aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "tag"
bikegii us kii hii dastaar tai haiki jis kii qiimat-e-kirdaar tai hai
chand sikke hai.n logo.n kii qiimatshukr hai ki bikaa nahii.n huu.n mai.n
ab apnaa bhii begaana nazar aataa hai 'vasfii'begaana to begaana hai begaana lage hai
dil nazr me.n de aa.e ham ik shoKH ko 'beKHud'baazaar me.n jab daam na is jaam ke uTThe
ye bhii samajhne se huu.n mai.n qaasir ki aadmii kyo.n hu.aa hai bartarko.ii bataa.e ki aadmii se yahaa.n har ik shai hai qiimtii kyo.n
man.a karte ho abas yaaro aajus ke ghar jaa.e.nge par jaa.e.nge ham
lag ga.ii bhii.D ye diivaana jidhar se guzraaek aalam ko hai saudaa tire saudaa.ii kaa
munaasib daam lag jaa.e.n to KHuubaan-e-parii-chehrabadan ke loch aur zulfo.n ke KHam tak bech dete hai.n
hai ik bikaa.uu jins-e-siyaasat me.n ab zamiirtum bhii lagaa.o daam KHariidaar mai.n bhii huu.n
kab se rakkhaa huu.n mai.n dukaa.n pe teriiko.ii qiimat mirii lagii ki nahii.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books