Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Syed Sibte Hasan's Photo'

Syed Sibte Hasan

1912 - 1986 | Pakistan

Quotes of Syed Sibte Hasan

113
Favorite

SORT BY

Zabaanein murda ho jaati hain, lekin unke alfaaz aur muhaavare, alaamaat aur isti'araat nai zabaanon mein daakhil ho kar unka juz ban jaate hain.

Sehr ibtidaai insaan ki nafsiyaati tadbeeron ka doosra naam hai.

Riyaasat faqat eik jughraafiyaai ya siyaasi haqeeqat hoti hai. Chunaanche yeh zaroori nahi hai ki riyaasat aur qaum ki sarhadein eik hon.

Mazhab aur sehr mein buniyaadi farq yeh hai ki mazhab ka muharrik qudrat ki itaa'at aur khushnoodi ka jazba hai. Iske bar-aks sehr ka muharrik taskheer-e-qudrat ka jazba hai.

Tahzeeb jab tabaqaat mein bat jaati hai, to khayaalaat ki nau'iyat bhi tabaqaati ho jaati hai, aur jis tabaqe ka ghalba muaa'share ki maaddi quwwaton par hota hai, usi tabaqe ka ghalba zehni quwwaton par bhi hota hai.

Agar koi muaa'shra rooh-e-asr ki pukaar nahi sunta, balki puraani dagar par chalta rahta hai, to tahzeeb ka paudha bhi thithur jaata hai aur phir sookh jaata hai.

Riyaasat ke hudood-e-arba' ghat'te-badhte rahte hain, magar qaumon aur qaumi tahzeebon ke hudood bahut mushkil se badalte hain.

Tahreer ka rivaaj bhi tamaddun hi ka mazhar hai, kyunki woh muaashara jo funn-e-tahreer se na-waaqif ho, muhazzab kaha ja sakta hai, lekin mutamaddin nahi kaha ja sakta.

Rasm-ul-khat ki islaah ki bahas ko mazhabi rang na dein, kyunki rasm-ul-khat ka ta'alluq mazhab se nahi hai.

Jo log Roman rasm-ul-khat par yeh a'itiraaz karte hain ke Roman abjad ke huroof se hamaari tamaam aawaazen ada nahi hotin, wo us tareekhi haqeeqat ko nazar-andaz kar dete hain ki agar Roman abjad ke huroof hamaari tamaam aawaazon ko ada nahi kar sakte, to Arabi abjad ke hurf bhi hamaari tamaam aawaazon ko ada karne se qaasir hain.

Recitation

Speak Now