SEARCH RESULTS
Showing search results for "تقابل"
Ghazal MATCHES FOR "تقابل"
Ghazal
suuraj ne apnii shakl bhii dekhii thii pahlii baar
aa.iine ko maze bhii taqaabul ke aa ga.e
Rahat Indori
Ghazal
mire gunaah bahut hai.n magar taqaabul me.n
usii kaa lutf-o-karam be-hisaab niklegaa
Ehsan Danish
Ghazal
us mohabbat ke payambar se taqaabul kaisaa
dasht sau baar jise kahtaa rahaa zindabaad
Kazim Husain Kazim
Ghazal
us kaa ham ishq-parasto.n se taqaabul kaisaa
shaiKH to apnii ibaadat kaa sila maa.ngtaa hai
Shahzad Nayyar
Ghazal
aa tujh ko taqaabul me.n ulajhne se bachaa luu.n
sab kuchh hai tirii zaat me.n baaqii jo bachaa mai.n
Irfan Sattar
Ghazal
ye hii alfaaz mirii shaan hai.n sarmaaya hai.n
kuchh taqaabul nahii.n in kaa kisii jaagiir ke saath
Jahan Ara Tabassum
Ghazal
Aslam Ansari
Ghazal
Kaukab Zaki
Ghazal
ham ahl-e-azaa ahl-e-bukaa ahl-e-fuGaa.n hai.n
kyaa KHaak taqaabul ho zamaane tiraa ham se
Mahwar Sirsivi
Ghazal
Siddiq Shahid
Ghazal
hamaare sher kaa aavurd se taqaabul chho.D
hamaare sher kaa ilhaam se muqaabla hai
Iftikhar Haidar
Ghazal
bas ek sajda-e-taaziim ke taqaabul me.n
kahaa.n kahaa.n vo jabiin-e-talab jhukaa.e.nge
Ghufran Amjad
Ghazal
ek din KHud se taqaabul kiyaa mai.n ne apnaa
mere andar kaa jo insaan thaa behtar niklaa