Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Latif Shah Shahid's Photo'

Latif Shah Shahid

1968 | Nowshera, Pakistan

Latif Shah Shahid

Ghazal 4

 

Sher-o-Shayari 22

gardish-e-ayyām se chaltī hai nabz-e-kā.enāt

vaqt pahiya rukā to zindagī ruk jā.egī

gardish-e-ayyam se chalti hai nabz-e-kaenat

waqt ka pahiya ruka to zindagi ruk jaegi

  • Share this

ḳhud apne aap se rahtā hai aadmī nārāz

udāsiyoñ ke bhī apne mizāj hote haiñ

KHud apne aap se rahta hai aadmi naraaz

udasiyon ke bhi apne mizaj hote hain

  • Share this

taaza havā ḳharīdne aate haiñ gaañv meñ

'shāhid' shahar ke log bhī kaise ajiib haiñ

taza hawa KHaridne aate hain ganw mein

'shahid' shahar ke log bhi kaise ajib hain

  • Share this

mujh se to koī tāj-mahal bhī na ban sakā

be-nām dil qabr meñ dafnā diyā tujhe

mujh se to koi taj-mahal bhi na ban saka

be-nam dil ki qabr mein dafna diya tujhe

  • Share this

ye aur baat ki do qadam pe bhuul gayā

hameñ to hashr talak terā intizār rahā

ye aur baat ki tu do qadam pe bhul gaya

hamein to hashr talak tera intizar raha

  • Share this

More Poets From "Nowshera"

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now