SEARCH RESULTS
Showing search results for "بارور"
Ghazal MATCHES FOR "بارور"
Ghazal
mirii zamiin miraa aaKHirii havaala hai
so mai.n rahuu.n na rahuu.n is ko baarvar kar de
Iftikhar Arif
Ghazal
hai sar shahiid-e-ishq kaa zeb-e-sinaan-e-yaar
sad shukr baare naKHl-e-vafaa baarvar to hai
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
Mohammad Khalid
Ghazal
hone do aaj shaaKH-e-tamannaa ko baarvar
mumkin hai kal nafas kaa yahaa.n se guzar na ho
Irfan Sattar
Ghazal
naala miraa gar ko.ii shajar hai
ik roz ye baarvar bhii hogaa
Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz
Ghazal
gavaah hai.n mire misro.n ke bast-o-dar 'kaashif'
chunaa jo harf use kar ke baarvar rakkhaa
Syed Kashif Raza
Ghazal
naKHl-e-muraad-e-yaar hu.aa aaj baarvar
sad shukr kaT ke sar miraa pahu.nchaa sinaa.n talak
Goya Faqir Mohammad
Ghazal
ho chalaa baarvar ab naKHl-e-javaanii un kaa
chashm-e-bad duur hai aaGaaz-e-bahaar-e-aariz
Shah Akbar Danapuri
Ghazal
har shajar ai diida-e-tar baarvar hotaa nahii.n
har sadaf kii god me.n jaise guhar hotaa nahii.n
Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri
Ghazal
phalegaa aur abhii naa-rasaa.ii kaa gulshan
fuGaa.n kii Tahniyaa.n kuchh aur baarvar ho.ngii
Shahid Makuli
Ghazal
baarvar hogii du.aa jab use manzuur hu.aa
vaqt se pahle yahaa.n phuul nahii.n khil sakte
Syed Jawed
Ghazal
niyaaz-o-naaz kaa paikar na arsh par Thahraa
zamii.n kii god me.n utraa to baarvar Thahraa
Hameed Kausar
Ghazal
kyaa kyaa bahaare.n aa.ii.n kyaa kyaa daraKHt phuule
naKHl-e-du.aa ko lekin mai.n baarvar na dekhaa