Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Hasrat Mohani's Photo'

Hasrat Mohani

1878 - 1951 | Delhi, India

Freedom fighter, member of constituent assembly which drafted Indian Constitution. He gave the slogan "Inquilab Zindabad" during freedom movement. He was a devotee of Shri Krishna. He wrote the famous ghazal "chupke chupke raat din".

Freedom fighter, member of constituent assembly which drafted Indian Constitution. He gave the slogan "Inquilab Zindabad" during freedom movement. He was a devotee of Shri Krishna. He wrote the famous ghazal "chupke chupke raat din".

TOP 20 SHAYARI of Hasrat Mohani

nahīñ aatī to yaad un mahīnoñ tak nahīñ aatī

magar jab yaad aate haiñ to aksar yaad aate haiñ

nahin aati to yaad un ki mahinon tak nahin aati

magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain

terī mahfil se uThātā ġhair mujh ko kyā majāl

dekhtā thā maiñ ki ne bhī ishāra kar diyā

teri mahfil se uThata ghair mujh ko kya majal

dekhta tha main ki tu ne bhi ishaara kar diya

ā.īne meñ vo dekh rahe the bahār-e-husn

aayā mirā ḳhayāl to sharmā ke rah ga.e

aaine mein wo dekh rahe the bahaar-e-husn

aaya mera KHayal to sharma ke rah gae

kahne ko to maiñ bhuul gayā huuñ magar ai yaar

hai ḳhāna-e-dil meñ tirī tasvīr abhī tak

kahne ko to main bhul gaya hun magar ai yar

hai KHana-e-dil mein teri taswir abhi tak

dekhne aa.e the vo apnī mohabbat asar

kahne ko ye hai ki aa.e haiñ ayādat kar ke

dekhne aae the wo apni mohabbat ka asar

kahne ko ye hai ki aae hain ayaadat kar ke

aise bigḌe ki phir jafā bhī na

dushmanī bhī haq adā na huā

she was so annoyed she did not even torment me

in doing so denied what was due to enmity

aise bigDe ki phir jafa bhi na ki

dushmani ka bhi haq ada na hua

she was so annoyed she did not even torment me

in doing so denied what was due to enmity

aur to paas mire hijr meñ kyā rakkhā hai

ik tire dard ko pahlū meñ chhupā rakkhā hai

aur to pas mere hijr mein kya rakkha hai

ek tere dard ko pahlu mein chhupa rakkha hai

ġham-e-ārzū 'hasrat' sabab aur kyā batā.ūñ

mirī himmatoñ pastī mire shauq bulandī

gham-e-arzu ka 'hasrat' sabab aur kya bataun

meri himmaton ki pasti mere shauq ki bulandi

hai mashq-e-suḳhan jaarī chakkī mashaqqat bhī

ik turfa tamāshā hai 'hasrat' tabī.at bhī

hai mashq-e-suKHan jari chakki ki mashaqqat bhi

ek turfa tamasha hai 'hasrat' ki tabiat bhi

mirā ishq bhī ḳhud-ġharaz ho chalā hai

tire husn ko bevafā kahte kahte

mera ishq bhi KHud-gharaz ho chala hai

tere husn ko bewafa kahte kahte

allāh-rī jism-e-yār ḳhūbī ki ḳhud-ba-ḳhud

rañgīniyoñ meñ Duub gayā pairahan tamām

allah-ri jism-e-yar ki KHubi ki KHud-ba-KHud

ranginiyon mein Dub gaya pairahan tamam

mānūs ho chalā thā tasallī se hāl-e-dil

phir ne yaad aa ke ba-dastūr kar diyā

manus ho chala tha tasalli se haal-e-dil

phir tu ne yaad aa ke ba-dastur kar diya

mujh ko dekho mire marne tamannā dekho

phir bhī hai tum ko masīhā.ī da.avā dekho

mujh ko dekho mere marne ki tamanna dekho

phir bhi hai tum ko masihai ka dawa dekho

hai intihā-e-yās bhī ik ibtidā-e-shauq

phir aa ga.e vahīñ pe chale the jahāñ se ham

hai intiha-e-yas bhi ek ibtida-e-shauq

phir aa gae wahin pe chale the jahan se hum

ḳhirad naam junūñ paḌ gayā junūñ ḳhirad

jo chāhe aap husn-e-karishma-sāz kare

KHirad ka nam junun paD gaya junun ka KHirad

jo chahe aap ka husn-e-karishma-saz kare

ḳhū samajh meñ nahīñ aatī tire dīvānoñ

dāmanoñ na ḳhabar hai na girebānoñ

KHu samajh mein nahin aati tere diwanon ki

damanon ki na KHabar hai na girebanon ki

ḳhūb-rūyoñ se yāriyāñ na ga.iiñ

dil be-iḳhtiyāriyāñ na ga.iiñ

KHub-ruyon se yariyan na gain

dil ki be-iKHtiyariyan na gain

raah meñ miliye kabhī mujh se to az-rāh-e-sitam

hoñT apnā kaaT kar fauran judā ho jā.iye

rah mein miliye kabhi mujh se to az-rah-e-sitam

honT apna kaT kar fauran juda ho jaiye

husn-e-be-parvā ko ḳhud-bīn o ḳhud-ārā kar diyā

kyā kiyā maiñ ne ki iz.hār-e-tamannā kar diyā

husn-e-be-parwa ko KHud-bin o KHud-ara kar diya

kya kiya main ne ki izhaar-e-tamanna kar diya

un ko yaañ vaade pe aa lene de ai abr-e-bahār

jis qadar chāhnā phir baad meñ barsā karnā

un ko yan wade pe aa lene de ai abr-e-bahaar

jis qadar chahna phir baad mein barsa karna

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now