join rekhta family!
Ghazal 12
Sher 12
falak par uḌte jaate bādaloñ ko dekhtā huuñ maiñ
havā kahtī hai mujh se ye tamāshā kaisā lagtā hai
falak par uDte jate baadalon ko dekhta hun main
hawa kahti hai mujh se ye tamasha kaisa lagta hai
-
Share this
- See Ghazal
din guzarte haiñ guzarte hī chale jaate haiñ
ek lamha jo kisī tarah guzartā hī nahīñ
din guzarte hain guzarte hi chale jate hain
ek lamha jo kisi tarah guzarta hi nahin
-
Share this
- See Ghazal
lauT ga.e sab soch ke ghar meñ koī nahīñ hai
aur ye ham ki añdherā kar ke baiTh ga.e haiñ
lauT gae sab soch ke ghar mein koi nahin hai
aur ye hum ki andhera kar ke baiTh gae hain
-
Share this
- See Ghazal