Dohe of Anas Khan
umr se dhokā khā ga.e parkhā nahīñ zamīr
bachcha bachcha hī rahā baḌhtā rahā sharīr
umr se dhoka kha gae parkha nahin zamir
bachcha bachcha hi raha baDhta raha sharir
ai satrañgī raushnī kaisī shakl banā.ī
jo rang apnāyā nahīñ vo hī diyā dikhā.ī
ai satrangi raushni kaisi shakl banai
jo rang apnaya nahin wo hi diya dikhai
apnī zid kī aag meñ zaḳhmī kiye gulāb
ik vahshī ne Daal kar kaliyoñ par tezāb
apni zid ki aag mein zaKHmi kiye gulab
ek wahshi ne Dal kar kaliyon par tezab
ye duniyā kī riit hai yā duniyā kā diin
jo uupar chaḌhne lage khīñche use zamīn
ye duniya ki rit hai ya duniya ka din
jo upar chaDhne lage khinche use zamin
mullā panDit sab yahāñ karte rahe fareb
soch rahā newton vahāñ girtā kyoñ hai seb
mulla panDit sab yahan karte rahe fareb
soch raha newton wahan girta kyon hai seb
masjid meñ paidā huā sīkhī vahī zabān
totā mandir pe chaḌhā dene lagā azaan
masjid mein paida hua sikhi wahi zaban
tota mandir pe chaDha dene laga azan
naarī jag kī niiñv hai rishtoñ kā ādhār
jaisī nazreñ Dāliye vaisā le ākār
nari jag ki ninw hai rishton ka aadhaar
jaisi nazren Daliye waisa le aakar
baḌe shahr se apnī duurī rakhiye mīloñ miil
jitnī duur samundar se ho utnī mīThī jhiil
baDe shahr se apni duri rakhiye milon mil
jitni dur samundar se ho utni miThi jhil
duniyā ek sarāb hai puḳhta huā yaqīn
maiñ jitnā chaltā gayā utnī chalī zamīn
duniya ek sarab hai puKHta hua yaqin
main jitna chalta gaya utni chali zamin
maz.hab ne jo Thoñk dī hilī nahīñ vo kiil
qudrat har maḳhlūq ko roz kare tabdīl
mazhab ne jo Thonk di hili nahin wo kil
qudrat har maKHluq ko roz kare tabdil
apne andar maiñ gayā ik din karne sair
itnā aage baḌh gayā pīchhe chhūTe pair
apne andar main gaya ek din karne sair
itna aage baDh gaya pichhe chhuTe pair
in āñkhoñ meñ qaid hai is duniyā kā saar
bāhar ḳhālī aks hai andar hai sansār
in aankhon mein qaid hai is duniya ka sar
bahar KHali aks hai andar hai sansar
panchhī uḌ kar chal diyā suukh ga.ī jab jhiil
maut hai aslī zindagī maut nahīñ takmīl
panchhi uD kar chal diya sukh gai jab jhil
maut hai asli zindagi maut nahin takmil
rāvan zinda hī rahā sadiyoñ jalā sharīr
tarkash meñ thā hī nahīñ kabhī raam ke tiir
rawan zinda hi raha sadiyon jala sharir
tarkash mein tha hi nahin kabhi ram ke tir
din meñ maz.hab jāgtā laakh bhalī hai raat
har tan laage ek sā ik hī laage zaat
din mein mazhab jagta lakh bhali hai raat
har tan lage ek sa ek hi lage zat
kyā māñgeñ bhagvān se kyā degā ye dair
rickshaw ḳhud chaltā nahīñ binā chalā.e pair
kya mangen bhagwan se kya dega ye dair
rickshaw KHud chalta nahin bina chalae pair
purkhoñ kī tasvīr gale meñ vāhid banī dalīl
saare ghar kā maan sañbhāle ek akelī kiil
purkhon ki taswir gale mein wahid bani dalil
sare ghar ka man sanbhaale ek akeli kil
pahle huā kisān kā baalū baalū khet
phir āñdhī mahñgā.ī kī bhar ga.ī muñh meñ ret
pahle hua kisan ka baalu baalu khet
phir aandhi mahngai ki bhar gai munh mein ret
tan būḌhā hone lagā dhundhle ho ga.e ḳhvāb
rang syāhī kā uḌā miTne lagī kitāb
tan buDha hone laga dhundhle ho gae KHwab
rang syahi ka uDa miTne lagi kitab
har karvaT par halchal ho.e man bhī aapā kho.e
kaun basā hai mere andar khanan khanan khan ho.e
har karwaT par halchal hoe man bhi aapa khoe
kaun basa hai mere andar khanan khanan khan hoe
apne hī sab haath chhuḌā leñ burā chale jo kaal
umreñ jitnī baḌhtī jaa.eñ uḌte jaa.eñ baal
apne hi sab hath chhuDa len bura chale jo kal
umren jitni baDhti jaen uDte jaen baal
ruuh nahīñ ye ruī hai insāñ ek lihāf
jab jab ye mailā huā badlā gayā ġhilāf
ruh nahin ye rui hai insan ek lihaf
jab jab ye maila hua badla gaya ghilaf
jin kāñdhoñ par jhuul kar chhūtā thā ākāsh
ik darvāze meñ milī usī peḌ kī laash
jin kandhon par jhul kar chhuta tha aakash
ek darwaze mein mili usi peD ki lash
kal ye hī ban jā.egī usī gale kī phāñs
aaj havā anmol hai khīñch ziyāda saañs
kal ye hi ban jaegi usi gale ki phans
aaj hawa anmol hai khinch ziyaada sans
tū mujh meñ mahdūd hai maiñ tujh meñ mahdūd
mere saa.e meñ tirā dikhne lagā vajūd
