Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Dattatriya Kaifi's Photo'

Dattatriya Kaifi

1866 - 1955 | Delhi, India

Prominent scholar of Arabic, Persian and Sanskrit

Prominent scholar of Arabic, Persian and Sanskrit

Sher of Dattatriya Kaifi

1.8K
Favorite

SORT BY

dekh rahā hai jo mirā haal hai qāsid

mujh ko yahī kahnā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

tu dekh raha hai jo mera haal hai qasid

mujh ko yahi kahna hai ki main kuchh nahin kahta

ma.alūm hai va.ade haqīqat

bahlā lete haiñ apne ko

malum hai wade ki haqiqat

bahla lete hain apne ji ko

ishq ne jis dil pe qabza kar liyā

phir kahāñ us meñ nashāt o ġham rahe

ishq ne jis dil pe qabza kar liya

phir kahan us mein nashat o gham rahe

koī dil-lagī dil lagānā nahīñ hai

qayāmat hai ye dil aanā nahīñ hai

koi dil-lagi dil lagana nahin hai

qayamat hai ye dil ka aana nahin hai

vafā par daġhā sulh meñ dushmanī hai

bhalā.ī hargiz zamāna nahīñ hai

wafa par dagha sulh mein dushmani hai

bhalai ka hargiz zamana nahin hai

dair o kaaba meñ bhaTakte phir rahe haiñ raat din

DhūñDhne se bhī to bandoñ ko ḳhudā miltā nahīñ

dair o kaba mein bhaTakte phir rahe hain raat din

DhunDhne se bhi to bandon ko KHuda milta nahin

uljhā rahne do zulfoñ ko sanam

jo na khul jaa.eñ bharam achchhe haiñ

uljha hi rahne do zulfon ko sanam

jo na khul jaen bharam achchhe hain

urdu hai jis naam hamārī zabān hai

duniyā har zabān se pyārī zabān hai

urdu hai jis ka nam hamari zaban hai

duniya ki har zaban se pyari zaban hai

ik ḳhvāb ḳhayāl hai duniyā kaheñ jise

hai is meñ ik tilism tamannā kaheñ jise

ek KHwab ka KHayal hai duniya kahen jise

hai is mein ek tilism tamanna kahen jise

nafs ko maar kar mile jannat

ye sazā qābil-e-qayās nahīñ

nafs ko mar kar mile jannat

ye saza qabil-e-qayas nahin

yuuñ aao mire pahlū meñ tum ghar se nikal kar

aatī hai jis tarah gul-e-tar se nikal kar

yun aao mere pahlu mein tum ghar se nikal kar

bu aati hai jis tarah gul-e-tar se nikal kar

sach hai in donoñ hai ik aalam

merī tanhā.ī terī yaktā.ī

sach hai in donon ka hai ek aalam

meri tanhai teri yaktai

vo kahā karte haiñ koThoñ chaḌhī hoñToñ niklī

dil meñ rakhnā jo kal raat huā koThe par

wo kaha karte hain koThon chaDhi honTon nikli

dil mein hi rakhna jo kal raat hua koThe par

talḳh kahte the lo ab ke to bolo zāhid

haath aa.e idhar ustād mazā hai ki nahīñ

talKH kahte the lo ab pi ke to bolo zahid

hath aae idhar ustad maza hai ki nahin

kahne ko to kah ga.e ho sab kuchh

ab koī javāb de to kyā ho

kahne ko to kah gae ho sab kuchh

ab koi jawab de to kya ho

sab kuchh hai aur kuchh bhī nahīñ dahr vajūd

'kaifī' ye baat vo hai muammā kaheñ jise

sab kuchh hai aur kuchh bhi nahin dahr ka wajud

'kaifi' ye baat wo hai muamma kahen jise

bol uThtī kabhī chiḌiyā jo tirī añgiyā

ḳhush-navā.ī na yuuñ jīt.tī bulbul paalī

bol uThti kabhi chiDiya jo teri angiya ki

KHush-nawai ki na yun jitti bulbul pali

jo chashm-e-dil-rubā ke vasf meñ ash.ār likhtā huuñ

to har har lafz par ahl-e-nazar ik saad karte haiñ

