SEARCH RESULTS
Showing search results for "अबदी"
Ghazal MATCHES FOR "अबदी"
Ghazal
kis tarah maut ko samjhuu.n na hayaat-e-abadii
aap aa.e ki ko.ii saahib-e-ejaaz aayaa
Shad Azimabadi
Ghazal
haqiiqat-e-abadii hai maqaam-e-shabbiirii
badalte rahte hai.n andaaz-e-kuufii o shaamii
Allama Iqbal
Ghazal
ai sail-e-ravaan-e-abadii zindagii naamii
mai.n kaun saa paaband huu.n harjaa.ii idhar aa
Muzaffar Hanfi
Ghazal
ham ne paayaa hai mohabbat kaa KHumaar-e-abadii
kaise hote hai.n vo nashshe ki utar jaate hai.n
Shakeel Badayuni
Ghazal
dekhiye sub.h-e-junuu.n zehn me.n kab taal.e ho
aql suntaa huu.n ki hai ik abadii raat ai 'josh'
Josh Malihabadi
Ghazal
daa.im, abadii, vaqt guzarne vaalaa tuu
manzar, saaya, dekh Thaharne vaalaa mai.n
Rajinder Manchanda Bani
Ghazal
vo masarrat jise kahte hai.n nashaat-e-abadii
us masarrat kaa KHazaana bhii tire dam se milaa
Ravish Siddiqi
Ghazal
ruuh-e-shaa.ir se ubhartaa hai suruud-e-abadii
ain us vaqt ki dil Duub rahaa hotaa hai
Rais Amrohvi
Ghazal
saaz-e-hastii me.n vo soz-e-abadii paidaa kar
dil ke TuuTe hu.e taaro.n se bhii jhankaar aa.e
Qamar Moradabadi
Ghazal
qasam hai vaada-e-sabr-aazmaa-e-jaanaa.n kii
ki lazzat-e-abadii hai to intizaar me.n hai
Yagana Changezi
Ghazal
kyaa kare.n jii ke ye jiinaa bhii ko.ii jiinaa hai
jab hayaat-e-abadii miltii hai mar jaane se
Mirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi
Ghazal
Gam jahaa.n me.n vo rafiiq-e-abadii hai apnaa
jis ne har haal me.n dil shaad kiyaa hai barso.n
Anwarul Hasan Anwar
Ghazal
zikr aayaa thaa hayaat-e-abadii kaa 'taabaa.n'
log kyuu.n takne lage kuucha-e-qaatil kii taraf
Ghulam Rabbani Taban
Ghazal
dil ko bhii dii ga.ii hai KHidmat-e-dard-e-abadii
sirf aa.nkhe.n hii mirii rone pe maa'muur nahii.n
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Ghazal
tuur ne jis se hayaat-e-abadii paa.ii hai
laa.o dohraa.uu.n mai.n phir se isii afsaane ko
Hadi Machlishahri
Ghazal
paate hai.n lutf-e-hayaat-e-abadii tere shahiid
zab.h karnaa tiraa ejaaz-e-masiihaa.ii hai
Kaifi Hyderabadi
Ghazal
ishq me.n maut se miltii hai hayaat-e-abadii
ishq kii maut to anjaam bhii aaGaaz bhii hai
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Ghazal
dii hayaat-e-abadii us ne gale se mil kar
mil ga.ii daad-e-vafaa KHanjar-e-qaatil se mujhe