kī jhiil meñ phir
kisī āvāz kā patthar girā hai
meri KHamoshiyon ki jhil mein phir
kisi aawaz ka patthar gira hai
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books