tu mujh mein mahdud hai main tujh mein mahdud
mere sae mein tera dikhne laga wajud
ek aañkh meñ do patlī huuñ tab hogā ādhār
ik putlī antarman dekhe ik dekhe sansār
ek aankh mein do patli hun tab hoga aadhaar
ek putli antarman dekhe ek dekhe sansar
ruuh badan ke saath thī jag ne de dī taap
paanī nīche rah gayā uupar uḌ ga.ī bhaap
ruh badan ke sath thi jag ne de di tap
pani niche rah gaya upar uD gai bhap
tū to faqat zamīn hai phir bhī tirā qusūr
gar imlī ke biij se niklā nahīñ khajūr
tu to faqat zamin hai phir bhi tera qusur
gar imli ke bij se nikla nahin khajur
chhupā gayā gahrā.ī meñ dariyā apnā haal
maiñ jab bhī andar gayā bāhar diyā uchhāl
chhupa gaya gahrai mein dariya apna haal
main jab bhi andar gaya bahar diya uchhaal
koī sañbhāle dair to koī bachā.e diin
'anas' bachā lo aap hī martī huī zamīn
koi sanbhaale dair to koi bachae din
'anas' bacha lo aap hi marti hui zamin
sab terī science hai phir ye kaisā yog
ḳhudā numā.inde tire itne pichhḌe log
sab teri science hai phir ye kaisa yog
KHuda numainde tere itne pichhDe log
mile jo nainan mad-bhare dhaḌkā man kā dvaar
tan ke is darbār kā man hai chaukīdār
mile jo nainan mad-bhare dhaDka man ka dwar
tan ke is darbar ka man hai chaukidar
badan añdherī koTharī khojo diyā-salā.ī
'anas' jagāo chetnā raushan karo ḳhudā.ī
badan andheri koThari khojo diya-salai
'anas' jagao chetna raushan karo KHudai
machhlī jogan ho ga.ī chhoḌ diyā hai taal
ham ne anjāne kabhī pheñk diyā thā jaal
machhli jogan ho gai chhoD diya hai tal
hum ne anjaane kabhi phenk diya tha jal
man ke bhītar prem hai bāhar kuuch kaThor
utnā mīThā jal mile jitnā gahrā bor
man ke bhitar prem hai bahar kuch kaThor
utna miTha jal mile jitna gahra bor
pairoñ se kamzor thī phir bhī palTā khel
lipaT lipaT kar peḌ se uupar chaḌh ga.ī bel
pairon se kamzor thi phir bhi palTa khel
lipaT lipaT kar peD se upar chaDh gai bel
āñkhoñ meñ paanī bharā paanī meñ girdāb
ḳhvāb hathelī par liye khaḌā rahā tālāb
aankhon mein pani bhara pani mein girdab
KHwab hatheli par liye khaDa raha talab
peḌ zard hone lage phuul hue ras.hīn
lahū shajar kā khīñch kar piine lagī zamīn
peD zard hone lage phul hue rashin
lahu shajar ka khinch kar pine lagi zamin
sudh-budh kho ga.ī bāñvrī jis din khulā fareb
nadiyā meñ gāgar milī panghaT par pāzeb
sudh-budh kho gai banwri jis din khula fareb
nadiya mein gagar mili panghaT par pazeb
ye kah kar talvār ne chhoḌī aaj miyān
qaid hisār-e-jism meñ ab na rahegī jaan
ye kah kar talwar ne chhoDi aaj miyan
qaid hisar-e-jism mein ab na rahegi jaan
ghis ga.ī haDDī riiḌh kī jhukne lagā sharīr
loch khā ga.ī chhat mirī bikhar ga.e shahtīr
ghis gai haDDi riDh ki jhukne laga sharir
loch kha gai chhat meri bikhar gae shahtir
sharābor palkeñ huiiñ kājal gayā hai phail
ashkoñ ke sailāb meñ bikhar ga.ī khaprail
sharabor palken huin kajal gaya hai phail
ashkon ke sailab mein bikhar gai khaprail
ḳhud ko chhoTā kar liyā ḳhud meñ ḳhud ko bhīñch
bil-āḳhir charḳhāb ne liyā samundar khīñch
KHud ko chhoTa kar liya KHud mein KHud ko bhinch
bil-aKHir charKHab ne liya samundar khinch
fitrat se kī is qadar insānoñ ne chheḌ
niklā jangal jang par le muTThī bhar peḌ
fitrat se ki is qadar insanon ne chheD
nikla jangal jang par le muTThi bhar peD
bāhar kī ik Thes bhī paidā kar de khoT
anDā jīvan paa.e jab ho andar se choT
bahar ki ek Thes bhi paida kar de khoT
anDa jiwan pae jab ho andar se choT
apnoñ ko jab ham ne parkhā khul ga.ī sab kī poll
jigar kaleja thar-thar kāñpe jiibh na khaa.ī jhol
apnon ko jab hum ne parkha khul gai sab ki poll
jigar kaleja thar-thar kanpe jibh na khai jhol
maazī kab kā so gayā sar par chādar taan
'anas' kahāñ se jism par aane lage nishān
mazi kab ka so gaya sar par chadar tan
'anas' kahan se jism par aane lage nishan
duur qayāmat rok de kar mujh ko barbād
mere ḳhātir aa.e kyoñ duniyā par uftād
dur qayamat rok de kar mujh ko barbaad
mere KHatir aae kyon duniya par uftad
ham ne kī hai gaa.e kī maz.hab se pahchān
lekin dekhā gaa.e ne sab ko ek samān
hum ne ki hai gae ki mazhab se pahchan
lekin dekha gae ne sab ko ek saman