SEARCH RESULTS
Showing search results for "makhfii"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "makhfii"
Ghazal
ham se maKHfii nahii.n kuchh rahguzar-e-shauq kaa haal
ham ne ik umr guzaarii hai havaa khaane me.n
Ahmad Mushtaq
Sher
is zindagii ne saath kisii kaa nahii.n diyaa
kis bevafaa se tujh ko tamannaa vafaa kii hai
Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni
DICTIONARY MATCHES
MORE MATCHES FOR "makhfii"
Sher
kahte ho tum na ghar mire aayaa kare ko.ii
par dil na rah sake to bhalaa kyaa kare ko.ii
Zebun-nisa Begum Makhfi
Ghazal
u.ngliyo.n me.n utar aa.e hai.n basaarat ke rumuuz
tiirgii me.n rahe maKHfii ye hunar kis kaa hai
Aabid Jafri
Ghazal
is me.n taskiin kaa pahluu na kahii.n maKHfii ho
ab tabii.at na.e andaaz se ghabraa.ii hai
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Ghazal
sab ek duusre kii har baat jaante hai.n
maKHfii nahii.n kisii kaa achchhaa buraa kisii se
Anwar Shuoor
Sher
judaa ho mujh se miraa yaar ye KHudaa na kare
KHudaa kisii ke ta.ii.n dost se judaa na kare
Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni
Sher
aa kar hamaarii laash pe kyaa yaar kar chale
KHvaab-e-adam se fitne ko bedaar kar chale
Zebun-nisa Begum Makhfi
Ghazal
qaabil-e-diid hai us ghar kaa bhii viiraa.n honaa
jis ke har gosha me.n maKHfii thaa bayaabaa.n honaa




