join rekhta family!
Ghazal 5
Sher 2
ab to maz.hab koī aisā bhī chalāyā jaa.e
jis meñ insān ko insān banāyā jaa.e
ab to mazhab koi aisa bhi chalaya jae
jis mein insan ko insan banaya jae
-
Share this
- See Ghazal
-
Tag : Unity
Hindi Ghazal 7
Geet 1
Image shayari 3
ab to maz.hab ko.ii aisaa bhii chalaayaa jaa.e jis me.n insaan ko insaan banaayaa jaa.e jis kii KHushbuu se mahak jaa.e pa.Dosii kaa bhii ghar phuul is qism kaa har samt khilaayaa jaa.e aag bahtii hai yahaa.n ga.ngaa me.n jhelam me.n bhii ko.ii batlaa.e kahaa.n jaa ke nahaayaa jaa.e pyaar kaa KHuun hu.aa kyuu.n ye samajhne ke liye har a.ndhere ko ujaale me.n bulaayaa jaa.e mere dukh-dard kaa tujh par ho asar kuchh aisaa mai.n rahuu.n bhuukaa to tujh se bhii na khaayaa jaa.e jism do ho ke bhii dil ek ho.n apne aise meraa aa.nsuu terii palko.n se uThaayaa jaa.e giit anman hai Gazal chup hai rubaa.ii hai dukhii aise maahaul me.n 'niiraj' ko bulaayaa jaa.e
ab ke saavan me.n sharaarat ye mire saath hu.ii meraa ghar chho.D ke kul shahr me.n barsaat hu.ii aap mat puuchhiye kyaa ham pe safar me.n guzrii thaa luTero.n kaa jahaa.n gaa.nv vahii.n raat hu.ii zindagii bhar to hu.ii guftuguu Gairo.n se magar aaj tak ham se hamaarii na mulaaqaat hu.ii har Galat mo.D pe Tokaa hai kisii ne mujh ko ek aavaaz tirii jab se mire saath hu.ii mai.n ne sochaa ki mire desh kii haalat kyaa hai ek qaatil se tabhii merii mulaaqaat hu.ii