Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mehar Ali's Photo'

Mehar Ali

2004 | Sahiwal, Pakistan

Mehar Ali

Ghazal 6

Nazm 7

Sher-o-Shayari 11

anginat naqsh banā leñge ye naqqāsh magar

husn mahtāb mahtāb meñ rah jā.egā

anginat naqsh bana lenge ye naqqash magar

husn mahtab ka mahtab mein rah jaega

  • Share this

apne andar jo bharī jast to hairānī huī

is kueñ meñ sabhī kuchh mere 'alāva niklā

apne andar jo bhari jast to hairani hui

is kuen mein sabhi kuchh mere 'alawa nikla

  • Share this

mujh meñ ab merī jagah baaqī nahīñ

maiñ tirī maujūdgī se bhar gayā

mujh mein ab meri jagah baqi nahin

main teri maujudgi se bhar gaya

  • Share this

talāsh kartā hai har gaam kārvāñ ham ko

havā-e-dasht bulā le ga.ī kahāñ ham ko

talash karta hai har gam karwan hum ko

hawa-e-dasht bula le gai kahan hum ko

  • Share this

ye soch kar vujūd farāmosh kar diyā

ḳhud se milā to terī tamanna karūñgā maiñ

ye soch kar wujud faramosh kar diya

KHud se mila to teri tamanna karunga main

  • Share this

More Poets From "Sahiwal"

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now