aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Baharunnisa Bahar's Photo'

Baharunnisa Bahar

Multan, Pakistan

Baharunnisa Bahar

Sher-o-Shayari 7

ashk ke abr-e-ravāñ meñ DhūñDhtī huuñ maiñ tujhe

aas in titliyoñ ko bhī Thikānā chāhiye

ashk ke abr-e-rawan mein DhunDhti hun main tujhe

aas ki in titliyon ko bhi Thikana chahiye

  • Share this

munjamid ho zindagī meñ jab kabhī shahr-e-ḳhayāl

phir charāġh-e-dil se us ko jagmagānā chāhiye

munjamid ho zindagi mein jab kabhi shahr-e-KHayal

phir charagh-e-dil se us ko jagmagana chahiye

  • Share this

havā hai ret hai dasht-e-vafā hai

rutoñ ko aatā jaatā dekhtī huuñ

hawa hai ret hai dasht-e-wafa hai

ruton ko aata jata dekhti hun

  • Share this

vīrān zindagī ke ye lamhe ajiib haiñ

bazm-e-tarab meñ dhuum hai furqat dhamāl se

viran zindagi ke ye lamhe ajib hain

bazm-e-tarab mein dhum hai furqat dhamal se

  • Share this

ye zaḳhm-e-anā kaafī hai ai yūsuf-e-daurāñ

is chashm-e-zuleḳhā ko ġhamnāk na karnā

ye zaKHm-e-ana kafi hai ai yusuf-e-dauran

is chashm-e-zuleKHa ko tu ghamnak na karna

  • Share this

Ghazal 12

Nazm 9

BOOKS 1

 

More Poets From "Multan"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now