aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1981 | Delhi, India
mujhe tum kyā batāoge hadoñ se paar kyā kyā hai
jahāñ tum jā rahe ho nā vahāñ se lauT aayā maiñ
mujhe tum kya bataoge hadon se par kya kya hai
jahan tum ja rahe ho na wahan se lauT aaya main
tire bīmār kā guldastoñ se chehra nahīñ khiltā
mujhe apnī koī hañstī huī tasvīr bhejā kar
tere bimar ka guldaston se chehra nahin khilta
mujhe apni koi hansti hui taswir bheja kar
jise bhī chāhiye bā-shauq rakh le
ye ik patthar jo mujh meñ dil-numā hai
jise bhi chahiye ba-shauq rakh le
ye ek patthar jo mujh mein dil-numa hai
maiñ apne aap se ik shart haarā huuñ batā.ūñ kyā
mujhe lagtā thā merā dil kabhī patthar nahīñ hogā
main apne aap se ek shart haara hun bataun kya
mujhe lagta tha mera dil kabhi patthar nahin hoga
ye dard jo tum ko hai diyā tum se milā thā
ham ne koī sāmān tumhārā nahīñ rakkhā
ye dard jo tum ko hai diya tum se mila tha
hum ne koi saman tumhaara nahin rakkha
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books