Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Munawar Khan Ghafil

Rampur, India

Prominent classical poet from Lucknow, known for his ghazal 'aake sajjada-nashin qais hua mere baad…'

Prominent classical poet from Lucknow, known for his ghazal 'aake sajjada-nashin qais hua mere baad…'

Sher of Munawar Khan Ghafil

800
Favorite

SORT BY

ba.ad marne ke mirī qabr pe aayā 'ġhāfil'

yaad aa.ī mire iisā ko davā mere ba.ad

baad marne ke meri qabr pe aaya 'ghafil'

yaad aai mere isa ko dawa mere baad

lailatul-qadr hai har shab use har roz hai iid

jis ne mai-ḳhāne meñ māh-e-ramazāñ dekhā hai

lailatul-qadr hai har shab use har roz hai id

jis ne mai-KHane mein mah-e-ramazan dekha hai

satānā qatl karnā phir jalānā

vo be-ta.alīm kyā kyā jānte haiñ

satana qatl karna phir jalana

wo be-talim kya kya jaante hain

jīte-jī qadr bashar nahīñ hotī sāhab

yaad aa.egī tumheñ merī vafā mere ba.ad

jite-ji qadr bashar ki nahin hoti sahab

yaad aaegi tumhein meri wafa mere baad

haqq-e-mehnat un ġharīboñ samajhte gar amiir

apne rahne makāñ de Dālte mazdūr ko

haqq-e-mehnat un gharibon ka samajhte gar amir

apne rahne ka makan de Dalte mazdur ko

vo sub.h ko is Dar se nahīñ baam par aatā

naama na koī bāñdh de sūraj kiran meñ

wo subh ko is Dar se nahin baam par aata

nama na koi bandh de suraj ki kiran mein

tark-e-sharāb bhī jo karūñgā to mohtasib

toḌūñgā tere sar se piyāla sharāb

tark-e-sharab bhi jo karunga to mohtasib

toDunga tere sar se piyala sharab ka

dushman ke kaam karne lagā ab to dost bhī

ai raqīb darpai-e-āzār hai abas

dushman ke kaam karne laga ab to dost bhi

tu ai raqib darpai-e-azar hai abas

aa ke sajjāda-nashīñ qais huā mere ba.ad

na rahī dasht meñ ḳhālī mirī mere ba.ad

aa ke sajjada-nashin qais hua mere baad

na rahi dasht mein KHali meri ja mere baad

sitāre gum hue ḳhurshīd niklā

araq jab yaar ne poñchhā jabīñ se

sitare gum hue KHurshid nikla

araq jab yar ne ponchha jabin se

āshiq ko na le jaa.e ḳhudā aisī galī meñ

jhāñke na jahāñ rauzan-e-dīvār se koī

aashiq ko na le jae KHuda aisi gali mein

jhanke na jahan rauzan-e-diwar se koi

parvāne ke huzūr jalāyā na sham.a ko

bulbul ke aage phuul na toḌā gulāb

parwane ke huzur jalaya na shama ko

bulbul ke aage phul na toDa gulab ka

meñ aatā hai mai-kashī kiije

taak kar koī sāya-dār daraḳht

ji mein aata hai mai-kashi kije

tak kar koi saya-dar daraKHt

gil hai aariz to qadd-e-yār daraḳht

kab ho aisā bahār-dār daraḳht

gil hai aariz to qadd-e-yar daraKHt

kab ho aisa bahaar-dar daraKHt

gulshan-e-ishq tamāshā dekh

sar-e-mansūr phal hai daar daraḳht

gulshan-e-ishq ka tamasha dekh

sar-e-mansur phal hai dar daraKHt

islām subūt hai ai shaiḳh kufr se

tasbīh TuuT jaa.e jo zunnār TuuT jaa.e

islam ka subut hai ai shaiKH kufr se

tasbih TuT jae jo zunnar TuT jae

