SEARCH RESULTS
Showing search results for "تعطیل"
Ghazal MATCHES FOR "تعطیل"
Ghazal
raat lambii thii sitaara miraa taajiil me.n thaa
jis ko jalnaa nahii.n aayaa vahii qindiil me.n thaa
Nomaan Shauque
Ghazal
is dil kii zamii.n sair-gah-e-'ishq hai aisii
taa'tiil yahaa.n us ne ka.ii baar guzaarii
Jamal Ehsani
Ghazal
Farhat Ehsas
Ghazal
hamaare rog me.n hai band kaarobaar-e-jahaa.n
hamaare shahr me.n ta.atiil naa-mukammal hai
Sabir Raza
Ghazal
mai.n jo lag jaa.uu.n sunaane tujhe pardes ke dukh
saal do saal kii taa'tiil bhii kam pa.D jaa.e
Imran Nazeer Maani
Ghazal
husn-e-navaa-e-shauq kii taa’miil kar chale
sar ko uThaa.e 'ahd kii takmiil kar chale
Hasrat Khan Khatak
Ghazal
ahkaam tire haq hai.n magar apne mufassir
taaviil se qur.aa.n ko banaa sakte hai.n paazand
Allama Iqbal
Ghazal
ham mulaazim hai.n magar tho.Dii anaa rakhte hai.n
ham se har hukm kii ta.amiil nahii.n ho paatii
Shakeel Azmi
Ghazal
ham razaa-sheva hai.n taaviil-e-sitam KHud kar le.n
kyaa hu.aa un se agar baat banaa.ii na ga.ii
Hasrat Mohani
Ghazal
vus.at-e-zaKHm kaa tujh ko bhii nahii.n andaaza
ai mire zaKHm kii taaviil me.n rahne vaale
Shahid Kamal
Ghazal
kotaahiyo.n kii apnii mai.n taaviil kyaa karuu.n
meraa har ek khel mujhii se biga.D gayaa
Khalilur Rahman Azmi
Ghazal
us sitamgar ko sitamgar nahii.n kahte bantaa
sa.i-e-taaviil-e-KHayaalaat chalii jaatii hai
Hasrat Mohani
Ghazal
balaa kaa qaht hai sailaab hai ta.attul hai
ko.ii vatan hai manaazir Gadar ke dekhte hai.n
Aamir Suhail
Ghazal
ko.ii mauqa zindagii kaa aaKHirii mauqa nahii.n
is qadar taajiil kyo.n raf-e-kuduurat ke liye
Hafeez Hoshiarpuri
Ghazal
Alam Khursheed
Ghazal
ik dhund me.n gum hotii hu.ii saarii kahaanii
ik lafz ke baatin se ulajhtii hu.ii taaviil