Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mirza Raza Barq's Photo'

Mirza Raza Barq

1790 - 1857 | Lucknow, India

Prominent classical poet of Lucknow School/ Wajid Ali Shah, the last Nawab of Awadh was his disciple

Prominent classical poet of Lucknow School/ Wajid Ali Shah, the last Nawab of Awadh was his disciple

Sher of Mirza Raza Barq

5.8K
Favorite

SORT BY

ai sanam vasl tadbīroñ se kyā hotā hai

vahī hotā hai jo manzūr-e-ḳhudā hotā hai

ai sanam wasl ki tadbiron se kya hota hai

wahi hota hai jo manzur-e-KHuda hota hai

hamāre aib ne be-aib kar diyā ham ko

yahī hunar hai ki koī hunar nahīñ aatā

hamare aib ne be-aib kar diya hum ko

yahi hunar hai ki koi hunar nahin aata

itnā to jazb-e-ishq ne baare asar kiyā

us ko bhī ab malāl hai mere malāl

itna to jazb-e-ishq ne bare asar kiya

us ko bhi ab malal hai mere malal ka

daulat nahīñ kaam aatī jo taqdīr burī ho

qārūn ko bhī apnā ḳhazānā nahīñ miltā

daulat nahin kaam aati jo taqdir buri ho

qarun ko bhi apna KHazana nahin milta

kis tarah mileñ koī bahānā nahīñ miltā

ham nahīñ sakte unheñ aanā nahīñ miltā

kis tarah milen koi bahana nahin milta

hum ja nahin sakte unhen aana nahin milta

pūchhā agar kisī ne mirā aa ke hāl-e-dil

be-iḳhtiyār aah laboñ se nikal ga.ī

puchha agar kisi ne mera aa ke haal-e-dil

be-iKHtiyar aah labon se nikal gai

ham to apnoñ se bhī begāna hue ulfat meñ

tum jo ġhairoñ se mile tum ko na ġhairat aa.ī

hum to apnon se bhi begana hue ulfat mein

tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai

be-bulā.e hue jaanā mujhe manzūr nahīñ

un vo taur nahīñ merā ye dastūr nahīñ

be-bulae hue jaana mujhe manzur nahin

un ka wo taur nahin mera ye dastur nahin

agar hayāt hai dekheñge ek din dīdār

ki māh-e-eid bhī āḳhir hai in mahīnoñ meñ

agar hayat hai dekhenge ek din didar

ki mah-e-eid bhi aaKHir hai in mahinon mein

na sikandar hai na daarā hai na qaisar hai na jam

be-mahal ḳhaak meñ haiñ qasr banāne vaale

na sikandar hai na dara hai na qaisar hai na jam

be-mahal KHak mein hain qasr banane wale

bād-e-fanā bhī hai maraz-e-ishq asar

dekho ki rañg zard hai mere ġhubār

baad-e-fana bhi hai maraz-e-ishq ka asar

dekho ki rang zard hai mere ghubar ka

añgḌā.ī donoñ haath uThā kar jo us ne

par lag ga.e paroñ ne parī ko uḌā diyā

angDai donon hath uTha kar jo us ne li

par lag gae paron ne pari ko uDa diya

asar zulf barmalā ho gayā

balāoñ se mil kar balā ho gayā

asar zulf ka barmala ho gaya

balaon se mil kar bala ho gaya

dekh kar tūl-e-shab-e-hijr duā kartā huuñ

vasl ke roz se bhī umr mirī kam ho jaa.e

dekh kar tul-e-shab-e-hijr dua karta hun

wasl ke roz se bhi umr meri kam ho jae

nahīñ butoñ ke tasavvur se koī dil ḳhālī

ḳhudā ne un ko diye haiñ makān sīnoñ meñ

nahin buton ke tasawwur se koi dil KHali

KHuda ne un ko diye hain makan sinon mein

uryāñ harārat-e-tap-e-furqat se maiñ rahā

har baar mere jism poshāk jal ga.ī

uryan hararat-e-tap-e-furqat se main raha

har bar mere jism ki poshak jal gai

ḳhud-faroshī ko jo nikle ba-shakl-e-yūsuf

ai sanam terī ḳharīdār ḳhudā.ī ho jaa.e

KHud-faroshi ko jo tu nikle ba-shakl-e-yusuf

ai sanam teri KHaridar KHudai ho jae

gayā shabāb na paiġhām-e-vasl-e-yār aayā

jalā do kaaT ke is naḳhl meñ na baar aayā

gaya shabab na paigham-e-wasl-e-yar aaya

jala do kaT ke is naKHl mein na bar aaya

chhup sakā dam bhar na rāz-e-dil firāq-e-yār meñ

vo nihāñ jis dam huā sab āshkārā ho gayā

chhup saka dam bhar na raaz-e-dil firaq-e-yar mein

wo nihan jis dam hua sab aashkara ho gaya

josh-e-vahshat yahī kahtā hai nihāyat kam hai

do jahāñ se bhī agar vus.at-e-sahrā baḌh jaa.e

josh-e-wahshat yahi kahta hai nihayat kam hai

do jahan se bhi agar wusat-e-sahra baDh jae

'barq' uftāda vo huuñ saltanat-e-ālam meñ

tāj-e-sar ijz se naqsh-e-kaf-e-pā hotā hai

'barq' uftada wo hun saltanat-e-alam mein

taj-e-sar ijz se naqsh-e-kaf-e-pa hota hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now