Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Saleem Ansari's Photo'

Saleem Ansari

1962 | Jalandhar, India

Saleem Ansari

Ghazal 16

Nazm 12

Doha 11

jurm-e-mohabbat milī ham ko ye pādāsh

apne kāñdhe par chale le kar apnī laash

jurm-e-mohabbat ki mili hum ko ye padash

apne kandhe par chale le kar apni lash

  • Share this

āñgan ke ik peḌ ThanDī mīThī chhāñv

shahr meñ jaise aa gayā chal kar merā gaañv

aangan ke ek peD ki ThanDi miThi chhanw

shahr mein jaise aa gaya chal kar mera ganw

  • Share this

mere chāroñ or the tarah tarah ke log

phir bhī mujh ko lag gayā tanhā.ī rog

mere chaaron or the tarah tarah ke log

phir bhi mujh ko lag gaya tanhai ka rog

  • Share this

rāteñ jañgal tarah aur din registān

merī jīvan yātrā kaise ho āsān

raaten jangal ki tarah aur din registan

meri jiwan yatra kaise ho aasan

  • Share this

is se baḌh kar aur kyā rishtoñ par dushnām

bhaa.ī aayā pūchhne mujh se merā naam

is se baDh kar aur kya rishton par dushnam

bhai aaya puchhne mujh se mera nam

  • Share this

BOOKS 4

 

More Poets From "Jalandhar"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now