join rekhta family!
Ghazal 67
Nazm 18
Sher 81
irāde bāñdhtā huuñ sochtā huuñ toḌ detā huuñ
kahīñ aisā na ho jaa.e kahīñ aisā na ho jaa.e
irade bandhta hun sochta hun toD deta hun
kahin aisa na ho jae kahin aisa na ho jae
-
Share this
- See Ghazal
-
Tag: Kashmakash
dostoñ ko bhī mile dard kī daulat yā rab
merā apnā hī bhalā ho mujhe manzūr nahīñ
may my friends too receive this wealth of pain
I cannot envisage my solitary gain
doston ko bhi mile dard ki daulat ya rab
mera apna hi bhala ho mujhe manzur nahin
may my friends too receive this wealth of pain
I cannot envisage my solitary gain
-
Share this
- Translation
'hafīz' apnī bolī mohabbat kī bolī
na urdu na hindī na hindostānī
'hafiz' apni boli mohabbat ki boli
na urdu na hindi na hindostani
Qita 20
Latiife 3
Children's Story 2
E-BOOKS 60
IMAGE SHAYARI 7
dostii kaa chalan rahaa hii nahii.n ab zamaane kii vo havaa hii nahii.n sach to ye hai sanam-kade vaalo dil KHudaa ne tumhe.n diyaa hii nahii.n palaT aane se ho gayaa saabit naama-bar tuu vahaa.n gayaa hii nahii.n haal ye hai ki ham Gariibo.n kaa haal tum ne kabhii sunaa hii nahii.n kyaa chale zor dasht-e-vahshat kaa ham ne daaman kabhii siyaa hii nahii.n Gair bhii ek din mare.nge zaruur un ke hisse me.n kyaa qazaa hii nahii.n us kii suurat ko dekhtaa huu.n mai.n merii siirat vo dekhtaa hii nahii.n ishq meraa hai shahr me.n mash.huur aur tum ne abhii sunaa hii nahii.n qissa-e-qais sun ke farmaayaa jhuuT kii ko.ii intihaa hii nahii.n vaasta kis kaa de.n 'hafiiz' un ko un buto.n kaa ko.ii KHudaa hii nahii.n