aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ghar se masjid hai bahut duur chalo yuuñ kar leñ
kisī rote hue bachche ko hañsāyā jaa.e
the mosques too far so for a while
some weeping child, let us make smile
ghar se masjid hai bahut dur chalo yun kar len
kisi rote hue bachche ko hansaya jae
mat pūchh ki ham zabt kī kis raah se guzre
ye dekh ki tujh par koī ilzām na aayā
mat puchh ki hum zabt ki kis rah se guzre
ye dekh ki tujh par koi ilzam na aaya
banda-parvar maiñ vo banda huuñ ki bahr-e-bandagī
jis ke aage sar jhukā dūñgā ḳhudā ho jā.egā
so deep is my devotion, for this piety of mine
if I bow to anyone, he would become divine
banda-parwar main wo banda hun ki bahr-e-bandagi
jis ke aage sar jhuka dunga KHuda ho jaega
lazzat-e-vasl se bhī baḌh ke maza aa.egā
apnī tanhā.ī se dil apnā lagā kar dekho
lazzat-e-wasl se bhi baDh ke maza aaega
apni tanhai se dil apna laga kar dekho
jo bhī hai dil meñ aap ke khul kar batā.iye hameñ
kahte haiñ aap Thiik haiñ rahte haiñ be-qarār se
jo bhi hai dil mein aap ke khul kar bataiye hamein
kahte hain aap Thik hain rahte hain be-qarar se
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books