Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jamal Abbas Fahmi's Photo'

Jamal Abbas Fahmi

1962 | Amroha, India

Jamal Abbas Fahmi

Ghazal 1

 

Sher-o-Shayari 11

koī to aisā ho jis se maiñ dil baat karūñ

so apne aap se baat kartā rahtā huuñ

koi to aisa ho jis se main dil ki baat karun

so apne aap se hi baat karta rahta hun

  • Share this

nahīñ ye mehñdī nahīñ hai tumhāre hāthoñ par

kisī ḳhūn-e-tamannā lagā.e baiThe ho

nahin ye mehndi nahin hai tumhaare hathon par

kisi ka KHun-e-tamanna lagae baiThe ho

  • Share this

Thukrā ke chale aa.e ḳhud.dār tabī.at hai

ham un ināyat ko ḳhairāt samajhte haiñ

Thukra ke chale aae KHuddar tabiat hai

hum un ki inayat ko KHairaat samajhte hain

  • Share this

tujh se milne bahāna to koī chāhiye thā

ham ne vo ek bahāna kabhī DhūñDā nahīñ

tujh se milne ka bahana to koi chahiye tha

hum ne wo ek bahana kabhi DhunDa hi nahin

  • Share this

tum apnā dariyā yahāñ se sameT lo varna

hamārī pyaas garmī use jalā degī

tum apna dariya yahan se sameT lo warna

hamari pyas ki garmi use jala degi

  • Share this

Qita 2

 

More Poets From "Amroha"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now