kyā ḳhabar hai ham se mahjūroñ un ko roz-e-īd

jo gale mil kar baham sarf-e-mubārakbād haiñ

kya KHabar hai hum se mahjuron ki un ko roz-e-id

jo gale mil kar baham sarf-e-mubarakbaad hain

apne majnūñ zarā dekh to be-parvā.ī

pairahan chaak hai aur fikr silāne nahīñ

apne majnun ki zara dekh to be-parwai

pairahan chaak hai aur fikr silane ki nahin

vo havā-ḳhvāh-e-chaman huuñ ki chaman meñ har sub.h

pahle maiñ aatā huuñ aur bād-e-sabā mere ba.ad

wo hawa-KHwah-e-chaman hun ki chaman mein har subh

pahle main aata hun aur baad-e-saba mere baad

lutf tab amard-parastī hai bāġh-e-ḳhuld meñ

paas baiThe jabki ġhilmāñ aur khaḌī ho huur duur

lutf tab amard-parasti ka hai bagh-e-KHuld mein

pas baiThe jabki ghilman aur khaDi ho hur dur

agar uryānī-e-majnūñ pe aatā rahm lailā ko

banā detī qabā vo chaak kar ke parda mahmil

agar uryani-e-majnun pe aata rahm laila ko

bana deti qaba wo chaak kar ke parda mahmil ka

martaba ma.ashūq āshiq se bālā-dast hai

ḳhaar zer-e-pā gul makāñ dastār par

martaba mashuq ka aashiq se baala-dast hai

KHar ki ja zer-e-pa gul ka makan dastar par

barsoñ ḳhayāl-e-yār rahā kuchh khichā khichā

ik dam mirā jo aur taraf dhyān baT gayā

barson KHayal-e-yar raha kuchh khicha khicha

ek dam mera jo aur taraf dhyan baT gaya

kaun dariyā-e-mohabbat se utar saktā hai paar

kashtī-e-farhād āḳhir koh se Takrā ga.ī

kaun dariya-e-mohabbat se utar sakta hai par

kashti-e-farhad aaKHir koh se Takra gai

vo ā.ina-tan ā.īna phir kis liye dekhe

jo dekh le muñh apnā har ik uzv-e-badan meñ

wo aaina-tan aaina phir kis liye dekhe

jo dekh le munh apna har ek uzw-e-badan mein

fariyād aatī hai sadā siine se har dam

merā dil-e-nālāñ hai ki añgrezī ghaḌī hai

fariyaad ki aati hai sada sine se har dam

mera dil-e-nalan hai ki angrezi ghaDi hai

ḳhat-navesī ye hai to mushtāqo

haath ik din qalam tumhāre haiñ

KHat-nawesi ye hai to mushtaqo

hath ek din qalam tumhaare hain

vasl meñ bhī nahīñ majāl-e-suḳhan

is rasā.ī pe nā-rasā haiñ ham

wasl mein bhi nahin majal-e-suKHan

is rasai pe na-rasa hain hum

aa.e kabhī to dasht se vo shahar taraf

majnūñ ke paañv meñ jo na zanjīr-e-jāda ho

aae kabhi to dasht se wo shahar ki taraf

majnun ke panw mein jo na zanjir-e-jada ho

niklā na dāġh-e-dil se hamārā to koī kaam

na vo charāġh-e-dair na sham-e-haram huā

nikla na dagh-e-dil se hamara to koi kaam

na wo charagh-e-dair na sham-e-haram hua

kūcha-e-jānāñ meñ yaaro kaun suntā hai mirī

mujh se vaañ phirte haiñ lākhoñ daad aur be-dād meñ

kucha-e-jaanan mein yaro kaun sunta hai meri

mujh se wan phirte hain lakhon dad aur be-dad mein

zulf-e-pur-pech ke saude meñ ajab kyā imkāñ

gar ulajh jaa.e ḳharīdār ḳharīdār ke saath

zulf-e-pur-pech ke saude mein ajab kya imkan

gar ulajh jae KHaridar KHaridar ke sath

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now