SEARCH RESULTS
Showing search results for "لکنت"
Ghazal MATCHES FOR "لکنت"
Ghazal
mu.nh me.n jab baat rukii chuum liyaa pyaar se mu.nh
dam-e-taqriir kisii shoKH kii luknat achchhii
Riyaz Khairabadi
Ghazal
zaraa sii Gaib kii luknat zabaan me.n laa.o
baGair is ke suKHan me.n asar nahii.n aanaa
Aftab Iqbal Shamim
Ghazal
jo tere dil me.n hai vo baat mere dhyaan me.n hai
tirii shikast tirii luknat-e-zabaan me.n hai
Saqi Faruqi
Ghazal
ulajh rahii thii musalsal savaal kii luknat
mukaalima na ko.ii ho sakaa javaab ke saath
Aziz Nabeel
Ghazal
jhuuT bhii sach kii tarah bolnaa aataa hai use
ko.ii luknat bhii kahii.n par nahii.n aane detaa
Zafar Sahbai
Ghazal
luknat tirii zabaan kii hai sahar jis se shoKH
yak harf-e-niim-gufta ne dil par asar kiyaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
nazar bhii haal mire dil kaa kah nahii.n paatii
zabaa.n kii tarah mirii aa.nkh me.n bhii luknat hai
Ghazanfar
Ghazal
tumhaare lahje kii luknat bataa rahii hai mujhe
ki tum ne KHud se hii ye daastaa.n ga.Dhii hu.ii hai
Faraz Mahmood Fariz
Ghazal
kis safaa.ii se kiyaa vasl kaa tuu ne inkaar
is mahal par to zabaa.n me.n tirii luknat achchhii
Dagh Dehlvi
Ghazal
tumhaare saamne aa kar ye luknat sii jo pa.Dtii hai
adhuure be-zabaa.n ho ke ye jumle maar dete hai.n
Sameena Gul
Ghazal
na-jaane kaun muKHaatib hai in dino.n mujh se
ko.ii bhii ho mirii luknat durust ho ga.ii hai
Jawad Sheikh
Ghazal
Raza Azimabadi
Ghazal
dil ne abhii bichaa.ii hai jaa-e-namaaz-e-ishq
luknat-zada zabaa.n kii iqaamat qubuul kar
Ammar Yasir Migsi
Ghazal
Danish Aziz
Ghazal
zabaa.n me.n thii abhii luknat ki harf-e-ishq kahaa
la.Dakpanaa thaa ki zanjiir-e-KHadd-o-KHaal hu.e
Tahseen Firaqi
Ghazal
KHudaa kaa shukr-e-suKHan mujh pe mehrbaan hu.aa
bahut dino.n se thii luknat zabaa.n me.n aa.ii hu.ii
Rafi Raza
Ghazal
na ko.ii ranj un aa.nkho.n me.n thaa dam-e-ruKHsat
na thii zabaan me.n luknat savaal karte hu.e