Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ashfaq Shaheen's Photo'

Ashfaq Shaheen

1968 | Gujrat, Pakistan

Sher of Ashfaq Shaheen

29
Favorite

SORT BY

itnī zamīñ chāhiye bas mujh ko gaañv meñ

kar paḌā rahūñ maiñ jahāñ maañ ke paañv meñ

itni zamin hi chahiye bas mujh ko ganw mein

ja kar paDa rahun main jahan man ke panw mein

ham tire hijr meñ yuuñ zard hue jaate haiñ

log takte haiñ to hamdard hue jaate haiñ

hum tere hijr mein yun zard hue jate hain

log takte hain to hamdard hue jate hain

aatī kab hai roz bulānā paḌtī hai

niiñd ḳhātir golī khānā paḌtī hai

aati kab hai roz bulana paDti hai

nind ki KHatir goli khana paDti hai

irāde garche lahroñ ke baḌe sadmāt vaale haiñ

ye dariyā ko batā denā ki ham gujrāt vaale haiñ

irade garche lahron ke baDe sadmat wale hain

ye dariya ko bata dena ki hum gujraat wale hain

sub.h-e-nau ke vāste bekār huuñ

maiñ guzishta roz aḳhbār huuñ

subh-e-nau ke waste bekar hun

main guzishta roz ka aKHbar hun

maiñ adh-marā gulāb sar-e-shāḳh-e-nīm-jāñ

hāthoñ se ne mujh ko sañvārā to maiñ gayā

main adh-mara gulab sar-e-shaKH-e-nim-jaan

hathon se tu ne mujh ko sanwara to main gaya

akelā aa rahā hai unheñ bhī saath laatā hai

zarā pūchho ḳhabar to lo december kyā batātā hai

akela aa raha hai ya unhen bhi sath lata hai

zara puchho KHabar to lo december kya batata hai

'arsa huā hai un se mulāqāt nahīñ

gujrāt lag rahā hai ki gujrāt nahīñ

'arsa hua hai un se mulaqat hi nahin

gujraat lag raha hai ki gujraat hi nahin

maiñ kachchī raushnā.ī se bane ik shahr jaisā huuñ

kisī ashk kaafī hai mujhe mismār karne ko

main kachchi raushnai se bane ek shahr jaisa hun

kisi ka ashk kafi hai mujhe mismar karne ko

kisī karb-e-musalsal ke khule iz.hār jaise haiñ

yahāñ logoñ ke chehre bhī kisī aḳhbār jaise haiñ

kisi karb-e-musalsal ke khule izhaar jaise hain

yahan logon ke chehre bhi kisi aKHbar jaise hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now