jo chashm-e-dil-ruba ke wasf mein ashaar likhta hun

to har har lafz par ahl-e-nazar ek sad karte hain

sail-e-girya badaulat ye huā ghar haal

ḳhaak tak bhī na milī bahar-e-tayammum mujh ko

sail-e-girya ki badaulat ye hua ghar ka haal

KHak tak bhi na mili bahar-e-tayammum mujh ko

tum se ab kyā kaheñ vo chiiz hai dāġh-e-ġham-e-ishq

ki chhupā.e na chhupe aur dikhā.e na bane

tum se ab kya kahen wo chiz hai dagh-e-gham-e-ishq

ki chhupae na chhupe aur dikhae na bane

DhūñDhne se yuuñ to is duniyā meñ kyā miltā nahīñ

sach agar pūchho to sachchā āshnā miltā nahīñ

DhunDhne se yun to is duniya mein kya milta nahin

sach agar puchho to sachcha aashna milta nahin

uqda-e-qismat nahīñ khultā mirā

ye bhī tirā band-e-qabā ho gayā

uqda-e-qismat nahin khulta mera

ye bhi tera band-e-qaba ho gaya

hāl-e-dil likhte na logoñ zabāñ meñ paḌte

vaj.h-e-añgusht-numā.ī ye qalam hai ham ko

haal-e-dil likhte na logon ki zaban mein paDte

wajh-e-angusht-numai ye qalam hai hum ko

rahne de zikr-e-ḳham-e-zulf-e-musalsal ko nadīm

us ke to dhyān se bhī hotā hai dil ko uljhāo

rahne de zikr-e-KHam-e-zulf-e-musalsal ko nadim

us ke to dhyan se bhi hota hai dil ko uljhao

ilāhī mujh ko ye kyā ho gayā

dostī terī saudā ho gayā

ya ilahi mujh ko ye kya ho gaya

dosti ka teri sauda ho gaya

vuzū hotā hai yaañ to shaiḳh usī āb-e-gulābī se

tayammum ke liye tum ḳhaak kar dasht meñ phāñkoñ

wuzu hota hai yan to shaiKH usi aab-e-gulabi se

tayammum ke liye tum KHak ja kar dasht mein phankon

ḳhabar kise sub.h-o-shām hai ta.a.īnāt aur quyūd kaise

namāz kis vahāñ kisī ko ḳhayāl tak bhī nahīñ vuzū

KHabar kise subh-o-sham ki hai tainat aur quyud kaise

namaz kis ki wahan kisi ko KHayal tak bhi nahin wuzu ka

mo.ajiza hazrat-e-īsā thā be-shubah durust

ki maiñ duniyā se gayā uTh jo kahā qum mujh ko

moajiza hazrat-e-isa ka tha be-shubah durust

ki main duniya se gaya uTh jo kaha qum mujh ko

dam ġhanīmat hai sāliko merā

jaras-e-daur sadā huuñ maiñ

dam ghanimat hai saliko mera

jaras-e-daur ki sada hun main

hai aks-e-ā.ina dil meñ kisī bilqīs-e-sānī

tasavvur hai mirā ustād bahzād aur maanī

hai aks-e-aina dil mein kisi bilqis-e-sani ka

tasawwur hai mera ustad bahzad aur mani ka

bādbānoñ meñ bharī hai is ke kyā bād-e-nafas

kashti-e-umr-e-ravāñ ko taab lañgar nahīñ

baadbanon mein bhari hai is ke kya baad-e-nafas

kashti-e-umr-e-rawan ko tab langar ki nahin

sham.a-rūoñ mohabbat jo dam bharte haiñ

ek muddat vo abhī bai.at-e-parvāna kareñ

shama-ruon ki mohabbat ka jo dam bharte hain

ek muddat wo abhi baiat-e-parwana karen

asl vahdat binā hai adam-e-ġhairiyyat

us jab rañg jamā ġhair ko apnā jaanā

asl wahdat ki bina hai adam-e-ghairiyyat

us ka jab rang jama ghair ko apna jaana

jo dil-o-īmāñ na deñ nazrāñ butoñ ko dekh kar

ḳhudā vo log is duniyā meñ aa.e kis liye

jo dil-o-iman na den nazran buton ko dekh kar

ya KHuda wo log is duniya mein aae kis liye

vasl kartā huuñ jab zikr un se

ik tabassum tah-e-lab karte haiñ

wasl ka karta hun jab zikr un se

ek tabassum tah-e-lab karte hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now