SEARCH RESULTS
Showing search results for "तल्ख़ी-ए-माहौल"
Ghazal MATCHES FOR "तल्ख़ी-ए-माहौल"
Ghazal
vo Dare mahshar-ba-daamaa.n talKHi-e-maahaul se
jis ne un nazro.n kii shaan-e-barhamii dekhii nahii.n
Anwar Sabri
Ghazal
ra.ngiinii-e-mustaqbil-e-raushan hai nazar me.n
ham talKHi-e-maahaul se ghabraa nahii.n sakte
Shakeel Badayuni
Ghazal
jaur altaaf-numaa ho ye zaruurii to nahii.n
Gam kii talKHii me.n maza ho ye zaruurii to nahii.n
Kanval M. A
Ghazal
akele-pan kaa ye ehsaas ham-nafas kii talaash
ba.Dhii hu.ii jo ye talKHii hai pyaar maa.nge hai
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
sach thaa vo zahr gavaaraa hii kisii ko na hu.aa
talKHii-e-zaa.iqa-e-kaam-o-ziyaa.n mai.n hii thaa
Farrukh Jafari
Ghazal
talKHii-e-kaam-o-dahan se kahii.n Gam dhulte hai.n
zaalimo talKHii-e-ayyaam kii kuchh baat karo
Arshad Siddiqui
Ghazal
aa.o ilaaj-e-talKHi-e-kaam-o-guluu kare.n
kuchh der shuGl-e-jaam rahe guftuguu kare.n
Wamiq Jaunpuri
Ghazal
ehsaas-e-talKHii-e-Gam-o-aalaam al-amaa.n
diivaana kyo.n na ham hu.e hushiyaar kyo.n hu.e
Nasir Ansari
Ghazal
ba.Dhne lagii jo talKHi-e-Gam-haa-e-zindagii
tho.Daa saa baada-e-Gam-e-jaanaa.n milaa liyaa
Shamim Karhani
Ghazal
talKHii-e-kaam-o-dahan kab se azaab-e-jaa.n hai
ab to ye zahr rag o pai me.n utar bhii jaa.e
Ahmad Faraz
Ghazal
talKHii-e-daur-e-guzishtaa kaa tasavvur kar ke
dil ko phir maa.il-e-fariyaad kiyaa hai mai.n ne
Jaun Eliya
Ghazal
zamaane dekhe hai.n is aa.nkh ne jo ab chup hai
ye ho.nT talKHii-e-sahbaa-o-sam samajhte hai.n