SEARCH RESULTS
Showing search results for "تلون"
Ghazal MATCHES FOR "تلون"
Ghazal
kyaa kahiye is tarah ke talavvun-mizaaj ko
vaade kaa hai ye haal idhar haa.n udhar nahii.n
Hairat Allahabadi
Ghazal
ashko.n se kahii.n miTtaa hai ehsaas-e-talavvun
paanii me.n jo ghul jaa.e vo paaraa nahii.n hotaa
Muzaffar Warsi
Ghazal
vaq.at-e-ishq kahaa.n jab ye talavvun ho vahaa.n
kabhii raazii kabhii aashiq se KHafaa ho jaanaa
Ahsan Marahravi
Ghazal
Gazab thaa un kaa talavvun ki chaar hii din me.n
nigaah-e-lutf nigaah-e-itaab ho ke rahii
Jaleel Manikpuri
Ghazal
lutf-e-bedaad hayaa Gussa taGaaful shoKHii
ra.ng kyaa kyaa na talavvun ne adaa ke badle
Fani Badayuni
Ghazal
husn kii shaah talavvun udhar ik aafat-e-jaan
vaahime dil ke udhar tafarqe parvaaz judaa
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
Imdad Imam Asar
Ghazal
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
ajiib hotaa hai ehsaas kaa talavvun bhii
abhii KHushii kii KHushii thii, abhii malaal kii hai
Irfan Sattar
Ghazal
ruunumaa lekin muqaddar se hu.aa vo ishq ke
jo talavvun husn kii fitrat me.n mahbuubaana thaa
Bismil Saeedi
Ghazal
ho paayaa tire husn-e-talavvun ke karam se
iqraar registered na inkaar registered
Shauq Bahraichi
Ghazal
ra.ng un ke talavvun kaa chhaayaa rahaa mahfil par
kuchh siina-figaar uTThe kuchh siina-figaar aa.e
Iram Lakhnavi
Ghazal
maalik hii ke suKHan me.n talavvun jo paa.iye
kahiye yaqiin laa.iye phir kis kii baat kaa
Agha Hajju Sharaf
Ghazal
Shauq Bahraichi
Ghazal
ye kyaa tirii nisbat se har shai me.n talavvun hai
har lamha tire Gam kii tasviir badaltii hai
Shamsii Meenai
Ghazal
husn-e-dilkash ke talavvun pe nazar jab pahu.nchii
na rahaa phir gila-e-gardish-e-taqdiir mujhe