1955 | California, USA
apne dushman ko bhī mohabbat de
ishq ke dā.ere ko vus.at de
apne dushman ko bhi mohabbat de
ishq ke daere ko wusat de
aap siine meñ chhupāte haiñ mohabbat apnī
ham ko dīvār ke pīchhe bhī nazar aatā hai
aap sine mein chhupate hain mohabbat apni
hum ko diwar ke pichhe bhi nazar aata hai
ḳhvāb sachchā ho to mub.ham nahīñ rahtā 'ātir'
dil vo yūsuf hai ki tā'bīr batā detā hai
KHwab sachcha ho to mubham nahin rahta 'atir'
dil wo yusuf hai ki ta'bir bata deta hai
na jaane kaun sī ġhurbat hai merī āñkhoñ meñ
ki us badan meñ ḳhazāne talāsh kartā huuñ
na jaane kaun si ghurbat hai meri aankhon mein
ki us badan mein KHazane talash karta hun
tumheñ hamesha zarūrat pakaḌ ke laatī hai
kabhī to aao mire ghar mire havāle se
tumhein hamesha zarurat pakaD ke lati hai
kabhi to aao mere ghar mere hawale se
Doctor Yaseen Aatir Ki Shayari
Ishq Riyazat
2022
Ishq Waseela
Sign up and enjoy FREE unlimited access to a whole Universe of Urdu Poetry, Language Learning, Sufi Mysticism, Rare Texts
Jashn-e-Rekhta | 2-3-4 December 2022 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online